Nawasa-E-Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Karbala Ke Maidaan Me Khada Hai ………… Honto’n Par Tashnagi Ke Kaante Chubh Rahe Hain ………… Aasmaan Se Sooraj Aah Barsa Raha Hai ………… Naynawa Ke Seene Se Furaat Beh Raha Tha Aaj Nawasa-E-Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Ilaawah Yeh Paani Har Shakhs Ke Liye Aam Hai…………Imame Aali Maqam Ke Jaan Nithaar Aik Aik Kar Ke Raahe Haque Me Tawheed Kee Gawaahi Dete Dete Jaame Shahdat Nosh Kar Chuke Hain ………… Gulistaane Rasool Ujad Chuka Hai…………Chamanistaane Fatimah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ko Mout Kee Be Rahm Hawaaon Ne Apne Daaman Me Samet Rakkha Hai ……… Awn-o-Muhammad Bhi Rukhsaat Ho Chuke Hain…………Abbas Alamdaar Maqaame Shahadat Paa Chuke Hain…………Shahzaada Qasim Mout Ko Gale Se Laga Chuke Hain…………Shehzadh Ali Akbar Ka Be Gor-o-Kafan Laasha Rege Karbala Par Pada Hai. …………Ma’soom Ali Asghar Ka Khoon Bhi Fazaae Karbala Ko Rangeen Kar Gaya Hai…………Imame Aali Maqam Apne Jaan Nithaaro’n Ke Laashe Uthaate Uthaate Nidhaal Ho Chuke Hain…………Lekin…….. Ali Kee Shajaa’at, Bahaaduri Aur Jawaanmardi Par Dhalti Umr Ka Saaya Bhi Nahin Pada. Shere Khuda Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Sher Apne Tamaam Athaathe Lutaane Ke Baa’d Bhi I’timaad Ka Noor Bikhra Huwa Hai, Ghode Par Sawaar Hote Hain, Zaynab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Rikaab Thaamti Hain, Imaame Aali Maqaam Maidane Karbala Me Talwaar Liye Khade Hain, Yazeedi Asaakir Par Khaamoshi Chaayi Huwi Hai. Farzande Shere Khuda Ka Saamna Karne Se Har Koi Katra Raha Hai.Woh Jaante Hain Ki Madde Muqaabil Koun Khada Hai. Nawasa-E-Rasool Ko Pehchaante Hain Un Kee Azmat Aur Fazeelat Se Aagaah Hain. Unhein Ma’loom Hai Ki Un Ke Paighambar SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Farmaan Hai Ki Husayn Mujh Se Hai Aur Mein Husayn Se Hoo’n, Woh Jaante Hain Ki Nabze Husayn Nabze Rasool Hai, Lekin Maslahatein Paaon Kee Zanjeer Bani Huwi Hain. Mafaadaat Ne Honto’n Par Qafl Daal Rakkhi Hain. Laalach, Hars Aur Tam’a Ne Un Kee Aankho’n Par Pardah Daal Rakkha Hai Aur Nawasa-E-Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Qatl Kar Ke Darbaare Yazeed Me Masnade Shaahi Ka Qurb Haasil Karne Kee Aarzumand Hain. Yazeedi Lashkar Me Koi Nikal Kar Shehsawaare Karbala Ka Muqaabala Karne Kee Jur’at Na Kar Saka.
Yazeedi Lashkar Ne Jaan Nithaaraane Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Istiqaamat, Shujaa’at Aur Jur’at Dekh Kar Inferaadi Jang Band Kar Dee Thi, Jab Husayn Maqtal Me Aaye To Ijtima’iy Hamla Jaari Tha Lekin Pura Lashkar Bhi Ijtima’iy Taur Par Nawasa-E-Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Par Hamla Karne Se Dar Raha Tha. Dur Dur Se Teer Chalaate Rahe, Kai Ghanto’n Tak Husayn ‘Alayh-is-Salam Ke Jism Par Talwaar Ka Zakhm Na Laga Kyun Ki Qareeb Aa Kar Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Shujaa’at Ke Waarith Se Jang Karne Ka Kisi Ko Hausla Na Huwa. Teero’n Kee Barsaat Me Imaame Aali Maqaam Ka Jisme At’har Chhalni Ho Gaya. Zakhmo’n Se Choor Imam Par Chaaro’n Taraf Se Hamla Kiya Gaya. Shimr Aur Yazeed Ke Badbakht Sipaahi Qareeb Aa Gaye, Yak Baargi Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Talwaaro’n Ke Narghe Me Le Liya Gaya. Aakhir Mardaana Waar Jang Karte Karte Shehsawaare Karbala Ghode Se Neeche Aa Gaye. Nezo’n Aur Talwaaro’n Se Bhi Imaame Aali Maqaam Ka Jism Chhalni Kar Diya Gaya.
Zindagi Ka Aakhiri Lamha Aa Pahuncha, Imaame Aali Maqaam Ne Daryaaft Farmaya Ki Kounsa Waqt Hai Jawaab Mila Namaz Ka Waqt Hai. Farmaya : Mujhe Apne Mawla Ke Huzoor Aakhiri Sajdah Kar Lene Do. Khoon Aaloodah Haatho’n Ke Saath Tayammum Kiya Aur Baargaahe Khudawandi Me Sajda Rez Ho Gaye Baari Ta’ala Yeh Zindagi Teri Hee Dee Huwi Hai Ise Teri Hee Raah Me Qurbaan Kar Raha Hoo’n Aye Khaaliqe Ka’inaat! Mera Yeh Aakhiri Sajda Qubool Ho. Badbakht Shimr Aage Badha Aur Chaaha Ki Imame Aali Maqam Ka Sar Tan Se Juda Kar De Ki Hazrat Imam Husayn ‘Alayh-is-Salam Nw Kaha : Mere Qaatil! Zara Mujhe Apna Seena To Dikha Kyun Ki Mere Naana Ne Mujhe Jahannami Kee Nishaani Bataayi Thi.
- Imam Ibn Asakir Ne Sayyidina Husayn Bin Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Kee Hai Ki Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Irshaad Farmaya :
کأنی أنظر إلی کلب أبقع يلغ فی دماء اهل بيتی
“Goya Ki Mein Aik Sufed Daagho’n Waale Kutte Ko Dekh Raha Hoo’n Jo Mere Ahl-E-Bayt Ke Khoon Me Munh Maar Raha Hai.”
–
[Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-‘Ummal, Hadith-34322.]
- Muhammad Bin Amr Bin Hasan Bayan Karte Hain :
کنا مع الحسين بنهر کربلا فنظر إلي شمر ذي الجوشن فقال : صدق اﷲ ورسوله! فقال رسول اﷲ صلى الله تعالى عليه وآله وسلم کائي أنظر : إلي کلب أبقع يلغ في دماء أهل بيتي و کان شمر أبرص
“Hum Sayyidina Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Saath Karbala Ke Darya Par Maujood They To Aap RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Shimr Ke Seene Kee Taraf Dekha Aur Farmaya : Allah Aur Us Ke Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Farmaya Tha Ki Goya Mein Us Sufed Daagho’n Waale Kutte Kee Taraf Dekh Raha Hoo’n Jo Mere Ahl-E-Bayt Ke Khoon Me Munh Maar Raha Hai Aur Shimr Bars Ke Daagho’n Waala Tha.”
–
[Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-‘Ummal, 13/672.]
Chunanche Aap RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Nishaani Dekh Kar Farmaya Haa’n Yeh Badbakhti Tera Hee Muqaddar Hai, Woh Badbakht Aage Badha Aur Sare Aqdas Ko Tan Se Juda Kar Diya. Idhar Rooh Ne Qafase Unsuri Se Parwaaz Kee Udhar Nida Aayi.
يَا أَيَّتُها النَّفْسُ الْمُطْمَئِنَّةُo ارْجِعِي إِلَى رَبِّكِ رَاضِيَةً مَّرْضِيَّةًo
“Aye Itminaan Paa Jaane Waale Nafs. Too Apne Rabb Kee Taraf Is Haal Me Laut Aa Ke Too Us Kee Raza Ka Talab Bhi Ho Aur Us Kee Raza Ka Matloob Ho Aur Tere Raza Us Kee Matloob Bhi(Goya Us Kee Raza Teri Matloob Ho Aur Teri Raza Us Kee Matloob)”
Husayn! Mein Tujh Par Raazi Ho Gaya. Aye Roohe Husayn! Mere Paas Laut Aa Jannat Ke Darwaaze Khule Hain, Hoor-o-Ghulaamaan Tere Muntazar Hain, Qudsiyaane Falaq Tere Intezaar Me Hain.
–
[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/111 Ta 114.]