Fasl-02 :
Khulafa-e Rashideen Aur Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ke Manaqib Ka Bayan
23/685. “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mere Sahaba Ko Bura Mat Kaho, Agar Tum Me Se Ko’i Uhad Pahaad Ke Baraabar Bhi Sona Kharch Kar De To Phir Bhi Woh Un Ke Ser Bhar Ya Us Se Aadhe Ke Baraabar Bhi Nahin Pahonch Sakta.”
Ise Bukhari Ne Riwayat Kiya Hai Aur Imame Muslim Ne Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se In Alfaz Ke Izaafe Ke Saath Riwayat Kiya Hai : “Mere Sahaba Ko Bura Mat Kaho, Mere Sahaba Ko Bura Mat Kaho (Do² Martaba Farmaya) Qasam Hai Us Zaat Kee Jis Ke Qabza-e Qudrat Me Meri Jaan Hai Phir Usee Tarah Poori Hadith Bayan Kee.”
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1343, Raqm-3470,
Muslim Fi As-Sahih, 04/1967, Raqm-2540,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/695, Raqm-3861,
وقال : هذا حديث حسن صحيح،
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/214, Raqm-4658,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/57, Raqm-161,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/84, Raqm-8308,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/11, Raqm-11094, 11534, 11535, 11626,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 16/238, Raqm-7253,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/342, Raqm-1087,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/404, Raqm-32404,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/212, Raqm-687,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-619, 620, Raqm-685.]
24/686. “Hazrat ‘Abd Allah Bin Mughaffal Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : ˝Mere Sahaba Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ke Baare Me Allah Ta’ala Se Daro, Allah Se Daro Aur Mere Baa’d Inhe’n Tanqeed Ka Nishaana Na Banaana, Kyun Ke Jis Ne In Se Mahabbat Kee Us Ne Meri Wajah Se Un Se Mahabbat Kee Aur Jis Ne Un Se Bughz Rakkha Us Ne Mere Bughz Kee Wajah Se Un Se Bughz Rakkha Aur Jis Ne Unhe’n Takleef Pahonchaa’i Us Ne Mujhe Takleef Pahonchaa’i Aur Jis Ne Mujhe Takleef Pahonchaa’i Us Ne Allah Ta’ala Ko Takleef Pahonchaa’i Aur Jis Ne Allah Ta’ala Ko Takleef Pahonchaa’i Anqareeb Allah Ta’ala Use Pakdega.”
رواه الترمذي وأحمد وابن أبي عاصم.
وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/696, Raqm-3862,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/54, 57, Raqm-20549, 20578,
Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 02/479, Raqm-992,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/191, Raqm-1511,
Ruwayani Fi Al-Musnad, 02/92, Raqm-882,
Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 01/146, Raqm-525,
Haythami Fi Mawarid Al-Zam’an Ila Zawa’id Ibn Habban, 01/568, Raqm-2284,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-620, Raqm-686.]
25/687. “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Tum Un Logo’n Ko Dekho Jo Mere Sahaba Ko Bura Bhala Kehte Hain To Tum (Unhe’n) Kaho Tumhaare Sharr Par Allah Ta’ala Kee La’nat Ho.”
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/697, Raqm-3869,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 08/191, Raqm-8366,
Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 01/263, Raqm-1022,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-620, 621, Raqm-687.]
26/688. “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Ne Mere Sahaba Ko Gaali Dee To Us Par Allah Ta’ala Kee, Tamam Firishto’n Kee Aur Tamam Insaano’n Kee La’nat Hai.”
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 12/142, Raqm-12709,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05/94, Raqm-4771,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/405, Raqm-32419,
Khalaal As-Sunnah, 03/515, Raqm-833,
Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 02/483, Raqm-1001,
Ibn Ja’d Fi Al-Musnad, 01/296, Raqm-201,
Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 05/14, Raqm-7302,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/21,
Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 05/274,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-621, Raqm-688.]
27/689. “Hazrat ‘Imran Bin Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Meri Behtareen Ummat Mere Zamaane Kee Hai Phir Un Ke Zamaane Ke Baa’d Ke Log, Phir Un Ke Zamaane Ke Baa’d Ke Log (Hazrat Imran RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hai Ki Mujhe Yaad Nahin Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Apne Zamaane Ke Baa’d Do² Zamano’n Ka Zikr Farmaya Ya Teen³ Zamano’n Ka) Phir Tumhaare Baa’d Aisee Qaum Aayegi Ki Woh Gawaahi Denge Haala’n Ki Un Se Gawaahi Talab Nahin Kee Jaa’egi Woh Khayaanat Karenge Aur Un Par Yaqeen Nahin Kiya Jaa’ega, Woh Nazare’n Maanenge Mager Un Ko Poora Nahin Karenge Aur Un Me Motaapa Zaahir Hoga.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1335, Raqm-3450,
Bukhari Fi As-Sahih, 05/2362, Raqm-6064,
Bukhari Fi As-Sahih, 06/2463, Raqm-6317,
Muslim Fi As-Sahih, 04/1964, Raqm-5235,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/500, Raqm-2302, 2303,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/695, Raqm-3859,
Nasa’i Fi As-Sunan, 07/17, Raqm-3809,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/791, Raqm-2362,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 10/74,
Bazzar Fi Al-Musnad, 09/18, Raqm-3521,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/427, Raqm-19835,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 18/233, Raqm-581,
Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/113, Raqm-841,
Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 04/151,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/05, Raqm-4546,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-621, 622, Raqm-689.]
28/690. “Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Meri Ummat Ke Behtareen Log Woh Hain Jo Mere Qareeb Hain, Phir Woh Log Hain Jo Un Ke Qareeb Hain, Phir Woh Log Hain Jo Un Ke Qareeb Hain.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 02/938, Raqm-2509,
Bukhari Fi As-Sahih, 03/1335, Raqm-3451,
Bukhari Fi As-Sahih, 05/2362, Raqm-6065,
Bukhari Fi As-Sahih, 06/2452, Raqm-2682,
Muslim Fi As-Sahih, 04/1962, Raqm-2533,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/404, Raqm-3240,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 09/40, Raqm-5103,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-622, 623, Raqm-690.]
29/691. “Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Riwayat Hai Ki Ek Shakhs Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Sawaal Kiya Ki (Ya RasoolAllah ﷺ) Kaun Se Log Behtar Hain? Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Sab Se Behtar Log Us Zamaane Ke Hain Jis Zamaane Me, Mein Maujood Hoo’n Us Ke Baa’d Doosre Zamaane Ke Log, Us Ke Baa’d Teesre Zamaane Ke Log.”
–
[Muslim Fi As-Sahih, 04/1965, Raqm-2536,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/156, Raqm-25282,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/404, Raqm-32409,
Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 02/629, Raqm-1475,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-623, Raqm-691.]
30/692. “Hazrat Jaabir Bin ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hudaybiya Ke Din Hame’n Farmaya : Tum Zameen Par Basne Waalo’n Me Sab Se Behtar Ho Aur Hum Chawdah Sau Afraad They Aur Agar Aaj Me Dekh Sakta To Tumhe’n Us Darakht Kee Jagah Dikha Deta (Us Waqt Hazrat Jaabir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Naabina Ho Chuke They)”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 04/1526, Raqm-3923,
Muslim Fi As-Sahih, 03/1484, Raqm-1856,
Shafai Al-Musnad/217,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/308, Raqm-14352,
Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 04/301, Raqm-6818,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 05/235, Raqm-9981,
Khurasani As-Sunan, 02/367, Raqm-2885,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/385, Raqm-36849,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-623, 624, Raqm-692.]
31/693. “Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne As’habe Badr Ke Liye Farmaya : Allah Ta’ala Ne Ahle Badr Kee Tawajjoh Farmaa’i Aur Farmaya : Tum Jo ‘Amal Karna Chaahte Ho Karo, Be Shak Tumhaare Liye Jannat Laazim Ho Ga’i Hai Ya Farmaya : Mein Ne Tumhe’n Maaf Kar Diya.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 04/1463, Raqm-3762,
Bukhari Fi As-Sahih, 03/1095, Raqm-2845,
Bukhari Fi As-Sahih, 04/1557, Raqm-4025,
Muslim Fi As-Sahih, 04/1941, Raqm-2494,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/409, Raqm-3305,
Darami Fi As-Sunan, 02/404, Raqm-2761,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-624, Raqm-693.]
32/694. “Hazrat Jaabir Bin Samurah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Unhone Bayan Kiya Ki Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Jaabiya Ke Maqaam Par Hame’n Khutba Diya, Phir Farmaya : Hamaare Darmiyan Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Yoo’n Qiyam Farmate They Jaise Me Tumhaare Darmiyan Khada Hoo’n Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mere Sahaba Ke Baare Me Meri Hifaazat Karo (Ya’ni Un Kee Izzato Ihteraam Karo.) (Aur Un Logo’n Kee Izzato Ihteraam Karo) Jo In Ke Baa’d Aane Waale Hain. Phir (Un Logo’n Kee) Jo In Ke Baa’d Aane Waale Hain. Aur Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Ek Riwayat Me Farmaya : Mere Sahaba Se Achchha Sulook Karna.”
–
[Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/791, Raqm-2363,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/18, Raqm-144,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/198, 199, Raqm-388, 390,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 06/306, Raqm-6483,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 07/91, Raqm-13299,
Lalaka’i Fi I’tiqad Ahl As-Sunnah,, 01/106, Raqm-155,
Husayni Al-Bayan Wat-Ta’rif, 02/219, Raqm-1546,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-624, 625, Raqm-694.]
33/695. “Hazrat Jaabir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Us Musalman Ko Jahannam Kee Aag Hargiz Nahin Chhuyegi Jis Ne Mujhe Dekha Ya Mujhe Dekhne Waale (Ya’ni Mere Sahabi) Ko Dekha.”
رواه الترمذي والطبراني.
وقال الترمذي : هذا حديث حسن.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/694, Raqm-3858,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 17/357, Raqm-983,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/308, Raqm-1036,
Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 02/630, Raqm-1484,
Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 05/116, Raqm-7659,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/21,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-625, Raqm-695.]
34/696. “Hazrate Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Har Nabi Ke Liye Do² Wazeer Aasmaan Waalo’n Me Se Aur Do² Wazeer Zameen Waalo’n Me Se Hote Hain To Aasmaan Waalo’n Me Se Mere Do² Wazeer Jibra’il Aur Mika’il ‘Alayhima As-Salam Hain Aur Zameen Waalo’n Me Se Mere Do² Wazeer Aboo Bakr Aur Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Hain.”
رواه الترمذي. وقال الترمذي : هذا حديث حسن.
وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/616, Raqm-3680,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/290, Raqm-3047,
Ibn Ja’d Fi Al-Musnad, 01/298, Raqm-2026,
Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 04/382, Raqm-7111,
Mubarkfoori Fi Tuhfat-ul-Ahwadhi Bi-Sharh Jaame’ At-Tirmidhi, 10/114,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-625, 626, Raqm-696.]
35/697. “Hazrat ‘Abd Allah Bin Hantab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat Aboo Bakr Aur Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ko Dekha To Farmaya : Yeh Dono’n (Mere Liye) Kaan Aur Aankh Kee Haysiyat Rakhte Hain.”
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/613, Raqm-3671,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-626, Raqm-697.]
36/698. “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Uhad Pahaad Par Tashreef Le Ga’e Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Humraah Hazrat Aboo Bakr, Hazrat ‘Umar Aur Hazrat ‘Uthman RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Ajma’iyn Bhi They Achaanak Pahaad Un Ke (Aane Kee Khushi) Ke Ba’is (Joshe Musarrat Se) Jhoomne Laga To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Uhad! Thahar Ja, Tujh Par Ek Nabi, Ek Siddiq Aur Do² Shaheed Hain.”
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1344, Raqm-3472,
Bukhari Fi As-Sahih, 03/1344, Raqm-3496,
Bukhari Fi As-Sahih, 03/1346, Raqm-3483,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/624, Raqm-3697,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/212, Raqm-4651,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/43, Raqm-8135,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/112, Raqm-12127, 22862,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 06/338, Raqm-6566,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 14/415, Raqm-6492,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 05/289, Raqm-2910,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-626, 627, Raqm-698.]
37/699. “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat Aboo Bakr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Aur Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Baare Me Farmaya Yeh Dono’n Ambiya-o Mursaleen ‘Alayhim-us-Salam Ke Ilaawah Awwaleeno Aakhireen Me Se Tamam ‘Umr Raseeda Jannatiyo’n Ke Sardar Hain.”
رواه الترمذي وحسنه وأحمد وابن حبان.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/610, Raqm-3664, 3665,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/36, Raqm-95, 100,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/80, Raqm-602,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/330, Raqm-6904,
Bazzar Fi Al-Musnad, 02/132, Raqm-490,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 01/405, Raqm-533,
Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 02/617, Raqm-1419,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/91, Raqm-1348,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 07/68, Raqm-6873,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 02/173, Raqm-976,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-627, Raqm-699.]
38/700. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Hira Pahaad Par Tashreef Farma They Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Hazrat Aboo Bakr, Hazrat ‘Umar, Hazrat ‘Uthman, Hazrat ‘Ali, Hazrat Talha Aur Hazrat Zubair RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Ajma’iyn They Itne Me Pahaad Ne Harkat Kee, To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Thahar Ja Kyun Ke Tere Oopar Nabi, Siddiq Aur Shaheed Ke Siwa Ko’i Nahin.”
رواه مسلم والترمذي والنساءي وأحمد.
وقال الترمذي : هذا حديث صحيح.
–
[Muslim Fi As-Sahih, 04/1880, Raqm-2417,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/624, Raqm-3696,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/59, Raqm-8207,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/419, Raqm-9420,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/441, Raqm-6983,
Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 02/621, Raqm-1441,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-628, Raqm-700.]
39/701. “Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Unhone Farmaya : Allah Ta’ala Ne Tamam Bando’n Ke Dilo’n Kee Taraf Nazar Kee To Qalbe Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Tamam Logo’n Ke Dilo’n Se Behtar Qalb Paaya To Use Apne Liye Chun Liya (Aur Khaas Kar Liya) Aur Unhe’n Apni Risalat Ke Saath Mab’oos Farmaya. Phir Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Dil Ko (Sirf Apne Liye) Muntakhab Karne Ke Baa’d Dubaara Quloobe Insaani Ko Dekha To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ke Dilo’n Ko Sab Bando’n Ke Dilo’n Se Behtar Paaya. Unhe’n Apne Nabiyye Mukarram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Wazeer Bana Diya. Woh Un Ke Deen Ke Liye Jihaad Karte Hain [Aur Ek Riwayat Me Hai Ki Unhe’n Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Deen Ka Madadgaar Bana Diya] Pas Jis Shay Ko Musalman Achchha Jaane To Woh Allah Ta’ala Ke Nazdeek (Bhi) Achchhi Aur Jise Bura Samjhe Woh Allah Ta’ala Ke Nazdeek Buree Hai.”
رواه أحمد والبزار والطبراني.
وقال الهيثمي : ورجاله موثقون.
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/379, Raqm-3600,
Bazzar Fi Al-Musnad, 05/212, Raqm-1816, 1702,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/58, Raqm-3602,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 09/112, 115, Raqm-8582, 8593,
Bayhaqi Fi Al-I’tiqad,01/322,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 01/177,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 08/212,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-628, 629, Raqm-701.]
40/702. “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Bhi Tumhe’n Kitab-ul-Alllah Ka Hukm Diya Jaa’e To Us Par ‘Amal Laazim Hai. Us Par Amal Na Karne Par Kisi Ka Uzr Qaabile Qubool Nahin. Agar Woh (Mas’ala) Kitabullah Me Na Ho To Meri Sunnat Me Use Talaash Karo Jo Tum Me Maujood Ho Aur Agar Meri Sunnat Se Bhi Na Ho To (Us Mas’ale Ka Hal) Mere Sahaba Ke Aqwaal Ke Mutaabiq (Talaash) Karo. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mere Sahaba Kee Misaal Yoo’n Hai Jaise Aasmaan Par Sitaare (Jo Ke Yaksa’n Raushni Dete Hain) Un Me Se Jis Ka Daaman Pakad Loge Hidaayat Pa Jaaoge Aur Mere Sahaba Ka Ikhtilaf (Bhi) Tumhaare Liye Rahmat Hai.”
رواه البيهقي وابن حميد والقضاعي.
–
[Bayhaqi Fi Al-Madkhal Ila As-Sunan-ul-Kubra,, 01/162, Raqm-152,
Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/250, Raqm-783,
Quda’iy Fi Musnad-ush-Shihab, 02/275, Raqm-1346,
Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 04/160, Raqm-6497,
Dhahabi Fi Mizan-ul-I’tidal Fi Naqd-ir-Rijal, 02/142,
Dhahabi Fi Mizan-ul-I’tidal Fi Naqd-ir-Rijal, 08/73,
Lisan-ul-Mizan, 02/118, 137, Raqm-594,
Khatib Al-Baghdadi Fi Al-Kifayah Fi Ilm-ir-Riwayah, 01/48,
Suyooti Fi Miftah-ul-Jannah Fi Al-Ihtijaj Bi-‘i-Sunnah, 01/45,
Ibn Kathir Fi Tuhfat-ut-Talib, 01/451, Raqm-341,
Ibn Mulaqqin Fi Khulasat-ul-Badr-ul-Munir Fi Takhrij-il-Ahadith Wa Al-Athar Al-Waqi’ah Fi Ash-Sharh Al-Kabir, 02/431, Raqm-2868,
Zarqani Fi Sharh, 02/302,
Ibn ‘Abd-il-Barr Fi At-Tamhid, 04/263,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,04/57,
Ibn Qudamah Fi Al-Mughni, 03/2109,
Amidi Fi Al-Ihkamu Fi Usool-il-Ahkam, 01/290,
Ibn Hazm Fi Al-Ihkamu Fi Usool-il-Ahkam, 05/61,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-629, 630, Raqm-702.]
41/703. “Hazrat Nusair Bin Zu’look RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hai Ki Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Farmaya Karte They Ke Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Sahaba-e Kiram Ko Bura Mat Kaho Kyun Ke Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Sohbat Me Guzara Hua Un Ka Ek Lamha Tumhaare Zindagi Bhar Ke Aa’maal Se Behtar Hai.”
–
[Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/57, Raqm-162,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/405, Raqm-32415,
Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 02/484, Raqm-1006,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-630, Raqm-703.]
42/704. “Hazrat Irbaaz Bin Saariya RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Ek Din Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Fajr Kee Namaz Ke Baa’d Hame’n Nihayat Faseeho Baleegh Waa’z Farmaya : Jis Se Aankho’n Me Aansoo Jaari Ho Ga’e Aur Dil (Khashiyyate Ilahi Se) Kaanpne Lage. Ek Shakhs Ne Kaha Yeh To Alwida Kehne Waale Shakhs Ke Waa’z Jaisa (Khitaab) Hai. Ya RasoolAllah ﷺ! Aap Hame’n Kya Waseeyat Farmate Hain? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mein Tumhe’n Parhezgaari Aur Sunne Aur Maan Ne Kee Waseeyat Karta Hoo’n, Chaahe Tumhaara Haakim Habashi Ghulam Hee Kyun Na Ho. Is Liye Ke Tum Me Se Jo Zinda Rahega Woh Bohat Se Ikhtilaf Dekhega Khabardaar (Shari’at Ke Khilaaf) Baato’n Se Bachana Kyun Ke Yeh Gumraahi Ka Raasta Hai. Lehaaza Tum Me Se Jo Shakhs Ye Zamaana Paaye Use Chaahiye Ke Meri Aur Mere Hidaayat Yaafta Khulafa Kee Sunnat Ikhtiyar Kare Tum Log Use (Sunnat Ko) Daanto’n Se Mazbooti Se Pakad Lena.”
رواه الترمذي وأبو داود وابن ماجه وأحمد.
وقال الترمذي : هذا حديث حسن صحيح.
–
[Tirmidhi As-Sunan 05/44, Raqm-2676,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/200, Raqm-4607,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/15, Raqm-42,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/126,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 01/178, Raqm-05
Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/174, Raqm-329,
وقال : هذا حديث حسن صحيح ليس له عدة،
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 18/246, Raqm-618,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-630, 631, Raqm-704.]
43/705. “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Ne Haqq Ko ‘Umar Kee Zabaan Aur Dil Par Jaari Kar Diya Hai. Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Farmate Hain : Jab Kabhi Logo’n Ko Ko’i Mas’ala Darpeysh Hua Aur Logo’n Ne Us Me Baat Kee Aur Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Bhi Us Mas’ale Par Kuchh Kaha To Qur’ane Hakeem Hazrat ‘Umar Farooq RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Qaul Ke Muwaafik Naazil Hua.”
رواه الترمذي وأبو داود وابن ماجه وأحمد.
وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن.
وقال الحاكم : هذا حديث حسن صحيح.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/617, Raqm-3682,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/138, Raqm-2961, 2962,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/40, Raqm-108,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/53, Raqm-5145,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/312, Raqm-6889,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/93, Raqm-4501,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 06/295, Raqm-12503,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-631, 632, Raqm-705.]