Posted in Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا

Panjtan Paak Aur Un Ke Tamaam Muhibb Qiyaamat Ke Din Aik Hee Jagah Honge

Fasl : 38

إن فاطمة سلام الله عليها و زوجها و ابناها و من أحبهم مجتمعون مع النبى صلى الله تعالى عليه وآله وسلم فى مكان واحد يوم القيامة

Panjtan Paak Aur Un Ke Tamaam Muhibb Qiyaamat Ke Din Aik Hee Jagah Honge

 

98_             “Hazrat Ali رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Sayyidah Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Se Farmaya : (Aye Fatimah!) Mein, Too Aur Yeh Dono’n (Hasan Wa Husayn) Aur Yeh Sone Waala (Hazrat Ali رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ, Kyoo’n Ki Us Waqt Aap So Kar Uthey Hee They) Roze Qiyamat Aik Hee Jagah Honge.”

[1_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/101,

2_Bazzar Fi Al-Musnad, 03/29, 30, Raqam-779,

3_Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il As-Sahabah, 02/692, Raqam-1183,

4_Haythami Ne ‘Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id (09/169, 170)’ Me Kaha Hai Ahmad Bin Hanbal Kee Riwaayat Karda Hadith Kee Sanad Me Qays Bin Rabi’ Ke Baare Me Ikhtalaaf Hai, Jab Ki Baqiyya Tamam Rijaal Thiqah Hain.

5_Shaybani Fi As-Sunnah, 02/598, Raqam-1322,

6_Ibn Athir Fi Usd-ul-Ghabah Fi Ma’rifat-is-Sahabah, 07/220,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/108, Raqam-98.]

 

 

99_             “Hazrat Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Mein, Ali, Fatimah, Hasan Wa Husayn Aur Hamaare Muhibbin Sab Roze Qiyaamat Aik Hee Jagah Ikatthe Honge. Qiyaamat Ke Din Hamaara Khaana Peena Bhi Ikattha Hoga, Yaha’n Tak Ki Logo’n Me Faisle Kar Diye Jaaeinge.”

[1_Haythami Ne ‘Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id (09/174)’ Me Kaha Hai Ki Ise Tabarani Ne Riwaayat Kiya Hai Aur Mein Is Ke Raawiyo’n Ko Nahin Jaanta.

2_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/41, Raqam-2623,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/108, 109, Raqam-99.]