Posted in al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam

al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam: 04

04.                  “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Me’raj Kee Shab Main Hazrat Moosa ‘Alayh-is-Salam Ke Paas Aaya, (Aur Haddaab Kee Ek Riwaayat Ke Mutaabiq) Surkh Teele Ke Paas Se Mera Guzar Huwa (To Main Ne Dekha Ki) Hazrat Moosa ‘Alayh-is-Salam Apni Qabr Me Khade Masroofe Salaat They.”

          Is Hadith Ko Imam Muslim, Nasa’i, Ahmad Aur Ibn Abi Shaybah Ne Riwaayat Kiya Hai.

[Muslim Fi As-Sahih, 04/1845, Raqm-2375,

Nasa’i Fi As-Sunan, 03/215, Raqm-161_1632,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/419, Raqm-1328,

Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/17, Raqm-04.]

Posted in al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam

al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam: 06

06.                   “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: (Shabe Me’raj) Allah Ta’ala Ne Meri Ummat Par Pachaas Namazen Farz Kee To Main Un (Namazo’n) Ke Saath Waapas Aaaya Yaha’n Tak Ki Main Hazrat Moosa ‘Alayh-is-Salam Ke Paas Se Guzra To Unhone Sawaal Kiya: Allah Ta’ala Ne Aaap Kee Ummat Ke Liye Aap Par Kya Farz Kiya Hai? Main Ne Kaha: Allah Ta’ala Ne Pachaas Namazen Farz Kee Hain. Unhone Kaha: Apne Rabb Kee Taraf Waapas Jaa’iye Kyun Ki Aap Kee Ummat Is (Adaa’igi)Kee Taqat Nahin Rakhti. Pas Unhone Mujhe Waapas Lauta Diya. (Meri Darkhaast Par) Allah Ta’ala Ne Un Ka Ek Hissa Kam Kar Diya. Main Hazrat Moosa ‘Alayh-is-Salam Kee Taraf Waapas Gaya Aur Kaha Ki Allah Ta’ala Ne Ek Hissa Kam Kar Diya Hai. Unhone Kaha: Apne Rabb Kee Taraf (Phir) Jaa’iye Kyun Ki Aap Kee Ummat Me In Kee (Adaa’igi Kee)Taaqat Bhi Nahin Hai. Pas Main Waapas Gaya To Allah Ta’ala Ne Un Ka Ek Hissa Kam Kar Diya. Main Un Kee Taraf Aaya To Unhone Phir Kaha:  Apne Rabb Kee Taraf Jaa’iye Kyun Ki Aap Kee Ummat Me In Kee Adaa’igi Kee Taaqat Bhi Nahin Hai. Main Waapas Lauta To (Allah Ta’ala Ne) Farmaya: Ye (Hain To) JPaanch (Namazen) Hain Aur (Sawaab Kee I’tebaar Se) Pachaas (Ke Baraabar) Hain, Mere Haa’n Ahkaamaat Tabdeel Nahin Huwa Karte. Main Hazrat Moosa ‘Alayh-is-Salam Ke Paas Aaya To Unhone Kaha: Apne Rabb Kee Taraf Jaa’iye (Aur Mazeed Kami Ke Liye Darkhaast Kijiye) Main Ne Kaha:  Mujhe Ab Apne Rabb Se Haya Aati Hai. Phir (Jibra’il ‘Alayh-is-Salam) Mujhe Le Kar Chale Yaha’n Tak Ki Sidrat-il-Muntaha Par Pahonche Jise Mukhtalif Rango’n Ne Dhaanp Rakkha Tha, Nahin Ma’loom Ki Woh Kya Hain? Phir Mujhe Jannat Me Daakhil Kiya Gaya Jis Me Motiyo’n Ke Haar Hain Aur Us Kee Mitti Mushk(Kee Maanind Khushbudaar) Hai.”

          Yeh Hadith Muttafaque ‘Alayh Hai.

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/136, Raqm-342,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1217, Raqm-3164,

Muslim Fi As-Sahih, 01/148, Raqm-163,

Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/20_22, Raqm-06.]

Posted in al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam

al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam: 09

09.                  “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: (Shabe Me’raj) Main Ne Khud Ko Hateeme Ka’ba Me Paaya Aur Quraysh Mujh Se Safare Me’raj Ke Baare Me Sawaalaat Kar Rahe They. Unhone Mujh Se Bayt-ul-Maqdis Kee Kuchh Cheezen Poochhi’n Jinhen Main Ne (Yaad’ Daast Me) Mehfooz Nahin Rakkha Tha Jis Kee Waj’h Se Main Utna Pareshaan Huwa Ki Us Se Pehle Kabhi Itna Pareshan Nahin Huwa Tha, Tab Allah Ta’ala Ne Bayt-ul-Maqdis Ko Utha Kar Mere Saamne Rakh Diya. Woh Mujh Se Bayt-ul-Maqdis Ke Muta’alliq Jo Bhi Cheez Poochhte Main (Dekh Dekh Kar) Unhen Bataata Chala Gaya Aur Main Ne Khud Ko Ambiya’ Kee Ek Jama’at Me Paaya. Main Ne Dekha Ki Hazrat Moosa ‘Alayh-is-Salam Khade Masroofe Salaat They, Aur Woh Qabila’e Shanoo’ah Ke Logo’n Kee Tarah Ghunghriyaale Baalo’n Waale They Aur Phir Hazrat Isaa Bin Maryam ‘Alayh-is-Salam Khade Masroofe Salaat They Aur Urwah Bin Mas’ood Thaqafi Un Se Bohat Mushaabeh Hain, Aur Phir Hazrat Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Khade Masroofe Salaat They Aur Tumhaare Aaqa (Ya’ni Khud Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam) Un Ke Saath Sab Se Ziyaada Mushaabeh Hain Phir Namaz Ka Waqt Aaya, Aur Main Ne Un Sab Ambiya’ ‘Alayh-is-Salam Kee Imaamat Karaa’i. Jab Main Namaz Se Faarig Huwa To Mujhe Ek Kehne Waale Ne Kaha: Yeh Maalik Hai Jo Jahannam Ke Daaroga Hain, Inhen Salam Keejie. Pas Main Un Kee Taraf Mutawajjeh Huwa To Unhone (Mujh Se) Pehle Mujhe Salam Kiya.”

          Ise Imam Muslim Aur Nasa’i Ne Riwaayat Kiya Hai.

[Muslim Fi As-Sahih, 01/156, Raqm-178,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/455, Raqm-11480,

Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/25, 26, Raqm-09.]