Fasl-03 :
Bid’ate Hasanah Aur Sunnat Se Us Kee Asl Ke Suboot Ka Bayan
16/865. “Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Wisaal Se Pehle Bakasarat Yeh Kalimaat Farmate They (سُبْحاَنَكَ اللَّهُمَّ رَبَّنَا وَبِحَمْدِكَ، أَسْتَغْفِرُكَ وَأَتُوْبُ إِلَيْكَ) Mein Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Ab Aapne Yeh Naye Kalimaat Kyun Padhne Shuroo Kar Di’e Jinhein Mein Aap Ko Padhte Hu’e Dekhti Hoo’n. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Ne Meri Ummat Kee Ek Alaamat Mukarrar Kar Rakhee Hai Jab Mein Ummat Me Is Alaamat Ko Dekhta Hoo’n To Soorah (إِذَا جَاءَ نَصْرُ اللَّهِ وَالْفَتْحُ) Padhta Hoo’n (Is Soorat Me Jo Hukm Hai Us Par Amal Karta Hoo’n).”
–
[Muslim Fi As-Sahih,01/351, Raqm-484,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/42, Raqm-29332,
Aboo Nu’aym Fi Al-Musnad Al-Mustakhraj, 02/98, Raqm-1076,
Tabarani Jaame’-ul-Bayan, 30/334,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-762, Raqm-865.]
17/866. “Hazrat Raafi’ Bin Khudeej RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Jab Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Gird Jam’a Hote Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam (Majlis Khatm Hone Ke Baa’d) Uthne Lagte To Farmate : ˝Aye Allah! Tere Liye Hee Paaki Hai Aur Tere Liye Hee Tamam Taareefein Hain. Mein Gawahi Deta Hoo’n Ki Tere Siwa Koi Ma’bood Nahin. Mein Tujh Se Maghfirat Talab Karta Hoo’n Aur Teri Taraf Hee Rujooa Karta Hoo’n, Khwaah Mein Ne Koi Bura Amal Kiya Hai Ya Apne Oopar Zulm Kiya Hai. Phir Too Mujhe Bakhsh De Yaqeenan Tere Siwa Koi Bhi Gunaah Maaf Nahin Kar Sakta. To Hum Ne Az Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Aapne Yeh Naye Kalimaat Padhe Hain. Farmaya : ˝Ha’n! Abhi Mere Paas Jibra’il Aa’e They, Mujh Se Kaha : Aye Muhammad Mustafa ﷺ! Yeh Alfaz Majaalis Ka Kaffara Hain.”
رواه النساءي والحاكم وصححه.
وقال المنذرى: رواه الطبراني في الثالثة باختصار بإسناد جيد.
–
[Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/113, Raqm-1020,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/320, Raqm-427,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/721, Raqm-1972,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/264, Raqm-2339,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-762, 763, Raqm-866.]
18/867. “Hazrat Mujahid RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Mein Aur Hazrat Urwa Bin Jubair RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Masjid Me Daakhil Hu’e To Waha’n Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Hujare Ke Paas Baithe Hu’e They Aur Log Masjid Me Chaast Kee Namaz Padh Rahe They. Hum Ne Un Logo’n Kee Namaz Ke Muta’alliq Poochha To Unhone Farmaya : Bid’at (Hasana) Hai.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 02/230, Raqm-1685,
Muslim Fi As-Sahih, 02/917, Raqm-1255,
Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 04/358, Raqm-3070,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 09/269, Raqm-3945,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/128, Raqm-6126,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 02/172, Raqm-616,
Ibn Rahwayh Fi Al-Musnad, 03/614, Raqm-1187,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,03/52, Raqm-1121,
Mubarkfoori Fi Tuhfat-ul-Ahwadhi Bi-Sharh Jaame’ At-Tirmidhi, 04/05,
Nawawi Fi Sharh Sahih Muslim, 08/237,
Zayla’iy Fi Nasb-ur-Rayah Takhrij Ahadith Al-Hidayah, 03/94,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-763, 764, Raqm-867.]
19/868. “Hazrat Aarij RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Namaze Chaasht Ke Muta’alliq Sawal Kiya Jab Woh Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Huzara-e Mubarak Kee Pusht Se Tek Lagaaye Baithe They. To Unhone Farmaya : Bid’at Aur Bohat Hee Achchhi Bid’at Hai.”
رواه ابن أبي شيبة بإسناد صحيح.
–
[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 02/172, Raqm-7775,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,03/52, Raqm-1121,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-764, Raqm-868.]
20/869. “Hazrat ‘Abd-ir-Rahman Bin ‘Abd-il-Qari Riwayat Karte Hain Ki Mein Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Saath Ramzan Ki Ek Raat Masjid Ki Taraf Nikala To Log Mutfarriq They Koi Tanha Namaz Padh Raha Tha Aur Koi Giroh Ke Saath. Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Mere Khayal Me Unhe’n Ek Qaari Ke Peechhe Jam’a Kar Diya Jaa’e To Achchha Hoga Pas Hazrat Abi Bin Qa’ab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Peechhe Sab Ko Jam’a Kar Diya Gaya Phir Mein Ek Doosri Raat Ko Un Ke Saath Nikala Aur Log Apne Qaari Ke Peechhe Namaz Padh Rahe They. Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Yeh Kitni Achchhi Bid’at Hai, Aur Jis Namaz (Tahajjud) Se Yeh So’e Rehte Hain Us Se Behtar Hai Jis Ka Qiyaam Karte Hain (Ya’ni Taraweeh Se). Muraad Hai Aakhir Raat Jab Ki Log Raat Ke Pehle Pahar Qiyaam Karte They. (Ya’ni Tahajjud Kee Namaz Taraweeh Se Afzal Hai.)”
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 02/707, Raqm-1906,
Malik Fi Al-Muwatta’, 01/114, Raqm-650,
Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 02/155, Raqm-155,
Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 04/258, Raqm-7723,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 12, 493, Raqm-4378,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/177, Raqm-3269,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-764, 765, Raqm-869.]
21/870. “Hazrat Jareer Bin ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Shakhs Islam Me Kisi Nek Kaam Ki Bunyaad Daale To Us Ke Liye Us Ke Liye Us Ke Apne Aamaal Ka Bhi Sawaab Milta Hai Aur Jo Log Us Ke Baa’d Us Par Amal Karenge Us Ka Sawaab Bhi Hai. Baghair Is Ke Ki Un Ke Sawaab Me Koi Kami Kee Jaa’e Aur Jis Ne Islam Me Kisi Buri Baat Ki Ibtida Ki To Us Par Us Ke Apne Aamaal Ka Bhi Gunaah Hai Aur Jo Log Us Ke Baa’d Us Par Amal Karenge Us Par Un Ka Gunaah Bhi Hai Baghair Is Ke Ki Un Ke Gunaah Me Kuchh Kami Ho.”
–
[Muslim Fi As-Sahih, 02/704, Raqm-Raqm-1017,
Muslim Fi As-Sahih, 04/2059, Raqm-1017,
Nasa’i Fi As-Sunan, 05/75, Raqm-2554,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/74, 75, Raqm-203, 206, 207,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/358,
Darami Fi As-Sunan, 01/140, Raqm-512,
Bazzar Fi Al-Musnad, 07/366, Raqm-2963,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-765, 766, Raqm-870.]
22/871. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Ne Hidaayat Kee Taraf Bulaaya Us Ke Liye Us Raaste Par Chalne Waalo’n Kee Misl Sawaab Hai Aur Un Ke Sawaab Me Se Kuchh Bhi Kam Na Hoga Aur Jis Ne Gunaah Kee Daawat Di Us Ke Liye Bhi Utna Gunaah Hai Jitna Us Bad=Amali Ka Murtakib Hone Waalo’n Par Hai Aur Un Ke Gunaaho’n Me Bhi Koi Kami Nahin Hogi.”
–
[Muslim Fi As-Sahih, 04/2060, Raqm-2674,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/43, Raqm-2674,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/201, Raqm-6409,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/75, Raqm-205, 206,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 01/318, Raqm-112,
Darami Fi As-Sunan, 01/141, Raqm-513,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/397, 9149,
Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 03/494, Raqm-5823,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 11/373, Raqm-6489,
Lalaka’i Fi I’tiqad Ahl As-Sunnah, 01/52, Raqm-06,
Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 01/52, Raqm-113,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-766, Raqm-871.]
23/872. “Hazrat Jareer Bin ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Ne Koi Achchha Tareeqa Jaari Kiya Phir Us Par Amal Kiya Gaya To Us Ke Liye Apna Sawaab Bhi Hai Aur Use Amal Karne Waalo’n Ke Baraabar Sawaab Bhi Milega. Jab Ki Un Ke Sawaab Me Koi Kami (Bhi) Na Hogi Aur Jis Ne Koi Bura Tareeka Jaari Kiya. Phir Woh Tareeqa Apnaaya Gaya To Us Ke Liye Apna Gunaah Bhi Hai Aur Un Logo’n Ke Gunaah Ke Baraabar Bhi Jo Us Par Amal Paira Hu’e. Baghair Us Ke Ki Un Ke Gunahon Me Kuchh Kami Ho.”
رواه الترمزي.
وقال أبو عيس : هذا حديث حسن صحيح.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/43, Raqm-2675,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,13/302,
Mubarkfoori Fi Tuhfat-ul-Ahwadhi Bi-Sharh Jaame’ At-Tirmidhi, 07/365,
Ibn Hazm Fi Al-Muhalla, 08/116,
Ibn Hazm Fi Al-Ihkamu Fi Usool-il-Ahkam,01/11,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-767, Raqm-872.]
24/873. “Hazrat Bilal Bin Haaris RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Ne Mere Baa’d Koi Aisee Sunnat Zinda Kee Jo Murda Ho Chuki Thi. To Us Ke Liye Bhi Utna Hee Ajr Hoga Jitna Us Par Deegar Amal Karne Waalo’n Ke Liye. Baawajood Is Ke Un Ke Ajro Sawaab Me Koi Kami Nahin Aayegi Aur Jis Ne Gumraahi Kee Bid’at Nikaali Jise Allah ‘Azza Wa Jalla Aur Us Ka Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Pasand Nahin Karte To Us Par Utna Hee Gunaah Hai Jitna Us Buraa’i Ka Deegar Irtikaab Karne Waalo’n Par Hai Aur Us Se Un Ke Gunaaho’n Ke Bojh Me Bilkul Kami Nahin Aayegi.”
رواه الترمزي وابن ماجه.
وقال الترمزي : هذا حديث حسن.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/45, Raqm-2677,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/76, Raqm-209, 210,
Bazzar Fi Al-Musnad, 08/314, Raqm-3385,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 17/16, Raqm-10,
Bayhaqi Fi Al-I’tiqad,01/231,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/49, Raqm-97,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-767, 768, Raqm-873.]
25/874. “Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Unhone Farmaya : Jis (Amal) Ko Koi (Ek) Momin Achchha Jaane Woh (Amal) Allah Ta’ala Ke Nazdeek Bhi Achchha Hai Aur Jis Amal Ko Momineen Bura Jaane Woh Khuda Ke Nazdeek Bhi Bura Hai.”
–
[Bazzar Fi Al-Musnad, 05/212, Raqm-1816,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 09/112, Raqm-8583,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/379, Raqm-3600,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/83, Raqm-4465,
Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’,01/375,
Bayhaqi Fi Al-Madkhal Ila As-Sunan-ul-Kubra, 01/114,
Bayhaqi Fi Al-I’tiqad, 01/322,
Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/33, Raqm-246,
Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam Fi Sharh Khamsina Hadithan Min Jawami’ Al-Kalim, 01/254,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-768, Raqm-874.]