Posted in Baab-03 : Dhib’he ‘Azeem Kee Takmeel, Dhibhe 'Azeem

Dhib’he ‘Azeem Kee Takmeel

Baab 03 :

 

Dhib’he ‘Azeem Kee Takmeel

 

Woh Dhib’he Isma’il Jis Ka Fidya Dhib’he ‘Azeem Se Kar Diya Gaya Tha Be’thate Muhammadi Ke Baa’d Paaya-E-Takmeel Ko Pahunchne Waala Tha. Imaamat Aur Wilaayat Kee Du’a-E-Ibrahimi Ka Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Khatme Nubuwat ke Baa’d Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Aur Fatimah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ke Zari’e Ijra Ho Raha  Tha. Ab Is Wujoode Mas’ood Kee Shahaadat Ka Waqt Qareeb Aa Gaya Tha Jise Dhib’he Isma’il Ka Mazhar Banaaya Gaya Tha Ya’ni Karbala Ke Maidaan Me Nawaasa-E-Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Azeem Qurbani, Dhib’he ‘Azeem Ka Manzar Pesh Karne Waali Thi. Maidaane Karbala Me Khaandaane Rasoole Hashimi SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Muqaddas Khoon Se Raushan Hone Waale Charaagho’n Ka Manzar Shaame Ghariba’n Ke Andhero’n Me Utarne Waala Tha. Mit’ti Huwi Qadaro’n Ko Khoone Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Tawaanaa’i Ata Hone Waali Thi. Azali Sadaaqato’n Ke Tahaffuz Ke Liye Hazrat Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Apne Khoon Se Ufuqe Aalam Par Hurriyyate Fikr Ka Naya Ahd Naama Tehrir Karne Waale They. Shaheede Karbala…………Fazilat Ka Amaama Bhi Jin Ke Sare Aqdas Par Baandha Gaya Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Mehboobiyyat Kee Dastaar Se Bhi Jinhein Nawaaza, Azmat Kee Khil’at Bhi Ata Huwi Aur Shahaadat Ka Pairhan Bhi Jin Ka Muqaddar Bana. Is Liye Ki Us Azeem Insaan Kee Qurbaani Ko Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Qurbaani Qaraar Diya Jaa Sake.

[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/79_80.]