Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-04 : ﴾Huzoor Nabiyye Akram ﷺ Ka Tareeqa-e Namaz﴿

Imam Ke Pichhe Qir’at Na Karne Ka Bayaan

Fasl-03 :

Imam Ke Pichhe Qir’at Na Karne Ka Bayaan

28/262.    “Hazrat Jaabir Bin ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :
Jo Shakhs Imam Ke Pichhe Namaz Padhe To Imam Ka Padhna Hee Us Ka Padhna Hai.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/331,

Imam Muhmamad Fi Al-Muwatta’, 01/96,

Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad,  01/320, Raqm-1050,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 08/43, Raqm-7903,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/160,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-292, Raqm-262.]

29/263.    “Hazrat Jaabir Bin ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Logo’n Ko Namaz Padhaayi, To Ek Shakhs Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Pichhe Qir’at Kee. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Namaz Se Faarigh Ho Kar Farmaya : Tum Me Se Kisi Ne Mere Pichhe Qir’at Kee Thi? (Log Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Narazagi Ke Dar Se Khaamosh Rahe, Yaha’n Tak Ki) Teen³ Baar Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne BaTakaraar Yahi Istifsaar Farmaya (Poochha), Aakhir Ek Shakhs Ne ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Mein Ne. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Imam Ke Pichhe Ho To Imam Kee Qir’at Hee Us Kee Qir’at Hai.”

[Haskafi Fi Musnad Al-Imam Al-A’zam: 61,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-292, Raqm-263.]

30/264.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Imam Is Liye Banaaya Jaata Hai Ki Us Kee Pairwi Kee Jaa’e. Jab Woh Takbeer Kahe To Tum Bhi Takbeer Kaho Aur Jab Woh Rukoo’ Kare To Rukoo’ Karo Jab (سَمِعَ اللهُ لِمَنْ حَمِدَهُ) ‘SamiAllahu-Le-Man-Hamidah’ Kahe To Tum (رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْدُ) ‘Rabbana-Wa-Lakal-Hamd’ Kaho, Aur Sajda Kare To Tum Bhi Sajda Karo Aur Jab Woh Bayth Kar Namaz Padhe To Tum Bhi Bayth Kar Padho.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/257, Raqm-701,

Muslim Fi As-Sahih,  01/309, Raqm-414,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/164, Raqm-602,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/276, Raqm-846,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/341, Raqm-8483,

Darami Fi As-Sunan, 01/343, Raqm-1311,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-293, Raqm-264.]

31/265.    “‘Ata Bin Yasaar Riwayat Karte Hain Ki Unhone Zayd Bin Saabit RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Imam Ke Saath Qir’at Ke Muta’alliq Sawaal Kiya To Hazrat Zayd Bin Saabit RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Jawaab Diya : Imam Ke Saath Kisi Cheez Me Qir’at Nahin.”

[Muslim Fi As-Sahih, 01/406, Raqm-577,

Nasa’i Fi As-Sunan, 02/160, Raqm-960,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/331, Raqm-1032,

Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 01/522, Raqm-1951,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/163, Raqm-2738,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-293, Raqm-265.]

32/266.    “Hazrat Hittaan Bin ‘Abd Allah Raqaashi RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Ek Bsar Mein Ne Hazrat Aboo Moosa Ash’ari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Saath Namaz Padhi, Jab Woh Qa’ada Ke Qareeb They To Ek Shakhs Ne Kaha : Yeh Namaz Neki Aur Pakeezagi Ke Saath Padhi Ga’i Hai, Jab Woh Namaz Se Faarigh Ho Ga’e To Unhone Mud Kar Dekha Aur Poochha Tum Me Se Kisi Ne Yeh Baat Kee Thi? Sab Khaamosh Rahe, Unhone Phir Dobaara Poochha Ki Tum Me Se Kisi Ne Yeh Baat Kahi Thi? Sab Khaamosh Rahe, Ki Aap Meri Pitaa’i Karenge (Ya Naraz Honge) Is Mauqe Par Hazrat Moosa Ne Mujh Se Poochha : Aye Hittaan! Shaayad Tum Ne Yeh Kalima Kaha Hai? Mein Ne Kaha : Mein Ne To Nahin Kaha, Mujhe To Aap Ka Dar Tha, Phir Logo’n Me Se Ek Shakhs Ne Kaha : Mein Ne Yeh Kalima Kaha Tha Aur Meri Niyyat Siwaaye Bhalaa’i Ke Aur Kuchh Na Thi, Hazrat Aboo Moosa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Kya Tum Nahin Jaante Namaz Me Kya Kehna Chaahiye? Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hame’n Khutba Diya Aur Hame’n Namaz Ka Mukammal Tareeqa Batla Diya, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Tum Namaz Padhne Lago To Sab Se Pehle Apni Safe’n Durust Karo Phir Tum Me Se Ko’i Shakhs Imamat Kare Jab Imam Takbeer Kahe To Tum Takbeer Kaho, Jab Woh (غَيْرِ الْمَغْضُوبِ عَلَيْهِمْ وَلَا الضَّالِّيْنَ)  ‘Ghay-Ril Magh-Doobi A’Lay-Him Wa-Lad-Daallin’ Kahe, To Tum Aameen Kaho, Allah Ta’ala Tumhari Du’aa Ko Qubool Farma’ega, Phir Jab Woh Takbeer Keh Kar Rukoo’ Kare To Tum Bhi Takbeer Keh Kar Rukoo’ Karo, Imam Tum Se Pehle Rukoo’ Karega Aur Tum Se Pehle Rukoo’ Se Sar Uthaa’ega, Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Is Tarah Tumhara Amal Us Ke Muqaable Me Ho Jaa’ega Aur Jab Imam (سَمِعَ اللهُ لِمَنْ حَمِدَهُ) ‘SamiAllahu-Le-Man-Hamidah’ Kahe To Tum (رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْدُ) ‘Rabbana-Wa-Lakal-Hamd’ Kaho. Allah Ta’ala Tumhare Qaul Sunta Hai Aur Tumhare Nabi Kee Jubaan Par Allah Ta’ala Ne (سَمِعَ اللهُ لِمَنْ حَمِدَهُ) ‘SamiAllahu-Le-Man-Hamidah’ Jaari Kar Diya, Phir Jab Imam Takbeer Keh Kar Sajda Kare To Tum Bhi Takbeer Keh Kar Sajda Karo, Imam Tum Se Pehle Sajda Karega Aur Tum Se Pehle Sajde Se Sar Uthaa’ega. Phir Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tumhara Yeh Amal Imam Ke Muqaable Me Hoga Aur Jab Imam Qa’ade Me Bayth Jaa’e To Tum Sab Se Pehle Yeh Kalimaat Padho :  (التَّحِيَّاتُ الطَّيبَّاتُ الصَّلَوَاتُ لِلَّهِ. السَّـلَامُ عَلَيْكَ أيُّهَا النَّبِيُّ وَرَحْمَةُ الله وَبَرَكَاتُهُ. السَّلَامُ عَلَيْنَا وَعَلَى عِبَادِ اللهِ الصَّالِحِيْنَ. أَشْهَرُ أَنْ لاَ إِلَهَ اللهُ وَأَشْهَدُ أَنْ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُوْلُهُ) ‘At-Tahiyatu At-Ţayyibatu As-Salawatu Lillahi As-Salamu Alayka Ayyuha An-Nabiyu Wa RahmatuAllahi Wa Barakatuhu As-Salamu Alayna Wa Ala IbadiAllahi As-Salihina Ash’hadu AnLa’Ilaha IllaAllahu Wa Ash’hadu Anna Muhammadaan Abduhu Wa Rasooluhu.'”

[Muslim Fi As-Sahih, 01/303, 304, Raqm-404,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 05/541, Raqm-2167,

Darami Fi As-Sunan, 01/363, Raqm-1358,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-294, 295, Raqm-266.]

33/267.    “Hazrat Qatadah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Me Yeh Alfaz Ziyaada Hai : Jab Imam Qir’at Kare To Tum Khaamosh Raho, Aur Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hadith Me Bhi Yeh Alfaz Hai : Aur Jab Imam Qir’at Kare To Tum Khaamosh Raho.”

‘Imam Muslim Ne Farmaya Ki Yeh Riwayat Mere Nazdeek Sahih Hai.”

[Muslim Fi As-Sahih, 01/304, Raqm-404,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/155, Raqm-2709,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-296, Raqm-267.]

34/268.    “Hazrat Aboo Nu’aym Wahab Kaysaan Se Riwayat Hai Ki Unhone Hazrat Jaabir Bin ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ko Yeh Farmate Hu’e Suna : Jis Ne Ko’i Rak’at Padhi Aur Us Me Soorah Faatiha Nahin Padhi To Goya Us Ne Namaz Hee Nahin Padhi, Siwaaye Is Ke Ki Woh Imam Ke Pichhe Ho.”

رواه الترمذي ومالك.

وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن صحيح.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 01/346, 347, Raqm-312, 313,

Malik Fi Al-Muwatta’, 01/84, Raqm-187,

‘Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 02/121, Raqm-2745,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 01/317, Raqm-3621,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/160, Raqm-2725,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 01/282, Raqm-1265,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-296, Raqm-268.]

35/269.    “Hazrat ‘Imran Bin Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Zuhar Kee Namaz Padhaayi, Ek Shakhs Aaya Aur Us Ne Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Pichhe Soorat (سَبِّحِ اسْمَ رَبِّكَ الأَعْلَى) Padhi, Jab Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Namaz Se Faarigh Hu’e To Farmaya : Tum Me Se Qir’at Kis Ne Kee? Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ne ‘Arz Kiya : Ek Aadami Ne, Mein Jaan Gaya Tha Ki Tum Me Se Ko’i Mujh Se Jhagad Raha Hai.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/219, Raqm-828,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-297, Raqm-269.]

36/270.    “Hazrat ‘Imran Bin Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Namaz Padhaayi, Jab Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Namaz Se Faarigh Hu’e To Farmaya : Tum Me Se Soorat (سَبِّحِ اسْمَ رَبِّكَ الأَعْلَى)  Kis Ne Padhi, Ek Aadami Ne ‘Arz Kiya : Mein Ne. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mein Jaan Gaya Tha Ki Tum Me Se Ko’i Mujh Se Jhagad Raha Hai.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/219, Raqm-829,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-297, Raqm-270.]

37/271.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Ek Jahri Namaz (Jin Me Aawaaz Se Qir’at Hoti Hai) Se Faarigh Ho Kar Farmaya : Kya Tum Me Se Kisi Ne Ab Mere Saath Qir’at Kee Thi? Ek Shakhs Ne ‘Arz Kiya : Jee Ha’n! Ya RasoolAllah ﷺ! Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mein Bhi Keh Raha Tha Ki Kya Ho Gaya Hai Ki Mujh Se Qur’an Me Jhagada Kiya Ja Raha Hai Raawi Bayan Karte Hain Ki Yeh Sun Ne Ke Baa’d Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Jahri Namazo’n Me Qir’at Se Ruk Ga’e They.”

رواه الترمذي والنساءي وابن ماجاه ومالك.

وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 01/344, 345, Raqm-312,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/313, Raqm-826,

Nasa’i Fi As-Sunan,  02/103, Raqm-919,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/459, Raqm-848,

Malik Fi Al-Muwatta’, 01/86, Raqm-193,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/240, 284, 285, 301, 487,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 01/280, 281, Raqm-1255,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-297, 298, Raqm-271.]

38/272.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Imam Is Liye Banaaya Jaata Hai Ki Us Kee Iqtida’ Kee Jaa’e, Jab Woh Allahu Akbar Kahe To Tum Log Bhi Allahu Akbar Kaho, Aur Jab Qir’at Kare To Tum Chup Raho.”

رواه ابن ماجه وأبوداود وأحمد.

هذا حديث حسن صحيح.

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/458, Raqm-846,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/237, Raqm-604,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/320, Raqm-993,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/386, Raqm-420,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 01/331, Raqm-3799,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 02/115, Raqm-7137,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 01/281, Raqm-1257,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-298, 299, Raqm-272.]

39/273.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Imam Isee Liye Banaaya Jaata Hai Ki Us Kee Pairwi Kee Jaa’e, Jab Woh Takbeer Kahe To Tum Bhi Takbeer Kaho Aur Jab Woh Qir’at Kare To Tum Bhi Khaamosh Raho Aur Jab Woh (سَمِعَ اللهُ لِمَنْ حَمِدَهُ) ‘SamiAllahu-Le-Man-Hamidah’ Kahe To Tum (اللَّهُمَّ رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْدُ)  ‘Allah-Humma Rabbana-Wa-Lakal-Hamd’ Kaho.”

[Nasa’i Fi As-Sunan, 02/141, Raqm-921,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-299, Raqm-273.]

40/274.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Sarware Kaa’enaat SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ek Aisee Namaz Se Faarigh Hu’e Jis Me Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Buland Aawaz Me Qir’at Farmaa’i Thi. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Daryaft Farmaya : Kya Tum Me Se Ab Kisi Shakhs Ne Mere Saath Qur’an Padha? Ek Shakhs Ne Kaha : Jee Ha’n! Ya RasoolAllah ﷺ! Mein Ne Padha. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Isee Liye To Mein Bhi Keh Raha Tha Kya Ho Gaya Ki Ko’i Shakhs Mujh Se Qur’an Me Jhagad Raha Hai. Jab Se Logo’n Ne Yeh Suna To Jis Namaz Me Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Baa Aawaz Qir’at Farmate They Ko’i Shakhs Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Pichhe Qir’at Na Karta.”

رواه نسائي.

[Nasa’i Fi As-Sunan, 02/140, Raqm-919,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-299, 300, Raqm-274.]

41/275.    “Hazrat ‘Imran Bin Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Sarware DoAalam SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Namaaze Zuhar Ada Farmaa’i, Ek Shakhs Ne Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Pichhe (سَبِّحِ اسْمَ رَبِّكَ الأَعْلَى)  Padha, Jab Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Namaz Ada Farma Chuke To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Daryaft Farmaya : Is Soorah Ko Kis Shakhs Ne Padha? Ek Shakhs Ne ‘Arz Kiya : Mein Ne. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mujhe Aysa Ma’loom Hua Goya Ko’i Shakhs Mujh Se Qur’an Me Jhagad Raha Hai.”

[Nasa’i Fi As-Sunan, 02/141, Raqm-917,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 01/207,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-300, Raqm-275.]

42/276.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Imam Is Liye Hota Hai Ki Us Kee Iqtida’ Kee Jaa’e. Jab Woh (اَللهُ اَكْبَرُ)  ‘Allahu Akbar’  Kahe To Tum  (اَللهُ اَكْبَرُ) ‘Allahu Akbar’ Kaho, Jab Woh Qir’at Kare To Tum Khaamosh Raho Jab Woh (وَلَا الضَّالِّيْنَ) ‘Wa-Lad-Daallin’ Kahe To Tum (آمِيْنَ) ‘Aameen‘ Kaho, Jab Woh Rukoo’ Kare Tum Rukoo’ Karo, Jab Woh  (سَمِعَ اللهُ لِمَنْ حَمِدَهُ) ‘SamiAllahu-Le-Man-Hamidah’ Kahe To Tum  (اللَّهُمَّ رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْدُ) ‘Allah-Humma Rabbana-Wa-Lakal-Hamd’ Kaho Jab Woh Sajda Kare To Tum Sajda Karo, Aur Jab Woh Bayth Kar Namaz Padhe To Tum Bhi Bayth Kar Namaz Padho.”

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/276, Raqm-846,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-300, 301, Raqm-276.]

43/277.    “Hazrat Aboo Moosa Ash’ari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Imam Qir’at Kare To Tum Khaamosh Raho,  Jab Woh Qa’ade Me Ho To Tum Pehle At-Tahiyyaat Padha Karo.”

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/276, Raqm-847,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-301, Raqm-277.]

44/278.    “Hazrat Naafea RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Jab Muqtadi Kee Qir’at Ke Baare Me Sawaal Kiya Gaya Ki Kya Muqtadi Bhi Imam Ke Pichhe Qir’at Karega? To Unhone Farmaya : Jab Tum Me Se Ko’i Imam Ke Pichhe Namaz Padhe To Use Imam Kee Qir’at Kaafi Hai Aur Jab Akela Padhe To Khud Qir’at Kare. Naafea Farmate Hain Ki Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Khud Bhi Imam Ke Pichhe Qir’at Nahin Karte They.”

[Malik Fi Al-Muwatta’, 01/86, Raqm-192,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 01/284, Raqm-1283,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-301, 302, Raqm-278.]

45/279.    “Hazrat Aboo Moosa Ash’ari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Unhone Farmaya Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hame’n Ta’leem Dete Hu’e Farmaya : Jab Tum Namaz Ke Liye Khade Ho To Ko’i Ek Tumhara Imam Ban Jaa’e Aur Jab Imam Qir’at Kare To Tum Khaamosh Raha Karo.”

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/415,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-302, Raqm-279.]

46/280.    “Hazrat Zayd Bin Aslam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Imam Kee Iqtida’ Me Qir’at Karne Se Mana Farmaya Karte They Aur Hamaare Masha’ikh Ne Mujhe Bataaya Hai Ki Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Farmaya : Us Shakhs Kee Namaz Nahin Jo Imam Kee Iqtida’ Me Qir’at Kare Aur Hazrat Moosa Bin Uqba RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Mujhe Bataaya Hai Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Hazrat Aboo Bakr, Hazrat ‘Umar Wa Hazrat ‘Uthman RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Ajma’iyn Imam Ke Pichhe Qir’at Karne Se Mana Farmaya Karte They.”

[‘Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 02/139, Raqm-2810,

Imam Muhmamad Fi Al-Muwatta’, 01/98,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-302, Raqm-280.]

47/281.    “Hazrat Aboo Wa’il Se Riwayat Hai Ki Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Imam Kee Iqtida’ Me Qir’at Kerne Ke Baare Me Poochha Gaya To Unhone Farmaya : Khaamosh Raho Ki Namaz Me Masrufiyat Hai Tujhe Imam Is (Qir’at)  Kee Kifaayat Kar Dega.”

[Imam Muhmamad Fi Al-Muwatta’, : 96,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 01/284, Raqm-1273,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-303, Raqm-281.]

48/282.    “Hazrat Alaqama Bin Qays RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Jahari (Jin Me Aawaaz Se Qir’at Hoti Hai) Aur Sirri (Jin Me Qir’at Aahista Hoti Hai) Dono’n Tarah Kee Namazo’n Me Imam Ke Pichhe Qir’at Nahin Karte They.”

[Imam Muhmamad Fi Al-Muwatta’, : 96,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-303, Raqm-282.]

49/283.    “Dawud Bin Qays Farra Madani Kehte Hain Ki Mujhe Hazrat Sa’iyd Bin Abi Waqqas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Aulaad Me Se Kisi Ne Bataaya Ki Hazrat Sa’iyd Bin Aboo Waqqas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmaya Karte They : Mein Yeh Pasand Karta Hoo’n Ki Jo Shakhs Imam Ke Pichhe Qir’at Kare Us Ke Moo’nh Me Angaar Ho.”

[Imam Muhmamad Fi Al-Muwatta’, : 98,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-303, Raqm-283.]

50/284.    “‘Abd Allah Bin Abi Layla Riwayat Karte Hain Ki Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Imam Kee Iqtida’ Me Qir’at Karne Se Mana Kiya Karte They.”

[‘Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 02/138, Raqm-2805,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-304, Raqm-284.]

51/285.    “Imam Muhammad Bin Ujalaan Se Riwayat Hai Ki Hazrat ‘Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Meri Yeh Khwahish Hai Ki Jo Shakhs Imam Ke Pichhe Qir’at Kare Us Le Moo’nh Me Pat’thar Ho.”

[‘Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 02/138, Raqm-2806,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-304, Raqm-285.]

52/286.    “Hazrat Aboo Hamzah Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se ‘Arz Kiya : Kya Mein Qir’at Karoo’n Jab Ki Imam Mere Saamne Ho? To Unhone Farmaya : Nahin.”

[Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 01/284, Raqm-1282,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-304, Raqm-286.]