Fasl-06 :
Ziyarate Quboor Kee Fazeelat Ka Bayaan
71/531. “Imame Aazam Aboo Hanifah Alqama Bin Marsad Se Woh Sulaiman Bin Burayda Se Aur Woh Apne Waalid Hazrat Burayda RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Aur Woh Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Riwayat Karte Hain Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Hum Ne Tumhe’n Qabro’n Kee Ziyarat Karne Se Mana Kiya Tha, Muhammad Mustafa (SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam) Ko Apni Waalida Kee Qabr Kee Ziyarat Karne Ka Izn (Hukm) De Diya Gaya Hai, To (Ab) Tum Bhi Qabro’n Kee Ziyarat Kiya Karo Aur Behuda Baate Mat Kiya Karo.”
–
[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 02/199,
Aboo Yusuf Kitab-ul-Aathar, 01/225, Raqm-996,
Nasa’i Fi As-Sunan, 04/89, Raqm-2033,
Malik Fi Al-Muwatta’, 02/485, Raqm-1031,
Shafi’iy Fi Al-Musnad, 01/361,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/532, Raqm-1393,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-476, Raqm-531.]
72/532. “Hazrat Burayda RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mein Tumhe’n Ziyarate Quboor Se Mana Kiya Karta Tha, Phir Ab Tum Ziyarate Quboor Kiya Karo.”
Ise Imam Muslim Ne Riwayat Kiya Aur Imam Tirmidhi Ne In Alfaz Ka Izaafa Kiya Ki “Yeh Tumhe’n Aakhirat Kee Yaad Dilaati Hain.”
–
[Muslim Fi As-Sahih, 02/672, Raqm-977,
Muslim Fi As-Sahih, 03/1563, Raqm-1977,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 04, 03/370, Raqm-1054,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/218, Raqm-3235,
Nasa’i Fi As-Sunan, 04/89, Raqm-2032,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-476, 477, Raqm-532.]
73/533. “Hazrat Aaishah Siddiqah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Riwayat Karti Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam (Kee Jab Mere Yaha’n Baari Hoti To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam) Raat Ke Aakhiri Pahar Baqi Ke Qabristan Me Tashrif Le Jaate Aur (Ahle Qabristan Se) Farmate : Tum Par Salamati Ho, Aye Momino’n Ke Ghar Waalo’n! Jis Cheez Ka Tum Se Waada Kiya Gaya Hai Woh Tumhare Paas Aa Ga’i Ki Jise Kal Ek Muddat Baa’d Paawoge Aur Agar Allah Ta’ala Ne Chaaha To Hum Bhi Tum Se Milne Waale Hain. Aye Allah! Baqee-e Gharqad (Ahle Madeenah ake Qabristan) Waalo’n Kee Maghfirat Farma.”
–
[Muslim Fi As-Sahih, 02/669, Raqm-974,
Nasa’i Fi As-Sunan, 04/93, Raqm-2039,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 08/199, Raqm-4758,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 07/444, Raqm-3172,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-477, Raqm-533.]
74/534. “Hazrat Burayda RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Unhe’n Sikhaya Karte They Ki Jab Woh Qabro’n Kee Ziyarat Ke Liye Jaa’e’n To Un Se Kehne Waala Kahe …. Aur Hazrat Zuhayr Kee Riwayat Me Hai Aye Momino’n Aur Musalmano’n Ke Ghar Waalo’n! Tum Par Salamati Ho Aur Agar Allah Ta’ala Ne Chaaha To Hum Bhi Zaroor Zaroor Tum Se Milne Waale Hain, Hum Allah Ta’ala Se Apne Liye Aur Tumhare Liye Aafiyat Ke Talabgaar Hain.”
–
[Muslim Fi As-Sahih, 02/671, Raqm-975,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/353, Raqm-23035,
Ruwayani Fi Al-Musnad, 01/67, Raqm-15,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 07/445, Raqm-3173,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 04/79, Raqm-7005,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-477, 478, Raqm-534.]
75/535. “Hazrat Aaishah Siddiqah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ek Taweel Riwayat Me Bayan Karti Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Mein Ziyarate Quboor Ke Waqt Ahle Quboor Se Kis Tarah Mukhaatib Hua Karoo’n? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Yoo’n Kaha Karo : Aye Momino’n Aur Musalmano’n Ke Ghar Waalo’n! Tum Par Salamati Ho, Allah Ta’ala Humare Agle Aur Pichhle Logo’n Par Raham Farmaa’e Aur Agar Allah Ta’ala Ne Chaaha To Hum Bhi Tumhe’n Milne Waale Hain.”
–
[Muslim Fi As-Sahih, 02/669, Raqm-974,
Nasa’i Fi As-Sunan, 04/91, Raqm-2037,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/221, Raqm-25897,
Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 03/576, Raqm-6722,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-478, 479, Raqm-535.]
76/536. “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Madinah Munawwarah Ke Qabristan Se Guzre To Ahle Quboor Kee Taraf Mutawajjah Ho Kar Farmaya : Aye Ahle Quboor! Tum Par Salamati Ho Allah Ta’ala Hamari Aur Tumhari Maghfirat Farmaa’e Tum Hum Se Pehle Pahonche Ho Aur Hum Bhi Tumhare Pichhe Aane Waale Hain.”
رواه الترمذي وفي الباب : بريدة، وعائشة،
وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن..
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 02/357, Raqm-1053,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-479, Raqm-536.]
77/537. “Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mein Tumhe’n Ziyarate Quboor Se Mana Kiya Karta Tha Ab Ziyarate Quboor Kiya Karo Kyon Ki Yeh Dunya Me Zaahid Banaati Hai (Ya’ni Dunyaawi Lazzato’n Se Beraghbati Paida Karti Hai) Aur Aakhirat Kee Yaad Deelaati Hai.”
–
[Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/501, Raqm-1571,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-479, Raqm-537.]