Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-12 : ﴾Ummate Muhammadiyah Ka Izz-o Sharaf﴿

Huzoor ﷺ Ko Apne Ba’d Ummat Ke Shirk Me Mubtala Hone Ka Andesha Na Tha

Fasl-04 :

Huzoor Ko Apne Ba’d Ummat Ke Shirk Me Mubtala Hone Ka Andesha Na Tha

38/838.    “Hazrat Uqbah Bin Aamir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Shuhada-e Uhad Par (Dobaara) Aath-08 Saal Baa’d Is Tarah Namaz Padhi Goya Zindo’n Aur Murdo’n Ko Alwida’ Keh Rahe Ho’n. Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Mimbar Par Jalwa Afroz Hu’e Aur Farmaya : Mein Tumhara Peshraw Hoo’n, Mein Tumhare Oopar Gawaah Hoo’n, Hamaari Mulaqat Kee Jagah Hawze Kawsar Hai Aur Mein Is Jagah Se Hawze Kawsar Ko Dekh Raha Hoo’n Aur Mujhe Tumhare Muta’alliq Is Baat Ka Dar Nahin Ki Tum (Mere Baa’d) Shirk Me Mubtala Ho Jaa’oge Balki Tumhare Muta’alliq Mujhe Duniyadaari Kee Mahabbat Me Mubtala Ho Jaane Ka Andesha Hai. Hazrat Uqbah Farmate Hain Ki Yeh Mera Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Aakhiri Deedaar Tha (Ya’ni Us Ke Baa’d Jald Hee Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Wisaal Ho Gaya.)”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 04/1486, Raqm-3816,

Mulism As-Sahih, 04/1796, Raqm-2296,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/216, Raqm-3224,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/154,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 17/279, Raqm-768,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 04/14, Raqm-6601,

Shaybani Fi Al-Ahadu Wa’l-Mathani, 05/45, Raqm-2583,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-739, 740, Raqm-838.]

39/839.    “Hazrat Uqbah Bin Aamir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Be Shak Mein Tumhara Peshraw Aur Tum Par Gawaah Hoo’n. Be Shak Khuda Kee Qasam! Mein Apne Hawz (Kawsar) Ko Is Waqt Bhi Dekh Raha Hoo’n Aur Be Shak Mujhe Zameen Ke Khazaano’n Kee Kunjiya’n (Ya Farmaya:) Zameen Kee Kunjiya’n Ata Kar Dee Ga’i Hain Aur Khuda Kee Qasam! Mujhe Dar Nahin Ki Mere Baa’d Tum Shirk Karne Lagoge Balki Mujhe Dar Is Baat Ka Hai Ki Tum Dunya Kee Mahabbat Me Mubtala Ho Jaaoge.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1317, Raqm-3401,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2361, Raqm-6061,

Muslim Fi As-Sahih, 04/1795, Raqm-2296,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/153,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-740, Raqm-839.]

40/840.    “Hazrat Uqbah Bin Aamir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mujhe Tumhare Muta’alliq Is Baat Ka To Dar Hee Nahin Hai Ki Tum Mere Baa’d Shirk Karoge Balki Mujhe Dar Hai Ki Tum Dunya Kee Mahabbat Me Giraftar Ho Jaa’oge Aur Ladoge Aur Halaak Hoge Jaisa Ki Tum Se Pehle Log Hu’e. Hazrat Uqbah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Yeh Aakhiri Baar Thi Jab Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Mimbar Par Jalwa Afroz Dekha (Ya’ni Us Ke Baa’d Jald Hee Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Wisaal Ho Gaya).”

[Muslim Fi As-Sahih, 04/1796, Raqm-2296,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 17/279, Raqm-769,

Shaybani Fi Al-Ahadu Wa’l-Mathani, 05/45, Raqm-2583,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-740, 741, Raqm-840.]