Posted in Baab-02 : Faize Nubuwwat-o-Wilaayat Kee Baqa’ Ka Uloohi Nizaam, Dhibhe 'Azeem

Ghulaame Be Nawa Ka Salaam

Khaatoone Jannat Hazrat Fatimat-uz-Zahra RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ka Naam Naami Honto’n Par Aata Hai To Palkein Bahr Ihtiraam Jhuk Jaati Hain, Faza Me Ihtiraam Kee Chaadar See Tan Jaati Hai, Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Laadli Beti Se Meri Aqidat Aur Ihtiraam Ka Yeh Aalam Hai Ki Mein Khud Ko Dare Fatimah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ka Mangta Samajhta Hoo’n Aur Apne Liye Ise Bohat Bada I’zaaz Tasawwur Karta Hoo’n, Madinah Munawwarah Kee Haaziri Ke Dino’n Me Mera Ma’mool Yeh Hota Hai Ki Jannat-ul-Baqi’ Me Hazrat Fatimat-uz-Zahra RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Kee Qabre Anwar Par Haaziri Deta Hoo’n, Saamne Gumbade Khazra Apne Jalwe Bikher Raha Hota Hai Basad Adab Arz Karta Hoo’n Ki Aye Hasanayn Kariamayn Kee Ammi Jaan! Aye Jannat Kee Khawaatin Kee Sardaar! Aye Sayyida-E-Ka’enat! Aap Ke Dar Ka Kutta Aaya Hai Apne Abba Jaan Huzoor Se Aik Tukda Le Kar De Dijiye. Mere Kashkole Aarzu Me Khairaat Daal Dijiye. Apne Abba Huzoor Se Sifaarish Farma De’n Ki Baaba! Aap Ka Aik Ghulaame Be Nawa Dare Aqdas Par Haaziri Kee Ijaazat Chaahta Hai, Baaba! Is Kee Chashme Tar Ke Aabgeene Qubool Farmaaein, Is Ko Apne Daamane Rehmat Me Chhupa Lijiye,________Umr Beet Gayi Baargaahe Sayyida-E-Ka’enat Me Yeh Iltija Karte Huwe Ki Kabhi To Woh Apne Mangte Ko Karam Ke Tukdo’n Se Nawaazenge, Kabhi To Daamane Talab Me Rahmat Ke Sakke Girenge. Phir Sochta Hoo’n Ki Woh Koun Sa Lamha Hai Jo Un Ke Karam Se Khaali Hai Un Ke Karam Kee Chaadar To Azal Se Barahna Saro’n Ko Kadi Dhoop Se Bacha Rahi Hai, Har Saa’at Ke Honto’n Par Un Kee Rahmat Ka Zamzam Beh Raha Hai Aur Hain Ki Aik Tishna Lab Isi Chashma-E-Rehmat Se Apni Tishnagi Ka Madaawa Kar Raha Hoo’n. Yeh Sab Kuchh Isi Khanwada-E-Paak Kee Ata Hee To Hai.

[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/79_80.]