Posted in Baab-02 : Faize Nubuwwat-o-Wilaayat Kee Baqa’ Ka Uloohi Nizaam, Dhibhe 'Azeem

Rasool Kee Mahboob Tareen Hasti

1.

عن جميع بن عمير التيمي قال دخلت مع عمتي علي عائشة فسئلت اي الناس کان احب الي رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم ؟ قالت فاطمة : فقيل من الرجال؟ قالت زوجها ان کان ما علمت صواماً قواماً

“Hazrat Jumay’ Bin Umayr Tamimi RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Apni Phoophi Ke Saath Mil Kar Hazrat Aaishah Siddiqa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Kee Khidmat Me Haazir Huwa, Mein Ne Puchha Logo’n Mein Se Koun Sab Se Badh Kar RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Mahboob Tha? Hazrat Aaishah Siddiqa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ne Jawaab Diya Hazrat Fatimah, Do Baarah Puchha Gaya Ki Mardo’n Me Se Koun Sab Se Badh Kar Mahboob They? Farmaya Fatimah Ka Shauhar (Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu) Aur Phir Farmaya Ki Mein Khoob Jaanti Hoo’n Ki Woh Bade Rozah Rakhne Waale Aur Tahajjud Padhne Waale They.”

[Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 02/227,

Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/155.]

 

As’habe Rasool Aur Sahabiyate Rasool Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Apne Qaul-o-Amal Me Bhi Sacche Aur Khare They, Maslahat, Munaafiqat Aur Riyaakaari Ka Un Par Shaa’eba Tak Nahin Pada Tha. Andar Bhi Raushan Aur Baatin Bhi Raushan, Zehni Aur Jismaani Tahaarat Aur Paakizgi Ke Paikar, Apni Zaati Raay Kee Bunyaad Bhi Adal Ko Banaate, Sach Un Ka Shi’aar, Hidaayate Qur’ani Un Ka Me’yaar. Ab Yaha’n Hazrat Siddiqa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Apni Zaat Raay Izhaar Kar Rahi Hain, Is Raay Se Be Panaah Khusoosi, Apna’iyyat Aur Rawa Daari Ka Izhaar Ho Raha Hai Aur Yahi Awsaafe Islaami Mu’ashare Ke Bunyaadi Pat’thar Hain. Yahi Awsaaf Apne Andar Paida Na Kar Sakne Kee Wajah Hai Ki Hum Quwwat Bardaasht Ke Wasf Se Mehroom Ho Chuke Hain, Tahammul Aur Burdbaari Ke Alfaaz Ko Hum Ne Apni Lughat Hee Se Khaarij Kar Diya Hai. Hazrat Aaishah Siddiqa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Fatwa Puchha Jaa Raha Tha Ki Bata’iyye Mahboobe Khuda Ko Dunya Me Sab Se Ziyaada Mahboob Hasti Koun Thi? Zehn Par Zor Dene Kee Zaroorat Hee Mahsoos Na Kee Bila Tawaqquf Farmaya Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Poori Ka’enat Me Sab Se Badh Kar Mahabbat Shahzadi-E-Ka’enat Sayyidah Fatimat-uz-Zahra RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Thi. Puchha Gaya Bata’iye Mardo’n Me Mahboob Tar Koun Tha? Unhone Be Saakhta Irshaad Farmaya Fatimah Ke Shauhar Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu.

[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/68_69.]