Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-09 : ﴾Azamate Risaalat Aur Sharafe Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam﴿

Huzoor ﷺ Kee Zaate Aqdas Aur Aap ﷺ Ke Aasaare Mubaaraka Se Husoole Barkat Ka Bayan

Fasl-08 :

Huzoor Kee Zaate Aqdas Aur Aap Ke Aasaare Mubaaraka Se Husoole Barkat Ka Bayan

73/621.    “Hazrat Saa’ib Bin RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Marwi Hai Ki Meri Khaala Jaan Mujhe Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmate Aqdas Me Le Ja Kar ‘Arz Guzaar Huwee : Ya RasoolAllah ﷺ! Mera Bhaanja Beemaar Hai. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Mere Sar Par Apna Daste Aqdas Phera Aur Mere Liye Barkat Kee Du’aa Farmaa’i Phir Wuzoo Farmaya To Meine Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Wuzoo Ka Paani Piya Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Peechhe Khada Ho Gaya To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Dono’n Mubarak Shaano’n Ke Dauraan Muhare Nubuwwat Kee Ziyaarat Kee Jo Kabootar (Ya Us Kee Misl Kisi Parinde) Ke Ande Jaisi Thi.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/81, Raqm-187,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1301, Taqam-3347,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1301, Raqm-3348,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2146, Raqm-5346,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2337, Raqm-5991,

Muslim Fi As-Sahih, 04/1823, Raqm-2345,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 04/361, Raqm-7518,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 07/157, Raqm-6682,

Ibn Abi ‘Asim Fi Al-Ahadu Wa’l-Mathani, 04/379, Raqm-2420, 3430,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-564, Raqm-621.]

74/622.    “Hazrat Aboo Juhaifa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Dopahar Ke Waqt Hamaare Paas Tashreef Laa’e, Paani Laaya Gaya To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Wuzoo Farmaya.  Log Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Wuzoo Ke Bache Hu’e Paani Ko Lene Lage Aur Use Apne Oopar Malne Lage.  Phir Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Zuhar Ki Do² Rak’ate’n Aur ‘Asr Kee Do² Rak’ate’n Ada Farma’i Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saamne Neza (Barchhee) Tha.  Hazrat Aboo Moosa Ash’ari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Paani Ka Ek Pyaala Mangwaaya. Phir Apne Haatho’n Aur Chehre Aqdas Ko Us Me Dhoya Aur Usi Me Kullee Kee Phir Un Dono’n (Ya’ni Hazrat Aboo Moosa Ash’ari Aur Aboo Aamir Ash’ari) Se Farmaya : Is Me Se Pee Lo Aur Apne Chehro’n Aur Seeno’n Par Bhi Daal Lo.”

Muttafaque ‘Alayh

“Hazrat Aboo Juhaifa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Riwayat Hai Ki Meine Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Chamde Ke Ek Surkh Khaime Me Dekha Aur Hazrat Bilal RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Iste’maal Shuda Paani Lete Dekha Aur Meine Logo’n Ko Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Iste’maal Shuda Paani Kee Taraf Lapakte Dekha Jise Kuchh Mil Gaya Us Ne Use Apne Oopar Mal Liya Aur Jise Is Me Se Zara Bhi Na Mila Us Ne Apne Saathi Ke Haath Se Taree Haasil Kee (Aur Apne Jism Par Mal Liya), Phir Meine Dekha Ki Hazrat Bilal RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Neza Le Kar Gaad Diya To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Surkh Libaas Me Jode Ko Samet’te Hu’e Baahar Tashreef Laa’e Aur Neze Kee Taraf Munh Kar Ke Logo’n Ko Do² Rak’ate’n Padhaa’i Aur Meine Dekha Ki Neze Se Pare Aadami Aur Jaanwar Guzar Rahe Hain.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/80, Raqm-185,

Bukhari Fi As-Sahih, 01/147, Raqm-369,

Bukhari Fi As-Sahih, 01/187, Raqm-473,

Bukhari Fi As-Sahih, 01/188, Raqm-477,

Bukhari Fi As-Sahih, 01/188, Raqm-479,

Bukhari Fi As-Sahih, 01/227, Raqm-607,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1304, Raqm-3373,

Bukhari Fi As-Sahih, 04/1573, Raqm-4073,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2186, Raqm-5449,

Bukhari Fi As-Sahih, 01/83, Raqm-193,

Muslim Fi As-Sahih, 04/1943, Raqm-2497,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 13/301, Raqm-301,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-565, 566, Raqm-622.]

75/623.    “Hazrat Mahmood Bin Rabee’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Yeh Wahi Buzurg Hain Jin Ke Chehre Par Jab Yeh Bachche The Un Ke Ku’e Ke Paani Se Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Kullee Farmaa’i Thi Aur Urwah Ne Hazrat Miswar Bin Makharama RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Kee Jin Me Se Har Ek Apne Saathi Kee Tasdeeq Karta Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Jab Wuzoo Farmaate To Qareeb Thaa Ki Log Wuzoo Ke Paani Par Aapas Me Lad Marte.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/81, Hadith-186,

Bukhari Fi As-Sahih, 01/41, Hadith-77,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/329,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 11/221, Raqm-4876,

Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 05/336, Raqm-9720,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 20/12, Raqm-13,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 09/220,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 05/333, Raqm-6829,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari, 11/115, Raqm-5993,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-566, 567, Raqm-623.]

76/624.    “Hazrat Miswar Bin Makharama Aur Marwaan Se Riwayat Hai, Urwah Bin Mas’ood (Jab Baargaahe Risalat Ma’aab SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Me Kuffaar Ka Vakil Ban Kar Aaya To) Sahabah Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn (Ke Ma’moolate Ta’zeeme Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam) Ko Dekhta Raha Ki Jab Bhi Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Apna Luaabe Dahan Phainkte To Ko’i Na Ko’i Sahaabi Use Apne Haath Le Leta Thaa Jise Woh Apne Chehre Aur Badan Par Mal Leta. Jab Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kisi Baat Ka Hukm Dete Hain To Us Kee Fauran Taameel Kee Jaati Thi. Jab Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Wuzoo Farmaate Hain To Log Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Iste’maal Shuda Paani Ko Haasil Karne Ke Liye Ek Doosre Par Toot Padte The.  (Aur Ek Doosre Par Sabqat Le Jaane Kee Koshish Karte The Har Ek Kee Koshish Hoti Thi Ki Yeh Paani Mein Haasil Karoo’n) Jab Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Guftagoo Farmaate Hain To Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Apni Aawaazo’n Ko Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saamne Past Rakhte The Aur Intihaa’i Ta’zeem Ke Baa’is Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Taraf Nazar Jam’a Kar Bhi Nahin Dekhte The. Us Ke Baa’d Urwah Apne Saathiyo’n Kee Taraf Laut Gaya Aur Un Se Kehne Laga : Aye Qaum!  Allah Rabbul Ijzat Kee Qasam! Mein (Bade-Bade ‘Azeemushshaan) Badshaho’n Ke Darbaaro’n Me Wafd (Numa’indo’n Kee Jam’a’at) Le Gaya Hoo’n, Mein Qaisar Wa Kisra Aur Najjaashi Jaise Badshaho’n Ke Darbaaro’n Me Haazir Huaa Hoo’n. Lekin Khuda Kee Qasam! Meine Ko’i Aisa Badshah Nahin Dekha Ki Us Ke Darbaari Us Kee Is Tarah Ta’zeem Karte Hoo’n Jaise Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Ta’zeem Karte Hain.  Khuda Kee Qasam! Jab Woh Thookte Hain To Un Ka Luaabe Dahan Kisi Na Kisi Shakhs Kee Hatheli Par Hee Girta Hai, Jise Woh Apne Chehre Aur Badan Par Mal Leta Hai.  Jab Woh Ko’i Hukm Dete Hain To Fauran Un Ke Hukm Ki Ta’meel Hoti Hai, Jab Woh Wuzoo Farmaate Hain To Yoo’n Mehsoos Hone Lagta Hai Ki Log Wuzoo Ka Iste’maal Shuda Paani Haasil Karne Ke Liye Ek Doosre Ke Saath Ladne Marne Par Aamaada Ho Jaa’enge Woh Un Kee Bargah Me Apni Aawaazo’n Ko Past Rakhte Hain Aur Ta’zeeman Woh Un Kee Taraf Aankh Bhar Kar Dekh Nahin Sakte.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 02/974, Raqm-2581,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/329,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 11/216, Raqm-4876,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 20/09, Raqm-13,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 09/220,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-567, 568, Raqm-624.]

77/625.    “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Jab Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Maqaame Jamrah Par Kankariya’n Maari’n Aur Apni Qurbaani Ka Fareeza Ada Farma Liya To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Sare Anwar Ka Daaya’n Hissa Hajjaam Ke Saamne Kar Diya, Us Ne Baal Mubarak Moonde Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat Aboo Talha RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Bulaaya Aur Un Ko Woh Baal ‘Ata Farmayein, Is Ke Baa’d Hajjaam Ke Saamne (Sare Anwar Kee) Baayee’n Jaanib Kee Aur Farmaya : Yeh Bhi Moondo’n, Us Ne Udhar Ke Baal Mubarak Bhi Moond Di’e, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Woh Baal Bhi Hazrat Talha RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko ‘Ata Farma’ein Aur Farmaya : Yeh Baal Logo’n Me Taqseem Kar Do.”

رواه مسلم والترمذي وأبوداود وأحمد.

وقال الترمذي : هذا حديث حسن صحيح.

[Muslim Fi As-Sahih, 02/948, Raqm-1305,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 03/255, Raqm-912,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/203, Raqm-1981,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/449, Raqm-4114,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/111, Raqm-12113,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 09/191, Raqm-1743,

Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 04/299, Raqm-2928,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/647, Raqm-1743,

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح –

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-568, 569, Raqm-625.]

78/626.    “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Bayan Kiya Ki Mein Ne Dekha : Hajjaam Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Sar Mubarak Kee Hajaamat Bana Raha Thaa Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke I’rd-Geerd Ghoom Rahe The Aur Un (Me Se Har Ek Kee) Yeh Koshish Thi Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Ko’i Ek Baal Mubarak Bhi Zameen Par Girne Na Paaye Balki Un Me Se Kisi Na Kisi Ke Haath Me Aa Jaaye’n.”

[Muslim Fi As-Sahih, 04/1812, Raqm-2325,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/133, 137, Raqm-12423,

Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/380, Raqm-1273,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-569, 570, Raqm-626.]

79/627.    “Hazrat Ibn Seereen RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmaate Hain Ki Meine Hazrat Ubaida Se Kaha : Hamaare Paas Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Kuchh Moo-e Mubarak Hain Jinhe’n Hamne Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Ya Hazrat Anas Ke Ghar Waalo’n Se Haasil Kiya Hai. Hazrat Ubaida Ne Farmaya : Agar Un Me Se Ek Moo-e Mubarak Bhi Mere Paas Hota To Woh Mujhe Dunya Aur Jo Kuchh Is (Dunya) Me Hai Un Sab Se Kahin Ziyaada Mahboob Hota.”

[Bukhari Fi As-Sahih,  01/75, Raqm-168,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 07/67, Raqm-13188,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-570, Raqm-627.]

80/628.    “Hazrat Asma Binte Aboo Bakr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ke Ghulaam Hazrat ‘Abd Allah Ek Taweel Riwayat Me Bayan Karte Hain Ki Mujhe Hazrate Asma RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Jubba Mubarak Ke Mut’allik Bataaya Aur Farmaya : Yeh Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Jubba Mubarak Hai Aur Phir Unhone Ek Jubba Nikaal Kar Dikhaaya Jo Mota Dhaareedaar Kisarwaani (Kisra Ke Badshah Kee Taraf Mansoob Hai) Jubba Thaa Jis Ka Girebaan Deebaaz Ka Thaa Aur Us Ke Daamano’n Par Deebaaz Ke Sinjaaf The Hazrat Asma RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ne Farmaya : Yeh Mubarak Jubba Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ke Paas Un Kee Wafaat Tak Mahfooz Raha, Jab Un Kee Wafaat Huee To Yeh Meine Le Liya. Yahi Woh Mubarak Jubba Hai Jise Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Pahante The. To Ham Use Dho Kar Us Ka Paani Bimaaro’n Ko Pilaate Hain Aur Us Ke Zareeye Shifa Talab Kee Jaati Hai.”

[Muslim Fi As-Sahih, 03, Page-1641, Raqm-2069,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/49, Raqm-4054,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/423, Raqm-4010,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 05/141, Raqm-6108,

Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 01/230, Raqm-511,

Ibn Rahwayh Fi Al-Musnad, 01/133, Raqm-30,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-570, 571, Raqm-628.]

81/629.    “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Hazrat Ummi Sulaym RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ke Ghar Tashreef Le Jaate Aur Un Ke Bichhaune Par So Jaate Jab Ki Woh Ghar Me Nahin Hoti Thi. Ek Din Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Tashreef Laa’e Aur Un Ke Bichhaune Par So Ga’e, Woh Aa’i To Un Se Kaha Gaya : Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Tumhare Ghar Me Tumhare Bichhaune Par Aaraam Farma Hain. Yeh Sun Kar Woh (Fauran) Ghar Aa’i Dekha To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Paseena Mubarak Aaya Hua Hai Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Paseena Mubarak Chamde Ke Bistar Par Jam’a Ho Gaya Hai. Hazrat Ummi Sulaym Ne Apni Botal Kholi Aur Paseena Mubarak Paunchh-Paunchh Kar Botal Me Jam’a Karne Lagee. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Achaanak Uth Baithe Aur Farmaya : Aye Ummi Sulaym! Kya Kar Rahi Ho?  Unhone ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Hum Is (Paseena Mubarak) Se Apne Bachcho’n Ke Liye Barkat Haasil Karenge (Aur Ise Bataure Khushboo Iste’maal Karenge).  Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Toone Thik Kiya Hai.”

[Muslim Fi As-Sahih, 04/1815, Raqm-2331,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/221, Raqm-1334, 1339,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-571, 572, Raqm-629.]