- Maqtale Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu
Hazrat Asbagh Bin Nubatah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki :
اتينا مع علي موضع قبر الحسين فقال ههنا مناخ رکابهم و موضع رحالهم و مهراق دمائهم فئة من ال محمد صلى الله تعالى عليه وآله وسلم يقتلون بهذه العرصة تبکی عليهم السماء والارض
“Hum Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Saath Qabre Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Jagah Par Aaye To Aap KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Famaya Yeh Un Ke Oonto’n Ke Baythne Kee Jagah Aur Yeh Un Ke Kajaawe Rakhne Kee Jagah Hai Aur Yeh Un Ke Khoon Behne Ka Maqaam Hai. Aale Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Aik Giroh Is Maidaan Me Shaheed Hoga Jis Par Zameen-o-Aasmaan Roenge.”
–
[Suyooti Fi Khasa’is Al-Kubra Aw Kifayah At-Talib Al-Labib Fi Khasa’is Al-Habib, 02/126,
Shah Abd-ul-Aziz Fi Sirr-ush-Shahadatayn,/13.]
Goya Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Apne Bete Husayn ‘Alayh-is-Salam Ke Maqtal Ka Poora Naqsha Khinch Diya Ki Yaha’n Par Woh Shahadat Ke Darja Par Faa’iz Hoga Aur Yaha’n Khaandaane Rasoole Hashimi Ka Khoon Bahega.
–
[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/95_96.]