Fasl : 30
إنها أول أهل النبى صلى الله تعالى عليه وآله وسلم لحوقا به بعد وفاته
Wisaale Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Ba’d Sab Se Pehle Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Hee Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Se Mili’n
78_ “Umm’il-Mu’minin Hazrat Aaishah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Farmati Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Apani Saahibzaadi Sayyidah Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Ko Apne Maraze Wisaal Me Bulaaya, Phir Sargoshi Ke Andaaz Me Un Se Koi Baat Kahi To Woh Rone Lagi’n, Phir Nazdeek Bula Kar Sargoshi Kee To Woh Hans Padi. Hazrat Aaishah Siddiqah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Farmati Hain Ki Mein Ne Is Baare Me Un Se Poochha To Unhone Bataaya : Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Sargoshi Karte Huwe Mujhe Bataaya Ki Isi Maraz Me Meri Wafaat Ho Jaa’egi To Mein Rone Lagi, Phir Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Sargoshi Karte Huwe Mujhe Bataaya Ki In Ke Ghar Waalo’n Me Sab Se Pehle Mein Hoo’n Jo Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Peechhe Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Se Jaa Miloongi, To Mein Hans Padi.”
–
[1_Bukhari Fi As-Sahih, 03/1327, 1361, Raqam-3427, 3511,
2_Bukhari Fi As-Sahih, 04/1612, Raqam-4170,
3_Muslim Fi As-Sahih, 04/1904, Raqam-2450,
4_Nasa’i Fi As-Sunan Al-Kubra, 05/95, Raqam-8366,
5_Nasa’i Fi Fada’il Al-Sahabah/77, Raqam-262,
6_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/240, 282,
7_Ahmad Bin Hanbal Ne ‘Al-Musnad (06/283)’ Me Yehi Hadith Ja’far Bin Amr Bin Umayyah Se Bhi Riwaayat Kiya Hai.
8_Ahmad Bin Hanbal Fi Faza’il-us-Sahabah, 02/754, Raqam-1322,
9_Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/404, Raqam-6954,
10_Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/388, Raqam-3270,
11_Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 12/122, Raqam-6755,
12_Hakim At-Tirmidhi Fi Nawadir-ul-Usool Fi Ma’rifati Ahadith-ir-Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam , 03/182,
13_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/421, Raqam-1037,
14_Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat Al-Kubra, 02/247,
15_Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 02/131,
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/92, 93, Raqam-78.]
79_ “Hazrat Aaishah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Ne Hazrat Fatimah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Se Yeh Riwaayat Kee Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Unhein Farmaya : Mere Ahl-E-Bayt Me Se (Mere Wisaal Ke Baa’d) Tum Sab Se Pehle Mujhe Milogi, To Mein Is Khushi Par Hans Padi.”
–
[1_Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/269, Raqam-35980,
2_Shaybani Fi Al-Ahad Wa’l-Mathani, 05/357, 358, Raqam-2942_2945,
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/93, Raqam-79.]
80_ “Hazrat Abdullah Bin Abbas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Se Marwi Hai Ki Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Sayyidah Fatimah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Se Farmaya : Mere Ghar Waalo’n Me Se Sab Se Pehle Too Mujh Se Milegi.”
–
[1_Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il As-Sahabah, 02/764, Raqam-1345,
2_Ahmad Bin Hanbal Ne ‘Al-‘Ilal Wa-Ma’rifat Al-Rijal (02/408, Raqam-2828)’ Me Ja’far Bin Amr Bin Umayyah Se Bhi Riwayat Kee Hai.
3_Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 02/40,
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/93, 94, Raqam-.80]
81_ “Hazrat Abdullah Bin Abbas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Riwayat Karte Hain Ki Jab Aayat ….. ﴾Jab Allah Kee Madad Aur Fat’h Aa Pahunche ﴿….. Naazil Huwi To Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Hazrat Fatimah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Ko Bulaaya Aur Farmaya : Meri Wafat Kee Khabar Aa Gayi Hai. Woh Ro Padi’n. Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Mat Ro, Be Shak Too Mere Ghar Waalo’n Me Sab Se Pehle Mujh Se Milegi; To Woh Hans Padi’n, Is Baat Ko Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Baa’z Biwiyo’n Ne Bhi Dekha. Unhone Kaha : Fatimah! (Kya Maajra Hai), Hum Ne Tujhe Pehle Rote Aur Phir Hanste Huwe Dekha? Woh Boli’n : Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Mujhe Bataaya : Meri Wafaat Ka Waqt Aa Pahuncha Hai. (Is Par) Mein Ro Padi, Phir Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Mat Ro, Too Mere Khaadndaan Me Sab Se Pehle Mujhe Milne Waali Hai, To Mein Hans Padi.”
–
[1_Darami Fi As-Sunan, 01/51, Raqam-79,
2_Ibn Kathir Fi Tafsir-ul-Qr’an Al-Azim, 04/561,
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/94, Raqam-81.]