Posted in Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu

Hubbe Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Alaamate Imaan Hai Aur Bughze Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Alaamate Nifaaq Hai

(١٢) بَابٌ فِي کَوْنِ حُبِّهِ عَلَامَةَ الْمُؤْمِنِيْنَ وَ بُغْضِهِ رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ عَلَامَةَ الْمُنَافِقِيْنَ

Baab-12 :

Hubbe Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Alaamate Imaan Hai Aur Bughze Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Alaamate Nifaaq Hai

 

117:           “Hazrat Zirr Bin Hubaysh RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Farmaya : Qasam Hai Us Zaat Kee Jis Ne Daane Ko Phaada (Aur Us Se Anaaz Aur Nabaataat Ugaa’e) Aur Jis Ne Jaandaaro’n Ko Paida Kiya, Huzoor Nabiyye Ummi SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Mujh Se Ahd Hai Ki Mujh Se Sirf Momin Hee Mahabbat Karega Aur Sirf Munaaifq Hee Mujh Se Bughz Rakkhega.”

Is Hadith Ko Imam Muslim Ne Riwayat Kiya Hai.

[Muslim Fi As-Sahih, 01/86, Al-Hadith Raqam-78,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/367, Al-Hadith Raqam-6924,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/47, Al-Hadith Raqam-8153,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/365, Al-Hadith Raqam-32064,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 01/250, Al-Hadith Raqam-291,

Bazzar Fi Al-Musnad, 02/182, Al-Hadith Raqam-560,

Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 02/598, Al-Hadith Raqam-1325,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/107, Al-Hadith Raqam-117.]

 

 

118:           “Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Riwaya Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Mujh Se Ahd Farmaya Ki Momin Hee Tujh Se Mahabbat Karega Aur Koi Munaafiq Hee Tujh Se Bughz Rakkhega.
Adi Bin Thaabit RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Mein Us Zamaane Ke Logo’n Me Se Hoo’n Jin Ke Liye Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Du’aa Farmaa’i Hai.”

Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Ne Riwayat Kiya Hai Aur Kaha Yeh Hadith Hasan Sahih Hai.

[Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/643, Al-Hadith Raqam-3736,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/108, Al-Hadith Raqam-118.]

 

 

119:           “Hazrat Buraydah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kehte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Ne Mujhe Chaar Aadmiyo’n Se Mahabbat Kar Ne Ka Hukm Dete Hu’e Farmaya Hai Ki Allah Bhi Un Se Mahabbat Karta Hai Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Arz Kiya Gaya Ya RasoolAllah! Hamein Un Ke Naam Bata Diji’e. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Teen Martaba Farmaya Ki Ali Bhi Unhin Me Se Hai, Aur Baaqi Teen Aboo Dhar, Miqdaar Aur Salmaan Hain. Raawi Kehte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Mujhe Un Se Mahabbat Kar Ne Ka Hukm Diya Aur Farmaya Ki Mein Bhi In Se Mahabbat Karta Hoo’n.”

Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Aur Ibn Majah Ne Riwaayat Kiya Hai Imam Tirmidhi Ne Kaha Yeh Hadith Hasan Hai.

[Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/636, Al-Hadith Raqam-3718,

Ibn Majah Fi As-Sunan, Al-Hadith Raqam-149,

Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 01/172,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/108, 109, Al-Hadith Raqam-119.]

 

 

120:           “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Hum Ansaar Log, Munaafiqin Ko Un Ke Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Saath Bughz Kee Waj’h Se Pehchaante They.”

Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Ne Riwayat Kiya Hai.

[Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/635, Al-Hadith Raqam-3717,

Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 06/295,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/109, Al-Hadith Raqam-120.]

 

 

121:           “Hazrat Ummi Salamah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Farmati Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Farmaya Karte They Ki Koi Munafiq Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Mahabbat Nahin Kar Sakta Aur Koi Momin Is Se Bughz Nahin Rakkh Sakta.”

Ise Imam Tirmidhi Ne Riwayat Kiya Hai Aur Kaha Yeh Hadith Hasan Hai.

[Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/635, Al-Hadith Raqam-3717,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 12/362, Al-Hadith Raqam-6931,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 23/375, Al-Hadith Raqam-886,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/109, 110, Al-Hadith Raqam-121.]

 

 

122:           “Hazrat Jabir Bin Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Allah Kee Qasam! Hum Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Zamaane Me Apne Andar Munaafiqeen Ko Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Bughz Kee Waj’h Se Hee Pehchaante They.

Is Hadith Ko Tabarani Ne “Al-Mu’jam-ul-Awsat” Me Bayaan Kiya Hai.

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/264, Al-Hadith Raqam-4151,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/132,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/110, Al-Hadith Raqam-122.]

 

 

123:           “Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Bayan Karte Hain Ki Allah Ta’ala Ne Bani Isra’il Se Un Kee Baadshaahat Ambiya’-E-Kiram ‘Alayhim-us-Salam Ke Saath Un Ke Bure Sulook Kee Waj’h Se Chheen Lee Aur Be Shak Allah Tabrak Wa Ta’ala Is Ummat Me Se Us Kee Baadshaahat Ko Ali Ke Saath Bughz Kee Waj’h Se Chheen Lega.”

Is Hadith Ko Daylami Ne Riwaayat Kiya Hai.

[Daylami Fi Al-Firdaws Bi-Mathoor Al-Khitab, 01/344, Al-Hadith Raqam-1384,

Dhahabi Fi Mizan-ul-I’tidal Fi Naqd-ir-Rijal, 02/251,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/110, Al-Hadith Raqam-123.]