Fasl-01 :
Nubuwwate Muhammadi ﷺ Ke Sharaf Ka Bayan
01/549. “Hazrat Zubair Bin Mut’im RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mere Paanch-05 Naam Hain. Mein Muhammad Aur Ahmad Hoo’n Aur Mein Maahee (Yaani Mitaane Waala) Hoo’n Ki Allah Ta’ala Mere Zari’e Se Kufr Ko Mita Dega Aur Mein Haashir Hoo’n. Sab Log Mere Pairo’n Me Hee (Roze Hashr) Jam’a Ki’e Jaa’enge Aur Aaqib (Yaani Sab Se Aakhir Me Aane Waala) Hoo’n.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1299, Raqm-3339,
Bukhari Fi As-Sahih, 04/1858, Raqm-4614,
Muslim Fi As-Sahih, 04/827, Raqm-2354,
Tirmidhi As-Sunan , 05/135, Raqm-28406,
وقال الترمذي :هذا حديث حسن صحيح،
Malik Fi Al-Muwatta’, 02/1004,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/80, 84,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/489, Raqm-1159,
Daraqutni Fi As-Sunan, 02/409, Raqm-2775.
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 14/219, Raqm-6313,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 13/388, Raqm-7395
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/44, Raqm-3580,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 02/120, Raqm-1520, 1529,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/140, Raqm-1397,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-493, Raqm-549.]
02/550. “Hazrat Aboo Hurayrah Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Meri Misaal Aur Guzishta Ambiya-e Kiram Kee Misal Aisi Hai, Jaise Kisi Ne Ek Bohat Khoobsoorat Makaan Banaaya Aur Use Khoob Aaraasta Kiya, Lekin Ek Goshe Me Ek Int Kee Jagah Chhod Dee. Log Aa Aa Kar Is Makaan Ko Dekhne Lage Aur Is Par Taa’jjub Ka Iz’haar Karte Hu’e Kehne Lage : Int Kyon Nahin Rakkhi Ga’i? Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aur Mein Wahi Int Hoo’n Aur Mein Khaatimunnabiyyin Hoo’n (Ya’ni Mere Baa’d Baabe Nunuwwat Hamesha Ke Liye Band Ho Gaya Hai).”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1300, Raqm-33341, 33342.
Muslim Fi As-Sahih, 04/1791, Raqm-2286.
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/398, Raqm-9156.
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/436, Raqm-11422.
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 14/315, Raqm-6405,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-493, 494, Raqm-550.]
03/551. “Hazrat Aboo Moosa Ash’ari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hame’n Apne Kai Asma-e Giraami Bayan Farmaayein. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mein Muhammad Hoo’n Aur Mein Ahmad Hoo’n Aur Muqaffee (Baa’d Me Aane Waala) Aur Haashir Hoo’n (Jiski Pairwi Me Roze Hashr Sab Jam’a Ki’e Jaa’enge) Aur Nabi-ut-Tawbah Aur Nabi-ur-Rahma Hoo’n.”
–
[Muslim Fi As-Sahih, 04/1828, Raqm-2355.
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/395, 404, 408.
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/311, Raqm-31692, 31693.
Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/659, Raqm-4185, 4186,
وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد،
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/327, Raqm-4338, 4417.
Ibn Ja’d Fi Al-Musnad, 01/479, Raqm-3322,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-494, 495, Raqm-551.]
04/552. “Hazrat Waasila Bin Al Asqa’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Ne Aulaade Ismail ‘Alayh-is-Salam Bani Kinaana Ko Aur Aulaade Kinaana Me Se Quraish Ko Aur Quraish Me Se Haashim Aur Bani Haashim Me Se Mujhe Sharafe Intekhaab Bakhsha Aur Pasandida Qaraar Diya.”
رواه مسلم والترمذي وأحمد وابن أبي شيبة
وقال الترمذي : هذا حديث حسن.”
–
[Muslim Fi As-Sahih, 04/1782, Raqm-2276,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/583, Raqm-3605,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/108,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/317, Raqm-31731,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 14/135, Raqm-6242,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/66, Raqm-161,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 13/469, Raqm-7485,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, Volume-06, Page-365, Raqm-12852, 3542
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/139, Raqm-1391,
Lalaka’i Fi I’tiqad Ahl As-Sunnah, 04/751, Raqm-1400,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-495, Raqm-552.]
05/553. “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam MAale Ghanimat Taqseem Farma Rahe The Ki ‘Abd Allah Bin Jilkhuvaisara Tameemee Aaya Aur Kehne Laga : Ya RasoolAllah ﷺ! Adal Se Taqseem Keeji’e. (Uske Is Taa’n Par) Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Agar Mein Adal Nahin Karta To Aur Koun Adal Karega? Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Ijaazat ‘Ata Farmaye’n Ki Mein Is (Khaarijee Munaafiq) Kee Gardan Uda Doon (Ya ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Mujhe Ijaazat De Ki Mein Is Khabees Munaafiq Kee Gardan Uda Doon?) Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Rehne Do. Is Ke Kuchh Saathi Aise Hain (Yaa Honge) Ki Un Kee Namazo’n Ke Saamne Tum Apni Namazo’n Ko Aur Unke Rozo’n Ke Saamne Tum Apne Rozo’n Ko Haqeer Jaanoge. Lekin Woh Log Deen Se Is Tarah Khaarij Honge Jis Tarah Teer Shikaar Se Paar Nikal Jaata Hai. (Teer Phaikne Ke Baa’d) Teer Ke Par Ko Dekha Jaa’ega To Us Me Bhi Khoon Ka Ko’i Asar Na Hoga. Teer Ki Baad Ko Dekha Jaa’ega To Us Me Bhi Khoon Ka Ko’i Asar Na Hoga Aur Teer (Jaanwar Ke) Gobar Aur Khoon Se Paar Nikal Chuka Hoga. (Aisi Hee In Khabeeso’n Kee Misaal Hain Ki Deen Ke Saath Un Ka Sire Se Ko’i Taa’lluq Hee Na Hoga).”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2540, Raqm-6534, 6536,
Bukhari Fi As-Sahih, 03/1321, Raqm-3414,
Bukhari Fi As-Sahih, 04/1928, Raqm-4771,
Bukhari Fi As-Sahih, 05/2281, Raqm-5811,
Muslim Fi As-Sahih, 02/744, Raqm-1064,
Nasa’i Fi As-Sunan, 07/119, Raqm-4103,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/355, Raqm-11220,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/61, Raqm-172,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/56, Raqm-11554, 14861,
Ibn Jarood Fi Kitab Al-Muntaqa, 01/272, Raqm-1083,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/140, Raqm-6741,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/562, Raqm-37932,
Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 10/146,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/298, Raqm-1022,
Bazzar Fi Al-Musnad, 09/305, Raqm-3846,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/160, Raqm-2647,
وقال : هذا حديث صحيح،
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 09/35, Raqm-9060,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 08/171,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-495, 496, 497, Raqm-553.]
06/554. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ko’i Momin Aisa Nahin Ki Mein Dunya Wa Aakhirat Me Jis Kee Jaan Se Bhi Ziyaada Qareeb Na Hoo’n. Agar Tum Chaaho To Yeh Aayat Padh Lo : “Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Momino’n Ke Liye Un Kee Un Kee Jaano’n Se Bhi Ziyaada Qareb Hain.”(Al-Ahzab, 06:33) Phir Jo Musalman Maal Chhod Kar Mare To Jo Bhi Us Ka Khaandaan Hoga Wahi Us Ka Waaris Hoga Lekin Agar Qarj Ya Bachche Chhod Kar Mare To Woh (Qarz Khwaah Ya Bachche) Mere Paas Aayein Mein Un Ka Sarparast Hoo’n. (Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Baa’d Islami Riyaashat Yeh Dono’n Zimmedaariyan Nibhayegi).”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 04/1795, Raqm-4503,
Muslim Fi As-Sahih, 02/592, Raqm-(43)867,
Nasa’i Fi As-Sunan, 03/188, Raqm-1578,
Daraqutni Fi As-Sunan, 02/341, Raqm-2594,
Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 03/143, Raqm-1785,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 06/238, Raqm-12148,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-497, Raqm-554.]
07/555. “Hazrat Muttalib Bin Aboo Wada’a RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Karte Hain Ki Ek Baar Hazrat Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu, Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat e Aqdas Me Haazir Hu’e Aur Woh Us Waqt (Kafiro’n Se Kuchh Naashaa’ista Kalimaat) Sun Kar (Gusse Kee Haalat Me The. Phir Waaqiye Par Muttala’ Ho Kar) Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Mimbar Par Tashreef Farma Hu’e Aur Farmaya : Mein Koun Hoo’n? Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ne ‘Arz Kiya : (Ya RasoolAllah ﷺ!) Aap Par Salaamati Ho Aap Rasool Allah Hain. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mein Muhammad Bin ‘Abd Allah Bin ‘Abd-il-Muttalib Hoo’n. Khuda Ne Makhlooq Ko Paida Kiya To Mujhe Behtareen Khalq (Ya’ni Insaanon) Me Paida Kiya, Phir Makhlooq Ko Do² Hisso’n Me Taqseem Kar Diya (Ya’ni Arab Wa Ajam), To Mujhe Behtareen Tabqa (Yaani Arab) Me Daakhil Kiya. Phir Un Ke Mukhtalif Qabeele Banaaye To Mujhe Behtareen Qabeele (Ya’ni Quraish) Me Daakhil Farmaya. Phir Un Ke Gharaane Banaaye To Mujhe Behtareen Gharaane (Ya’ni Bani Haashim) Me Daakhil Kiya Aur Behtareen Nasab Waala Banaaya, (Ya’ni Mein Zaati Sharaf Aur Hasab Wa Nasab Har Ek Lihaaz Se Tamaam Makhlooq Se Afzal Hoo’n.)”
رواه الترمذي وأحمد.
وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/543, Raqm-3532,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/584, Raqm-3607, 3608.
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/210, Raqm-1788,
Bayhaqi Fi Dala’il-un-Nubuwwah, 01/149,
Daylami Musnad-ul-Firdaws, 01/41, Raqm-95,
Husayni Fi Al-Bayan Wa’t-Ta’rif, 01/178, Raqm-466,
Hindi Fi Kanz-ul-Ummal, 11/415, Raqm-3195,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-498, Raqm-555.]
08/556. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Farmaate Hain Ki Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ne ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Aap Ke Liye Nubuwwat Kab Waajib Hu’i? Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Mein Us Waqt Bhi Nabi Tha) Jab Ki Hazrat Aadam ‘Alayh-is-Salam Kee Takhleeq Abhi Rooh Aur Jism Ke Darmiyaani Marhale Me Thi (Yaani Rooh Aur Jism Ka Baahami Ta’alluq Bhi Abhi Qaa’em Naa Hua Tha).”
رواه الترمذي والحاكم.
وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن صحيح.
وقال الهيثمي : رواه أهمد والطبراني ورجال الصحيح.
“Hazrat Maysarah-Fajr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmaate Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Poochha : (Ya RasoolAllah ﷺ!) Aap Kab Nubuwwat Se Sarfaraaz Ki’e Ga’e? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Mein Us Waqt Bhi Nabi Tha) Jab Hazrat Aadam ‘Alayh-is-Salam Kee Takhleeq Rooh Aur Mittee Ke Marhale Me Thi.”
رواه الحاكم والطبراني والبخاري في الكبير.
وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد.
“Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Poochha : (Ya RasoolAllah ﷺ!) Aap Ke Liye Nubuwwat Kab Farz Kee Ga’i? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Mein Us Waqt Bhi Nabi Tha Jab Ki) Hazrat Aadam ‘Alayh-is-Salam Kee Takhleeq Abhi Rooh Aur Mittee Ke Marhale Me Thi.”
رواه أحمد والطبراني واللفظ له وابن أبي عاصم.
إسناده صحيح ورجاله كلهم ثكات رجال الصحيح.
وقال الذهبي : هذا حديث صالح السند.
“Aur Ek Riwayat Me Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Woh Bayaan Karte Hai Ki Mein Ne ‘Arz Kiya : (Ya RasoolAllah ﷺ!) Aap Kab Nabi Banaye Ga’e? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Mein Us Waqt Bhi Nabi Tha) Jab Ki Hazrat Aadam ‘Alayh-is-Salam Kee Takhleeq Abhi Rooh Aur Jism Ke Darmiyani Marhale Me Thi.”
رواه الطبراني.
“Aur Ek Riwayat Me Hazrat ‘Abd Allah Bin Shaqeeq RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Ek Sahaabi Se Riwayat Kiya, Woh Bayan Karte Hain Ki Mein Ne ‘Arz Kiya (Ya RasoolAllah ﷺ!) Aap Kab Nabi Banaaye Ga’e? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Mein Us Waqt Bhi Nabi Tha) Jab Ki Hazrat Aadam ‘Alayh-is-Salam Kee Takhleeq Abhi Rooh Aur Jism Ke Darmiyaani Marhale Me Thi.”
رواه أحمد ورجاله رجال الصحيح.
“Ek Aur Riwayat Me Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Unhone ‘Arz Kiya, Ya RasoolAllah ﷺ! Aap Kab Nabi Banaa ye Ga’e? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Mein Us Waqt Bhi Nabi Tha) Jab Ki Hazrat Aadam ‘Alayh-is-Salam (Ka Jsim) Abhi Mittee Me Gundha Hua Tha.”
رواه أبو نعيم كما ذكر السيوطي وابن كثير.
“Ek Aur Riwayat Me Hazrat Aamir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Ek Shakhs Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me ‘Arz Kiya : (Ya RasoolAllah ﷺ!) Aap Kab Sharafe Nabi Se Sarfaraaz Ki’e Ga’e? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Mujh Se Meesaaqe Nubuwwat Liya Gaya Tha Us Waqt Hazrat Aadam ‘Alayh-is-Salam Rooh Aur Jism Ke Darmiyani Marhale Mein The.”
رواه ابن سعد.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/585, Raqm-3609.
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad , 04/66,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/59, 379, Raqm-23620.
Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/665, 666, Raqm-4209, 4210.
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/369, Raqm-36553.
أبو سعد النيشابوري في شرف المصطفى ﷺ، ٢٨٦/١، الرقم : ٧٥،
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/272, Raqm-4175,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 12/92, 119, Raqm-12571, 12646,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 20/353, Raqm-833.
Abu Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 07/122,
Abu Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’,09/53,
Dala’il-un-Nubuwwah, 01/17.
Bukhari Fi Tarikh-ul-Kabir, 07/374, Raqm-1606,
Bukhari Fi Khallal Fi As-Sunnah, 01/188, Raqm-200.
إسناده صحيح،
Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 01/179, Raqm-411, إسناده صحيح،
Ibn Abi ‘Asim Fi Al-Ahadu Wa’l-Mathani, 05/347, Raqm-2918.
‘Abd Allah Bin Ahmad Fi As-Sunnah, 02/398, Raqm-864, إسناده صحيح،
Ibne Saa’d Fi At-Tabqaat-ul-Kubra, 01/148,
07/60,
Ibn Hibban Fi Kitab Al-Thiqat, 01/47,
Ibn Qani’ Fi Mu’jam Al-Sahabah, 02/127, Raqm-591,
03/129, 1103,
Ibn Khayyat Fi Tabaqat, 01/59, 125,
Lalaka’i Fi I’tiqad Ahl As-Sunnah,, 04/753, Raqm-1403,
Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah, 09/142,143, Raqm-123, 124,
Aboo Mahasin Fi Mu’tasar Al-Mukhtasar, 01/10,
Aboo Mahasin Fi Al-Ikmal, 01/468, Raqm-898.
Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 03/284, Raqm-4845,
Ibn Asakir Fi Tarikh Madinah Dimishq, 26/382,
Ibn Asakir Fi Tarikh Madinah Dimishq, 45/488,489,
Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 03/70, Raqm-1032,
Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 05/82, Raqm-2472.
Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 10/146, Raqm-5292,
Qazwini At-Tadwin Fi Akhbar Qazwin, 02/244.
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Tahdhib-ut-Tahdhib, 05/147, Raqm-290,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Al-Isabah, 06/239,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Ta’jil-ul-Manfa’ah Bi-Zawa’id Rijal Al-A’immah Al-Arba’ah, 01/542, Raqm-1518,
Ibn ‘Abd-il-Barr Fi Al-Isti’ab, 04/1488, Raqm-2582,
Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 07/386, 11/110,
وقال :هذا حديث صالح السند،
Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 02/307, 320, 321,
Jurjani Fi Tarikh Jurjan Aw Ma’rifah Ulama’ Ahli Jurjan, 01,/392, Raqm-653,
Suyooti Fi Khasa’is Al-Kubra Aw Kifayah At-Talib Al-Labib Fi Khasa’is Al-Habib, 01/07, 08, 18,
Suyooti Fi Al-Hawi Lil-Fatawa Fi Al-Fiqh Wa Uloom Al-Tafsir Wa Al-Hadith Wa Al-Usool Wa Al-Nahw Wa Al-I’Rabb Wa Sa’ir Al-Funun, 02/100,
Qastallani Fi Al-Mawahib-ul-Ladunniyyah, 01/60,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 08/223,
وقال : رواه الطبراني والبزار،
Albani Fi Silsilah Al-Ahadith-is-Sahihah, 04/471, Raqm-756,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-499, 500, 501, 502, Raqm-556.]
09/557. “Umm-ul-Mu’minin Hazrat Aaishah Siddiqah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Hazrat Jibra’il ‘Alayh-is-Salam Se Riwayat Karte Hain Ki Unhone ‘Arz Kiya : (Ya RasoolAllah ﷺ!) Mein Ne Tamaam Zameen Ke Ataraaf Wa Aknaaf Aur Goshe-Goshe Ko Chhaan Maara, Magar Na To Mein Ne Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Behtar Kisi Ko Paaya Aur Na Hee Mein Ne Bani Haashim Ke Ghar Se Badh Kar Behtar Koii Ghar Dekha.”
رواه الطبراني والﻻلكائي.
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 06/237, Raqm-6285,
Lalaka’i Fi I’tiqad Ahl As-Sunnah, 04/756, Raqm-1402,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 08/217,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-502, Raqm-557.]
10/558. “Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mein Nikaah Ke Saath Mutwallid Hua Na Ki Ghair Sharaee Tareeqe Par, Aur Mera (Ye Nisbatee Taqaddus) Hazrat Aadam ‘Alayh-is-Salam Se Shuroo Hokar Hazrat ‘Abd Allah Aur Hazrat Aamina RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ke Mujhe Jan’ne Tak Barqaraar Raha (Aur Zamaana-e Jaahiliyat Kee Badkirdaariyo’n Aur Aawaargiyo’n Kee Zarra Bhar Bhi Milaavat Mere Nasab Me Nahin Paa’i Ga’i).”
رواه الطبراني وابن أبي شيبة والبيهقي.
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05/80, Raqm-4768,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/303, Raqm-31641,
Bayhaqi An Ibn Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Abi Sbaybah As-Sunan-ul-Kubra, 07/190,
Daylami Al-Musnad-ul-Firdaws, 02/190, Raqm-2949,
Husayni Fi Al-Bayan Wa’t-Ta’rif, 01/294, Raqm-784,
Hindi Fi Kanz-ul-Ummal, 11/402, Raqm-31870,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 08/214,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-502, 503, Raqm-558.]
11/559. “Hazrat Jaabir Bin ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Unhone Bayan Farmaya : Mein Ne Bargahe Risaalat Ma’aab SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Me ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Mere Maa Baap Aap Par Qurbaan! Mujhe Bataaye’n Ki Allah Ta’ala Ne Sab Se Pehle Kis Shai Ko Paida Farmaya? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Jaabir! Be Shak Allah Ta’ala Ne Tamaam Makhlooq (Ko Paida Karne) Se Pehle Tere Nabi Ka Noor Apne Noor (Ke Faiz) Se Paida Farmaya, Yeh Noor Allah Ta’ala Kee Mashiyyat Se Jaha’n Us Ne Chaaha Sair Karta Raha. Us Waqt Na Louh Thi Na Qalam, Na Jannat Thi Na Dozakh, Na (Koii) Firishta Tha, Na Aasmaan Tha Na Jameen, Na Sooraj Tha Na Chaand, Na Jin The Aur Na Insaan, Jab Allah Ta’ala Ne Iraada Farmaya Ki Makhlooq Ko Paida Kare To Us Ne Us Noor Ko Chhar⁴ Hisso’n Me Taqseem Kar Diya. Pehle Hisse Se Qalam Banaaya, Doosre Hisse Se Louh Aur Teesare Hisse Se Arsh Banaaya. Phir Chouthe Hisse Ko (Mazeed) Chhar⁴ Hisso’n Me Taqseem Kiya To Pehle Hisse Se Arsh Uthaane Waale Firishte Banaaye Aur Doosre Hisse Se Kursee Aur Teesare Hisse Se Baaqi Firishte Paida Ki’e. Phir Chouthe Hisse Ko Mazeed Chaar⁴ Hisso’n Me Taqseem Kiya To Pehle Hisse Se Aasmaan Banaaye, Doosre Hisse Se Zameen Aur Teesare Hisse Se Jannat Aur Dozakh Banaayi……”
رواه عبد الرزاق.
–
[Qastallani Fi Al-Mawahib-ul-Ladunniyyah, 01/71,
وقال : أخرجه عبد الرزاق بسنده،
Zarqani Fi Sharh Al-Mawahib-ul-Ladunniyyah, 01/89, 91.
Ajlooni Fi Kashf-ul-Khafa’, 01/311, Hadith-827.
وقال : رواه عبد الرزاق بسنده عن جابر بن عبد الله رضي الله عنهما،
‘Aydarus Fi Tarikh Al-Noor Al-Safir, 01/08,
Thanvi Fi Nashr-ut-Tibb,/13,
Halabi Fi As-Sirat-ul-Halabiyyah,01/50,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-503, 504, Raqm-559.]