Posted in Baab-03 : Dhib’he ‘Azeem Kee Takmeel, Dhibhe 'Azeem

60 Hijri Ke Ikhtetaam Kee Nishaan Dehi

  1. 60 Hijri Ke Ikhtetaam Kee Nishaan Dehi

عن ام سلمة قالت قال رسول اصلی الله عليه وآله وسلم يقتل حسين بن علي علي رأس سيتن من المهاجري

“Umm-il-Mu’minin Hazrat Ummi Salamah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Marwi Hai Ki RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya Husayn Bin Ali Ko Saath Hijri Ke Ikhtetaam Par Shaheed Kar Diya Jaaega.”

[Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/190 Ba-Hawala Tabarani Fi Al-Awsat.]

 

Ghaib Kee Khabrein Bataane Waale Aaqa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Na Sirf Hazrat Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Maqtal Kee Nishaan Dehi Kar Dee Ki Yeh Iraq Ka Maidaan Karbala Hoga Balki Yeh Bhi Bata Diya Ki Yeh Azeem Saaneha 60 Hijri Ikhtetaam Par Roonuma Hoga.

[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/93.]