16. “Hazrat Abd-ir-Rahman Bin Abd-il-Qariy Se Riwaayat Hai Ki Unhone Hazrat Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Mimbar Par Logo’n Ko Tashahhud Sikhaate Huwe Suna. Aap RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya: Yoo’n Kaho: “Tamaam Qauli Aur Fe’li Ibaadaten, Aur Tamam Paakiza Cheezen Allah Ta’ala Ke Liye Hain, Aur Salaamati Ho Aap Par, Aye Nabi Mukarram! Aur Allah Ta’ala Kee Rahmat Aur Us Kee Barkaat (Ka Nuzool Ho) Aur Salaamati Ho Hum Par Aur Allah Ta’ala Ke Tamaam Nek Bando’n Par. Main Gawaahi Deta Hoo’n Ki Allah Ta’ala Ke Siwa Koi Ma’bood Nahin Aur Muhammad (SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam) Allah Ta’ala Ke (Pyaare) Bande Aur Us Ke Rasool Hain.
Is Hadith Ko Imam Maalik, Shaafi’iy, Abd-ur-Razzaq Aur Tahaawi Ne Riwayat Kiya Hai. Imam Hakim Ne Farmaya: Yeh Hadith Imam Muslim Ke Shara’it Par Sahih Hai.
“Aur Iak Riwaayat Me Hazrat Abdullah Bin Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Riwaayat Karte Hain Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Tashahhud Me Yeh Padho: Tamaam Qauli Aur Fe’li Ibaadaten Aur Tamam Paakiza Kalimaat Allah Ta’ala Ke Liye Khaas Hain, Aye Nabiyye Mukarram! Aap Par Salaamati Aur Allah Ta’ala Kee Rahmat Ho……”
Is Hadith Ko Imam Daraqutni Aur Maalik Ne Riwaayat Kiya Hai.
“Aur Ek Riwaayat Me Hazrat Abdullah Bin Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Hamen Yoo’n Tashahhud Sikhaaya Karte They. Tamam Qauli Aur Fe’li Ibaadaten Aur Tamam Umda Kalimaat Allah Ta’ala Ke Liye Khaas Hain. Aye Nabiyye Mohtashim! Aap Par Salaamati, Aur Allah Ta’ala Kee Rahmat Aur Barkaat Ho’n…..Al-Hadith.”
Is Hadith Ko Imam Daraqutni Aur Hakim Ne Hazrat Jabir Bin Abdullah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwaayat Kiya Hai. Imam Daraqutni Ne Farmaya: Yeh Sanad Muttasil Hai. Imam Hakim Ne Bhi Farmaya Yeh Hadith Imam Mulslim Kee Sharaa’it Par Sahih Hai.
“Aur Ek Riwaayat Me Hai Ki Umm-il-Mu’minin Hazrat Aaishah Siddiqa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Tashahhud Me Mazkoora Baala Du’aa Hee Padha Karti Thi’n.”
Is Hadith Ko Imam Maalik Aur Ibn Abi Shaybah Ne Riwaayat Kiya Hai.
–
[Malik Fi Al-Muwatta’, 01/90, 91, Raqm-203, 206,
Shafi’iy Fi Al-Musnad, 01/237,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 01/261, Raqm-2992,
Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 02/202, Raqm-3067,
Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 01/261,
Daraqutni Fi As-Sunan, 01/351, Raqm-06, 09,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/398, 399, Raqm-978, 983,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/142, Raqm-2655, 2667,
Ibn Abd-il-Barr Fi Al-Istdhkar, 01/484,
Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/34_37, Raqm-16.]