Fasl-07 :
Faut Shudgan Ko Thawaab Pahonchane Kee Fazeelat Ka Bayaan
78/538. “Hazrat Aaishah Siddiqah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Ko’i Fawt Ho Jaa’e Aur Us Ke Zimme Roze (Baaqi) Ho’n To Us Ka Walee Us Kee Taraf Se Woh Roze Rakkhe.”
Muttafaque ‘Alayh
“Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Riwayat Me Hai Ki Farmaya : Agar Us (Fawt Hone Waale) Par Kisee Nazr Ka Poora Karna Baaqi Ho (Jo Us Ne Maani Thi) To Woh Us Kee Taraf Se Us Ka Walee Poori Kare.”
رواه أبوداود.
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 02/690, Raqm-1851,
Muslim Fi As-Sahih, 02/803, Raqm-1147,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/315, Raqm-2400, 2401,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/237, Raqm-3311,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 2/175, Raqm-2919,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 08/334, Raqm-3569,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 07/390, Raqm-4417,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 08/200, Raqm-4761,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/253, Raqm-4121,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 04/255, 256, Raqm-8010,
06/279, Raqm-12424,
Daraqutni Fi As-Sunan, 02/194, Raqm-79, 80,
وقال الدار قطني : إسناده صحيح،
Ibn Jarood Fi Kitab Al-Muntaqa, 01/237, Raqm-943,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 03/113, Raqm-12598,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-480, Raqm-538.]
79/539. “Hazrat Aaishah Siddiqah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Riwayat Hai Ki Ek Aadami Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Bargah Me Haazir Hua Aur ‘Arz Kiya : Meri Waalida Achaanak Fawt Ho Ho Ga’i Hai Aur Mera Khayaal Hai Ki Agar Woh (Bawaqte Naz’a) Guftagoo Kar Sakti To Sadqe (Kee Adaaygi Ka Hukm) Karti. Agar Mein Us Kee Taraf Se Khairaat Karoo’n To Kya Use Sawaab Pahonchega Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ha’n.”
Ise Bukhari Aur Muslim Ne Riwayat Kiya Hai Aur Imam Muslim Ne “Sadaqat Ke Sawab Ka Shudagan Tak Pahonchne” Ke Unwaan Se Baqaayda Baab Qaa’em Kiya Hai.”
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 01/467, Raqm-1322,
Bukhari Fi As-Sahih, 03/1015, Raqm-2609,
Muslim Fi As-Sahih, 02/696, Raqm-1004,
Muslim Fi As-Sahih, 03/1254, Raqm-1004,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/118, Raqm-2881,
Nasa’i Fi As-Sunan, 06/250, Raqm-3649,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Qubra, 04/109, Raqm-6476,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/906, Raqm-2717,
Malik Fi Al-Muwatta’,02/760, Raqm-1451,
Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 04/124, Raqm-2499,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 08/140, Raqm-3353,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/51, Raqm-24296,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 07/410, Raqm-4434,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 04/62, Raqm-6895, 12409,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/218, Raqm-703,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-481, Raqm-539.]
80/540. “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hain Ki (Qabeela) Juhayna Kee Ek Aurat Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Bargah Me Haazir Ho Kar ‘Arz Kiya : Meri Waalida Ne Hajj Kee Mannat Maani Thi Lekin Woh Hajj Na Kar Saki Yaha’n Tak Ki Fawt Ho Ga’i. Kya Mein Us Kee Taraf Se Hajj Karoo’n? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ha’n Tum Us Kee Taraf Se Hajj Karo. Bhala Bataawo To Agar Tumhari Waalida Par Qarz Hota To Kya Tum Use Ada Na Karti? Phir Allah Ta’ala Ka Haqq Ada Karo Kyon Ki Woh Ziyaada Haqq Daar Hai Ki Us Ka Qarz Ada Kiya Jaa’e.”
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 02/656, Raqm-1754,
Bukhari Fi As-Sahih, 06/2464, Raqm-6321,
Bukhari Fi As-Sahih, 06/2668, Raqm-6885,
Nasa’i Fi As-Sunan, 05/116, Raqm-2632,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/322, Raqm-3612,
Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 04/346, Raqm-3041,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 12/50, Raqm-12443, 12444,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 04/335, Raqm-8455,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,05/179, Raqm-9634, 12382, 12407,
Ibn Jarood Fi Kitab Al-Muntaqa, 01/133, Raqm-501, 944,
Ibn Ja’d Fi Al-Musnad, 01/258, Raqm-1710,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-482, Raqm-540.]
81/541. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me Ek Shakhs Ne ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Mera Baap Fawt Ho Gaya Hai Aur Us Ne Maal Chhoda Hai Aur Waseeyat Bhi Nahin Kee Agar Mein Us Kee Taraf Se Sadqa Karoo’n To Kya Yeh (Sadqa) Us Ke Gunaaho’n Ka Qaffara Ho Jaa’ega? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ha’n.”
–
[Muslim Fi As-Sahih, 03/1254, Raqm-1630,
Nasa’i Fi As-Sunan, 06/251, Raqm-3652,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/206, Raqm-2716,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/371, Raqm-8828,
Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 04/123, Raqm-2498,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 06/278, Raqm-12414,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 11/379, Raqm-6494,
Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 03/493, Raqm-5816,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-482, 483, Raqm-541.]
82/542. “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me Ek Aurat Haazir Hu’i Aur ‘Arz Kiya : Meri Maa Fawt Ho Ga’i Hai Aur Us Par Ek Maah Ke Roze Waajib Hain Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Yeh Bataawo Us Par Kuchh Qarz Hota To Kya Tum Us Kee Taraf Se Woh Qarz Ada Karti? Us Aurat Ne ‘Arz Kiya : Ha’n. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Phir Allah Ta’ala Ziyaada Haqq Daar Hai Ki Us Ka Qarz (Pehle) Ada Kiya Jaa’e.”
“Aur Ek Riwayat Me Hai Yeh Alfaz Marwi Hain Ki Us Ne ‘Arz Kiya : Meri Bahan Fawt Ho Ga’i Hai Aur Us Par Do² Maah Ke Musalsal Roze Waajib Hain. (To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Use Isee Tarah Se Adaaygi Ka Hukm Diya.).”
–
[Muslim Fi As-Sahih, 02/804, Raqm-1148,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/173, 174, Raqm-2912, 2915,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/559, Raqm-1758,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 08/299, 335, Raqm-3530, 3570,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 04/255, Raqm-8012,
Ibn Jarood Fi Kitab Al-Muntaqa, 01/237, Raqm-942,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-483, 484, Raqm-542.]
83/543. “Hazrat Burayda RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Mein Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Baargaahe Aqdas Me Baitha Hua Tha Ki Ek Aurat Aa’i Aur ‘Arz Kiya : Mein Ne Apni Maa Ko Ek Baandi Sadqe Me Dee Thi Aur Ab Meri Maa Fawt Ho Ga’i Hai. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tumhe’n Sawab Mil Gaya Aur Wiraasat Ne Tumhe’n Woh Baandi Louta Dee. Us Aurat Ne ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Meri Maa Par Ek Maah Ke Roze (Bhi Baaqi) They Kya Mein Us Kee Taraf Se Roze Rakhoo’n? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ha’n Us Kee Taraf Se Roze Rakho. Us Ne ‘Arz Kiya : Meri Maa Ne Hajj Bhi Nahin Kiya Tha Kya Mein Us Kee Taraf Se Hajj Ada Karoo’n? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ha’n, Us Kee Taraf Se Hajj Bhi Ada Karo (Use In Sab Aamaal Ka Sawaab Pahonchega).”
رواه مسلم والترمذي.
وقال الترمذي : هذا حديث حسن صحيح.
–
[Muslim Fi As-Sahih, 02/805, Raqm-1149,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 03/54, Raqm-667,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 04/66, 67, Raqm-6314, 6316,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/800, Raqm-2394,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 04/256, Raqm-8019,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 04/356, Raqm-121,:) Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 09/120,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/349, 351, 359, 361, Raqm-23006, 23021, 23082, 23104,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-484, 485, Raqm-543.]
84/544. “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Ek Shakhs Ne Baargaahe Risalat Me ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Meri Waalida Fawt Ho Chuki Hai Agar Mein Us Kee Taraf Se Sadqa Doo’n To Kya Woh Use Ko’i Nafa Dega? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ha’n! Us Ne ‘Arz Kiya : Mere Paas Ek Baag Hai Aap Gawaah Rahe’n Mein Ne Yeh Baag Us Kee Taraf Se Sadqa Kar Diya.”
“Imam Tirmidhi Farmate Hain : Yeh Hadith Hasan Hai Aur Ulama Ka Yahi Qaul Hai Woh Farmate Hain : Mayyat Ko Sirf Sadqa Aur Du’aa Pahonchti Hain.”
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 03/56, Raqm-669,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/118, Raqm-2882,
Nasa’i Fi As-Sunan, 06/252, Raqm-3655,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 04/110, Raqm-6482,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/581, Raqm-1531,
Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 04/125, Raqm-2502,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/370, Raqm-3504,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-485, Raqm-544.]
85/545. “Hazrat Sa’d Bin Ubaada RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Un Kee Waalida Fawt Ho Ga’i. Unhone ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Meri Waalida Fawt Ho Ga’i Hain, Kya Mein Us Kee Taraf Se Sadqa Kar Sakta Hoo’n? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ha’n Unhone ‘Arz Kiya : To Koun Sa Sadqa Behtar Rahega? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Paani Pilaana. (To Unhone Ek Kuwa’n Kharid Kar Musalmano’n Ke Liye Waqf Kar Diya) Phir Yeh Kuwa’n Madinah Munawwarah Me Sa’d Ya Aale Sa’d Ke Paani Kee Sabeel (Ke Naam Se Mash’hoor Tha).”
–
[Nasa’i Fi As-Sunan, 06/254, 255, Raqm-3662, 3666,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 04/112, Raqm-6491,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1214, Raqm-3684,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/284, Raqm-22512,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 06/20, Raqm-5379,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/221, Raqm-3379,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/42, Raqm-1423,1424,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-485, 486, Raqm-545.]
86/546. “Hazrat Sa’d RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Unhone Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Ummi Sa’d (Ya’ni Un Kee Waalida Maajeda) Ka Intiqal Ho Gaya Hai. To (Un Kee Taraf Se) Koun Sa Sadqa Afzal Hai? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Paani (Pilana) To Unhone Auk Kuwa’n Khudawaya Aur Kaha : Yeh Ummi Sa’d Ka Kuwa’n Hai.”
–
[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/130, Raqm-1681,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/41, Raqm-1424,
Husayni Al-Bayan Wat-Ta’rif, 01/120, Raqm-307,
Khatib Tabrizi Fi Mishkat-ul-Masabih, 01/362, Raqm-1912,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-486, Raqm-546.]
87/547. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Insan Mar Jaata Hai To Us Ke Aamaal Ka Silsila Khatm Ho Jaata Hai Siwaye Teen Cheezo’n Ke (Un Ka Ajr Use Barabar Milta Rehta Hai: ) Ek¹ Woh Saqda Jis Ka Nafa Zaari Rahe, Doosara² Woh Ilm Jis Se Faayda Uthaaya Jaa’e, Teesra³ Woh Nek Aulaad Jo Us Ke Liye Du’aa Kare.”
–
[Muslim Fi As-Sahih, 03/1255, Raqm-1631,
Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/28, Raqm-38,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/117, Raqm-2880,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/88, Raqm-239,
Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 04/122, Raqm-2494,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 07/286, Raqm-3016,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 11/266, Raqm-4902,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/372, Raaam-8831,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 06/278, Raqm-12415,
Bayhaqi Fi As-Shu’ab-ul-Iman, 03/247, Raqm-3447,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/08, Raqm-3472,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/242, Raqm-395,
Aboo Ya’al Al-Musnad, 11/343, Raqm-6457,
Ibn Jarood Fi Kitab Al-Muntaqa, 01/101, Raqm-370,
Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 03/394, 395, Raqm-5824,
Aboo Mahasin Fi Mu’tasar Al-Mukhtasar, 02/306,
Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 01/283, Raqm-1109,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/55, Raqm-124, 125, 156, 1888,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-486, 487, Raqm-547.]
88/548. “Hazrat Sufyan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Hazrat Ta’oos RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Be Shak Saat-07 Din Tak Murdo’n Ko Qabro’n Me Aazmaya Jaata Hai Is Liye Log In Dino’n Me Un Kee Taraf Se Khaana Khilaane Ko Mustahab Samajhte They.”
رواه أبو نعيم وأحمد.
وقال السيوطي : إسناده صحيح وله حكم الرفع.
–
[Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 04/11,
Suyoot Fi Al-Dibaj Ala Sahih Muslim, 02/491, Raqm-905,
Suyoot Fi Sharh As-Sunan-un-Nasa’i, 04/104,
Noor Al-Din Al-Sanadi Hashiyah As-Sanadi Ala An-Nasa’i, 04/103, Raqm-2060,
Ibn Jawzi Fi Sifat-us-Safwah, 02/289,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-487, 488, Raqm-548.]