7.
عن عائشة قالت مارأيت افضل عن فاطمة غير ابيها
“Umm-il-Mu’minin Hazrat Aaishah Siddiqa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ne Khud Bayaan Kiya Hai Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Siwa Fatimah Se Kaa’inaat Me Kisi Ko Afzal Nahin Dekha.”
–
[Rawahu Tabarani Fi Al-Awsat,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/201.]
Umm-il-Mu’minin Hazrat Aaishah Siddiqa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Puchha Nahin Gaya Balki Khud Farmaati Hain Ki Jab Rabbe Dhu-‘l-Jalaal Kee Izzat Kee Qasam Ki Mein Ne Mustafa Mujataba Rahmate Aalam SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Siwa Fatimah Se Afzal Kaa’inaat Me Koi Nahin Dekha Aur Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Shafqato’n Ka Yeh Aalam Hai Ki Is Aalam Kee Koi Intiha Hee Nahin Kyun Ki Wilaayate Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Aaghaaz Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Aur Fatimah Salamu Allah ‘Alayha Se Hona Tha. Amaanat Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Hogi Magar Chalegi Fatimah Aur Ali Se.
8.
عن ام المؤمنين عائشه رضي اﷲ عنها انها قالت مارأيت احداً کان اشبه کلاماً و حديثاً من فاطمة برسول اﷲ صلى الله تعالى عليه وآله وسلم و کانت اذا دخلت عليه رحب بها وقام اليها فاخذ بيدها فقبلها واجلسها في مجلسه
“Umm-il-Mu’minin Hazrat Aaishah Siddiqa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Riwaayat Hai Woh Farmaati Hain Ki Mein Ne RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Saath Kisi Ko Fatimah Se Badh Kar Mushaabeh Nahin Paaya Aur Hazrat Fatimah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Jab Kabhi Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Baargaah Me Aati’n To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Ma’mool Tha Ki Khush Ho Jaate Aur (Mahabbat Se Istiqbaal Ke Liye) Khade Ho Jaate, Hazrat Fatimah Ka Haath Pakad Lete Us Ko Bosa Dete Aur Phr Apni Nishist Par Hazrat Fatimah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ko Bitha Dete.”
–
[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/154.]
Aur Aik Jagah Riwaayat Ke Alfaaz Is Tarah Hain :
9.
قامت اليه مستقبلة وقبلت يده
“Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Hazrat Fatimah Salamu Allah ‘Alayha Ke Istiqbaal Ke Liye (Az Raahe Mahabbat) Khade Ho Jaate Aur Sayyidah Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Haath Choomtein.”
–
[Aizan/140,
Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/74_76]