Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-04 : ﴾Huzoor Nabiyye Akram ﷺ Ka Tareeqa-e Namaz﴿

Takbeere Oola Ke Ilawa Namaz Me Raf’yadayn Na Karne Ka Bayaan

Fasl-02 :

Takbeere Oola Ke Ilawa Namaz Me Raf’yadayn Na Karne Ka Bayaan

14/248.    “Hazrat ‘Imran Bin Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Unhone Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Saath Basara Me Namaz Padhi To Unhone Hame’n Woh Namaz Yaad Kara Dee Jo Hum Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Padha Karte They. Unhone Bataaya Ki Woh (Ya’ni Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim) Jab Bhi Uthate Aur Jhukte To Takbeer Kaha Karte They.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/271, Raqm-751,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/78, Raqm-2326,

Bazzar Fi Al-Musnad, 09/26, Raqm-3532,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-285, Raqm-248.]

15/249 .   “Hazrat Aboo Salamah Se Riwayat Hai Ki Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Unhe’n Namaz Padhaaya Karte They, Jab Bhi Jhukte Aur Uthate To Takbeer Kehte. Jab Aap Namaz Se Faarigh Hu’e To Farmaya : Tum Me Se Meri Namaz Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Namaz Se Ziyaada Mushaabahat Rakhti Hai.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/272, Raqm-752,

Muslim Fi As-Sahih, 01/293, Raqm-392,

Nasa’i Fi As-Sunan, 02/235, Raqm-1155,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/236, Raqm-7219,

Malik Fi Al-Muwatta’, 01/76, Raqm-166,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 01/221,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-285, Raqm-249.]

16/250.    “Hazrat Mutarrif Bin ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Aur Hazrat ‘Imran Bin Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Hazrat ‘Ali Bin Aboo Talib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Pichhe Namaz Padhi Jab Unhone Sajda Kiya To Takbeer Kahi, Jab Sar Uthaaya To Takbeer Kahi Aur Jab Do² Rak’ato’n Se Uthe To Takbeer Kahi. Jab Namaz Mukammal Ho Ga’i To Hazrat ‘Imran Bin Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Mera Haath Pakad Kar Farmaya : Unhone Mujhe Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Namaz Yaad Kara Dee Hai (Ya Farmaya) Unhone Mujhe Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Namaz Jaysi Namaz Padhaa’i Hai.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/272, Raqm-753,

Muslim Fi As-Sahih, 01/295, Raqm-393,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/444,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-286, Raqm-250.]

17/251.    “Hazrat Aboo Bakr Bin ‘Abd-ir-Rahman Ne Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Farmate Hu’e Suna Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Jab Namaz Ke Liye Khade Hote To Khade Hote Waqt Takbeer Kehte Phir Rukoo’ Karte Waqt Takbeer Kehte Phir ﴿سَمِعَ اللهُ لِمَنْ حَمِدَهُ﴾ ‘SamiAllahu-Le-Man-Hamidah’ Kehte,  Jab Ki Rukoo’ Se Apni Pusht Mubarak Ko Seedha Karte Phir Seedha Khade Ho Kar ﴿رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْدُ﴾ ‘Rabbana-Wa-Lakal-Hamd’ Kehte, Phir Jhukte Waqt Takbeer Kehte. Phir Sar Uthaate Waqt Takbeer Kehte. Phir Sajda Karte Waqt Takbeer Kehte. Phir Sajde Se Sar Uthaate Waqt Takbeer Kehte. Phir Saari Namaz Me Isee Tarah Karte Yaha’n Tak Ki Poori Ho Jaati Aur Jab Do² Rak’ato’n Ke Aakhir Me Baythne Ke Baa’d Khade Hote To Takbeer Kehte.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/272, Raqm-756,

Muslim Fi As-Sahih, 01/293, Raqm-392,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-286, 287, Raqm-251.]

18/252.    “Hazrat Aboo Salamah Bin ‘Abd-ir-Rahman Se Riwayat Hai Ki Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Har Namaz Me Takbeer Kehte Chhahe Woh Farz Hoti Ya Doosri, Maah Ramadaan Me Hoti Ya Us Ke Ilaawah Jab Khade Hote To Takbeer Kehte Aur Jab Rukoo’ Karte To Takbeer Kehte, Phir (سَمِعَ اللهُ لِمَنْ حَمِدَهُ) ‘SamiAllahu-Le-Man-Hamidah’ Kehte Phir Sajda Karne Se Pehle (رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْدُ)  ‘Rabbana-Wa-Lakal-Hamd’ Kehte, Phir Jab Sajde Ke Liye Jhukte To (اَللهُ اَكْبَر) ‘AllahuAkbar’ Phir Jab Sajde Se Uthate To Takbeer Kehte, Phir Jab (Doosara) Sajda Karte To Takbeer Kehte, Phir Jab Sajde Se Sar Uthaate To Takbeer Kehte, Phir Jab Doosri Rak’at Ke Qa’ade Se Uthate To Takbeer Kehte, Aur Har Rak’at Me Aisa Hee Karte Yeh’n Tak Ki Namaz Se Faarigh Ho Jaate. Phir Faarigh Hone Par Farmate : Qasam Hai Us Zaat Kee Jis Ke Qabza-e Kudarat Me Meri Jaan Hai! Tum Sab Me Se Meri Namaz Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Namaz Ke Saath Ziyaada Mushaabahat Rakhti Hai.  Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Taa Dame Wisal Isee Tareeqe Par Namaz Ada Kee.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/276, Raqm-770,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/221, Raqm-836,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-287, 288, Raqm-252.]

19/253.    “Hazrat Aboo Qilaaba Se Riwayat Hai Ki Hazrat Maalik Bin Huwayris RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Apne Saathiyo’n Se Farmaya : Kya Mein Ne Tumhe’n Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Namaz Na Baataaun? Aur Yeh Namaz Ke Muqarrara Waqt Ke Ilaawah Kee Baat Hai. Phir Unhone Qiyam Kiya, Phir Rukoo’ Kiya To Takbeer Kahi, Phir Sar Uthaaya To Thodi Der Khade Rahe, Phir Sajda Kiya, Phir Thodi Der Sar Uthaa’e Rakkha Phir Sajda Kiya, Phir Thodi Der Sar Uthaa’e Rakkha. Unhone Hamaare In Buzurg Hazrat Amr Bin Salma Kee Tarah Namaz Padhi. Ayyub Ka Bayan Hai Ki Woh Ek Kaam Aisa Karte Jo Mein Ne Kisi Ko Karte Hu’e Nahin Dekha. Woh Teesri³ Aur Chauthi⁴ Rak’at Me Baitha Karte They, Farmaya : Hum Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Bargah Me Haazir Hu’e To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Paas Thahre. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Tum Apne Ghar Waalo’n Ke Paas Waapas Jaao To Fula’n Namaz Fula’n Waqt Me Padhna. Jab Namaz Ka Waqt Ho Jaa’e To Tum Me Se Ek Azan Kahe Aur Jo Bada Ho Woh Tumhari Imamat Kare.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/282, Raqm-785,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-288, 289, Raqm-253.]

20/254.    “Hazrat Alqama Riwayat Karte Hain Ki Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Kya Mein Tumhe’n Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Namaz Naa Padhaaun? Raawi Kehte Hain : Phir Unhone Namaz Padhaa’i Aur Ek Baar Ke Ilaawah Apne Haath Naa Uthaa’e,” Imam Nasa’i Kee Bayan Karda Riwayat Me Hai, “Phir Unhone Haath Na Uthaa’e. “

رواه أبوداود والترمذي، والنساءي،

وقال أبوعيسى : هذا هريث حسن.

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/286, Raqm-748,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 01/297, Raqm-257,

Nasa’i Fi As-Sunan, 02/131, Raqm-1026,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/221, 351, Raqm-645, 1099,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/388, 441,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 01/213, Raqm-2441,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-289, Raqm-254.]

21/255.    “Hazrat Hasan Bin Ali,  Mu’awiya, Khalid Bin ‘Amr Wa Aboo Huzayfa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Ajma’iyn Riwayat Karte Hain Ki Sufiyan Ne Apni Sanad Ke Saath Hum Se Hadith Bayan Kee (Ki Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne) Pehli Baar Hee Haath Uthaa’e Aur Phir Kuchh Ne Kaha, Ek Hee Baar Haath Uthaa’e.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/286, Raqm-749,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-289, 290, Raqm-255.]

22/256.    “Hazrat Bara’ Bin Aazib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Jab Namaz Shuru Karte To Apne Dono’n Haatho’n Ko Kaano’n Tak Uthaate, Aur Phir Aisa Na Karte.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/287, Raqm-750,

‘Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf,  02/70, Raqm-2530,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 01/213, Raqm-2440,

Daraqutni Fi As-Sunan, 01/293,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 01/253, Raqm-1131,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-290, Raqm-256.]

23/257.    “Hazrat Aswad Riwayat Karte Hain Ki Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Sirf Takbeere Tahreema Ke Waqt Haath Uthaate They, Phir Namaz Me Kisi Aur Jagah Haath Na Uthaate Aur Yeh Amal Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Naqal Kiya Karte.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/355,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-290, Raqm-257.]

24/258.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Aur Aboo Bakr Wa Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ke Saath Namaz Padhi, Yeh Sab Hazraat Sirf Namaz Ke Shuru Me Hee Apne Haath Buland Karte They.”

[Daraqutni Fi As-Sunan, 01/295,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 08/453, Raqm-5039,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/79,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 02/101,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-290, 291, Raqm-258.]

25/259.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Amr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Dekha Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Namaz Shuru Karte Waqt Apne Haatho’n Ko Kandho’n Tak Uthaaya, Aur Jab Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Rukoo’ Karna Chaahte Aur Rukoo’ Se Sar Uthaate To Haath Nahin Uthaate They,  Aur Un Me Se Kuchh Ne Kaha Dono’n Sajdo’n Ke Darmiyan (Haath) Nahin Uthaate They.”

[Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad,  01/423, Raqm-1572,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-291, Raqm-259.]

26/260.    “Hazrat Aswad Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Hazrat ‘Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Namaz Ada Karte Dekha Hai. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Takbeere Tahreema Kehte Waqt Dono’n Haath Uthaate, Phir (Baaqi Namaz Me Haath) Nahin Uthaate They.”

[Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 01/294, Raqm-1329,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-291, Raqm-260.]

27/261.    “Aasim Bin Kulayb Apne Waalid Kulayb Se Riwayat Karte Hain Ki Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Sirf Takbeer Me Hee Haatho’n Ko Uthaate They Phir Namaz Ke Dauraan Haath Nahin Uthaate They.”

[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 01/213, Raqm-2444,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-291, Raqm-261.]