Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-10 : ﴾Jaame’ Manaqib Ka Bayaan﴿

Saaleheen Ke Liye Allah Ta’ala Kee Taraf Se Tayyar Karda Taskeene Chashm-o Ja’n Ka Bayan

Fasl-06 :

Saaleheen Ke Liye Allah Ta’ala Kee Taraf Se Tayyar Karda Taskeene Chashm-o Ja’n Ka Bayan

76/738.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala Ta’ala Anhu Bayan Karte Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah ‘Azza Wa Jalla Ka Farman Hai : Mein Ne Apne Nek Bando’n Ke Liye Aisee Ne’mate’n Taiyaar Kee Hain Jinhe’n Na Kisi Aankh Ne Dekha Hai Na Kisi Kaan Ne Suna Hai Aur Na Kisi Farde Bashar Ke Dil Me Un Ka Khayaal Aaya Hai. Chaahte Ho To Padho So Kisi Ko Ma’loom Nahin Jo Aankho’n Kee Thandak Un Ke Liye Poshida Rakhi Ga’i Hai. Yeh Un (Aamaale Saaleha) Ka Badala Hoga Jo Woh Karte Rahe They.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1185, Raqm 3072,

Bukhari Fi As-Sahih, 04/1794, Raqm-4501, 4502,

Bukhari Fi As-Sahih, 04/1274, 2175, Raqm-2824,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/346, Raqm-3197,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/400, Raqm-3292,

وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن صحيح،

Ibn Majah As-Sunan 02/1447, Raqm-4328,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/317, Raqm-11085,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/438, Raqm-10428, 9647, 22877,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/91, Raqm-369,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/448, Raqm-3549, 3550,

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد.

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-651, 652, Raqm-738.]

77/739.    “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah ‘Azza Wa Jalla Jannatiyo’n Se Farma’ega : Aye Jannatiyo’n!  Woh Kahenge, Aye Hamaare Parwardigar!  Hum Tere Hukm Ke Saamne Baar-Baar Sare Tasleem Kham Kar Ke Dohri Sa’adat Chaahte Hain Aur Har Qism Kee Bhalaa’i Tere Ikhtiyar Me Hai To Allah Ta’ala Farma’ega ‘Kya Tum Khush Ho?’ Woh  Kahenge Aye Rabb! Hum Khush Kyun Na Ho Too Ne Hame’n Woh Kuchh ‘Ata Kiya Hai Jo Makhlooq Me Se Kisi Ko Nahin  Diya. Allah Ta’ala Farma’ega : Kya Mein Tumhe’n Is Se Behtar Na ‘Ata Karoo’n, Woh Kahenge, Is Se Behtar Kya Ho Sakta Hai.  Allah Ta’ala Farma’ega : Mein Ne Apni Raza Wa Khushnoodi Tumhe’n De Dee, Aaj Ke Baa’d Mein Tum Par Kabhi Naaraaz Nahin Howunga.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2398, Raqm-6183,

Bukhari Fi As-Sahih, 06/2732, Raqm-7080,

Muslim Fi As-Sahih, 04/2176, Raqm-2829,

Tirmidhi Fi As-Sunan,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 04/416,Raqm-7749,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/88, Raqm-11853,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 16/470, Raqm-7440,

Ibn Mubarak Fi Az-Zuhd, 01/129, Raqm-430,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/313, Raqm-5750,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-652, Raqm-739.]

78/740.    “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jannat Me Ek Aisa Baazaar  Hai Jis Me Log Har Jum’a Ke Roz Aa’ege. Shimaali Jaanib Se Hawa Chalegi Aur Un Ke Kapdo’n Aur Chehro’n Par Lagegi Jis Se Husn-o Jamaal Badh Jaa’ega. Jab Woh Apne Ghar Waalo’n Ke Paas Waapas Jaaenge To Un Ka Husn-o Jamaal Badha Hua Dekh Kar Woh Kahenge : Allah Kee Qasam!  Hum Se Door Jaa Kar Tumhara Husn-o Jamaal Badh Gaya Hai Aur Yeh Un Se Kahenge Ke Allah Ta’ala Kee Qasam Hamaare Baa’d Tumhaara Bhi Husn-o Jamaal Badh Gaya Hai.”

[Muslim Fi As-Sahih, 04/2178, Raqm-2833,

Darami Fi As-Sunan, 02/436, Raqm-2841,

Ibn Mubarak Fi Az-Zuhd, 01/524, Raqm-1491,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/301, Raqm-5727,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-653, Raqm-740.]

79/741.    “Hazrat Suhaib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Jannati Jannat Me Daakhil Ho Jaaenge Allah ‘Azza Wa Jalla Farma’ega : Tum Kuchh Aur Chaahte Ho To Mein Tumhe’n Doo’n, Woh ‘Arz Karenge (Aye Hamaare Rabb) Kya Too Ne Hamaare Chehre Munawwar Nahin Kar Di’e? Kya Too Ne Hame’n Jannat Me Daakhil Nahin Kar Diya Aur Hame’n Dozakh Se Nazaat Nahin Dee? Farmaya : Us Ke Baa’d Allah Ta’ala Parda Utha Dega Unhe’n Apne Parwardigar Se Behtar Ko’i Cheez Nahin Mili Hogi. Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Yeh Aayat Tilaawat Farmaa’i : ˝Aise Logo’n Ke Liye Jo Nek Kaam Karte Hain Nek Jaza Hai (Balki) Is Par Bhi Izaafa Hai.˝


[Muslim Fi As-Sahih, 01/163, Raqm-181,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/286, Raqm-3105,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/332,

‘Abd Allah Bin Ahmad Fi As-Sunnah, 01/245, Raqm-449,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/309, Raqm-5744,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-653, 654, Raqm-741.]

80/742.    “Hazrat Sa’iyd Bin Musayyib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Un Kee Mulaqat Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Hu’i To Unhone Farmaya : Mein Allah Ta’ala Se Du’aa Karta Hoo’n Ki Allah Ta’ala Mujhe Aur Aap Ko Jannat Ke Baazaar Me Ikat’tha Kar De. Sa’iyd Kehne Lage : Kya Jannat Me Ko’i Baazaar Bhi Hain? Unhone Kaha : Haa’n. Mujhe Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Bataaya Hai Ki Jab Jannati Jannat Me Daakhil Ho Jaaenge To Woh Apne Aa’maal Kee Bartari Ke Lihaaz Se Martabe Haasil Karenge. Dunya Ke Jum’a Ke Din Ke Baraabar Unhe’n Ijaazat Dee Jaa’egi Ki Woh Allah Ta’ala Ka Deedaar Karenge Aur Woh Un Ke Liye Apna ‘Arsh Zaahir Karega….. “

“Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Kaha Ki Mein Ne ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ!  Kya Hum Apne Parwardigar Ka Deedaar Karenge?  Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Haa’n Kya Tum Sooraj Aur Chaudhawi’n Ke Chaand Ko Dekh Ne Me Ko’i  Shak Karte Ho?  Hum Ne ‘Arz Kiya : Nahin. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Isee Tarah Tum Apne Parwardigar Ke Deedaar Me Ko’i Shak Nahin Karoge. Us Mehfil Me Ko’i Aisa Shakhs Nahin Hoga Jis Se Allah Ta’ala Baraahe Raast Guftagoo Na Farmaa’e… “

“Unhone Kaha Ki Phir Hum Apne Gharo’n Me Aa Jaaenge Hamari Beewiya’n Hamara Istaqbaal Karegi Aur Kahegi : Khush Aamadeed, Khush Aamadeed, Tum Waapas Aa’e Ho, To Tumhara Husn-o Jamaal Hum Se Juda Hote Waqt Se Badh Gaya Hai.  Woh Kahega Aaj Hamari Majlis Hamaare Rabbe Jabbar Se Hu’i Hai.  Hum Isee (Khoob Soorat) Shaklo Soorat Me Tabdeel Hone Ke Haqdaar They.”

[Tirmidhi, 04/685, Raqm-2549,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1450, Raqm-4336,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 16/464, 467, Raqm-7437,

Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 01/258, Raqm-585, 586,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/301, Raqm-5728,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-654, 657, Raqm-742.]

81/743.    “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah ‘Azza Wa Jalla Ne Jannat Kee Bairooni Deewaar Is Tarah Banaa’i Hai Ki Us Kee Ek Eent Sone Kee Hai Aur Ek Eent Chaandi Kee. Phir Us Me Nahre’n Chalaa’i Aur Darakht Lagaaye.  Jab Firishto’n Ne Us Kee Khoobsoorti Ko Dekha To Unhone Kaha : ˝Aye (Roohaniyat Aur Wilayat Ke) Badshaho’n Kee Jaa’e Qaraar!  Tujhe Mubarak Ho.”

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/362,

Tabarani  Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/74, Raqm-2532,

Humaydi Fi Al-Musnad, 02/486, Raqm-1150,

Bazzar Fi Al-Musnad, 04/189,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/397,

وقال : رواه البزار مرفوعا و موقوفا،

الطبراني في الأوسط ورجال الموقوف رجال الصحيح،

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 01/178, Raqm-664,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 02/115, Raqm-2605,

Ibn Mubarak Fi Az-Zuhd, 01/512, Raqm-1457,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/282, Raqm-5650,

وقال : أخرجه البيهقي.

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-655, 656, Raqm-743.]

82/744.    “Hazrat Aboo Hudhayfah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Ek Taweel Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Kee Taraf Se Jo Sab Se Pehli Baat Sunenge Woh Yeh Hogi Ke Allah Ta’ala Farma’ega : Mere Woh Bande Kaha’n Hai Jinhone Mujhe Dekhe Baghair Meri Ita’at Kee Aur Mere Rasoolo’n Kee Tasdeeq Kee Aur Mera Hukm Maana?  Tum Mujh Se Maango Yeh Yawmul Mazeed (Ya’ni Mere Lutfo Karam Kee Be Baha Baarisho’n Ka Din) Hai.Woh Tamam Log Ek Baat Par Ittefaaq Karenge Ke Aye Rabb! Hum Tujh Se Khush Hain, Too Hum Se Khush Ho Ja. Allah Ta’ala Un Se Dubaara Farma’ega : Aye Jannatiyo’n! Agar Mein Tum Se Raazi Na Hota To Mein Tumhe’n Jannat Me Na Thehraata, Tum Mujh Se Maango Yeh Yawmul Mazeed Hai Woh Ek Aawaaz Ho Kar Kahenge : Aye Rabb Hame’n Apna Chehra-e Anwar Dikha, Hum Tera Deedaar Kar Le’n. Allah Ta’ala Woh Parde Utha Dega Aur Un Ke Saamne Ek Cheez Jalwa Afroz Hogi Agar Allah Ta’ala Ne Un Ke Muta’alliq Yeh Faisla Na Kiya Hota Ki Woh Jalenge Nahin To Woh Us Ke Noor Kee Wazah Se Jal Bhi Jaa’e’n, Us Ke Baa’d Us Ka Noor Un Par Saaya Figan Ho Jaa’ega.”

“Woh Apne Thikaano’n Kee Taraf Aa Jaaenge Allah Tabaarak Wa Ta’ala Kee Wazah Se Haasil Hone Waale Noor Se Un Kee Beewiya’n Un Ke Muta’alliq La Ilm Hogi Aur Woh Un Ke Muta’alliq La Ilm Honge. Jab Woh Ghar Pahonchenge To Noor Badhta Jaa’ega Aur Pukhta Hota Jaa’ega.  Yaha’n Tak Ki Woh Apni Un Shaklo’n Kee Taraf Laut Aa’ege Jin Me Woh Pehle They, Un Kee Beewiya’n Un Se Kahegi Tum Jis Shaklo’n Soorat Me Hamaare Yaha’n Se Ga’e They Us Ke Ilaawah Shaklo’n Soorat Me Waapas Hu’e. Woh Kahenge Us Kee Wajah Yeh Hai Ki Allah Tabaarak Wa Ta’ala Hamaare Saamne Jalwa Afroz Hua Aur Hum Ne Us Ka Deedaar Kiya To Hamari Shakle’n Tum Se Makhfee (Posheeda) Rah Ga’i. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Sallam Ne Farmaya : Har Saat-07  Din Me Unhe’n Is Se Doguna (Deedaar) Naseeb Hoga Aur Yahi Baat Allah Ta’ala Ke Farman Me Hai : So Kisi Ko Ma’loom Nahin Jo Aankho’n Kee Thandak Un Ke Liye Poshida Rakhi Ga’i Hai, Yeh Un (Aamaale Saaleha) Ka Badala Hoga Jo Woh Karte Rahe They.”

[Bazzar Fi Al-Musnad, 07/288, Raqm-2881,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/311, Raqm-5748,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/422,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-657, 658, Raqm-744.]