Fasl-06 :
Jaame’ Huqooq Ka Bayan
46/920. “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Shakhs Ne Hum (Ya’ni Musalmano’n) Par Hathyaar Uthaaya Woh Hum Me Se Nahin.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2520, Raqm-6480,
Bukhari Fi As-Sahih, 06/2591, Raqm-6659,
Muslim Fi As-Sahih, 01/98, Raqm-98,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/59, Raqm-1459,
وقال أبوعيسى : حديث أبي موسى حديث حسن،
Nasa’i Fi As-Sunan,07/117, Raqm-4100,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/860, Raqm-2575,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad,02/03, Raqm-4467,
Ibrahim At-Turtoosi Fi Musnad ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu, 01/38, Raqm-63,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-798, Raqm-920.]
47/921. “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Suna Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Farmate : Sun Lo! Tum Se Har Ek Nigara’n Hai Aur Har Ek Se Us Kee Raeeyyat Ke Muta’alliq Sawaal Kiya Jaa’ega. Hukmara’n Nigara’n Hai Aur Us Se Us Kee Riaaya Ke Muta’alliq Sawaal Kiya Jaa’ega. Aadami Apne Ghar-Baar Ka Nigara’n Hai Aur Us Se Us Kee Riaaya (Ya’ni Ghar Waalo’n) Ke Muta’alliq Sawaal Kiya Jaa’ega. Aurat Apne Shauhar Ke Ghar Kee Nigara’n Hai Aur Us Se Us Kee Riaaya (Shauhar Ke Ghar) Ke Muta’alliq Sawaal Kiya Jaa’ega. Naukar Apne Maalik Ke Maal Ka Nigara’n Hai Us Se Us Kee Riaaya Ke Muta’alliq Sawaal Kiya Jaa’ega. (Raawi Kehte Hai Mere Khayaal Me Yeh Bhi Farmaya Ki ) Aadami Apne Baap Ke Maal Ka Nigara’n Hai Aur Us Se Us Kee Riaaya Ke Muta’alliq Sawaal Kiya Jaa’ega Aur Tum Se Har Ek Nigara’n Hai Aur Har Ek Se Us Kee Riaaya Ke Muta’alliq Sawaal Kiya Jaa’ega.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih,01/304, Raqm-853,
Bukhari Fi As-Sahih, 02/848, Raqm-2278,
Bukhari Fi As-Sahih, 02/901, Raqm-2416,
Bukhari Fi As-Sahih, 02/906, Raqm-2419,
Bukhari Fi As-Sahih, 05/1988, Raqm-4892,
Bukhari Fi As-Sahih, 05/1996, Raqm-4904,
Bukhari Fi As-Sahih, 06/2611, Raqm-6719,
Muslim Fi As-Sahih, 03/1459, Raqm-1829,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/208, Raqm-1705,
وقال أبوعيسى : حديث ابن عمر حديث حسن صحيح،
Aboo Dawud Fi As-Sunan,03/130, Raqm-2928,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/374, Raqm-9173,
Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/81, 84, Raqm-206, 212, 214,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-798, 799, Raqm-921.]
48/922. “Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Riwayat Karti Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Hazrat Jibra’il ‘Alayh-is-Salam Hamesha Mujh Hamsaaye Ke Huqooq Ke Baare Me Us Qadar Taakid Karte Rahe Yaha’n Tak Ki Mujhe Khayaal Aane Laga Ki Yeh Use (Ya’ni Padosi Ko) MAale Wirasat Me Hissadar Bana Denge.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2239, Raqm-5668, 5669,
Muslim Fi As-Sahih, 04/2025, Raqm-2624, 2625,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/333, Raqm-1942, 1943,
وحسنه،
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/338, Raqm-5151, 5152,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1211, Raqm-3673, 3673,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/85, Raqm-5577,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-799, 800, Raqm-922.]
49/923. “Hazrat ‘Amr Bin Shu’ayb RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ba Waasta Apne Waalid Apne Daada Se Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Woh Shakhs Hum Me Se Nahin Hai Jo Hamaare Chhoton Par Raham Na Kare Aur Hamare Badon Kee Qadar Wa Manzilat Na Pahchaane.”
رواه الترمذي وأبوداود.
وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن صحيح.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/322, Raqm-1920,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/286, Raqm-4941,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad,02/222, Raqm-7073,
وسنده حسن، وافي الباب : أن ابن عباس رضي الله تعالى عنهما عند أحمد، ١/٢٥٧، وان أنس رضي الله تعالى عنه عند الترمذي (١٩٢٠)، وان عبادة بن الصامت رضي الله عنه أحمد، ٥/٣٢٣، وزاد فيه : (ويعرف العالمنا) وسنده حسن،
Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/131, Raqm-209,
Bukhari An Abi Hurairah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/129, Raqm-353,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-800, Raqm-923.]
50/924. “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Tum Janaza Dekhon To Khade Ho Jaao Jo Janaza Ke Saath Jaa’e To Us Waqt Tak Na Baythe Jab Tak Ki Janaza Rakh Na Diya Jaa’e.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih,01/441, Raqm-1248, Muslim Fi As-Sahih, 02/660, Raqm-959,
Nasa’i Fi As-Sunan, 04/43, Raqm-1914,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/51, Raqm-11494,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 20/386, Raqm-1157,
Daylami Munad-ul-Firdaws, 01/262, Raqm-1018,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-801, Raqm-924.]
51/925. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kitne Ayse Log Hote Hain Jo (Zaahiran) Paraaganda Haal Hote Hain Jinhein Darwazon (Ke Baahar Hee) Se Dhutkaar Diya Jaata Hai (Lekin Allah Ta’ala Ke Ha’n Un Ka Yeh Maqaam Hota Hai Ki) Agar Woh Kisi Muaamle Me Allah Ta’ala Kee Qasam Khaa Le To Woh Use Zaroor Poora Farma Deta Hai.”
–
[Muslim Fi As-Sahih, 04/2024, Raqm-2622,
Muslim Fi As-Sahih, 04/2191, Raqm-2854,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 07,331, Raqm-10482,
Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam Fi Sharh Khamsina Hadithan Min Jawami’ Al-Kalim, 10/105,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/73, Raqm-4849,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-801, Raqm-925.]
52/926. “Hazrat Sahal Bin Sa’d RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Mawi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Mein Aur Yatim Kee Kafaalat Karne Waala Jannat Me Is Tarah Honge. Aur Apni Shahadat Aur Darmiyani Ungali Se Ishaara Kiya Aur Dono’n Ke Darmiyan Kuchh Faaslah Rakkha.”
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2032, Raqm-4998,
Bukhari Fi As-Sahih, 05/2237, Raqm-5659,
Muslim Fi As-Sahih, 04/2287, Raqm-2983,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/321, Raqm-1918,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/338, Raqm-5150,
Malik Fi Al-Muwatta’, 02/948, Raqm-1700,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/333, Raqm-22871,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-801, 802, Raqm-926.]
53/927. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Bewa Aurat Aur Miskin Ke Liye Koshish Karne Waala Khuda Ke Raaste Me Jihaad Karne Waale Kee Tarah Hai (Rawi Kehte Hain) Mera Khayal Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Woh Us Qiyaam Karne Waale Kee Tarah Hain Jo Thakta Nahin Aur Us Rozadar Kee Tarah Hai Jo Iftaar Nahin Karta.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2047, Raqm-5038,
Bukhari Fi As-Sahih, 05/2237, Raqm-5660,
Muslim Fi As-Sahih, 04/2286, Rqam-2982,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/346, Raqm-1969, Nasa’i Fi As-Sunan, 05/86, Raqm-2577,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/724,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/361, Raqm-8717,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-802, 803, Raqm-927.]
54/928. “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Shakhs Ne Do² Betiyon Kee Parwarish Kee Yaha’n Tak Kie Woh Baaligh Ho Ga’i Qiyaamat Ka Din Aa’ega To Woh (Shakhs) Aur Me Us Tarah Honge Aur Apni Ungaliyo’n Ko Mila Diya.”
رواه مسلم والترمذي. وقال الترمذي : هذا جديس حسن.
–
[Muslim Fi As-Sahih, 04/2027, Raqm-2631,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/319, Raqm-1914,
Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/308, Raqm-894,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/196, Raqm-7350,
وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد،
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/176, Raqm-557,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 06/404, Raqm-8674,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-803, Raqm-928.]
55/929. “Hazrat Aboo Darda’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Suna Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Farmate : Mujhe Kamzor Logo’n Me Talaash Karo, Kyoo’n Ki Tumhein Kamzor Logo’n Kee Badaulat Hee Madad Dee Jaati Hai Aur Unhi’n Kee Badaulat Tumhein Rizq Ata Kiya Jaata Hai.”
رواه الترمذي وأبوداود والنسائي. وقال الترمذي : هذا حديث حسن صحيح.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/206, Raqm-1702,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/32, Raqm-2594,
Nasa’i Fi As-Sunan, 06/45, Raqm-3179,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 03/345, Raqm-590,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/157, Raqm-2641,
وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد،
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 11/85, Raqm-4767,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/198, Raqm-21779,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/71, Raqm-4843,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-803, 804, Raqm-929.]
56/930. “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Amr Bin Aas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Dunya Saazo Saamaan Kee Jagah Hai Aur Is Dunya Ka Behtareen Sarmaaya (Wa Daulat) Nek Aurat Hai.”
–
[Muslim Fi As-Sahih, 02/1090, Raqm-1467,
Nasa’i Fi As-Sunan, 06/69, Raqm-3232,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 09/340, Raqm-4031,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/168, Raqm-6567,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 08/281, Raqm-8639,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-804, Raqm-930.]
57/931. “Hazrat Ummi Salmah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Aurat Is Halat Me Faut Ho Ga’i Kee Us Ka Khaawind Us Se Raazi Tha, Woh Jannat Me Daakhil Ho Ga’i.”
رواه الترمذي ابن ماجه. وقال الترمذي : هذا حديث حسن.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 03/466, Raqm-1161,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/595, Raqm-1854,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/191, Raqm-7328,
وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد،
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 12/331, Raqm-6903,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 23/421, Raqm-8744,
Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/445, Raqm-1541,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 03/33, Raqm-2969,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-804, 805, Raqm-931.]
58/932. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Momin Me Se Kaamil Momin Woh Hai Jo Un Me Se Behtareen Akhlaaq Ka Maalik Hai Aur Tum Me Se Behtareen Shakhs Woh Hai Jo Apni Biwi Ke Liye Behtareen Hai.”
رواه الترمذي وأحمد وابن حبان. وقال الترمذي : هذا حديث حسن صحيح، وقال حاكم : هذا حديث صحيح.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 03/466, Raqm-1162,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/472, Raqm-10110,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/227, Raqm-479,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/43, Raqm-02,
Darami Fi As-Sunan, 02/415, Raqm-2792,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 07/237, Raqm-4240,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-805, Raqm-932.]
59/933. “Hazrat Aaishah Siddiqah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Farmati Hain Ki Hamein Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hukm Diya Hai Ki Hum Logo’n Ko Un Ke Maqqam-o Martaba Ke Mutaabiq Jagah De.”
–
[Muslim Fi As-Sahih, 01/06,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 08/246, Raqm-4826,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 07/462, Raqm-10999,
Ahmad Bin Hanbal Fi Az-Zuhd, 01/50, Raqm-91,
Hakim At-Tirmidhi Fi Nawadir-ul-Usool Fi Ma’rifati Ahadith-ir-Rasool ﷺ , 01/409,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-805, 806, Raqm-933.]
60/934. “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Raaston Me Baythne Se Bachte Rehna. Sahaba Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Hamein Aysee Jag’hon Par Baythne Ke Siwa Chaaraekaar Nahin Kyon Ki Hum Baat-Cheet Karte Hain. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Agar Tumhara (Raaston Kee) Majaalis Me Baythna Zaroori Hai To Raaste Ka Haqq Ada Kar Diya Karo. Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Raaste Ka Haqq Kya Hai? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Nazre Nichi Rakhna, Taklif Deni Waali Chhiz Ka Raaste Se Hata Dena, Salaam Ka Jawaab Dena, Achchhi Baaton Ka Hukm Karna Aur Buri Baaton Se Mana’ Karna (Raaste Ka Haqq Hai).”
Mutaafaque Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2300, Raqm-5875,
Bukhari Fi As-Sahih, 02/870, Raqm-2333,
Muslim Fi As-Sahih, 04/1704, Raqm-2121,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/256, Raqm-04/256, Raqm-4815,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/47, Raqm-11454,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 07/89, Raqm-13291,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 04/364, Raqm-5423, 9086,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-806, Raqm-934.]