Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-10 : ﴾Jaame’ Manaqib Ka Bayaan﴿

A’imma-e Fuqaha-e Mujtahideen RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Ajma’iyn Ke Manaqib Ka Bayan

Fasl-04 :

A’imma-e Fuqaha-e Mujtahideen RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Ajma’iyn Ke Manaqib Ka Bayan

56/718.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hai Ki Hum Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmate Aqdas Me Baithey Hu’e They Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Soorah Jum’a (Kee Yeh Aayat) Naazil Hu’i Aur In Me Se Doosre Logo’n Me Se Bhi (Is Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Tazkiya Wa Taalim Ke Liye Bheja Hai) Jo Abhi Un Logo’n Se Nahin Mile. Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hai Ki Ya RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam! Woh Kaun Hazraat Hain? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Jawaab Irshad Na Farmaya To Mein Ne Teen³  Martaba Poochha Aur Hazrat Salman Faarsi RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bhi Hamaare Darmiyan Maujood They. Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Apna Daste Aqdas Hazrat Salman RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu (Ke Kandho’n) Par Rakh Kar Farmaya : Agar Iman Suraiya (Ya’ni Aasmaane Dunya Ke Sab Se Oonche Maqaam) Ke Qareeb Bhi Hua To In (Faarasiyo’n) Me Se Kuchh Log Ya Ek Aadami (Raawi Ko Shak Hai) Use Waha’n Se Bhi Haasil Kar Lega.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 16/298,

Bukhari Fi As-Sahih, 3,4/1858, Raqm-4615,

Muslim Fi As-Sahih, 04/1972, Raqm-2546,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/725, Raqm-3942,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/384, Raqm-3260, 3261,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/413, Raqm-3310,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 16/298, Raqm-7308.

Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 06/64,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 04/367, Raqm-7060,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,08/642, Raqm-4615,

Husayni Al-Bayan Wat-Ta’rif, 02/170, Raqm-1399,

Ibn Kathir Fi Tafsir-ul-Qr’an Al-Azim, 04/364, Raqm-4797,

Tabari Fi Jaame’-ul-Bayani ‘An Ta’wili Aayi-‘l-Qur’an Tafsir-ut-Tabari,28/96,

Qurtubi Fi Al-Jaame’ Li-Ahkam Al-Qur’an (Tafsir Al-Qurtubi), 18/93,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-639, 640, Raqm-718.]

57/719.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hai Ki RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Agar Deen Suraiya Par Bhi Hota Tab Bhi Faaras Ka Ek Shakhs Use Haasil Kar Leta Ya Farmaya : Faaras Waalo’n Kee Aulaad Me Se Ek Shakhs Use Haasil Kar Leta.”

[Muslim Fi As-Sahih, 04/1972, Raqm-2546,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/64,

Muqri Fi As-Sunan-ul-Waridah Fi Al-Fitan Wa Ghawa’iliha Wa As-Sa’ati Wa Ashratiha,  03/744, Raqm-366,

Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-Kabir, 23/218,

Husayni Al-Bayan Wat-Ta’rif, 02/170, Raqm-1399,

Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 05/322,

Qurtubi Fi Al-Jaame’ Li-Ahkam Al-Qur’an (Tafsir Al-Qurtubi), 18/93,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-640, Raqm-719.]

58/720.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hai Ki RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Agar Deen Suraiya Par Bhi Hota, Tab Bhi Faaras Ka Ek Shakhs Use Haasil Kar Leta Ya Faaras (Waalo’n) Kee Aulaad Me Se Ek Shakhs Use Haasil Kar Leta.”

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/308, Raqm-8067,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-640, Raqm-720.]

59/721.    “Hazrat ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Karte Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Agar Deen Suraiya Ke Saath Bhi Muallak Hua To Ahle Faaras Me Se Ek Shakhs Use Zaroor Paa Lega.”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 10/204, Raqm-10470,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/415, Raqm-32515, 32516,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 03/360, Raqm-5084,

Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-Kabir, 23/218,

Wasiti Fi Tarikh Wasit, 01/220,

Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 10/312, Raqm-5460,

Khatib Al-Baghdadi Fi Tali Talkhis Al-Mutashabih, 01/209, Raqm-108,

Ibn Qani’ Fi Mu’jam Al-Sahabah, 03/129, Raqm-1102,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Al-Isabah Fi Tamyiz-is-Sahabah, 06/213, Raqm-8217,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/65,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-640, 641, Raqm-721.]

60/722.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Agar ‘Ilm Suraiya Ke Saath Bhi Muallak Hua To Ahle Faaras Me Se Kuchh Log Use Zaroor Paa Lenge.”

رواه أحمد وابن حبان.

وقال الهيثمي : رواه أبو يعلى والبزار والطبراني ورجالهم رجال الصحيح.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/420, Raqm-9430, 7937, 9454, 10059,

Bazzar Fi Al-Musnad, 09/195, Raqm-3741,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 16/299, Raqm-7309,

Haythami Fi Mawarid Al-Zam’an Ila Zawa’id Ibn Habban, 01/574, Raqm-2309,

Haythami Fi Majma-uz-Zawa’id, 10/64,

Harith Fi Al-Musnad (Zawa’id Al-Haythami), 02/943,

Ibn Qaysarani Fi Tadhkirat-ul-Huffaz, 03/972, Raqm-912,

Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 10/210,

Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-Kabir, 51/140,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-641, Raqm-722.]

61/723.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Barbaadi Hai ‘Arabo’n Ke Liye Us Sharr Se Jo Anqareeb Aane Waala Hai. Woh Falaah Paa Gaya Jis Ne Us Se Apna Haath Rok Liya. Aye Bani Farrookh Allah Ta’ala Ka Qurb Haasil Karo. Yaqeenan ‘Arabo’n Ne Us Se Tarke Ta’alluq Kar Liya Aur Allah Kee Qasam Yaqeenan Tum Me Se Zaroor Aise Log Bhi Honge, Agar ‘Ilm Suraiya Par Bhi Hua To Woh Use Zaroor Paa Lenge.”

[Tahawi Fi Sharh Mushkil-il-Athar, 03/94,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-641, 642, Raqm-723.]

62/724.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Bani Farrookh (Allah Ta’ala Ke) Zikr Ke Qareeb  Ho Jaao. Allah Rabb-ul-Izjat Kee Qasam! Yaqeenan Tum Me Se Aise Log Honge Jo ‘Ilm Suraiya Ke Saath Bhi Muallak Hua To Woh Zaroor Use Paa Lenge.”

[Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 04/342, Raqm-5330,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-642, 643, Raqm-724.]

63/725.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Girohe Mawaali (Ya’ni Ajam) Zikr Ke Qareeb Ho Jaao Yaqeenan ‘Arabo’n Ne Is Se Munh Mod Liya Aur Yaqeenan Agar Iman Arsh Ke Saath Bhi Muallak Hua Tab Bhi Tum Me Se Ek Shakhs Use Zaroor Paa Lega.”

[Aboo Nu’aym Fi Tarikh Asbahan, 01/06,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-642, Raqm-725.]

64/726.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Anqareeb Log Talabe ‘Ilm Me Oonto’n Ko Seena Kobee Karenge (Ya’ni Nihaayat Tezee Se Safar Karenge) Aur Ek Riwayat Me Hai Mashriq-o Maghrib Se Log ‘Ilm Kee Talaash Me Nikal Khade Honge Lekin Woh Aalime Madinah Se Ziyaada Saahibe ‘Ilm Kisi Ko Nahin Paaenge.”

رواه الترمذي والنسائي والحاكم.

وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن.

وقال الحاكم : هذا حديث حسن صحيح.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/57, Raqm-2680,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/489, Raqm-4291,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/168, Raqm-2308,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 01/385, Raqm-1681,

Aboo Mahasin Fi Mu’tasar Al-Mukhtasar, 02/339,

Humaydi Fi Al-Musnad, 02/485, Raqm-1147,

Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 05/306, Raqm- 01/195, Raqm-90,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 01/134,

Ibn ‘Abd-il-Barr Fi At-Tamhid, 01/84,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-643, Raqm-726.]

65/727.    “Hazrat ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Quraish Ko Gaali Mat Do Ahle Quraish Ka ‘Aalim Tamam Dunya Ko ‘Ilm (Kee Raushni) Se Bhar Dega.”

[Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/39, Raqm-309,

Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 02/637, Raqam1523,

Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 06/295,

Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 09/65,

Shashi Fi Musnad-ush-Shashi Al-Musamma Bi-‘l-Musnad Al-Kabir, 02/169, Raqm-728,

Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 02/61,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 05/12, Raqm-7295,

Bayhaqi Bayan Min Akhta Ali Ash-Shafi’i, 01/94,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Tahdhib-ut-Tahdhib, 09/24,

Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal, 24/364,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-643, Raqm-727.]