Posted in 1 Pehla Khitaab : Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me

Naye Mutahaarib Giroho’n Ka Zahoor

                   Us Daure Munaaqasha Me Chaar-04 Jama’atein  Wujood Me Aayi’n Jin Me Aik Jama’at Aisi Thi Jis Ne Khul Kar Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala Anhu Kee Himaayat Aur Banu Umayya Wa Deegar Shakhsiyyaat Kee Mukhaalifat Ka Elaan Kar Diya. Is Jama’at Ne Khud Ko “Shi’an” Kee Jama’at Qaraar Diya Aur Isi Siyaasi Himaayat Kee Bina Par Aage Chal Kar Yeh Jama’at “Shiane Ali” Kee Jama’at Qaraar Paayi.

 

Yaad Rahe Ki Shiane Ali Ka Naam Jo Us Waqt Ma’roof Huwa Us Se Fiqhi Aur Mazhabi Nuqta-E-Nazar Se Woh Shia Maktabe Fikr Muraad Nahin Tha Jo Baa’d Me Baa-Qaaidah Fiqh Kee Tadween Wa Taalif Ke Baa’d Wujood Me Aaya Balki Is Se Hazrat Ali Alayh-is-Salam Aur Hazrat Amir Muawiya RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ke Darmiyan Ikhtilaaf Ke Waqt Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Khilafat Kee Siyaasi Himaayat Ke Taur Par Paida Hone Waala Giroh Hai.

 

Doosra Tabaqa Banu Umayya Kee Himayat Par Wujood Me Aaya. Pehle-Pehle Yahi Do Giroh Aapas Me Mutasaadim Huwe. Isi Daur Me Aik Tisra Tabqa Bhi Wujood Me Ayaa Jis Ne Hazrat Ali Alayh-is-Salam Aur Hazrat Amir Muawiya RadiyAllahu Ta’ala Anhu Dono’n Kee Mukhaalifat Kee. Is Tabqe Ne Un Dono’n Hastiyon Ke Khilaaf Aik Musallah Kashmakash Ka Aaghaaz Kiya Yeh Tabqa “Khawaarij” Kehlaata Hai. Yeh Khaarji Namaz, Roze Aur Zakaat Ke Paaband They, Nawaafil, Tahajjud, Kasrate Dhikr Aur Kasrate Tilawat Jaise Aamaal Bhi Baja Laate They, إِنِ الْحُكْمُ إِلَّا لِلَّهِ   Kee Hukmarani Ka Na’rah Buland Karte They Lekin (Ma’azAllah) Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Aur Hazrat Amir Mu’awiya RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ko Waajib-ul-Qatl Aur Kaafir Gardaante They. Chawtha Tabqa Kathir Sahaba Aur Un Ke Mutabbi’iyn Ka Tha Jo Hazrat Mawla Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Khilaafat Ko Bar-Haque Jaante They Lekin Hazrat Mu’awiya RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ke Baare Me Bhi Khaamosh They.

[Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Safha-12_13.]