Posted in Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam

Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Se Kee Khaatir Apne Mimbar Sharif Se Neeche Utar Aa’e

Fasl : 25

Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Se Kee Khaatir Apne Mimbar Sharif Se Neeche Utar Aa’e

 

88              “Hazrat Aboo Buraydah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Hamein Khutbah Irshad Farma Rahe They, Itne Me Hasanayn Karimayn  عَلَيْهِمَا السَلَام Tashrif Laa’e, Unhone Surkh Rang Kee Qamis Pehni Huwi Thi Aur Woh (Sighar Sini Kee Wajah Se) Ladkhada Kar Chal Rahe They. Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ (Unhein Dekh Kar) Mimbar Se Neeche Tashrif Le Aa’e, Dono’n (Shahzaadon) Ko Uthaaya Aur Apne Saamne Bitha Liya, Phir Farmaya : Allah Ta’ala Ka Irshad Kitna Sach Hai : ﴾BeShak Tumhare Amwaal Aur Tumhaari Awlaad Aazmaa’ish Hee Hain.﴿ Mein Ne In Bachchon Ko Ladkhada Kar Chalte Dekha To Mujh Se Raha Na Gaya Hatta Ki Mein Ne Apni Baat Kaat Kar Inhein Utha Liya.”

[1-Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahi, 05/658, Raqam-3774,

2-Nasa’i Fi As-Sunan, 03/192, Raqam-1558,

3-Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/345,

4-Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il-us-Sahabah, 02/770, Raqam-1358,

5-Ibn Hibban Fi As-Sahih, 13/403, Raqam-6039,

6-Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 03/218, Raqam-5610,

7-Haythami Fi Mawarid Al-Zam’an Ila Zawa’id Ibn Habban, 01/552, Raqam-2230,

8-Qurtubi Fi Al-Jami’ Li-Ahkam Al-Qur’an (Tafsir Al-Qurtubi), 18/143,

9-Ibn Kathir Fi Tafsir-ul-Qr’an Al-Azim, 04/377,

10-Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal, 06/403,

11-Ibn Jawzi Fi At-Tahqiq Fi Ahadith Al-Khilaf, 01/505, Raqam-805,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/76, 77, Raqam-88.]