Fasl-02 :
Aakhiri Zamane Me Ummate Muhammadiyah Kee Fazeelat Ka Bayan
19/819. “Hazrat Mu’awiya RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Suna Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Farmate Hain : Meri Ummat Me Se Ek Jam’a’at Hamesha Allah Ta’ala Ke Hukm Par Qaa’em Rahegi Jo Un Kee Madad Nahin Karega Ya Un Kee Mukhalifat Karega Woh Unhe’n Kuchh Nuqsaan Nahin Pahoncha Sakega Yaha’n Tak Ki Allah Ta’ala Ka Amr (Ya’ni Roze Qiyaamat) Aa’ega Woh Isee Haalat Me Honge.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1331, Raqm-3442,
Bukhari Fi As-Sahih, 06/2714, Raqm-7022,
Muslim Fi As-Sahih, 03/1524, Raqm-1037,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/101,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 13/375, Raqm-7383,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 19/380, Raqm-893,
Lalaka’i Fi I’tiqad Ahl As-Sunnah,, 01/110, Raqm-144,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-728, Raqm-819.]
20/820. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Us Zaat Kee Qasam Jis Ke Qabza-e Qudrat Me Muhammad Mustafa ﷺ Kee Jaan Hai! Tum Logo’n Par Ek Din Aisa Zaroor Aa’ega Ki Tum Mujhe Dekh Nahin Sakoge, Lekin Meri Ziyaarat Karna (Us Waqt) Har Momin Ke Nazdeek Us Ke Ahal Aur Maal Se Ziyaada Mahboob Hoga.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 03/315, Raqm-3394,
Muslim Fi As-Sahih, 04/1836, Raqm-2364,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/167, Raqm-6765,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/313, Raqm-8126,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,06/607,
Nawawi Fi Sharh Sahih Muslim, 15/118,
Suyooti Fi Al-Dibaj ‘Ala Sahih Muslim Ibn Al-Hajjaj, 06/348, Raqm-2364,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-728, 729, Raqm-820.]
21/821. “Hazrat Bahaz Bin Hakeem RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ba-Wasta Apne Waalid, Apne Daada Se Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Allah Ta’ala Ke Is Farman : ˝Tum Behtareen Ummat Ho Jo Sab Logo’n (Kee Rahnumayi) Ke Liye Zaahir Kee Ga’i Hai.” Ke Baare Me Farmaya Tum Sattar-70 Ummaton Ko Mukammal Karne Waale Ho Aur Allah Ta’ala Ke Nazdeek Un Sab Se Behtar Aur Mu’azziz Ho.”
رواه الترمزي وابن ماجاه وأحمد والحاكم.
وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/226, Raqm-3001,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1433, Raqm-4288,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/03,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/94, Raqm-6987,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 19/422, Raqm-1023,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 09/05,
Ruwayani Fi Al-Musnad, 02/115, Raqm-924,
Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/156, Raqm-411,
Ibn Mubarak Fi Az-Zuhd, 01/114, Raqm-382,
Hakim At-Tirmidhi Fi Nawadir-ul-Usool Fi Ma’rifati Ahadith-ir-Rasool ﷺ , 01/153,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-729, Raqm-821.]
22/822. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Meri Ummat Me Se Mere Saath Shadeed Mahabbat Karne Waale Woh Log Hain Jo Mere Baa’d Aa’enge Aur Un Me Se Har Ek Kee Tamanna Yeh Hogi Ki Kaash Woh Apne Sab Ahlo Ayaal Aur Maalo Asbaab Ke Badle Me Mujhe (Ek Martaba) Dekh Le’n.”
–
[Muslim Fi As-Sahih, 04/2178, Raqm-2832,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/417, Raqm-9388,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 16/214, Raqm-7231,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-730, Raqm-822.]
23/823. “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Meri Ummat Kee Misaal Baarish Kee Maanind Hai Maaloom Nahin Us Ka Awwal Behtar Hai Ya Aakhir.”
رواه الترمذي وحسنه وأحمد والبزار.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/152, Raqm-2869,
Bazzar Fi Al-Musnad, 09/23, Raqm-3527,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/130, 143, Raqm-12349, 12483,
Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/90, Raqm-647,
Quda’iy Fi Musnad-ush-Shihab, 02/277, Raqm-1352,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 06/380, Raqm-3717,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-730, Raqm-823.]
24/824. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Yaqeenan Meri Ummat Me Mere Baa’d Aise Log Bhi Aa’enge Jin Me Se Har Ek Kee Khwaahish Yeh Hogi Ki Woh Apne Ahlo Maal Ke Badle (Agar) Mera Deedaar (Mile To Woh) Khareed Le (Ya’ni Apne Ahlo Maal Kee Qurbani De Kar Ek Martaba Mujhe Dekh Le).”
رواه الحاكم.
وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد.
–
[Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/95, Raqm-6991,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-730, 731, Raqm-824.]
25/825. “Hazrat ‘Umar Bin Shuaib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ba-Wasta Apne Waalid, Apne Daada Se Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Se Farmaya : Koun See Makhlooq Tumhare Nazdeek Iman Ke Lihaz Se Sab Se Ajeebtar Hai? Sahaba Ne Arz Kiya : Firishte. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Firishte Kyoo’n Iman Na Laa’e Jab Ki Woh Har Waqt Apne Rabb Kee Huzoori Me Rehte Hain. Unhone Arz Kiya : Phir Ambiya-e Kiram ‘Alayhim-us-Salam Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aur Ambiya-e Kiram ‘Alayhim-us-Salam Kyoo’n Iman Na Laa’e Jab Ki Un Par To Wahyi Naazil Hoti Hai. Unhone Arz Kiya : To Phir Hum (Hee Honge). Farmaya : Tum Iman Kyoo’n Nahin Laaoge Jab Ki Banafse Nafees Mein Khud Tum Me Jalwa Afroz Hoo’n. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Makhlooq Me Mere Nazdeek Pasandeeda Aur Ajeebtar Iman Un Logo’n Ka Hai Jo Mere Baa’d Paida Honge. Kai Kitabo’n Ko Paa’enge Magar (Sirf Meri) Kitab Me Jo Kuchh Likha Hoga (Bin Dekhe) Us Par Iman Laa’enge.”
رواه الطبراني وأبويعلى والحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد.
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 12/87, Raqm-12560,
Aboo Ya’la An Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Fi Al-Musnad, 01/147, Raqm-160,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/96, Raqm-6993,
Khatib Tabrizi Fi Mishkat-ul-Masabih, 03/403, Raqm-6288,
Husayni Al-Bayan Wat-Ta’rif, 01/130, Raqm-346,
Haythami An Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Fi Majma’-uz-Zawa’id, 08/330,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 06/65,
وقال : رواه البزار وأحمد.
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-731, 732, Raqm-825.]
26/826. “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mein Ne Yeh Khwahish Kee Ki Mein Apne Bhaiyo’n Se Miloo’n. Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ne Arz Kiya : (Ya RasoolAllah ﷺ!) Kya Hum Aap Ke Bha’i Nahin Hai? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tum Mere Sahaba Ho Lekin Mere Bha’i Woh Honge Jo Mujh Par Iman Laa’enge Hala’n Ki Unhone Mujhe Dekha Bhi Nahin Hoga.”
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/155, Raqm-12601,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 01/212, Raqm-576,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/67,
Husayni Al-Bayan Wat-Ta’rif, 01/32, Raqm-60,
Husayni Al-Bayan Wat-Ta’rif,02/94, Raqm-1161,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-732, Raqm-826.]
27/827. “Hazrat ‘Abd-ir-Rahman Bin Abi Umar Ansari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Karte Hain Ki Unhone Baargaahe Risalat Ma’ab SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Me Arz Kiya : (Ya RasoolAllah ﷺ!) Aap Un Logo’n Ke Baare Me Kya Farmate Hain Jo Aap Par Iman Laa’e Hala’n Ki Unhone Aap Ko Dekha Tak Nahin Aap Kee Tasdeeq Kee Hala’n Ki Aap Ko Dekha Tak Nahin. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Un Ke Liye Khushkhabri Hai Un Ke Liye Khushkhabri Hai Woh Hum Me Se Hee Hain.”
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 08/276, Raqm-8624,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-732, 733, Raqm-827.]
28/828. “Hazrat Aboo Umaama RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Khushkhabri Aur Mubarakbaad Ho Us Ke Liye Jis Ne Mujhe Dekha Aur Mujh Par Iman Laaya Aur Saat-07 Baar Khushkhabri Aur Mubarakbad Ho Us Ke Liye Jis Ne Mujhe Dekha Bhi Nahin Aur Mujh Par Iman Laaya.”
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/257, Raqm-22268, 22192, 22331,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 16/216, Raqm-7233,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/96, Raqm-6994,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 08/259, Raqm-8009,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 02/104, Raqm-858,
Aboo Ya’la An Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Fi Al-Musnad, 06/119, Raqm-3391,
Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah,09/99, Raqm-87,
Ruwayani Fi Al-Musnad, 02/311, Raqm-1266,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-733, Raqm-828.]
29/829. “Hazrat Aboo Jum’a RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Hum Ne Ek Martaba Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Din Ka Khaana Khaaya, Hamaare Saath Hazrat Aboo Ubaida Bin Jarrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bhi They. Unhone Arz Kiya : (Ya RasoolAllah ﷺ!) Hum Se Bhi Koi Behtar Hoga? Hum Aap Ke Saath Iman Laa’e Aur Aap Ke Saath Mil Kar Hum Ne Jihaad Kiya. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ha’n Woh Log Jo Tumhare Baa’d Aa’enge Woh Mujh Par Iman La’enge Hala’n Ki Unhone Mujhe Dekha Bhi Nahin Hoga (Woh Is Jihat Se Tum Se Bhi Behtar Honge).”
رواه أحمد والدارمي والطبراني.
وقال الهيثمي : رجاله ثقات.
–
[Darami Fi As-Sunan, 02/398, Raqm-2844,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/106, Raqm-17017,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 04/22, Raqm-3537,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 03/128, Raqm-1559,
Ibn Mandah Fi Al-Iman, 01/372, Raqm-210,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/66,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-733, 734, Raqm-829.]
30/830. “Hazrat ‘Abd-ir-Rahman Bin Ula Hazrami RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mujhe Us (Sahabi) Ne Bataaya Jis Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Suna Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Farmate Hain : Be Shak Is Ummat Ke Aakhir (Daur) Me Aise Log Honge Jin Ke Liye Ajr Is Ummat Ke Awwalin (Daur Ke Logo’n) Ke Barabar Hoga, Woh Neki Ka Hukm Denge Aur Buraa’i Se Rokenge Aur Fitna Parwar Logo’n Se Jihaad Karenge.”
–
[Bayhaqi Fi Dala’il-un-Nubuwwah, 06/513,
Suyooti Fi Miftah-ul-Jannah Fi Al-Ihtijaj Bi-‘i-Sunnah, 01/68,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-734, Raqm-830.]