Fasl-09 :
Huzoor Nabiyye Akram ﷺ Aur Saaleheen Se Tawassul Ka Bayan
82/630. “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Jab Qahat Pad Jaata To ‘Umar Bin Khattaab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Hazrat ‘Abbas Bin ‘Abd-il-Muttalib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Waseele Se Baarish Kee Du’aa Karte Aur ‘Arz Karte : Aye Allah! Hum Teri Bargah Me Apne Nabiyye Mukarram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Waseela Pakada Karte The To Too Hum Par Baarish Barsa Deta Thaa Aur Ab Hum Teri Bargah Me Apne Nabiyye Mukarram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Muazzaz Chahcha Jaan Ko Waseela Banaate Hain Ki Too Hum Par Baarish Barsa. Farmaya : To Un Par Baarish Barsa Dee Jaati.”
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 01/342, Raqm-964,
Bukhari Fi As-Sahih, 03/1360, Raqm-3507,
Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 02/337, Raqm-1421,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 07/110, Raqm-2861,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/49, Raqm-2437,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 03/352, Raqm-6220,
Ibn Abi ‘Asim Fi Al-Ahadu Wa’l-Mathani, 01/270, Raqm-351,
Lalaka’i Fi Karamat Awliya’ Allah ‘‘Azza Wa Jalla, 01/135, Raqm-87,
Ibn Abd-il-Barr Fi Al-Isti’ab, 02/814,
Ibn Jarir At-Tabari Fi Tarikh Al-Umam Wa’l-Mulook Al-Ma’roof Tarikh At-Tabari, 04/433,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-573, Raqm-630.]
83/631. “Hazrat ‘Abd Allah Bin Deenaar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmaate Hain Ki Meine Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ko Hazrat Aboo Taalib Ka Yeh She’r Padhte Suna :
وأبيض يستسقى الغمام بوجهه
ثمال اليتامى عصمة للأرامل
Woh Gore (Mukhade Waale SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam) Jin Ke Chehre Ke Tawassul Se Baarish Maangi Jaati Hai, Yateemo’n Ke Waali, Bewaao’n Ke Sahaara Hain.”
“Hazrat ‘Umar Bin Hamzah Kehte Hain Ki Hazrate Saalim (Bin ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu) Ne Apne Waalide Maajid Se Riwayat Kee Ki Kabhi Mein Shaa’ir Kee Is Baat Ko Yaad Karta Aur Kabhi Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Chehrae Aqdas Ko Takta Ki Is (Rookhe Zaiba) Ke Tawassul Se Baarish Maangi Jaati To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam (Mimbar Se) Utarne Bhi Na Paate Ke Saare Parnaale Bahne Lagte.
Madhkora Baala She’r Hazrat Aboo Taalib Ka Hai.”
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 01/342, Raqm-963,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/405, Raqm-1272,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/93, Raqm-5673, 26,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 03/352, Raqm-6218, 6219,
Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad,14/386, Raqm-7700,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Taghliq-ul-Ta’liq, 02/389, Raqm-1009,
Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 04/02, 471,
Mizzi Fi Tuhfat-il-Ashraf Bi-Mari’fat-il-Atraf, 05/359, Raqm-6775,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-574, Raqm-631.]
84/632. “Hazrat ‘Uthman Bin Hunaif RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Ek Naabeena Shakhs Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me Haazir Hua Aur ‘Arz Kiya ˝Ya RasoolAllah ﷺ Mere Liye Khair-o ‘Aafiyat (Ya’ni Beenaa’i Ke Laut Aane) Kee Du’aa Farma’iye Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Agar Too Chaahe To Tere Liye Du’aa Du’aa Ko Mu’akhkhar Kar Doo’n Jo Tere Liye Behtar Hai Aur Agar Too Chaahe To Tere Liye Abhi Du’aa Kar Doo’n. Us Ne ‘Arz Kiya Aaqa ﷺ Du’aa Farma Deeji’e Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Use Achchhee Tarah Wuzoo Karne Aur Do Rak’at Namaz Padhne Ka Hukm Diya Aur Farmaya Ye Du’aa Karna (اللهم إني أسألك وأتوجه إليك بمحمد نبي الرحمة. يا محمد، إني قد توجهت بك إلى ربي في حاجتي هذه لتقضى. اللهم فشفعه في) ˝Aye Allah Mein Tujh Se Sawaal Karta Hoo’n Aur Teri Taraf Tawajjo Karta Hoo’n Nabiyye Rahmat Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Waseele Se, Aye Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Me Aap Ke Waseele Se Apne Rabb Kee Bargah Me Apni Haajat Pesh Karta Hoo’n Taaki Poori Ho, Aye Allah Mere Haqq Me Sarkare Do ‘Aalam SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Shafa’at Qubool Farma.”
رواه الترمذي والنساءي و ابن ماجه و اللفظ له.
وقال أبو عيسى :هذا حديث حسن صحيح،
وقال أبو إسحاق : هذا حديث صحيح،
وقال الحاكم : هذا حديث صحيح على شرط الشيخين،
وقال الهيثمى؛ حديث صحيح،
وقال الألباني : صحيح.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/569, Raqm-3578,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/168, Raqm-10494, 10495,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/441, Raqm-1385,
Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 02/225, Raqm-1219,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/138, Raqm-17640, 17242,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/458, 700, 707, Raqm-1180, 1909, 1929,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/306, Raqm-508,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 09/30, Raqm-8311,
Bukhari Fi At-Tarikh-ul-Kabir, 06/209, Raqm-2192,
Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/147, Raqm-379,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/272, Raqm-1018,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 02/279,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-575, 576, Raqm-632.]
85/633. “Hazrat Aboo Jauza Ows Bin ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Ek Martaba Madinah Munawwara Ke Log Sakht Qahat Me Mubtala Ho Ga’e To Unhone Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Shikaayat Kee. Umm-ul-Mu’minin Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ne Farmaya : Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Qabre Anwar (Ya’ni Rawzae Aqdas) Ke Paas Jaao Aur Waha’n Se Ek Khidki Aasmaan Kee Taraf Is Tarah Kholo Ki Qabre Anwar Aur Aasmaan Ke Darmiyaan Ko’i Parda Beech Me Na Rahe. Riwayat Karne Waale Kehte Hain Ki Logo’n Ne Aisa Hee Kiya To Bohat Ziyaada Baarish Huwee Yaha’n Tak Ki Khoob Sabza Ugh Aaya Aur Oont Itne Mote Ho Ga’e Ki (Mahsoos Hota Thaa) Jaise Woh Charbee Se Phat Padenge. Lehaaza Us Saal Ka Naam Hee ˝عام الفتق“ (Pet) Fatne Ka Saal Rakh Diya Gaya.”
–
[Darami Fi As-Sunan, 01/56, Raqm-92,
Khatib Tabrizi Fi Mishkat-ul-Masabih, 04/400, Raqm-5950,
Ibn Jawzi Fi Al-Wafa Bi-Ahwal-il-Mustafa ﷺ , 02/801,
Taqi-ud-Deen Subki Fi Shifa’ Al-Saqam Fi Ziyatah Khayr Al-Anam, Aw Shann Al-Gharah ‘Ala Man Ankra Al-Ziyarah, 01/128,
Qastallani Fi Al-Mawahib-ul-Ladunniyyah, 04/276,
Zarqani Fi Sharh, 11/150,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-576, Raqm-633.]
86/634. “Hazrat Maalik Daar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Hazrat ‘Umar Bin Khattaab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Zamaane Me Log Qahat Me Mubtala Ho Ga’e Phir Ek Sahaabi Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Qabre At’har Par Haazir Hu’e Aur ‘Arz Kiya Ya RasoolAllah ﷺ Aap (Allah Ta’ala Se) Apni Ummat Ke Liye Sairaabee Maange Kyon Ki Woh (Qahat Saalee Ke Baa’is) Halaak Ho Ga’i Hai. Phir Khwaab Me Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Us Sahaabi Ke Paas Tashreef Laa’e Aur Farmaya ‘Umar Ke Paas Jaa Kar Use Mera Salam Kaho Aur Use Bataao Ke Tum Sairaab Ki’e Jaaoge Aur ‘Umar Se (Yeh Bhi) Keh Do (Deen Ke Dushman﹝Saamraajee﹞ Tumhaari Jaan Lene Ke Dar Par Hain) Aqlmandee Ikhtiyaar Karo, Aqlmandee Ikhtiyaar Karo. Phir Woh Sahaabi Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Paas Aa’e Aur Unhe’n Khabar Dee To Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ro Pade Aur Farmaya Aye Allah Mein Kotaahi Nahin Karta Magar Yeh Ki Aajiz Ho Jaaoo’n.”
رواه ابن أبي شيبة بإسناد صحيح والبيحقي في الدﻻئل.
–
[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/356, Raqm-32002,
Bayhaqi Fi Dala’il-un-Nubuwwah, 07/47,
Ibn Abd-il-Barr Fi Al-Isti’ab, 03/1149,
Subki Fi Shifa’ Al-Saqam Fi Ziyatah Khayr Al-Anam, Aw Shann Al-Gharah ‘Ala Man Ankra Al-Ziyarah, 01/130,
Hindi Fi Kanz-ul-Ummal, 08/431, Raqm-23535,
Ibn Taymiyyah Iqtida Al-Sirat Al-Mustaqim /373
Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 05/167,
وقال : إسناده صحيح،
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Al-Isabah Fi Tamyiz-is-Sahabah, 03/484,
وقال : رواه ابن أبى شيبة بإسناد صحيح.
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-577, Raqm-634.]
87/635. “Hazrate ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Hazrate ‘Umar Bin Khattaab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Aamarrimaada (Qahat Wa Halaakat Ke Saal) Me Hazrat Abbas Bin ‘Abd-il-Muttalib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ko Waseela Banaaya Aur Allah Ta’ala Se Baarish Kee Du’aa Maangi Aur ‘Arz Kiya Ki Aye Allah Yeh Tere Nabiyye Mukarram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Muazzaz Chahcha Hazrat ‘Abbas Hain Ham In Ke Waseele Se Teri Nazare Karam Ke Talabgaar Hain Hame’n Paani Se Seraab Kar De” Woh Du’aa Kar Hee Rahe The Ki Allah Ta’ala Ne Unhe’n Paani Se Seraab Kar Diya. Riwayat Karne Waale Ne Bayan Kiya Ki Phir Hazrate ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Logo’n Se Khitaab Farmaya : Aye Logo’n! Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Hazrat ‘Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Waisa Hee Samajhte The Jaise Beta Baap Ko Samajhta Hai (Ya’ni Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Hazrate ‘Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bamanzile Waalid Samajhte The) Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Un Kee Taazeemo Tauqeer Karte Aur Un Kee Qasmo’n Ko Poora Karte The. Aye Logo’n Tum Bhi Hazrate ‘Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Baare Me Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Pairwi Karo Aur Inhe’n Allah Ta’ala Kee Bargah Me Waseela Banaao (Taaki Woh Tum Par Baarish Barsaaye)”
–
[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/377, Raqm-5438,
Ibn Abd-il-Barr Fi Al-Isti’ab, 03/98,
Suyooti Fi Al-Jami-us-Saghiru Min Hadith-il-Bashir-in-Nadhir, 01/305, Raqm-559,
Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 02/92,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari, 02/497,
Qastallani Fi Al-Mawahib-ul-Ladunniyyah, 04/277,
Subki Fi Shifa’ Al-Saqam Fi Ziyatah Khayr Al-Anam, Aw Shann Al-Gharah ‘Ala Man Ankra Al-Ziyarah/128
Mubarkfoori Fi Tuhfat-ul-Ahwadhi Bi-Sharh Jaame’ At-Tirmidhi, 09/348,
Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 05/215,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-577, 578, Raqm-635.]
88/636. “Hazrate Mus’ab Bin Saa’d RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki (Ek Martaba) Hazrate Saa’d Bin Abi Waqqas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Dil Me Khayaal Aaya Ki Inhe’n Un Logo’n Par Fazeelat Hai Jo Maali Lihaaz Se Kamzor Hain To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Yaad Rakho Tumhare Kamzor Aur Za’if Logo’n Ke Waseele Se Hee Tumhe’n Nusrat ‘Ata Kee Jaati Hai Aur Un Ke Waseele Se Hee Tumhe’n Rizq Diya Jaata Hai.”
رواه البخاري والترمذي.
Aur Ek Riwayat Me Hazrate Aboo Darda RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Meine Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Suna : Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mujhe Apne Kamzor Logo’n Me Talaash Karo Be Shak Tumhe’n Apne Kamzor Logo’n Kee Wajah Se Hee Rizq Diya Jaata Hai Aur Un Hee Kee Wajah Se Tumhaari Madad Kee Jaati Hai.”
رواه الترمذي وأبوداود والنسائى.
وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن صحيح.
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1061, Raqm-2739,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/206, Raqm-1702,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/32, Raqm-2594,
Nasa’i Fi As-Sunan, 06/45, Raqm-3179,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 03/30, Raqm-4388,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/198, Raqm-21779,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 11/85, Raqm-4767,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/116, 157, Raqm-2509, 2641,
وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد،
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 03/345, Raqm-6181
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/331, Raqm-12684,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/71, Raqm-4842, 4843,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-578, 579, Raqm-636.]
89/637. “Hazrat ‘Umar Bin Khattaab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Hazrat Aadam ‘Alayh-is-Salam Se Laghzish Sarzad Huwee To Unhone Apna Sar Aasmaan Kee Taraf Uthaaya Aur ‘Arz Guzaar Hu’e (Ya Allah) Agar Too Ne Mujhe Maaf Nahin Kiya Hai To Mein (Tere Mahboob) Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Waseele Se Tujh Se Sawaal Karta Hoo’n (Ki Mujhe Too Maaf Farma De) To Allah Ta’ala Ne Wahyi Naazil Farmaa’i Muhammad Mustafa Kaun Hai? Pas Hazrat Aadam ‘Alayh-is-Salam Ne ‘Arz Kiya (Aye Maula) Tera Naame Paak Hai Jab Toone Mujhe Paida Kiya To Meine Apna Sar Tere Arsh Kee Taraf Uthaaya Waha’n Mein Ne لا اله الا الله محمد رسول الله Likha Huwaa Dekha Lehaaza Mein Jaan Gaya Ki Yeh Zaroor Badi Hastee Hain Jis Ka Naam Toone Apne Naam Ke Saath Milaaya Hai Pas Allah Ta’ala Ne Wahyi Naazil Farmaa’i Aye Aadam! Woh (Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam) Teri Nasl Me Se Hee Aakhiree Nabi Hain Aur Un Kee Ummat Me Bhi Teri Nasl Kee Aakhiree Ummat Hogi Aur Agar Woh Na Hote To Mein Tujhe Bhi Paida Na Karta.”
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 02/182, Raqm-992,
Tabarani Fi Al-Muajam-ul-Awsat, 06/313, Raqm-6502,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 08/253,
Suyooti Fi Jaame’-ul-Ahadith, 11/94,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-579, 580, Raqm-637.]
90/638. “Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Tum Me Se Kisi Kee Sawaari Jungal Bayaabaan Me Chhoot Jaa’e To Us (Shakhs) Ko (Yeh) Pukaarna Chaahie ‘Aye Allah Ke Bando’n! Meri Sawaari Pakada Do, Aye Allah Ke Bando’n! Meri Sawaari Pakada Do’ Kyon Ki Allah Ta’ala Ke Bohat Se (Aise) Bande Is Zameen Me Hote Hain Woh Tumhe’n (Tumhaari Sawaari) Pakada Denge.”
“Aur Ek Riwayat Me Hai Hazrate Ataba Bin Gazwaan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Riwayat Karte Hain Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Tum Me Se Kisi Kee Ko’i Shai Gum Ho Jaa’e Ya Woh Ko’i Madad Chaahe Aur Woh Aisi Jagah Ho Ki Jaha’n Us Ka Ko’i Madadgaar Bhi Na Ho To Use Chaahie Ki Kahe : Aye Allah Ke Bando’n! Meri Madad Karo, Aye Allah Ke Bando’n! Meri Madad Karo. Yaqeenan Allah Ta’ala Ke Aise Bhi Bande Hain Jinhe’n Ham Dekh To Nahin Sakte (Lekin Woh Logo’n Kee Madad Karne Ke Liye Muqarrar Ki’e Ga’e Hain) Aur Yeh Tajreba Shuda Baat Hai.”
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 10/217, Raqm-10518,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 17/117, Raqm-290,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 09/177, Raqm-5269,
Daylami Musnad-ul-Firdaws, 01/330, Raqm-1311,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/132,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-580, 581, Raqm-638.]