Fasl-04 :
Raat Ko Qiyaam Karne Kee Fazeelat Ka Bayan
46/506. “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Hasad (Ya’ni Rashk) Sirf Do² Aadmiyo’n Se Karna Chaahiye : Ek Woh Shakhs Jise Allah Ta’ala Ne Qur’ane Pak ‘Ata Kiya Ho Aur Woh Raat Ko Namaz Me Is Kee Tilawat Kare, Doosara Woh Shakhs Hai Jise Allah Ta’ala Ne Maal Wa Daulat Se Nawaaza Ho Woh Use Raat Kee Ghadiyo’n Aur Din Ke Mukhtalif Hisso’n Me (Rahe Ilahi Me) Kharch Karta Rahe.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 04/1919, Raqm-4737,
Bukhari Fi As-Sahih, 06/2643, Raqm-6805,
Muslim Fi As-Sahih, 01/558, 559, Raqm-815,
Timidhi As-Sunan, 04/330, Raqm-1936,
وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن صحيح،
Ibn Majah As-Sahih, 01/332, Raqm-125, 126,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/27, Raqm-8072,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/08, Raqm-4550, 4924, 5618, 6403,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/375, Raqm-2271, 2688,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/153, Raqm-30281, 30282,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 04/188, Raqm-7615, 7616,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 09/291, Raqm-5417,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-453, Raqm-506.]
47/507. “Hazrat Jabir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmate Hu’e Suna : Raat Ko Ek Aisee Saa’at Bhi Aati Hai Jis Me Ko’i Musalman Allah ‘Azza Wa Jalla Se Dunya Wa Aakhirat Kee Ko’i Bhi Cheez Maange, Allah Ta’ala Use Wahi Inaayat Farma Deta Hai Aur Yeh Saa’at Har Raat Aati Hai.”
–
[Muslim Fi As-Sahih, 01/521, Raqm-757,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/331, Raqm-14583,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 04/189, Raqm-2281,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/241, Raqm-971,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-454, Raqm-507.]
48/508. “Hazrat Aboo Umama RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Raat Ka Qiyam Apne Oopar Laazim Kar Lo Ki Woh Tum Se Pehle Ke Nek Logo’n Ka Tareeqa Hai Aur Tumhare Liye Qurbe Khudawandi Ka Baa’is Hai, Bura’iyo’n Ko Mitaane Waala Aur Gunaaho’n Se Rokne Waala Hai.”
رواه الترمذي والحاكم.
وقال أبو عيسى : هذا حديث أصح، وقال الحاكم : هذا هديث صحيح.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/552, Raqm-3549,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/451, Raqm-1156,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/502, Raqm-4423,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 08/92, Raqm-7766,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-454, Raqm-508.]
49/509. “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri Aur Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Shakhs Khud Raat Ko Bedaar Ho Aur Apni Ahaliya Ko (Bhi) Bedaar Kare, Dono’n Do² Raq’at Namaz Mil Kar Ada Kare To Un Ka Shumaar Allah Ta’ala Ka Kasrat Se Zikr Karne Waale Mardo’n Aur (Kasrat Se) Zikr Karne Waali Aurato’n Me Hoga.”
رواه أبو داود وابن ماجه والنساءي واللفظ له.
وقال الحاكم : هذا حديث صحيح.
–
[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/70, Raqm-1451,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/423, Raqm-1335,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/413, Raqm-1310, 11406,
Hakim Mustadrak, 01/461, Raqm-1189, 3561,
Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 03/48, Raqm-4738,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 06/501, Raqm-4420,
Bayhaqi Fi As-Sunan-us-Sughra, 01/473, Raqm-869,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/126, Raqm-3083,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/242, Raqm-922,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-454, 455, Raqm-509.]
50/510. “Hazrat ‘Amr Bin ‘Abasah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Unhone Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Suna Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Farmate : Allah ‘Azza Wa Jalla Apne Bando’n Ke Sab Se Kareeb Raat Ke Aakhiri Hisse Me Hota Hai. Agar Tum Us Waqt Allah Ta’ala Ka Zikr Karne Waalo’n Me Shaamil Ho Sakte Ho To Zaroor Ho Jaao.”
رواه الترمذي وانساءي.
وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/569, Raqm-3579,
Nasa’i Fi As-Sunan, 01/279, Raqm-572,
Nasa’i Fi As-Sunan,, 02/226, Raqm-1137,
Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 02/182, Raqm-1147,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/453, Raqm-1162,
وقال الحاكم : هذا حديث صحيح،
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 03/04, Raqm-4439,
Tabarani Fi Musnad Al-Shamiyyin, 01/349, Raqm-605,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/245, Raqm-933,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-455, 456, Raqm-510.]
51/511. “Hazrat Asma Binte Yazeed RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Log Qiyaamat Ke Din Ek Maidan Me Ikat’the Ki’e Jaa’ege Aur Ek Munaadi I’laan Karega, Jin Logo’n Ke Pahloo (Apne Rabb Kee Yad Me) Bistar Se Juda Rehte They, Woh Koun Hain? Woh Khade Ho Jaa’ege, Un Kee Ta’daad Bohat Kam Hogi Aur Woh Jannat Me Baghair Hisaabo Kitaab Ke Daakhil Ho Jaa’ege Phir Baaqi (Bach Jaane Waale) Logo’n Ke Hisaabo Kitaab Ka Hukm Jaari Kar Diya Jaa’ega.”
–
[Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/169, Raqm-3244, 693, 3246,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/433, Raqm-3508,
Ibn Mubarak Fi Kitab-uz-Zuhd, 01/101, Raqm-353,
Qurtubi Fi Al-Jaame’ Li-Ahkam Al-Qur’an (Tafsir Al-Qurtubi), 14/102,
Tabarani Jaame’-ul-Bayan, 30/186,
Ibn Kathir Fi Tafsir-ul-Qr’an Al-Azim, 03/461,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-456, Raqm-511.]
52/512. “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Qur’an Ke Aalim Wa Aamil Aur Shab Zindaadaar (Log) Meri Ummat Ke Asharaaf (Sardaar) Hain.”
–
[Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/556, Raqm-2703,
Isma’ili Majma’-ush-Shuyukh, 01/319, Raqm-06,
Tabarani Mu’jam-ul-Kabir, 12/125, Raqm-12662,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/243, Raqm-930,
وقال المنذري : رواه ابن أبى الدنيا فى كتاب التهجد،
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 07/161,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-456, 457, Raqm-512.]
53/513. “Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Allah Ne Tahajjud Guzaaro’n Ke Liye Aisee Ne’mate’n Tayyar Kar Rakhi Hain Jo Kisi Aankh Ne Dekhi Nahin, Kisi Kaan Ne Suni Nahin, Kisi Insan Ke Dil Me Un Ka Khayaal (Tak) Nahin Aaya, Na Hee Unhe’n Ko’i Muqarrib Firishta Jaanta Hai Aur Na Hee Ko’i Nabi Mursal. Ibn Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Hum Bhi Qur’an Paak Me Is (Maf’hoom) Ke Hum Ma’na Aayat Tilawat Karte Hain ‘Jo Kisi Ko Ma’loom Nahin Jo Aankho’n Kee Thandak Un Ke Liye Posheeda Rakhi Ga’i Hai, Yeh Un (Amale Saleha) Ka Badala Hoga Jo Woh Karte Rahe They.'”
رواه الحاكم.
وقال : هذا حديث صحيح الإسناد.
–
[Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/448, Raqm-3550,
Ibn Abi Shaybh Al-Musannaf, 07/34, 108, Raqm-34003, 34568,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/246, Raqm-938,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-457, Raqm-513.]
54/514. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Hamara Rabb Tabarak Wa Ta’ala Har Raat Ko Jab Raat Ka Tihaa’i Hissa Baaqi Rah Jaata Hai To Aasmaane Dunya Par Nuzoole Ijalaal Farmata Hai Aur Irshaad Farmata Hai : Hai Ko’i Jo Mujh Se Du’aa Kare Taaki Mein Us Kee Du’aa Qubool Karoo’n, Hai Ko’i Jo Mujh Se Sawaal Kare Ki Use ‘Ata Karoo’n, Hai Ko’i Jo Mujh Se Maafi Chaahe Ki Use Bakhsh Doo’n.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 01/384, Raqm-1094,
Bukhari Fi As-Sahih, 05/2330, Raqm-5962,
Bukhari Fi As-Sahih, 06/2723, Raqm-7056,
Muslim Fi As-Sahih, 01/521, Raqm-705,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 02/307, Raqm-446,
وقال هذا أصح الروايات،
Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/526, Raqm-3498,
وقال أبو عيسى : هذا حديث حسنصحيح،
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 04/420, Raqm-7768, 10313, 10314,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/435, Raqm-1366,
Malik Fi Al-Muwatta’, 01/214, Raqm-498,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-457, 458, Raqm-514.]
55/515. “Hazrat ‘Abd Allah Bin Salam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Sab Se Pehla Kalaam Jo Mein Ne Suna Woh Ye Tha, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Logo’n! Salam Phailawo (Ya’ni Kasarat Se Ek Doosre Ko Salam Kiya Karo) Khaana Khilaaya Karo, Khooni Rishto’n Ke Saath Bhalaa’i Kiya Karo Aur Raat Ko (Uth Kar) Namaz Padha Karo, Jab Ki Log Soye Hu’e Ho, Tum Salaamati Se Saath Jannat Me Daakhil Ho Jaa’oge.”
رواه الترمذي وابن ماجاه.
وقال أبو عيسى والحاكم : هذا حديث صحيح.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/652, Raqm-2485,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/423, Raqm-1334,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/451, Raqm-23835,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-458, 459, Raqm-515.]