Fasl-05 :
Ummat Se Qabr Me Maqaame Mustafa ﷺ Se Muta’alliq Poochhe Jaane Ka Bayan
43/591. “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Bande Ko (Marne Ke Baa’d) Jab Us Kee Qabr Me Rakkha Jaata Hai Aur Us Ke Saathi (Dafanaane Ke Baa’d Waapas) Laut’te Hain To Woh Un Ke Jooto’n Kee Aawaaz Sun Raha Hota Hai To Us Waqt Us Ke Paas Do² Firishte Aate Hain Aur Use Baitha Kar Kehte Hain Ki Too Is Shakhs Ya’ni (Sayyadana Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam) Ke Muta’alliq (Dunya Me) Kya Kaha Karta Tha? Agar Woh Momin Ho To Kehta Hai : Mein Gawaahi Deta Hoo’n Ki Yeh Allah Ta’ala Ke (Kaamil) Bande Aur Us Ke (Sachche) Rasool Hain. Us Se Kaha Jaa’ega : (Agar Too Inhe’n Pahchaan Na Paata To Tera Jo Thikaana Hota) Jahannam Me Apne Us Thikaane Kee Taraf Dekh Ki Allah Ta’ala Ne Tujhe Us (Ma’refat Maqaame Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam) Ke Badle Me Jannat Me Thikaana De Diya Hai. Phir Woh Dono’n Ko Dekhega Aur Agar Munafiq Ya Kaafir Ho To Us Se Poochha Jaa’ega Too Is Shakhs (Ya’ni Sayyadana Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam) Ke Mut’allik (Dunya Me) Kyaa Kaha Karta Tha? Woh Kehta Hai Ki Mujhe To Ma’loom Nahin, Mein Wahi Kehta Tha Jo Log Kehte The. Us Se Kaha Jaa’ega Too Ne Na Jaana Aur Na Padha. Use Lohe Ke Gurz Se Maara Jaa’ega To Woh (Shiddat Takleef) Se Cheekhta Chillata Hai Jise Jannat Aur Insan Ke Sab Qareeb Waale Sunte Hain.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 01/462, Raqm-1308,
Bukhari Fi As-Sahih, 01/448, Raqm-1673,
Muslim Fi As-Sahih, 04/2200, Raqm-2870,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/238, Raqm-4756,
Nasa’i Fi As-Sunan, 04/97, Raqm-2051,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/126, Raqm-12293,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-536, 537, Raqm-591.]
44/592. “Hazrat Asma Binte Aboo Bakr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hain Ki Sooraj Grahan Ke Roz Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam (Namaaze Kusoof Se) Faarig Ho Ga’e To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Allah Ta’ala Kee Hamd-o Sana Bayan Kee Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ko’i Aisi Cheez Nahin Jise Meine Us Jagah Par Dekh Na Liya Ho Yaha’n Tak Ki Jannat Aur Dozakh Bhi Aur Mujh Par Wahyi Kee Ga’i Hai Ki Qabro’n Me Tumhara Imtihan Hoga. Dajjaal Ke Fitne Jaisi Aazma’is Ya Us Ke Qareeb’tar Ko’i Shai. (Raawi Kehte Hain Mujhe Nahin Ma’loom Ki Hazrat Asma Ne In Me Se Koun See Baat Farmaa’i) Tum Me Se Har Ai Shakhs Ke Paas Firishta Aa’ega Us Se Kaha Jaa’ega Ki Is Shakhs (Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam) Ke Mut’allik Too Kyaa Jaanta Hai? Jo Iman Waala Ya Yaqeen Waala Hoga Woh Kahega Ki Yeh Allah Ta’ala Ke Rasool Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Hain Jo Hamaare Paas Nishaniya’n Aur Hidayat Ke Saath Tashreef Laa’e. Hamne In Kee Baat Maani, In Par Iman Laa’e Aur In Kee Pairwi Kee. Use Kaha Jaa’ega : Aaraam Se So Jaa, Hame’n Ma’loom Tha Ki Too Iman Waala Hai. Agar Vo Munafiq Ya Shak Karne Waala Hoga (Raawi Kehte Hain Mujhe Nahin Ma’loom Ki Hazrat Asma Ne In Me Se Koun See Baat Farmaa’i) To Kahega : Mujhe Nahin Ma’loom Mein Logo’n Ko Jo Kuchh Kehte Hue Sunta Tha Wahi Keh Deta Tha.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 01/79, Raqm-186,
Bukhari Fi As-Sahih, 01/358, Raqm-1005,
Bukhari Fi As-Sahih, 06/2657, Raqm-6857.
Muslim Fi As-Sahih, 02/624, Raqm-905,
Malik Fi Al-Muwatta’, 01/189, Raqm-447,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/345, Raqm-2697,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-537, 538, Raqm-592.]
45/593. “Hazrat Aboo Hurairah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Mayyat Ko Ya Tum Me Se Kisi Ek Ko (Marne Ke Baa’d) Qabr Me Daakhil Kiya Jaata Hai To Us Ke Paas Siyaah Rang Ke Neelangoon Aankho’n Waale Do² Firishte Aate Hain. Ek Ka Naam Munkar Aur Doosre Ka Naam Nakeer Hai. Woh Dono’n Us Mayyat Se Poochhte Hain Too Is Azeem Hastee (Rasoole Mukarram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam) Ke Baare Me (Dunya Me) Kya Kehta Tha? Woh Shakhs Wahi Baat Kehta Hai Jo Dunya Me Kaha Karta Tha Ki Woh Allah Ta’ala Ke Bande Aur Rasool Hain. Mein Gawaahi Deta Hoo’n Ki Allah Ta’ala Ke Siwa Ko’i Ibadat Ke Laa’iq Nahin Aur Be Shak Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Us Ke (Khaas) Bande Aur (Sachche) Rasool Hain. Woh Kehte Hain Hame’n Ma’loom Tha Ki Too Yahi Kahega Phir Us Kee Qabr Ko Lamba’i Wa Chauda’i Me Sattar-Sattar Haath Kushaada Kar Diya Jaata Hai Aur Noor Se Bhar Diya Jaata Hai Phir Use Kaha Jaata Hai : (Sukoon Wa Itminan Se) So Jaa, Woh Kehta Hai Mein Waapas Jaa Kar Ghar Waalo’n Ko Bataaun. Woh Kehte Hain Nahin (Na’i Naweli) Dulhan Kee Tarah So Jaao. Jise Ghar Waalo’n Me Se Jo Use Mehboob Tareen Hota Hai Wahi Uthaata Hai. Yaha’n Tak Ki Allah Ta’ala (Roze Hashr) Use Us Kee Khwabgah Se (Usi Haal Me) Uthayega Aur Agar Woh Shakhs Munafiq Ho To (In Sawaalaat Ke Jawab Me) Kahega : Meine Aisa Hee Kaha Jaisa Meine Logo’n Se Kehte Hue Suna, Mein Nahin Jaanta (Woh Sahee Tha Ya Galat). Phir Woh Dono’n Firishte Kahenge Ki Hum Jaante The Ki Tum Aisa Hee Kahoge. Phir Zameen Se Kaha Jaaega Ki Us Par Mil Jaa Phir Woh Us Par Ikat’thee Ho Jaa’egi (Yaani Ise Dabayegi) Yaha’n Tak Ki Us Kee Pasliya’n Ek Doosre Me Daakhil Ho Jaaegi Woh Musalsal ‘Azaab Me Mubtala Rahega Yaha’n Tak Ki Allah Ta’ala Use Isi Haalate (‘Azaab) Me Us Jagah Se Uthayega. “
رواه الترمذي وحسنه وابن حبان.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 03/383, Raqm-1071,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 07/386, Raqm-3117,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 03/56, Raqm-12062,
Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 02/416, Raqm-864,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/199, Raqm-5399,
Mubarkfoori Fi Tuhfat-ul-Ahwadhi Bi-Sharh Jaame’ At-Tirmidhi, 04/156,
Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 02/331,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-538, 539, 540, Raqm-593.]
46/594. “Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Qabr Ka Imtihan Mere Hee Baare Me Hoga Aur (Qabr Me) Tum Se Mere Hee Mut’allik Poochha Jaa’ega Phir Agar Ko’i Nek Aadami Hoga To Use Baghair Kisi Dar Aur Khauf Ke Us Kee Qabr Me Baithaaya Jaa’ega, Phir Use Kaha Jaa’ega Too Kis Millat Se Tha? To Woh Kahega Deene Islam Par, Phir Us Se Kaha Jaa’ega : Yeh Koun Shakhs Hain Jo Tum Me Maujood The? Phir Woh Kahega Yeh Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Allah Ke Rasool Hain, Yeh Allah Kee Taraf Se Hamaare Paas Waazeh Nishaniyan Le Kar Mab’oos Hu’e. Phir Hamne Un Kee Tasdeeq Kee Phir Us Se Kaha Jaa’ega Kya Toone Allah Ko Dekh Rakkha Hai? To Woh Kahega Ki Ko’i Shakhs Allah Ko Nahin Dekh Sakta Phir Jahannam Kee Taraf Se Us Kee Qabr Me Sooraakh Kar Diya Jaa’ega Phir Woh Us Kee Taraf Dekhega Ki Us Ka Baa’z Us Ke Baa’z Ko Tabaah Kar Raha Hai Phir Use Kaha Jaa’ega Us Kee Taraf Dekh Jis Se Allah ‘Azza Wa Jalla Ne Tumhe’n Bacha Liya Phir Jannat Kee Taraf Se Us Kee Qabr Me Ek Sooraakh Kar Diya Jaa’ega To Woh Us Kee Rounak Aur Jamaal Kee Taraf Dekhega Phir Use Kaha Jaa’ega Yeh Hai Tera Jannat Ka Thikaana, Aur Phir Use Kaha Jaa’ega Ki Too Yaqeen Par Zinda Raha Usi Par Mara Aur Usi Par Agar Allah Ta’ala Ne Chaaha To Tujhe Zinda Kiya Jaa’ega .”
رواه ابن ماجه وأحمد وإسناده صحيح.
–
[Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1426, Raqm-4268,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/139, Raqm-25133,
Ibn Mandah Fi Al-Iman, 02/967, Raqm-1067,
‘Abd Allah Bin Ahmad Fi As-Sunnah, 01/308, Raqm-602,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,03/240,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-540, 541, Raqm-594.]
47/595. “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Ek Janaaze Me Shaamil Hua. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Logo’n! Is Ummat (Ke Logo’n) Kee Qabr Me Aazma’is Hogi. Phir Jab Insan Dafan Kar Diya Jaata Hai Aur Us Ke Saathi (Us Ke Paas Se) Muntashir Ho Jaate Hain To Us Ke Paas Firishta Jis Ke Haath Me Gurz Hota Hai, Use Woh Bithaata Hai Aur Kehta Hai : Is Hastee (Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam) Ke Baare Me Tum Kya Kehte Ho? Phir Agar Woh Momin Hoga To Kehta Hai : Mein Gawaahi Deta Hoo’n Ki Allah Ta’ala Ke Siwa Ko’i Ma’bood Nahin Aur Be Shak Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Us Ke (Khaas) Bande Aur (Afzal Tareen) Rasool Hain. Phir Woh (Firishta) Use Kehta Hai : Toone Sach Kaha Phir Us Ke Liye Dozakh Kee Taraf Ek Darwaaja Khola Jaata Hai Aur (Firishta) Kehta Hai Tera Yeh Thikaana Hota Agar Too Apne Rabb Ke Saath Kufr Karta Lekin Too Iman Laaya Phir Tera Yeh (Jannat) Thikaana Hai. Phir Us Ke Liye Jannat Kee Taraf Darwaaja Khola Jaata Hai. Woh Shakhs (Farhat Wa Khushee Ke Maare Be Ikhtiyaar Ho Kar) Us Darwaaze Kee Taraf Badhta Hai To Firishta Us Se Kehta Hai : Thahar Jaao Aur Us Ke Liye Us Kee Qabr Me Hee Wus’at Paida Kar Dee Jaati Hai.”
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/03, Raqm-11013, 14864,
Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 02/417, Raqm-565,
‘Abd Allah Bin Ahmad Fi As-Sunnah, 02/612, Raqm-1456,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-541, 542, Raqm-595.]
48/596. “Hazrat Asma Binte Aboo Bakr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ek Taweel Riwayat Me Bayan Karti Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Logo’n! Ko’i Bhi Cheez Aisi Nahin Jise Mein Ne Na Dekha Ho Lekin Yeh Ki Ab Mein Use Apni Us Jagah Se Dekh Raha Hoo’n Aur Tahqeek Mujhe Tumhe’n Apni Qabro’n Me Aazma’is Me Mubtala Hote Dikhaya Gaya Hai. Tum Me Se Har Kisi Se Sawal Kiya Jaa’ega : Too (Dunya Me) Is Hastee (Yaani Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke) Baare Me Kyaa Kaha Karta Tha? Aur Too (Dunya Me) Kis Kee ‘Ibadat Kiya Karta Tha? Phir Agar Us Ne Kaha Ki Mein Nahin Jaanta Meine Jis Tarah Logo’n Ko (In Ke Baare Me) Kehte Suna Meine Bhi Usi Tarah Kaha Diya Aur Jo Kuchh Unhe’n Karte Hue Dekha Usi Tarah Kar Diya To Us Se Kaha Jaa’ega Ki Yaha’n To Shak Par Zinda Raha Aur Usi Par Mara Phir Ab Yeh Tera Aag Ka Thikaana Aur Agar Us Ne Kaha Ki Mein Gawaahi Deta Hoo’n Ki Allah Ta’ala Ke Siwa Ko’i Ibadat Ke Laa’iq Nahin Hai Aur Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Allah Ta’ala Ke Rasool Hain To Us Se Kaha Jaa’ega Ki Too Yaqeen Par Zinda Raha Aur Usi Par Mara Lehaaza Tera Thikaana Yeh Jannat Hai.”
رواه أحمد وإسناده حسن.
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/354,وسنده حسن.
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-542, 543, Raqm-596.]
49/597. “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Momin Ko Jab Us Kee Qabr Me Rakkha Jaata Hai To Us Ke Paas Ek Firishta Aata Hai Jo Poochhta Hai Too Kis Kee ‘Ibadat Kiya Karta Tha? Phir Allah Ta’ala Use Hidayat ‘Ata Farmata Hai Aur Woh Kehta Hai Mein Allah Ta’ala Kee Ibadat Kiya Karta Tha. Phir Us Se Poochha Jaata Hai Ki Too Is Azeem Hastee (Sayyadana Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam) Ke Mut’allik Kya Kaha Karta Tha? Woh Kehta Hai Ki Yeh Allah Ta’ala Ke Bande Aur Us Ke Rasool Hain. Phir Us Ke Siwa Us Se Kisi Aur Shai Ke Mut’allik Nahin Poochha Jaata Aur Isi Riwayat Me Hai Ki Woh Kehta Hai Ki Mujhe Chhod Do Taaki Mein Apne Ghar Waalo’n Ko Bashaarat Doon, Use Kaha Jaata Hai Ki Yahin (Aysho Isharat) Se Raho.”
–
[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/238, Raqm-4851,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/233, Raqm-13472,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/194, Raqm-5394,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,03/237,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-543, Raqm-597.]
50/598. “Hazrat Bara’ Bin Aazib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Farmaate Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Ham Ek Ansaari Ke Janaaze Ke Liye Ga’e Aur Qabr Ke Qareeb Jaa Kar Rook Ga’e, Jab Tak Woh Dafan Nahin Kar Diya Gaya Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Wahin Tashreef Farma Rahe Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke I’rd-Geerd Hum Bhi Yu’n Khaamosh Ho Kar Baith Ga’e Goya Hamaare Saaro Par Parinde Baithe Ho. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Daste Aqdas Me Ek Lakadi Thi Jis Se Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Zameen Ko Kuraid Ne Lage Aur Sar Mubarak Ko Uthaaya Aur Do² Ya Teen³ Baar Farmaya : Azaabe Qabr Se Allah Kee Panaah Maango Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Murda Un Ke Jooto’n Kee Aawaaz Sunta Hai Jab Woh (Us Ke Saathi) Peeth Pher Kar Jaate Hain. Us Waqt Us Se Poochha Jaata Hai : Aye Insan! Tera Rabb Koun Hai? Tera Deen Kya Hai? Aur Tera Nabi Koun Hai?”
“Aur Ek Riwayat Me Hai Ki Us Ke Paas Do² Firishte Aate Hai, Phir Use Baitha Kar Use Poochhte Hain Ki Tera Rabb Koun Hai? Woh Kehta Hai Ki Mera Rabb Allah Ta’ala Hai. Dono’n Firishte Us Se Poochhte Hain Ki Tera Deen Kyaa Hai? Woh Kehta Hai Ki Mera Deen Islam Hai. Dono’n Us Se Poochhte Hain Ki Yeh Hastee Koun Hai Jo Tumhaari Taraf Mab’oos Ki Ga’i Thi? Woh Kehta Hai Ki Yeh To Hamaare Aaqa MuhammadurRasool Allah Sallallahu Ta’ala Alayhi Wasallam Hai. Dono’n Poochhte Hain Tumhe’n Kaise Ma’loom Hua? Woh Kehta Hai Ki Meine Allah Ta’ala Kee Kitab Padhi Lehaaza Un Par Iman Laaya Aur In Kee Tasdeeq Kee.”
“Aur Ek Riwayat Me Hai Ki Irshade Baari Ta’ala Hai : ˝Allah Ta’ala Iman Waalo’n Ko (Is) Mazboot Baat (Kee Barkat) Se Duniyawi Zindagi Me Bhi Saabit Qadam Rakhta Hai Aur Aakhirat Me (Bhi).˝[Ibrahim, 14 : 27] Ka Yahi Matlab Hai Phir Aasmaan Se Ek Pookaarne Waale Kee Aawaaz Aati Hai, Mere Bande Tune Sach Kaha, Lehaaza Jannat Me Is Ka Bistar Laga Do Aur Ise Jannati Libaas Pehna Do Aur Is Ke Liye Jannat Ka Ek Darwaaja Khol Do. Phir Is Ke Zari’e Ise Jannat Kee Hawa Aur Khushboo Aati Hai Aur Taa Hadde Nazar Us Kee Qabr Faraakh Kar Dee Jaati Hai.”
–
[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/238, Raqm-4751,
Ahmad Ibn Hanbal Al-Musnad, 03/233, Raqm-02,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-543, 544, 545, Raqm-598.]