Posted in 3 Teesra Khitaab : Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me

Shahadat Ke Baa’d Taareeki Aur Khoon Kee Baarish

                   Hazrat Allama Ibn Hajar Makki, Hazrat Imam Suyooti, Ibn Athir, Allama Ibn Jarir Tabari, Allama Ibn Kathir Wa Deegar Aa’imma-E-Hadith Ne Bhi Apni Apni Kutub Me Bayan Farmaya Hai Ki :

Ahl-E-Bayte At’har Salam Allah ‘Alayhim Kee Shahadat Ke Maaba’d Nataa’ij Wa Alaamaat Se Pehle Hee Aagaah Kar Diya Gaya Tha Ki Jab Unhein Be Dardi Aur Zulm Ke Saath Shaheed Kar Diya Jaaega To Zameen Wa Aasmaan Khoon Ke Aansoo Roenge. Chunanche Shahadate Imame Husayn ‘Alayh-is-Salam Ke Baa’d Pesheengoyi Minn-o-An Poori Huwi.

لما قتل الحسين اسودت السماء وظهرت الكواكب نهاراً


[Haytami Fi As-Sawa’iq-ul-Muhriqah,/92,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Tahdhib-ut-Tahdhib, 02/354.]

 

Jab Imam Husayn Shaheed Huwe To Aasmaan Siyaah Ho Gaya Aur Taareeki Ke Baa’ith Din Ko Taare Nazar Aane Lage.

Baa’z Kutub Me Hai Ki Teen Din Tak Aasmaan Kee Rangat Surkh Rahi Jis Par Andhere Ka Gumaan Hota Tha. Baa’z Mu’arrikheen Ne Yeh Muddat Saat Din Bayaan Kee Hai. Har Taraf Khoon Kee Baarish Hone Lagi Bayt-ul-Maqaddas Tak Jaha’n Kahin Bhi Koi Shakhs Apne Matke Se Us Ka Dhakkan Uthaata To Us Me Paani Kee Jagah Khoon Nazar Aata Zameen Ke Jis Maqam Se Patthar Ka Tukda Uthaaya Jaata Us Tukde Ke Neeche Se Khoon Ka Fawwarah Rawa’n Ho Jaata, Al-Gharaz Har Soo Zameen Bhi Qatle Husayn Par Ro Rahi Thi Aur Aasmaan Bhi Shahadate Husayn Par Ro Raha Tha. Umm-il-Mu’minin Hazrat Ummi Salamah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Farmati Hain Rabbe Dhi-‘l-Jalaal Kee Izzat Kee Qasam! Husayn Kee Shahadat Ke Din Mein Ne Jinnat Ko Bhi Rote Huwe Dekha, Un Ko Bhi Yeh Kehte Huwe Suna Ki Badbakht Aur Badnaseeb Hain Woh Log Jinhone Rasool Ke Bete Ko Shaheed Kar Ke Apne Oopar Rasool Kee Shafa’at Ka Darwazah Band Kar Liya Hai.

[Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Safha-55_56.]