Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-01 : ﴾Iman, Islam Aur Ehsan﴿

Momin Kee ‘Alaamaat Aur Sifaat Ka Bayan

Fasl-03 :

Momin Kee ‘Alaamaat Aur Sifaat Ka Bayan

15/15.       “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Famaya : Jo Allah ‘Azza Wa Jalla Par Aur Qiyaamat Ke Din Par Iman Rakhta Hai Apne Humsaaye Ko Na Sataaye, Aur Jo Allah ‘Azza Wa Jalla Aur Qiyaamat Ke Din Par Iman Rakhta Hai Apne Mehmaan Kee ‘Izzat Kare, Aur Jo Allah ‘Azza Wa Jalla Aur Qiyaamat Ke Din Par Iman Rakhta Hai Moo’nh Se Achchhi Baat Nikaale Ya Khaamosh Rahe.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2240, Raqm-5672,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2273, Raqm-5785,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2376, Raqm-6110,

Muslim Fi As-Sahih, 01/6968, Raqm-47, 48,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/659, Raqm-2500,

وفال أبو عيسى : هذا حديث صحيح،

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/339, Raqm-5154,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1211, Raqm-3672,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/273, Raqm-516,

Darami Fi As-Sunan, 02/134, Raqm-2036,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-102, Raqm-15.]

16/16.       “Hazrat Aboo Moosa (Ash’ari) RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ek Momin Doosre Momin Ke Liye Ek (Mazboot) Deewaar Kee Tarah Hai Jis Ka Ek Hissa Doosre Hisse Ko Mazboot Karta Hai, Aur (Is Baat Kee Wazaahat Ke Taur Par) Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Apne Dono’n Haatho’n Kee Ungaliya’n Ek Doosre Me Daali.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 02/863, Raqm-2314,

Bukhari Fi As-Sahih, 01/182, Raqm-467,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2242, Raqm-5680,

Muslim Fi As-Sahih, 04/1999, Raqm-2585,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/325, Raqm-1928,

Nasa’i Fi As-Sunan, 05/79, Raqm-2560,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 01/467, Raaam-231,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/404,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-103, Raqm-16.]

17/17.       “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tum Me Se Ko’i Us Waqt Tak Momin Nahin Ho Sakta Jab Tak Woh Apne Bhai Ke Liye Bhi Wahi Pasand Na Kare Jo Apne Liye Pasand Karta Hai. (Aue Muslim Ne Yeh Izaafa Kiya : ) Ya Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Apne Padausi Ke Liye.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/14, Raqm-13,

Muslim Fi As-Sahih, 01/67, Raqm-45,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/667, Raqm-2515,

Nasa’i Fi As-Sunan, 08/115, Raqm-5016,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/26, Raqm-66,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-103, 104, Raqm-17.]

18/18.       “Hazrat Aboo Shuraih RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Khuda Kee Qaaam! Woh Momin Nahin, Khuda Kee Qasam! Woh Momin Nahin, Khuda Kee Qasam! Woh Momin Nahin, ‘Arz Kiya Gaya : Ya RasoolAllah ﷺ! Koun (Momin Nahin)? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Ka Padausi Us Kee Iza Rasaani (Takleef Pahonchaane) Se Mehfooz Nahin.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2240, Raqm-5670,

Muslim Fi As-Sahih, 01/68, Raqm-46,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/53, Raqm-21,

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح.

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-104, Raqm-18.]

19/19.       “Hazrat Nu’man Bin Bashir Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Momineen Kee Misaal Ek Doosre Par Raham Karne, Dosti Rakhne Aur Shafqat Ka Mujahira Karne Me Ek Jism Kee Tarah Hai, Chunanche Jab Jism Ke Kisi Bhi Hisse Ko Takleef Pahonchti Hai To Saara Jism Bekhwaabi Wa Bukhaar Me Us Ka Shareek Hota Hai.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2238, Raqm-5665,

Muslim Fi As-Sahih, 04/1999, Raqm-2586,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/270,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 03/353, Raqm-6223,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 06/481, Raqm-8985,

Bazzar Fi Al-Musnad, 08/238, Raqm-3299,

Ibn Mandah Fi Al-Iman, 01/455, Raqm-319,

Ibn Sulayman Al-Qureshi, 01/74,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-104,  105, Raqm-19.]

20/20.       “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Amr Bin Aas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Yeh Farmate Hu’e Suna, Kya Tum Jaante Ho Momin Koun Hai? Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ne ‘Arz Kiya : Allah ‘Azza Wa Jalla Aur Us Ke Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ziyaada Jaante Hain. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Momin Woh Hai Jis Se Ahle Iman Apni Jaan Wa Maal Par Mehfooz Ho, Aur Muhaajir Woh Hai Jis Ne Buraa’i Chhod Dee Aur Us Se Parhez Kiya.”

رواه أحمد والطبراني.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/206, 215, Raqm-6925, 7017,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/291, Raqm-3188,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/299, Raqm-3462,

Maruzi Ta’zeem Qadr-us-Salah, 02/603, Raqm-642,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-105, Raqm-20.]

21/21.       “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Momin Apne Bhai Ka Aa’ina Hai, Jab Woh Us Me Ko’i Buraa’i Dekhta Hai To Us Buraa’i Kee Islaah Kar Leta Hai.”

رواه البخاري في الأدب وابن المبارك

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/93, Raqm-238,

Ibn Mubarak Fi Az-Zuhd, 01/485, Raqm-1378,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Tahdhib-ut-Tahdhib, 05/181, Raqm-357,

Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal, 11/428, Raqm-2515, 3256,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-105, Raqm-21.]