Posted in Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam

Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Mere Bete Hain

Fasl : 03

Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Mere Bete Hain

 

09              “Hazrat Abd Allah Bin Mas’ood رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Riwayat Karte Hu’e Farmate Hain : Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ko Dekha Ki Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Hasan Wa Husayn عَلَيْهِمَا السَلَام Ka Haath Pakad Kar Farmaya : Yeh Mere Bete Hain.”

[1-Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 03/284,

2-Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 04/336, Raqam-6973,

3-Ibn Jawzi Fi Sifat-us-Safwah, 01/763,

4-Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba, 01/124,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/18, Raqam-09.]

 

 

10              “Sayyidah Fatimah سَلاَمُ الله عَلَيْهَا Farmati Hain Ki Aik Roz Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Mere Haa’n Tashrif Laa’e Aur Farmaya : Mere Bete Kaha’n Hain ? Mein Ne Arz Kiya : Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Un Ko Saath Le Ga’e Hain. Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Un Kee Talaash Me Mutawajjeh Hu’e To Unhein Paani Peene Kee Jagah Par Khelte Hu’e Paaya Aur Un Ke Saamne Kuchh Khajoorein Bachi Huwi Thi’n. Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Aye Ali ! Khayaal Rakhna Mere Beto’n Ko Garmi Shuru’ Hone Se Pehle Waapas Le Aana.”

[1-Hakim Fi Al-Mustadrak , 03/180, Raqam-4774,

2-Doolabi Fi Adh-Dhurriyat-ut-Tahirah, 01/104, Raqam-193,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/18, 19, Raqam-10.]

 

 

11              “Hazrat Musayyab Bin Nujbah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Hazrat Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Se Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Har Nabi Ko Saat-07 Najib Ya Naqib Ata’ Kiye Ga’e Jab Ki Mujhe Chawdah-14 Naqib Ata’ Kiye Ga’e. Raawi Kehte Hain Ki Hum Ne Hazrat Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Se Puchha Ki Woh Koun Hain ? To Hazrat Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Ne Bataaya : Mein, Mere Dono’n Bete, Ja’far, Hamzah, Aboo Bakr, Umar, Mus’ab Bin Umayr, Bilaal, Salman, Miqdad, Hudhayfah, Ammar Aur Abd Allah Bin Mas’ood رَضِيَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمْ أجْمَعِيْنَ.”

[1-Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahi, 06/123, Raqam-3785,

2-Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/142, Raqam-1205,

3-Shaybani Fi Al-Ahd Wa’l-Mathani, 01/189, Raqam-244,

4-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 06/215, Raqam-6047,

5-Ibn Moosa Fi Mu’tasar Al-Mukhtasar, 02/314,

6-Muhibb-ud-Deen Tabari Fi Ar-Riyad-un-Nadirah Fi Manaqib-il-‘Ashrah, 01/225, Raqam-07, 08,

7-Ibn Abd-il-Barr Fi Al-Isti’ab Fi Ma’rifat Al-As’hab, 03/140,

8-Halabi Fi As-Sirat-ul-Halabiyyah, 03/390,

9-Ibn Ahmad Khatib Fi Wasilat-ul-Islam, 01/77,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/19, 20, Raqam-11.]

 

 

12              “Hazrat Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Riwayat Karte Hu’e Farmate Hain : Allah Ta’ala Har Nabi Ke Saat-07 Nujaba’ Banaaye Jab Ki Hamaare Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ko Chawdah-14 Naqib Ata’ Kiye. Un Me Aboo Bakr, Umar, Ali, Hasan, Husayn, Hamzah, Ja’far, Aboo Dhar, Abd Allah Bin Mas’ood, Miqdad, Ammar, Salman, Hudhayfah Aur Bilal رَضِيَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمْ أجْمَعِيْنَ Shaamil Hain.”

[1-Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 12/484, Raqam-6957,

2-Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il-us-Sahabah, 01/228, Raqam-2765,

3-Daraqutni Fi Al-‘Ilal Al-Waridah Fi Al-Ahadith Al-Nabawiyah, 03/262, Raqam-395,

4-Ibn Jawzi Fi Al-‘Ilal Al-Mutanahiyah Fi Al-Ahadith Al-Wahiyah, 01/282, Raqam-455,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/20, Raqam-12.]