Posted in Baab-03 : Dhib’he ‘Azeem Kee Takmeel, Dhibhe 'Azeem

Sayyidah Aaishah Siddiqa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Kee Riwaayat

  1. Sayyidah Aaishah Siddiqa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Kee Riwaayat

Aik Dusri Riwaayat Hai :

عن عائشة عنه انه قال أخبرنی جبرئيل ان ابني الحسين يقتل بعدي بأرض الطف

“Hazrat Aaishah Siddiqa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Marwi Hai Ki RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya Ki Jibra’ile Ameen Ne Mujhe Khabar Dee Mera Yeh Beta Husayn Mere Baa’d Maqaame Tuff Me Qatl Kar Diya Jaaega.”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/107, Hadith-2814.]

 

Hazrat Aaishah Siddiqa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Kee Riwaayat Bhi Kam-o-Besh Wohi Hai Jo Oopar Bayaan Kee Gayi Hai, Yeh Bhi Qatle Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Ittila’ Hai. Yeh Rooh Farsa Ittila’ Paa Kar Qalbe At’har Par Kya Guzri Hogi Is Ka Tasawwur Bhi Rooh Ke Dar-o-Baam Ko Hila Deta Hai, Palko’n Par Aansoo’on Kee Kinaari Sajne Lagti Hai Aur Gulshane Fatimah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Kee Tabaahi Ka Dilkharaash Manzar Dekh Kar Chashme Tasawwur Bhi Apni Palkein Jhuka Leti  Hai.

[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/92_93.]