Posted in Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam

Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Logo’n Me Se Sab Se Behtar Nasab Waale Hain

Fasl : 06

Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Logo’n Me Se Sab Se Behtar Nasab Waale Hain

 

20              “Hzrat Abd Allah Bin Abbas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Aye Logo’n! Kya Mein Tumhein Un Ke Baare Me Khabar Na Doo’n Jo (Apne) Naana-Naani Ke I’tibaar Se Sab Logo’n Se Behtar Hain ? Kya Mein Tumhein Un Ke Baare Me Na Bataaun Jo (Apne) Chacha Aur Phuphi Ke Lihaaz Se Sab Logo’n Se Behtar Hain? Kya Mein Tumhein Un Ke Baare Me Na Bataau’n Jo (Apne) Maamoo’n Aur Khaala Ke I’tibaar Se Sab Logo’n Se Behtar Hain? Kya Mein Tumhein Un Ke Baare Me Khabar Na Doo’n Jo (Apne) Maa Baap Ke Lihaaz Se Sab Logo’n Se Behtar Hain? Woh Hasan Aur Husayn Hain, Un Ke Naana Allah Ke Rasool, Un Kee Naani Khudayjah Bint Khuwayld, Un Kee Waalidah Fatimah Bint RasoolAllah , Un Ke Waalid Ali Bin Abi Talib, Un Ke Chacha Ja’far Bin Abi Talib, Un Kee Phuphi Ummi Haani Bint Abi Talib, Un Ke Maamoo’n Qaasim Bin RasoolAllah Aur Un Kee Khaala RasoolAllah Kee Betiya’n Zaynab, Ruqayyah Aur Ummi Kulthum Hain. Un Ke Naana, Waalid, Waalidah, Chacha, Phuphi, Maamoo’n Aur Khaala (Sab) Jannat Me Honge Aur Woh Dono’n (Hasanayn Karimayn) Bhi Jannat Me Honge.”

[1-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/66, Raqam-2682,

2-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 06/298, Raqam-6462,

3-Ibn Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir, 13/229,

4-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/184,

5-Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-‘Ummal, 12/118, Raqam-34278,

6-Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba, 01/130,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/26, 27, Raqam-20.]