Posted in Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam

Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ke Saath Jo Jannat Me Sab Se Pehle Daakhil Honge Woh Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Hain

Fasl : 32

Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ke Saath Jo Jannat Me Sab Se Pehle Daakhil Honge Woh Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Hain

 

108            “Hazrat Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Bayan Karte Hain Ki Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Mujhe Bataaya Ki Sab Se Pehle Jannat Me Daakhil Hone Waalo’n Me, Mein (Ya’ni Hazrat Ali رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Khud), Fatimah, Hasan Wa Husayn Hain. Mein Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah صَلَّى اللهُ عَلَيْكَ وَسَلَّمَ! Hum Se Muhabbat Karne Waale Kaha’n Honge? Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Tumhaare Pichhe.”

[1-Hakim Fi Al-Mustadrak , 03/164, Raqam-4723,

2-Ibn Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir, 14/173,

3-Hindi Fi Kanz-ul-‘Ummal, 12/98, Raqam-34166,

4-Ibn Hajar Makki Ne ‘As-Sawa’iq Al-Muhriqah ‘Ala Ahl Al-Rafd Wa Al-Dalal Wa Al-Zandaqah(02/448), Me Kaha Hai Ki Ise Ibn Sa’d Ne Bhi Riwayat Kiya Hai.

5-Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba, 01/123,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/95, Raqam-108.]

 

 

109            “Hazrat Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Farmate Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Se Shikaayat Kee Ki Log Mujh Se Hasad Karte Hain, To Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Kya Tum Is Baat Par Raazi Nahin Ho Ki Jannat Me Sab Se Pehle Daakhil Hone Waale Chaar-04 Mardo’n Me Chauthe Tum Ho (Woh Chaar-04) Mein, Tum, Hasan Aur Husayn Hain.”

[1-Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/624,

2-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 01/319, Rsqam-950,

3-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/41, Raqam-2624,

4-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/131, Raqam-174,

5-Qurtubi Fi Al-Jami’ Li-Ahkam Al-Qur’an (Tafsir Al-Qurtubi), 16/22,

6-Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba, 01/90,

7-Ibn Hajar Makki Fi As-Sawa’iq Al-Muhriqah, 02/466,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/95, 96, Raqam-109.]