٥٠. عَنْ ابِي غَالِبٍ قَالَ: کُنْتُ فِي مَسْجِدِ دِمَشْقٍ فَجَاءُوا بِسَبْعِيْنَ رَاسًا مِنْ رُؤُوسِ الْحُرُورِيَةِ فَنُصِبَتْ عَلَی دُرَجِ الْمَسْجِدِ، فَجَاءَ ابُو امَامَةَ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُ فَنَظَرَ الَيْهِمْ فَقَالَ: کِلَابُ جِهَنَّمَ، شَرُّ قَتْلَی قُتِلُوا تَحْتَ ظِلِّ السَّمَاءِ، وَ مَنْ قُتِلُوا خَيْرُ قَتْلَی تَحْتَ السَّمَاءِ، وَ بَکَی فَنَظَرَ الَيَّ وَقَالَ: يَا ابَا غَالِبٍ! انَّکَ مِنْ بَلَدِ هَؤُلَاءِ؟ قُلْتُ: نَعَمْ، قَالَ: اعَاذَکَ، قَالَ: اظُنُّهُ قَالَ: ﷲ مِنْهُمْ، قَالَ: تَقْرَا آلَ عِمْرَانَ؟ قُلْتُ: نَعَمْ، قَالَ: ﴿مِنْهُ آيَاتٌ مُحْکَمَاتٌ هُنَّ امُّ الْکِتَابِ وَ اخَرُ مُتَشَابِهَاتٌ، فَامَّا الَّذِيْنَ فِي قُلُوبِهِمْ زَيْغٌ فَيَتَّبعُونَ مَا تَشَابَهَ مِنْهُ ابْتِغَاءَ الْفِتْنَةِ وَابْتِغَاءَ تَاوِيْلِهِ وَمَا يَعْلَمُ تَاوِيْلَهُ الَّا ﷲ، والرَّاسِخُونَ فِي الْعِلْمِ﴾، [آل عمران، 3: 7]، قَالَ: ﴿يَوْمَ تَبْيَضُّ وُجُوهٌ وَّ تَسْوَدُّ وُجُوهٌ فَامَّا الَّذِيْنَ اسْوَدَّتْ وُجُوْهُهُمْ اکَفَرْتُمْ بَعْدَ ايْمَانِکُمْ فَذُوقُوا الْعَذَابَ بِمَا کُنْتُمْ تَکْفُرُونَ﴾ [آل عمران، 3: 106]، قُلْتُ: يَا ابَا امَامَةَ! انِّي رَايْتُکَ تُهْرِيْقُ عِبْرَتَکَ قَالَ: نَعَمْ، رَحْمَةٌ لَهُمْ انَّهُمْ کَانُوا مِنْ اهْلِ الاسْلَامِ، قَالَ: افْتَرَقَتْ بَنُو اسْرَائِيْلَ عَلَی وَاحِدَةٍ وَ سَبْعِيْنَ فِرْقَةً، وَ تَزِيْدُ هَذِهِ الْامَّةُ فِرْقِةً وَاحِدَةً، کُلُّهَا فِي النَّارِ الَّا السَّوَادَ الْاعْظَمَ، عَلَيْهِمْ مَا حُمِّلُوا وَ عَلَيْکُمْ مَا حُمِّلْتُمْ، وَ انْ تُطِيْعُوهُ تَهْتَدُوا، وَمَا عَلَی الرَّسُولِ الَّا الْبَلَاغُ، السَّمْعُ وَالطَّاعَةُ خَيْرٌ مِنْ الْفِرْقَةِ وَالْمَعْصِيَةِ، فَقَالَ لَهُ رَجُلٌ: يَا ابَا امَامَةَ! امِنْ رَايِکَ تَقُولُ امْ شَيئٌ سَمِعْتَهُ مِنْ رَسُولِ ﷲ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ؟ قَالَ: انِّي اذًا لَجَرِيئٌ قَالَ: بَلْ سَمِعْتُهُ مِنْ رَسُولِ ﷲ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ مَرَّةً وَلَا مَرَّتَيْنِ حَتَّی ذَکَرَ سَبْعًا. رَوَاهُ ابْنُ ابِي شَيْبَةَ وَالْبَيْهَقِيُّ وَالطَّبَرَانِيُّ.
50. “Aboo Ghalib Se Riwayat Hai Woh Bayan Karte Hain Ki Mein Masjide Dimashq Me Tha Ki Khaarjiyo’n Ke Sattar⁷⁰ Sar Dimashq Me Masjid Ki Seedhiyo’n Par Nasb Ki’e Ga’e Hazrat Aboo Umamah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Un Kee Taraf Dekh Kar Kaha Ki Yeh Jahannam Ke Kutte Hain Aur Zere Aasmaan Tamam Maqtoolo’n Se Bad-Tar Hain Aur Un Ke Qaatilo’n Se Jo Shahid Hu’e Woh Zere Aasmaan Tamam Maqtoolo’n Se Behtar Hain Yeh Kaha Aur Ro Pade Phir Meri Taraf Dekha Aur Poochha: Ae Aboo Ghalib, Kya Too Is Shehr Se Hai, Mein Ne Kaha: Haa’n. Unhone Kaha: Allah Ta’ala Aap Ko Un Se Mehfooz Rakhkhe Unhone Kaha Kya Tum Soorah Aale Imran Padhte Ho? Mein Ne Kaha: Haa’n. Phir Yeh Aayaat “Jis Me Se Kuchh Aayate Mohkam (Ya’ni Zaahiran Bhi Saaf Aur Waazeh Maa’ne Rakhne Waali) Hain Wohi (Ahkaam) Kitab Kee Buniyaad Hain Aur Doosri Aayate Mutashaabeh (Ya’ni Ma’na Me Ka’i Ehtemaal Aur Ishtebaah Rakhne Waali) Hain, So Woh Log Jin Ke Dilo’n Me Kajee (Buraa’i) Hai Us Me Se Sirf Mutashaabehaat Kee Pairwi Karte Hain (Faqat) Fitna Parwari Kee Khaaahish Ke Zere Asar Aur Asl Muraad Kee Bajaa’e Manpasand Ma’na Muraad Lene Kee Gharaz Se, Aur Us Kee Asl Muraad Ko Allah Ke Siwa Koi Nahin Jaanta, Aur ‘Ilm Me Kaamil Pukhtagi Rakhne Waale.” Aur Farmaya: “Jis Din Ka’i Chehre Safed Honge Aur Ka’i Chehre Siyaah Honge, To Jin Ke Chehre Siyaah Ho Jaa’enge (Un Se Kaha Ja’ega) Kya Tum Ne Imaan Laane Ke Baa’d Kufr Kiya? To Jo Kufr Tum Karte Rahe They So Un Ke ‘Azaab (Ka Maza) Chakh Lo.” Mein Ne Kaha Aboo Umamah! Mein Dekhta Hoo’n Ki Aap Ro Rahe Hain? Unhone Kaha: Haa’n. Un Logo’n (Khaarjiyo’n) Par Taras Khaate Hu’e Kyun Ki Yeh Ahle Islam Me Se They. Aur Kaha: Qaume Bani Isra’il Ik’hattar⁷¹ Firqo’n Me Bat Ga’i Thi Aur Yeh Ummat Un Se Ek Firqa Badhegi (Ya’ni Bahattar⁷² Firqo’n Me Bat Jaa’egi) Aur Sawaade Aazam (Jo Sab Se Bada Tabqa Hai) Us Ko Chhod Kar Baaqi Saare Jahannam Me Jaa’enge, Woh Us Ke Jawaab-Deh Hain Jo Zimmedaari Un Par Daali Ga’i Aur Tum Us Ke Jawaab-Deh Ho Jo Zimmedaari Tum Par Daali Ga’i Aur Agar Tum Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Farmaabardaari Karoge To Hidayat Paa Jaa’oge Aur Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Zimma To Sirf Pahoncha Dena Hee Hai. Aur Ghaur Se (Ahkamaat) Sun’na Aur Un Ko Baja Laana Tafreqa Aur Na-Farmani Se Behtar Hai. Pas (Yeh Sun Kar) Ek Shakhs Ne Kaha: Ae Aboo Umamah! Kya Aap Apni Taraf Se Yeh Baate’n Keh Rahe Ho Ya Un Me Se Kuchh Aap Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Suni Hain? Unhone Kaha: (Agar Mein Apni Taraf Se Kaho’n) Tab To Mein Bohat Badi Jasaarat Karne Waala Hoo’n Nahin Balki Mein Ne (Yeh Baate’n) Ek¹ Ya Do² Dafa Nahin Balki Saat⁷ Baar Suni Hain.”
–
[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/554, Raqm-37892,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 08/188,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 08/267, 268, Raqm-8034, 8035,
Harith Fi Al-Musnad (Zawa’id Al-Haythami), 02/716, Raqm-706,
Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’, Safha-62, 63, 64, Raqm-50.]