36.
عن علی رضى الله تعالى عنه قال بعثنی رسول الله صلى الله تعالى عليه وآله وسلم الی الیمن فقلت یا رسول الله صلى الله تعالى عليه وآله وسلم بعثنی و انا شاب اقضی بینهم ولا ادری ما القضاء فضرب صدری بیده ثم قال اللهم اهد قلبه ثبت لسانه فوالذی خلق الحبة ما شککت فی قضاء بین اثنین
“HazratAli RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Unhone Kaha Ki RasoolAllah SallAllahu Ta’ala Alayka Wa Sallam Ne Mujhe Yaman Kee Bheja Mein Ne Arz Kiya Ya RasoolAllah Aap Mujhe Bhej To Rahe Hain Lekin Mein Nau Jawaan Hoo’n Mein Un Logo’n Ke Daarmiyaan Faisle Kyun Kar Karunga? Mein Jaanta Hee Nahin Hoo’n Ki Qaza Kya Hai? Pas Huzoor SallAllahu Ta’ala Alayka Wa Sallam Ne Apna Daste Aqdas Mere Seene Par Maara Phir Farmaya Aye Allah Is Ke Dil Ko Hidaayat Ata Farma, Us Zaat Kee Qasam Jis Ne Daane Ko Paida Farmaya Mujhe Do Aadmiyo’n Ke Maabain Faisle Karte Waqt Koi Shikaayat Nahin Huwi.”
–
[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/135.]
Yahi Wajah Hai Ki Sayyidina Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Baseerate Daanaa’i Aur Quwwate Faisla Zarbe Mathal Ban Gayi. Ahde Risaalat Ma’ab SallAllahu Ta’ala Alayka Wa Sallam Ke Ba’d Ahde Khilaafate Rashidah Tak Tamaam Daqeeq Ilmi Fiqhi Aur Roohaani Masa’il Ke Liye Log Aap Se Hee Rujoo’ Karte They. Khud Khulafa’-E-Rasool Sayyidina Siddiqe Akbar, Farooqe A’zam Aur Sayyidina Uthman Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Aap Kee Raae Ko Hamesha Fauqiyyat Dete They Aur Aap Ne Un Teeno’n Khulafa’ Ke Daur Me Mufti-E-A’zam Ke Mansabe Jalila Par Faa’iz Rahe. Isi Du’aa Kee Taathir Thi Ki Aap Fehm Firaasat Ilm-o-Hikmat Aur Fikr-o-Tadabbur Kee Un Bulandiyo’n Par Faa’iz Hote Jo Ambiya’ Ke Ilaawah Kisi Shakhs Kee Isti’taa’at Me Mumkin Nahin.
–
[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/63_64.]