Fasl Duwum :
Manaqibe Fatimat-uz-Zahra RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha
Dhib’he ‘Azeem Kee Takmeel Aur Wilaayate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Noor Aam Karne Ke Liye Hazrat Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Kee Dhurriyyat Me Se Jis Aali Martabat Jode Ka Intekhaab Huwa Yeh Joda Hazrat Ali Aur Hazrat Fatimah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ka Joda Tha Jin Kee Shaadi Ka Faisla Aasmaano’n Par Ho Chuka Tha. Qudrat Ne In Do Muntakhaba Shakhsiyyaat Ke Noore Nazar Sayyidina Imam Husayn Kee Qismat Me Dhib’he ‘Azeem Ka Mansabe Jalila Likh Diya Tha.
Hazrat Fatimat-uz-Zahra Huzoor ‘Alayh-is-Salatu Wa’s-Salam Kee Laadli Beti Hain, Khaatoone Jannat Inhin Ko Kehte Hain. In Ke Faza’il Ke Hawaale Se Chand Irshaadaate Nabawi Mulaahza Farmaaein.
–
[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/73_74.]