Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-10 : ﴾Jaame’ Manaqib Ka Bayaan﴿

Huzoor ﷺ Ke Ahle Bayt Aur Qarabatdaro’n Ke Manaqib Ka Bayan

Fasl-01 :

Huzoor Ke Ahle Bayt Aur Qarabatdaron Ke Manaqib Ka Bayan

01/663.    “Hazrat Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Ek Din Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Hame’n Khutba Dene Ke Liye Makkah Aur Madinah Munawwara Ke Darmiyan Us Taalaab Par Khade Hu’e Jise Khum Kehte Hain.  Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Allah Ta’ala Kee Hamd-o Thana Aur Waa’zo Naseehat Ke Baa’d Farmaya : Aye Logo! Mein To Bas Ek Aadami Hoo’n, ‘Anqareeb Mere Rabb Ka Paighaam Laane Waala Firishta (Ya’ni Firishta-e Azal) Mere Paas Aa’ega Aur Mein Use Labbaik Karunga. Mein Tum Me Do² ‘Azeem Cheeze’n Chhode Ja Raha Hoo’n Un Me Se Pehli Allah Ta’ala Kee Kitab Hai Jis  Me Hidaayat Aur Noor Hai. Allah Ta’ala Kee Kitab Par ‘Amal Karo Aur Use Mazbooti Se Thaam Lo. Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Kitabullah (Kee Taalimaat Par ‘Amal Karne) Kee Targheeb Dee Aur Us Kee Taraf Raaghib Kiya Phir Farmaya : Aur (Doosre) Mere Ahle Bayt Hain. Mein Tumhe’n Apne Ahle Bayt Ke Muta’alliq Allah Kee Yaad Dilaata Hoo’n.  Mein Tumhe’n Apne Ahle Bayt Ke Muta’alliq Allah Kee Yaad Dilaata Hoo’n. Mein Tumhe’n Apne Ahle Bayt Ke Muta’alliq Allah Kee Yaad Dilaata Hoo’n.”

[Muslim Fi As-Sahih, 03/1873, Raqm-2408,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/366, Raqm-19265,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 01/145, Raqm-123,

Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 04/62, Raqm-2357,

Lalaka’i Fi I’tiqad Ahl As-Sunnah,, 01/79, Raqm-88,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/148, Raqm-2679,

Ibn Kathir Fi Tafsir-ul-Qr’an Al-Azim, 03/487,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-605, 606, Raqm-663.]

02/664.    “Hazrat Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mein Tum Me Aisee Do² Cheeze’n Chhode Ja Raha Hoo’n Ki Agar Tum Ne Unhe’n Mazbooti Se Thaame Rakkha To Mere Baa’d Hargiz Gumraah Na Honge Un Me Se Ek Doosri Se Badi Hai Allah Ta’ala Kee Kitab Aasmaan Se Zameen Tak Latki Hu’i Rassi Hai Aur Aur Meri Itarat Ya’ni Ahle Bayt Aur Yeh  Dono’n Hargiz Juda Na Ho’n Gee, Yaha’n Tak Ki Dono’n Mere Paas (Ikat’the) Hawze Kawsar Par Aayegi. Pas Dekho Ke Tum Mere Baa’d Un Se Kya Sulook Karte Ho?”

رواه الترمزي وحسنه والنساءى وأحمد.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/663, Raqm-3788, 3786,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/45, Raqm-8148, 8464,Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/14, 26,59, Raqm-11119, 11227, 11578,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/118, Raqm-4546,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/303, Raqm-10267, 1140,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/374, Raqm-3439,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/226, Raqm-323,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/65, Raqm-2678,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/133, Raqm-30081,

Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 02/644, Raqm-1553,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-606, Raqm-664.]

03/665.    “Hazrat Jaabir Bin ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Farmate Hai Ki Mein Ne Suna Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Farma Rahe They : Aye Logo’n! Mein Tumhaare Darmiyan Aisee Cheeze’n Chhod Raha Hoo’n Ki Agar Tum Inhe’n Pakde Rakkhoge To Hargiz Gumraah Na Honge (Un Me Se Ek) Allah Kee Kitab Aur (Doosri) Mere Ahle Bayt Hain.”

رواه الترمذي وحسنه والطبراني.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/662, Raqm-3786,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05/89, Raqm-4757,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/66, Raqm-2680,

Ibn Kathir Fi Tafsir-ul-Qr’an Al-Azim, 04/114,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-606, 607, Raqm-665.]

04/666.    “Hazrat Aaishah Siddiqah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Bayan Karti Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Sub’h Ke Waqt Ek Ooni Munaqqash Chaadar Odhe Hu’e Baahar Tashreef Laa’e To Aap Ke Paas Hazrat Hasan Bin Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Aa’e To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Unhe’n Us Chaadar Me Daakhil Kar Liya Phir Hazrat Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Aa’e Aur Woh Bhi Un Ke Humraah Chaadar Me Daakhil Ho Ga’e Phir Sayyidah Fatimah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Aa’i’n Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Unhe’n Bhi Us Chaadar Me Daakhil Kar Liya. Phir Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Aa’e To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Unhe’n Bhi Chaadar Me Le Liya Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Yeh Aayate Mubaraka Padhi : ˝Ahle Bayt!  Tum Se Har Qism Ke Gunaaah Ka Mail (Aur Shako-Nuqs Kee Gard Tak) Door Kar De Aur Tumhe’n (Kaamil) Tahaarat Se Nawaaz Kar Bilkul Paak Saaf Kar De. ˝[Al-Ahzab, 33 : 33]”

[Muslim Fi As-Sahih, 04/1883, 2424,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/370, Raqm-32102,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/159, Raqm-4707, 4709,

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح،

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/149, Raqm-2680,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-607, 608, Raqm-666.]

05/667.    “Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Parwarda Hazrat ‘Umar Bin Aboo Salma RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hai Ki Jab Umm-ul-Mu’minin Ummi Salmah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ke Ghar Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Yeh Aayat ˝Pas Allah Yahi Chaahta Hai Ki (Rasool Allah ﷺ Ke) Ahle Bayt Tum Se Har Qism Ke Gunaaah Ka Mail (Aur Shako-Nuqs Kee Gard Tak) Door Kar De Aur Tumhe’n (Kaamil) Tahaarat Se Nawaaz Kar Bilkul Paak Saaf Kar De˝[Al-Ahzab, 33 : 33]  Naazil Hu’i To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Sayyidah Fatimah Aur Hasnain Kareemain سﻻم الله عليهم Ko Bulaaya Aur Unhe’n Ek Kamlee Me Dhaanp Liya Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Peechhe They.  Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Unhe’n Bhi Kamlee Me Dhaanp Liya Phir Farmaya : ˝Aye Allah!  Yeh Mere Ahle Bayt Hain Pas In Se Har Qism Kee Aaloodagee Door Farma Aur Inhe’n Khoob Paak-o Saaf Kar De.  Sayyidah Umme Salama RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ne ‘Arz Kiya : Aye Allah Ke Nabi ﷺ!  Mein (Bhi) In Ke Saath Hoo’n. Farmaya Tum Apni Jagah Raho Aur Tum To Behtar Maqam Par Fa’iz Ho.”

رواه الترمذي والطبراني.

وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/351, Raqm-3205,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/699, Raqm-3871,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/134, Raqm-3799,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-608, Raqm-667.]

06/668.    “Hazrat Sa’iyd Bin Abi Waqqas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Jab Aayate Mubaahila Naazil Hu’i : ˝Aap Farma De’n Ki Aa Jaao Hum (Mil Kar) Apne Beto’n Ko Aur Tumhaare Beto’n Ko Aur Apni Aurto’n Ko Aur Tumhari Aurto’n Ko Aur Apne Aap Ko Bhi Aur Tumhe’n Bhi (Ek Jagah Par) Bula Lete Hain.˝[Al-Imran, 03 : 61] To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat ‘Ali, Hazrat Fatimah, Hazrat Hasan Aur Husayn عليهم السلام  Ko Bulaaya Phir Farmaya : Ya Allah!  Yeh Mere Ahle Bayt Hain.”

رواه مسلم والترمذي وأحمد والنساءى.

وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن.

[Muslim Fi As-Sahih, 04/1871, Raqm-2404,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/225, Raqm-2999,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/638, Raqm-3764,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/185, Raqm-1608,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/107, Raqm-8399,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/163, Raqm-4719,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 07/63, Raqm-13169, 13170,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-609, Raqm-668.]

07/669.    “Hazrat ‘Abbas Bin ‘Abd-il-Muttalib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Mein Ne Bargahe Risalat SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Me ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Quraish Jab Aapas Me Milte Hain To Haseen Muskuraate Chehro’n Se Milte Hain Aur Jab Hum Se Milte Hai To (Jazbaat Se Aari) Aise Aise Chehro’n Ke Saath Milte Hai Jinhe’n Hum Nahin Jaante.  Hazrat ‘Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Yeh Sun Kar Shadeed Jalaal Me Aa Ga’e Aur Farmaya : Us Zaat Kee Qasam Jis Ke Qabza-e Qudrat Me Meri Jaan Hai Kisi Bhi Shakhs Ke Dil Me Us Waqt Tak Imaan Daakhil Nahin Ho Sakta, Jab Tak Allah Ta’ala Aur Us Ke Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Aur Meri Qaraabat Kee Khaatir Tum Se Mahabbat Na Kare.”

Ek Aur Riwayat Me Hai Ki Farmaya : Khuda Ki Qasam Kisi Shakhs Ke Dil Me Us Waqt Tak Imaan Daakhil Na Hoga Jab Tak Allah Ta’ala, Us Ke Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Aur Meri Qaraabat Kee Wajah Se Tum Se Mahabbat Na Kare.”

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/207, Raqm-1772, 1777, 17656, 17657, 17658,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/376, Raqm-5433, 2960,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/51, Raqm-8176,

Bazzar Fi Al-Musnad, 06/131, Raqm-2175,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/188, Raqm-1501,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 04/361, Raqm-7037,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-609, 610, Raqm-669.]

08/670.    “Hazrat ‘Abbas Bin ‘Abd-il-Muttalib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Anhuma Bayan Karte Hai Ki Hum Jab Quraish Kee Jam’a’at Se Milte Aur Woh Baaham Guftagoo Kar Rahe Hote To Guftagoo Rok Dete. Hum Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Bargah Me Is Baat Kee Shikaayat Kee To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Logo’n Ko Kya Ho Gaya Hai Jab Mere Ahle Bayt Se Kisi Ko Dete Hain To Guftagoo Rok Dete Hai? Allah Rabb-ul-Izzat Ki Qasam!  Kisi Shakhs Ke Dil Me Us Waqt Tak Iman Daakhil Nahin Hoga Jab Tak In (Ya’ni Mere Ahle Bayt) Se Allah Ta’ala Ke Liye Aur Meri Qaraabat Kee Wajah Se Mahabbat Na Kare.”

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/50, Raqm-140,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/85, Raqm-6960,

Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah,08/382, Raqm-472,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 04/113, Raqm-6350,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-610, 611, Raqm-670.]

09/671.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mere Ahle Bayt Kee Misaal Hazrat Nooh ‘Alayh-is-Salam Kee Kashtee Kee Tarah Hai Jo Us Me Sawaar Ho Gaya Woh Nijaat Paas Gaya Aur Jo Us Se Peechhe Rah Gaya Woh Gark Ho Gaya.”

“Aur Ek Riwayat Me Hazrat ‘Abd Allah Bin Zubair RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Farmaya : Jo Us Me Sawaar Hua Woh Salaamati Pa Gaya Aur Jis Ne Use Chhod Diya Woh Gark Ho Gaya.”

[Tabarani Al-Mu’jam-ul-Kabir 12/34, Raqm-2388, 2638, 2638, 2636,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/10, Raqm-3478,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05/355, Raqm-5536,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 06/85, Raqm-5870,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/240, Raqm-391,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 02/84, Raqm-825,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/163, Raqm-4720,

Bazzar Fi Al-Musnad, 09/343, Raqm-3900,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 01/238, Raqm-912,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-611, Raqm-671.]

10/672.    “Hazrat ‘Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hai Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Suna Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Farmate : Qiyaamat Ke Din Mere Hasubo Nasab Ke Siwaye Har Silsila-e Nasab Munqata’ Ho Jaa’ega.”

رواه عبد الرازق والحاكم واللفظ له والطبراني وإسناده حسن.

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/153, Raqm-4684,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/44, Raqm-2633, 2634,  2635,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05/376, Raqm-5606,

Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 06/163, Raqm-10354,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 07/63, Raqm-13171,

Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah,01/197, Raqm-101,

وقال : إسناده حسن،

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 03/255, Raqm-4755,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/173,

وقال : إسناده حسن.

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-612, Raqm-672.]

11/673.    “Hazrat Jaabir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Har Maa Ke Beto’n Ka Aabaa’i Khaandaan Hota Hai Jis Kee Taraf Woh Mansoob Hote Hain Siwaaye Fatimah Ke Beto’n Ke, Pas Mein Hee Un Ka Waali Hoo’n Aur Mein Hee Un Ka Nasab Hoo’n.”

رواه الحاكم وأبو يعلى.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد.

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/179, Raqm-4770,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/109, Raqm-6741,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/44, Raqm-2631, 2632,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-612, Raqm-673.]

12/674.    “Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Yeh Suna : ˝Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Farmate : Har Aurat Kee Aulaad Ka Nasab Apni Baap Kee Taraf Hota Hai Siwaaye Awlaade Fatimah Ke, Kyun Ke Mein Hee Un Ka Nasab Aur Mein Hee Un Ka Baap Hoo’n.”

[Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 03/234, Raqm-4787,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 04/224,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-612, 613, Raqm-674.]

13/675.    “Hazrat Jaabir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Yaqeenan Allah Ta’ala Ne Har Nabi Kee Aulaad Us Kee Sulb  Me Rakhi Aur Be Shak Allah Ta’ala Ne Meri Aulaad ‘Ali Ibn Abi Talib Ke Sulb Me Rakhi Hai.”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/43, Raqm-2630,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 01/172, Raqm-643,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/172,

Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 02/223,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-613, Raqm-675.]

14/676.    “Hazrat Aboo Mas’ood Ansari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Ne Namaz Padhi Aur Mujh Par Aur Mere Ahle Bayt Par Durood Na Padha Us Kee Namaz Qubool Na Hogi.  Hazrat Aboo Mas’ood Ansari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain : Agar Mein Namaz Padhoo’n Aur Us Me Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Durood Na Padhoo’n To Mein Nahin Samajhta Ki Meri Namaz Kaamil Hogi.”

[Daraqutni Fi As-Sunan, 01/355, Raqm-06,07,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/530, Raqm-3929,

Ibn Jawzi Fi At-Tahqiq Fi Ahadith Al-Khilaf,  01/402, Raqm-544,

Shawkani Fi Nayl-ul-Awtar Min Asrar Muntaqa Al-Akhbar, 02/322,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-613, 614, Raqm-676.]

15/677.    “Hazrat Huzayfa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ek Firishta Jo Is Raat Se Pehle Kabhi Zameen Par Na Utara Tha Us Ne Apne Parwardigar Se Ijaazat Maangi Ke Mujhe Salam Kare Aur Mujhe Yeh Khushkhabri De’n Ki Hazrat Fatimah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ahle Jannat Kee Tamam Aurto’n Kee Sardar Hain Aur Hasan Wa Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Jannat Ke Tamam Jawaano’n Ke Sardar Hain.”

رواه الترمذي والنساءي وأحمد.

وقال الترمذي : هذا حديث حسن.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/660, Raqm-3781,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 80,95, Raqm-8298, 8365,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/58, 76, Raqm-193, 260,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/391, Raqm-23329,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/788, Raqm-1406,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/388, Raqm-32271,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/164, Raqm-4721, 4722,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/402, Raqm-1005,

Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 04/190,

Bayhaqi Fi Al-I’tiqad : 328,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-614, Raqm-677.]

16/678.    “Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Bayan Karte Hai Ki Woh Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Bargahe Aqdas Me Haazir Hu’e Us Waqt Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Chaadar Bichhaa’i Hu’i Thi Pas Us Par Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam (Ba Nafse Nafees) Hazrat ‘Ali,  Hazrat Fatimah, Hazrat Hasan Aur Husayn عليهم السلام  Bayth Ga’e Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Us Chaadar Ke Kinaare Pakde Aur Un Par Daal Kar Us Me Girah Laga Dee Phir Farmaya : Aye Allah!  Too Bhi In Se Raazi Ho Ja.  Jis Tarah Mein In Se Raazi Hoo’n.”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05/348, Raqm-5514,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/169,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-614, 615, Raqm-678.]

17/679.    “Hazrat ‘Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hai Ki Woh RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Sahabzadi Sayyidah Fatimah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ke Yaha’n Ga’e Aur Kaha : Aye Fatimah! Khuda Kee Qasam Mein Ne Aap Ke Siwaaye Kisi Shakhs Ko Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Najdeek Mehboob Tar Nahin Dekha Aur Khuda Kee Qasam! Logo’n Me Se Mujhe Bhi Aap Ke Waalid Mohtaram Ke Baa’d Aap Se Ziyaada Mahboob Nahin.”

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/167, Raqm-4736,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/432, Raqm-37045,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad,  01/364,

Ibn Abi ‘Asim Fi Al-Ahadu Wa’l-Mathani, 05/360, Raqm-2952,

Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 04/401,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-615, Raqm-679.]

18/680.    “Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Farmate Hai Ki Hazrat Hasan ‘Alayh-is-Salam Seene Se Sar Tak Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Misl Hain Aur Hazrat Husayn ‘Alayh-is-Salam Seene Se Neeche Tak Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Misl Hain.”

رواه الترمذي وأحمد وابن حبان.

وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن صحيح.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/660, Raqm-3779,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/99, Raqm-774, 754,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/430, Raqm-6974,

Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/91, Raqm-130,

Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah,02/394, Raqm-780,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-615, 616, Raqm-680.]

19/681.    “Hazrat Shu’bah Bin Kuhayl Se Riwayat Karte Hai Ki Mein Ne Aboo Tufail Se Suna Ki Aboo Sareeha….. Ya Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma…. (Hazrat Shu’bah Ko Raawi Ke Muta’alliq Shak Hai) Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka ‘Ali Mawla Hai. Hazrat Shu’bah Ne Is Hadith Ko Maymoon Aboo ‘Abd Allah Se, Unhone Zayd Bin Arqam Se Aur Unhone Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Riwayat Kiya.”

رواه الترمذي.

وقال هذا حديث حسن صحيح.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/633,Raqm-3713,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 05/195, 204, Raqm-5071, 5096.

روي هذا الحديث عن حبشى بن جنادة في الكتب الآتية:

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/134, Raqm-3652,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 12/78, Raqm-12593,

Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 12/343,

Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-Kabir, 45/77, 144,

Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 05/451,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/108.

روي هذا الحديث عن جابر بن عبد الله رضي الله عنها في الكتب الآتية:

Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah : 602, Raqm-1355,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/366, Raqm-32072.

وقد روي هذا الحديث عن أيوب الأنصاري في الكتب الآتية:

Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah : 602, Raqm-1354,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir,. 04/173, Raqm-4052,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/229, Raqm-348.

روي هذا الحديث عن بريدة في الكتب الآتية:

Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 11/225, Raqm-20388,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/71,

Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-Kabir, 45/143.

روي هذا الحديث عن بريدة في الكتب الآتية:

Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah : 601, Raqm-1353,

Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-Kabir, 45/146,

Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 05/457,

Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-Ummal, 11/602, Raqm-32904.

روي هذا الحديث عن مالك بن حويرث في الكتب الآتية:

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 19/252, Raqm-646,

Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-Kabir, 45/177,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/106,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-616, 617, Raqm-681.]

20/682.    “Hazrat Jumay’a Bin ‘Umar Taymi Bayan Karte Hai Ki Mein Apni Phoophi Ke Humraah Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ki Khidmat Me Haazir Hua. Sayyidah Aaishah Siddiqah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Poochha Gaya Ki Logo’n Me Se Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Haa’n Kaun Ziyaada Nazdeek Tha?  Umm-ul-Mu’minin RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ne Farmaya : Fatimah (سﻻم الله عليها), ‘Arz Kiya Gaya : Mardo’n Me Se (Kaun Ziyaada Mehboob Tha) Farmaya : Un Ke Shauhar Aur Jaha’n Tak Mein Jaanti Hoo’n Woh Bohat Ziyaada Roze Rakhne Waale Aur Raato’n Ko ‘Ibadat Ke Liye Bohat Qiyam Kar Ne Waale They.”

رواه الترمزي وأبو يعلى والحاكم.

وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/701, Raqm-3874,

Aboo Ya’la Fi Al-Mu’jam, 01/128, Raqm-235,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/171, Raqm-4744,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/403,  404, Raqm-1008, 1009,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-617, Raqm-682.]

21/683 .   “Hazrat Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat ‘Ali, Hazrat Fatimah, Hazrat Hasan Aur Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Ajma’iyn Se Farmaya : Tum Jis Se Ladoge Mein Us Ke Saath Haalate Jung Me Hoo’n Aur Jis Se Tum Sulh Karne Waale Ho Mein Bhi Us Se Sulh Karne Waala Hoo’n.”

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/699, Raqm-3870,

Ibn Majah As-Sunan 01/52, Raqm-145,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/161, Raqm-4714,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05/182, Raqm-5015,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/40, Raqm-2620,

Saydawi Fi Mu’jam Al-Shuyookh, 01/133, Raqm-85,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-618, Raqm-683.]

22/684.    “Hazrat ‘Abd-ir-Rahman Bin Aboo Layla RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Apne Waalid Se Riwayat Karte Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ko’i Banda Us Waqt Tak Momin Nahin Ho Sakta Jab Tak Ki Mein Us Ke Nazdeek Us Kee Jaan Se Bhi Mehboob Tar Na Ho Jaaoo’n Aur Mere Ahle Bayt Use Us Ke Ahle Khaana Se Mehboob Tar Na Ho Jaa’e’n Aur Meri Aulaad Use Apni Aulaad Se Badhkar Mehboob Na Ho Jaa’e Aur Meri Zaat Use Apne Jaat Se Mahboob Tar Na Ho Jaa’e.”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 07/75, Raqm-6416,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 06/59, Raqm-5790,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/189, Raqm-1505,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 05/154, Raqm-7795,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 01/88,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-618, Raqm-684.]