Fasl-03 :
Manaqibe Imam Mahdi Al-Muntazar ‘Alayh-is-Salam Ka Bayan
44/706. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tum Logo’n Ka Us Waqt (Khushi Se) Kya Haal Hoga Jab Tum Me Se Isaa Ibn Mariyam ‘Alayhima As-Salam (Phir Aasmaan Se) Utarenge Aur Tumhara Imam Tumhi Me Se Hoga.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1272, Raqm-3265,
Muslim Fi As-Sahih, 01/136, Raqm-155,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/213, Raqm-6802,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,06/493,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-633, Raqm-706.]
45/707. “Hazrat Jaabir Bin ‘Abd Allah Ansari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hai Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Suna : Meri Ummat Me Se Ek Jam’a’at Qiyame Haqq (Haqq Qaa’em Karne) Ke Liye Kaamyaab Jung Qiyaamat Tak Karti Rahegi. Hazrat Jaabir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hai Ki In Mubarak Kalimaat Ke Baa’d Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aakhir Me Hazrat Isaa Ibn Mariyam ‘Alayhima As-Salam Aasmaan Se Utarenge To Musalmano’n Ka Ameer Un Se ‘Arz Karega : Tashreef Laa’e, Hame’n Namaz Padhaaye Us Ke Jawaab Me Hazrat Isaa ‘Alayh-is-Salam Farmaaenge : (Is Waqt) Mein Imamat Nahin Karaoonga Tum Ek Doosre Par Ameer Ho (Ya’ni Hazrat Isaa ‘Alayh-is-Salam Us Waqt Imamat Se Inkar Farma Denge) Us Fazeelato Buzurgi Kee Bina Par Jo Allah Ta’ala Ne Is Ummat Ko ‘Ata Kee Hai.”
–
[Muslim Fi As-Sahih, 01/137, Raqm-156,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/345, Raqm-14762, 15167,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/231, Raqm-6819,
Ibn Jarood Fi Kitab Al-Muntaqa, 01/257, Raqm-1031,
Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 01/99, Raqm-317,
Ibn Mandah Fi Al-Iman, 01/517, Raqm-518,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 09/180,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-633, 634, Raqm-707.]
46/708. “Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mere Ahle Bayt Se Ek Shakhs Khalifa Hoga, Jis Ka Naam Mere Muwaafiq Hoga. Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Ek Riwayat Me Hai Ki Agar Dunya Ka Ek Hee Deen Baaqi Rah Jaa’e To Allah Ta’ala Usee Ek Din Ko Itna Daraaz (Lamba) Farma Dega Ki Woh Shakhs (Ya’ni Mehdee ‘Alayh-is-Salam ) Khalifa Ho Jaa’e.”
رواه الترمذي وأبو داود وأحمد.
وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن صحيح.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/505, Raqm-2231,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/236, Raqm-4282,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/376, Raqm-3571,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 10/133, Raqm-10215,
Muqri Fi As-Sunan-ul-Waridah Fi Al-Fitan Wa Ghawa’iliha Wa As-Sa’ati Wa Ashratiha, 05/104, Raqm-562,
Haythami Fi Mawarid Al-Zam’an Ila Zawa’id Ibn Habban, 01/464, Raqm-1877,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-46, Raqm-708.]
47/709. “Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Dunya Us Waqt Tak Khatm Na Hogi, Jab Tak Ki Mere Ahle Bayt Me Se Ek Shakhs ‘Arab Ka Badshah Na Ho Jaa’e, Jis Ka Naam Mere Naam Ke Mutaabiq (Ya’ni Muhammad) Hoga.”
رواه الترمذي وأبو داود وأحمد.
وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن صحيح.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/505, Raqm-2230,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/106, Raqm-4282,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/448, Raqm-4279,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/488, Raqm-8364,
Bazzar Fi Al-Musnad, 05/204, Raqm-1804,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 10/435, Raqm-10223,
Shashi Fi Musnad-ush-Shashi Al-Musamma Bi-‘l-Musnad Al-Kabir, 02/110, Raqm-235,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-634, 635, Raqm-709.]
48/710. “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mahdi Mujh Se (Ya’ni Meri Nasal Se) Honge. Un Ka Chehra Khoob Nooraani, Chamakdaar Aur Naazuk Naak Buland Hogi. Zameen Ko Adalo Insaaf Se Bhar Denge. Jis Tarah Pehle Woh Zulm Aur Zor Se Bhari Hogi (Matlab Yeh Hai Ki Imame Mehdi Kee Khilaafat Se Pehle Dunya Me Zulmo Ziyadahti Kee Hukmaraani Hogi Aur Adalo Insaaf Ka Naamo Nishaan Tak Na Hoga) Aur Woh Saat-07 Saal Tak Badshahat (Khilaafat) Karenge.”
–
[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/107, Raqm-428,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/512, Raqm-8438,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 09/176, Raqm-9460,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-635, Raqm-710.]
49/711. “Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Imam) Mahdi Mere Ahle Bayt Se Honge, Allah Ta’ala Unhe’n Ek Raat Me Muttaqi Aur Parhezagaar Bana Dega (Ya’ni Apni Taufiqo Hidayat Se Ek Hee Raat Me Wilayat Ke Us Buland Maqaam Par Pahoncha Dega Jo Un Ke Liye Mataloob Hoga).”
–
[Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1367, Raqm-4085,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/84, Raqm-645,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 01/359, Raqm-465,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/513, Raqm-37644,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-635, 637, Raqm-711.]
50/712. “Umm-ul-Mu’minin Hazrat Ummi Salmah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Farmati Hai Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmate Hu’e Suna : Mahdi Meri Nasal Aur Fatimah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Kee Aulaad Me Se Hoga.”
–
[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/107, Raqm-4284,
Muqri Fi As-Sunan-ul-Waridah Fi Al-Fitan Wa Ghawa’iliha Wa As-Sa’ati Wa Ashratiha, 05/1057, Raqm-575,
Azim Abadi Fi ‘Awn-ul-Ma’boodi Sharh Sunan Abi Dawud, 11/251,
Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 06/277,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-636, Raqm-712.]
51/713. “Hazrat Aboo Is’haq Riwayat Karte Hai Ki Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Apne Bete Imame Hasan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Dekh Kar Farmaya : Be Shak Mera Yeh Beta Sardaar Hoga Jaisa Kee Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Us Ka Naam Rakkha Hai Aur Anqareeb Is Kee Nasal Se Ek Aisa Shakhs Paida Hoga Us Ka Naam Tumhaare Nabi SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Naam Par Hoga. Woh Akhlaaq Me Tumhaare Nabi SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Mushaabehat Rakhta Hoga Aur Soorat Me Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Mushaabeh Na Hoga. Phir Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Qissa Bayan Farmaya Ki Woh Zameen Ko Adalo Insaaf Se Bhar Dega.”
–
[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/108, Raqm-4290,
Azim Abadi Fi ‘Awn-ul-Ma’boodi Sharh Sunan Abi Dawud, 11/257,
Mubarkfoori Fi Tuhfat-ul-Ahwadhi Bi-Sharh Jaame’ At-Tirmidhi, 06/403,
Suyooti Fi Sharh Sunan Ibn Majah, 01/300, Raqm-4085,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-636, 637, Raqm-713.]
52/714. “Hazrat Jaabir Bin Samurah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmate Hu’e Suna : 12 Khalifa Hone Tak Islam Ghaalib Rahega. Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Ek Baat Farmaa’i Jise Mein Nahin Samajh Saka, Mein Ne Apne Waalid Se Poochha Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Kya Farmaya? Unhone Kaha Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Woh (Tamam Khulafa) Quraish Se Honge.”
–
[Muslim Fi As-Sahih, 03/1453, Raqm-1821,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/106, Raqm-21058,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/44, Raqm-6662,
Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 04/370, Raqm-6982,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 02/195, Raqm-1792,
Ibn Abi ‘Asim Fi Al-Ahadu Wa’l-Mathani, 03/126, Raqm-1448,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,13/211,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-637, Raqm-714.]
53/715. “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Qiyaamat Qaa’em Nahin Hogi Jab Tak Ki Zameen Zulmo Jaur Aur Sarkashi Se Bhar Na Jaa’e. Is Ke Baa’d Mere Ahle Bayt Se Ek Shakhs (Mahdi) Paida Hoga Jo Zameen Ko Adalo Insaaf Se Bhar Dega (Ya’ni Khalifa Mahdi Ke Zahoor Se Pehle Qiyaamat Nahi Aayegi).”
–
[Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/600, Raqm-8669,
Haythami Fi Mawarid Al-Zam’an Ila Zawa’id Ibn Habban, 01/464, Raqm-1880,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-637, 738, Raqm-715.]
54/716. “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hai Ki Mein Ne Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Khud Farmate Hu’e Suna Hai : Hum ‘Abd-il-Muttalib Kee Aulaad Ahle Jannat Ke Sardar Honge Ya’ni Mein, Hamzah, Ali, Ja’far, Hasan, Husayn Aur Mahdi RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Ajma’iyn.”
–
[Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1368, Raqm-4087,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-638, Raqm-716.]
55/717. “Hazrat Ummi Salmah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Riwayat Karti Hai Ki Rasool Allah SallAllahsau Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Meri Ummat Ke Ek Shakhs (Mahdi) Kee Rookn Aur Maqaame Ibrahim Ke Darmiyan Ahle Badr Kee Tadad (313 Afraad) Kee Misl Bayt Kee Jaa’egi. Is Ke Baa’d Us Imam Ke Paas ‘Iraq Ke Awliya’ Aur Shaam Ke Abdaal (Bayt Ke Liye) Aaenge.”
–
[Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/478, Raqm-8328,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/460, Raqm-37223,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-638, Raqm-717.]