Posted in Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا

Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Aamade Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Par Mahabbatan Khade Ho Jaate, Haath Choomte Aur Apni Nishist Par Bitha Lete

Fasl : 09

كان النى صلى الله تعالى عليه وآله وسلم يقوم لفاطمة سلام الله عليها و ير حب بها و يقبل يدها و يجلسها فى مكانه عند قدومها إليه حبا لها

Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Aamade Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Par Mahabbatan Khade Ho Jaate, Haath Choomte Aur Apni Nishist Par Bitha Lete

 

23_             “Umm-il-Mu’minin Hazrat Aaishah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Bayaan Karti Hain : Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Jab Sayyidah Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Ko Aate Huwe Dekhte To Khush Aamadid Kehte, Phir Un Kee Khaatir Khade Ho Jaate, Unhein Bosa Dete, Un Ka Haath Pakad Kar Laate Aur Unhein Apni Nishist Par Bitha Lete. Aur Jab Sayyidah Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ko Apni Taraf Tashrif Laate Huwe Dekhti’n To Khush Aamadid Kehti’n Phir Khadi Ho Jaati’n Aur Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ko Bosa Deti’n.”

[1_Nasa’i Fi As-Sunan Al-Kubra, 05/391, 392, Raqam-9236, 9237,

2_Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/403, Raqam-6953,

3_Shaybani Fi Al-Ahad Wa’l-Mathani, 05/367, Raqam-2967,

4_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/242, Raqam-4089,

5_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 04/303, Raqam-7715,

6_Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad,/326, Raqam-947,

7_Dulabi Fi Az-Zurriyah At-Tahirah,/100, Raqam-184,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/40, 41, Raqam-23.]

 

 

24_             “Umm-il-Mu’minin Hazrat Aaishah Siddiqah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Bayaan Karti Hain Ki Jab Sayyidah Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Khidmate Aqdas Me Haazir Hoti’n To Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Saiiyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Ko Khush Aamadid Kehte, Khade Ho Kar Un Ka Istiqbaal Karte, Un Ka Haath Pakad Kar Bosa Dete Aur Unhein Apni Nishist Par Bitha Lete.”

[1_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/167, Raqam-4732,

2_Nasa’i Fi Fada’il Al-Sahabah,/78, Raqam-264,

3_Ibn Rahwayh Fi Al-Musnad, 01/08, Raqam-06,

4_Bayhaqi Fi As-Sunan Al-Kubra, 07/101,

5_Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 06/467, Raqam-8927,

6_Muqri Fi Al-Rukhsat  Fi Taqbil Al-Yad,/91,

7_Asqalani Ne ‘Fat’h-ul-Bari (11/50)’ Me Kaha Hai Ki Yeh Hadith Aboo Dawud Aur Tirmidhi Ne Bayaan Kiya Hai Aur Ise Hasan Kaha Hai, Jab Ki Ibn Hibban Aur Hakim Ne Ise Sahih Kaha Hai.

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/41, Raqam-24.]

 

 

25_             “Umm-il-Mu’minin Hazrat Aaishah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Farmati Hain : Sayyidah Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Jab Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Khidmat Me Haazir Hoti’n To Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Khade Ho Kar Un Ka Istiqbaal Farmate, Unhein Bosa Dete, Khusha Aamadid Kehte Aur Un Ka Haath Pakad Kar Apni Nishist Par Bitha Lete. Aur Jab Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Sayyidah Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Ke Haa’n Raunaq Afroz Hote To Sayyidah Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Bhi Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Istiqbaal Ke Liye Khadi Ho Jaati’n Aur Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Daste Aqdas Ko Bosa Deti’n.”

[1_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/174, Raqam-4753,

2_Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba,/85,

3_Haythami Fi Majam’-uz-Zawa’id,/549, Raqam-2223,

4_Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari, 11/50,

5_Shawkani Fi Darr-us-Sahabah Fi Manaqib-il-Qarabah Wa’s-Sahabah,/279,

Hakim Ne Is Riwaayat Ko Sharte Shaykhayn Par Saih Qaraar Diya Hai.

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/41, 42, Raqam-25.]

Posted in Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا

Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Kee Nishist Ke Liye Apni Kamli Mubaarak Bichha Dete

Fasl : 10

بسط النبى صلى الله تعالى عليه وآله وسلم شملته لفاطمة الزهراء سلام الله عليها

Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Kee Nishist Ke Liye Apni Kamli Mubaarak Bichha Dete

 

26_             “Hazrat Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Bayan Karte Hain Ki Woh Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Bargah Me Haazir Huwe. Dar Haala’n Ki Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Chaadar Bichhaa’i Huwi Thi. Pas Us Par Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم,Hazrat Ali, Hazrat Fatimah, Hazrat Hasan Aur Hazrat Husayn رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُم Baith Gaye Phir Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Us Chaadar Ke Kinaare Pakde Aur Un Par Daal Kar Us Me Gireh Laga Dee. Phir Farmaya : Aye Allah! Too Bhi In Se Raazi Ho Jaa, Jis Tarah Mein In Se Raazi Hoo’n.”

[1_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05/348, Raqam-5514,

2_Haythami Ne ‘Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id (09/169)’ Kaha Hai Ki Ise Tabarani ne Riwaayat Kiya Hai Aur Is Ke Rijaal Sahih Hain, Siwaa’e Ubayd Bin Tufayl Ke Aur Woh Thiqah Hai, Us Kee Kunyat Aboo Siydan Hai.

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/43, Raqam-26.]

Posted in Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا

Safare Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Ibteda’ Aur Inteha’ Bayte Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Se Hoti

Fasl : 11

بداية سفر النبى صلى الله تعالى عليه وآله وسلم من بيت فاطمة سلام الله عليها و انتهائه إليها

Safare Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Ibteda’ Aur Inteha’ Bayte Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Se Hoti

 

27_             “Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Aazaad Karda Ghulaam Hazrat Thawban رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Ne Farmaya Ki Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Jab Safar Ka Iraada Farmate To Apne Ahal-o-Ayaal Me Se Sab Ke Baa’d Jis Se Guftagu Farma Kar Safar Par Rawaana Hote Woh Hazrat Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Hoti’n, Aur Safar Se Waapasi Par Sab Se Pehle Jis Ke Paas Tashrif Laate Woh Bhi Hazrat Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Hoti’n.”

[1_Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/87, Raqam-4213,

2_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/275,

3_Bayhaqi Fi As-Sunan Al-Kubra, 01/26,

4_Zayd Al-Baghdadi Fi Tarakt-un-Nabi SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/ 57,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/44, Raqam-27.]

 

 

28_             “Hazrat Abdullah Bin Umar رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Jab Safar Ka Iraada Farmate To Apne Ahl-o-Ayaal Me Se Sab Ke Baa’d Jis Se Guftagu Farma Kar Safar Par Rawaana Hote Woh Sayyidah Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Hoti’n, Aur Safar Se Waapasi Par Sab Se Pehle Jis Ke Paas Tashrif Laate Woh Bhi Hazrat Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Hee Hoti’n, Aur Yeh Ki Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Sayyidah Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Se Farmate : (Fatimah!)  Mere Maa’n Baap Tujh Pe Qurbaan Ho’n.”

[1_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/169, 170, Raqam-4739, 4740,

2_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 01/664, Raqam-1798,

3_Hakim Ne ‘Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn (03/169, Raqam-4737)’ Me Ise Hazrat Aboo Tha’labah Khushani Se Bhi Zara Mukhtalif Alfaaz Ke Saath Riwaayat Kiya Hai.

4_Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/470, 471, Raqam-696,

5_Haythami Fi Mawarid Al-Zam’an Ila Zawa’id Ibn Habban,/631, Raqam-2540,

6_Ibn Asakir Ne ‘Tarikh Dimishq Al-Kabir (43/141)’ Me Hazrat Aboo Tha’labah Khushani رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Marwi  Hadith Bayan Kee Hai.

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/44, 45, Raqam-28.]

 

 

29_             “Hazrat Abdullah Bin Abbas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Bayaan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Jab Safar Se Waapas Tashreef Laate To Apni Saahibzaadi Sayyidah Fatimah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Ko Bosa Dete.”

[1_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/248, Raqam-4105,

2_Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 04/352, Raqam-2466,

3_Haythami Ne ‘Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id 08/42)’ Me Kaha Hai Ki Tabarani Ne Ise ‘Al-Awsat” Me Riwaayat Kiya Hai Aur Is Ke Rijaal Thiqah Hain.

4_Ibn Athir Fi Usd-ul-Ghabah Fi Ma’rifat-is-Sahabah, 07/219,

5_Suyooti Fi Al-Jami’ Al-Saghir Min Hadith Al-Bashir Al-Nadhir صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم,/189, Raqam-303,

Manawi Fi Fayd-ul-Qadir Sharh Al-Jami’ As-Saghir, 05/155,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/45, 46, Raqam-29.]

Posted in Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا

Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا …… Roo-E-Zameen Par Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Mahabbat Ka Markaze Khaas

Fasl : 12

فاطمة سلام الله عليها أحب الناس إلى النبى صلى الله تعالى عليه وآله وسلم

Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا …… Roo-E-Zameen Par Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Mahabbat Ka Markaze Khaas

 

30_             “Hazrat Jumay’ Bin Umayr Tamimi رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Bayan Karte Hain Ki Mein Apni Phuphi Ke Hamraah Hazrat Aaishah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Kee Khidmat Me Haazir Huwa Aur Poochha : Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ko Kaun Ziyaada Mehboob Tha? Umm-il-Mu’minin رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Ne Farmaya : Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا. Arz Kiya Gaya : Mardo’n Me Se (Kaun Ziyaada Mehboob Tha)? Farmaya : Un Ke Shauhar, Jaha’n Tak Mein Jaanti Hoo’n Woh Bohat Ziyaada Roze Rakhne Waale Aur Raaton Ko Ibaadat Ke Liye Bohat Qiyaam Kar Ne Waale They.”

[1_Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/701, Raqam-3874,

2_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/403, 404, Raqam-1008, 1009,

3_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/171, Raqam-4744,

4_Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba,/77,

5_Ibn Athir Fi Usd-ul-Ghabah Fi Ma’rifat-is-Sahabah, 07/219,

6_Dhahabi Fi Siyar A’lam An-Nubula’, 02/125,

7_Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal, 04/512,

8_Shawkani Fi Darr-us-Sahabah Fi Manaqib-il-Qarabah Wa’s-Sahabah,/273,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/47, 48, Raqam-30.]

 

 

31_             “Hazrat Buraydah Se رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ko Aurto’n Me Sab Se Ziyaada Muhabbat Hazrat Fatimat-uz-Zahra  سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Se Thi Aur Mardo’n Me Se Hazrat Ali Al-Murtada كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Sab Se Ziyaada Mehboob They.”

[1_Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/698, Raqam-3868,

2_Nasa’i Ne ‘As-Sunan-ul-Kubra ‘(05/140, Raqam-8498)’ Me Zara Mukhtalif Alfaaz Ke Saath Riwaayat Kee Hai.

3_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 07/199, Raqam-7262,

4_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/168, Raqam-4735,

5_Dhahabi Fi Siyar A’lam An-Nubula’, 02/131,

6_Shawkani Fi Darr-us-Sahabah, 10/274,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/48, Raqam-31.]

 

 

32_             “Hazrat Aboo Salamah Bin Abd-ur-Rahman رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Riwaayat Karte Hain Ki Hazrat Usamah Bin Zayd رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Ne Mujhe Bataaya : Mein Baitha Huwa Tha Ki Hazrat Ali Aur Hazrat Abbas  رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَاTashreef Laa’e, Unhone Kaha : Usamah! Hamaare Liye Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Se Andar Aane Kee Ijaazat Maango. Mein Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah! Hazrat Ali Aur Hazrat Abbas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا (Haaziri Kee) Ijaazat Maangte Hain. Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Jaante Ho Woh Kyoo’n Aa’e Hain? Mein Ne Arz Kiya : Nahin. Farmaya : Mein Jaanta Hoo’n, Unhein Aane Do. Chunaanche Dono’n Hazaraat Anadar Daakhil Huwe Aur Unhone Arz Kiya : Ya RasoolAllah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم! Hum Yeh Baat Jaan Ne Ke Liye Haazir Huwe Hain Ki Ahl-E-Bayt Me Se Aap Ko Kaun Ziyaada Mahboob Hai? Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Fatimah Bint Muhammad.”

[1_Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/678, Raqam-3819,

2_Bazzar Fi Al-Musnad, 07/71, Raqam-2620,

3_Tayalisi Fi Al-Musnad,/88, Raqam-633,

4_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/403, Raqam-1007,

5_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 02/452, Raqam-3526,

6_Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah Aw Al-Mustakhraj Mina Al-Ahadith Al-Mukhtarah, 04/160_162, Raqam-1379, 1380,

7_Ibn Kathir Fi Tafsir Al-Qr’an Al-Azim, 03/489, 490,

8_Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba,/78,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/48, 49, Raqam-32.]

 

 

33_             “Hazrat Aboo Hurayrah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Riwaayat Karte Hain Ki Hazrat Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Ne (Bargahe Risaalat Ma’aab صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Me) Arz Kiya : Ya RasoolAllah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم ! Aap Ko Mere Aur Fatimah Me Se Kaun Ziyaada Mehboob Hai? Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Fatimah Mujhe Tum Se Ziyaada Pyaari Hai, Aur Tum Mujhe Us Se Ziyaada Aziz Ho.”

[1_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 07/343, Raqam-7675,

2_Haythami Ne ‘Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id (09/173)’  Me Kaha Hai Ki Ise Tabarani Ne ‘Al-Awsat’ Me Riwaayat Kiya Hai Aur Is Kee Sanad Me Salma Bin Uqbah Ko Mein Nahin Jaanta Jab Ki Baqiyya Rijaal Thiqah Hain.

3_Haythami Ne ‘Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id (09/202)’  Me Kaha Hai Ki Ise Tabarani Ne ‘Al-Awsat’ Me Riwaayat Kiya Hai.

4_Husayni Ne ‘Al-Bayan Wa’t-Ta’rif (02/118, Raqam-12380)’ Me Kaha Hai Ki Ise Tabarani Ne ‘Al-Awsat’ Me Riwaayat Kiya Hai Aur Haythami Ne Kaha Hai Ki Is Ke Rijaal Sahih Hain.

5_Manawi Ne ‘Fayd-ul-Qadir Sharh Al-Jami’ As-Saghir (04/422)’ Me Kaha Hai Ki Haythami Ne Is Ke Rijaal Ko Sahih Qaraar Diya Hai.

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/49, 50, Raqam-33.]

 

 

34_             “Ibn Abi Nujayy Ne Apne Waalid Se Riwaayat Kee Ki Mujhe Us Shakhs Ne Bataaya Jis Ne Mimbare Koofah Par Hazrat Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Ko Yeh Farmaate Huwe Suna : Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Hamaare Ghar Tashreef Laa’e Aur Hamaare Sarhaane Baith Kar Paani Ka Bartan Mangwaaya. Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Us Me Barkat Kee Du’aa Farmaa’i Aur Hum Par Us Ke Chheente Maare. Mein Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم! Aap Ko Mujh Se Ziyaada Mahabbat Hai Ya Fatimah Se? Farmaya : Mujhe Yeh Tum Se Ziyaada Pyaari Hai Aur Tum Is Se Ziyaada Aziz Ho.”

[1_Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il As-Sahabah, 02/631, 632, Raqam-1076,

2_Nasa’i Ne ‘As-Sunan-ul-Kubra (05/150, Raqam-8531)’ Me Yeh Hadithe Mubaaraka Mukhtasaran Bayaan Kee Hai.

3_Humaydi Fi Al-Musnad, 01/22, Raqam-38,

4_Shaybani Ne ‘Al-Ahd Wa’l-Mathani (05/360, Raqam-2951)’ Me Ise Mukhtasaran Riwaayat Kiya Hai.

5_Ibn Jawzi Fi Tadhkirat-ul-Khawass,/275, 276,

6_Ibn Athir Ne ‘Usd-ul-Ghabah Fi Ma’rifat-is-Sahabah (07/219)’ Me Mukhtasaran Zikr Kiya Hai.

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/50, 51, Raqam-34.]

Posted in Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا

Aadaat Wa Atwaar Me Koi Bhi Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Se Badh Kar Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Sabih Na Tha

Fasl : 13

ما كان أحد أشبه بالنبى صلى الله تعالى عليه وآله وسلم من فاطمة سلام الله عليها فى عاداتها

Aadaat Wa Atwaar Me Koi Bhi Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Se Badh Kar Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Sabih Na Tha

 

35_             “Ummi-’l-Mu’minin Hazrat Aaishah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Riwayat Karti Hain : Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Saahibzaadi Sayyidah Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Se Badh Kar Kisi Ko Aadaat Wa Atwaar, Sirat Wa Kirdaar Aur Nishist Wa Barkhaast Me Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Se Mushaabehat Rakhne Waala Nahin Dekha.”

[1_Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/700, Raqam-3872,

2_Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/355, Raqam-5217,

3_Nasa’i Fi Fada’il Al-Sahabah/77. 78, Raqam-264,

4_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 04/303, Raqam-7715,

5_Bayhaqi Fi As-Sunan Al-Kubra, 05/96,

6_Ibn Sa’d Ne ‘At-Tabaqat Al-Kubra (02/248)’ Me Zara Mukhtalif Alfaaz Ke Saath Hazrat Ummi Salamah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Se Riwaayat Kee Hai.

7_Ibn Jawzi Fi Sifat-us-Safwah, 02/06, 07,

8_Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba,/84, 85,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/52, Raqam-35.]

 

 

36_             “Umm-ul-Mu’minin Hazrat Aaishah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Farmati Hain : Mein Ne Andaaze Guftagu Me Kisi Ko Bhi Sayyidah Fatimat-uz-Zahra’ رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Se Badh Kar Huzoor  صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Se Mushaabehat Rakhne Waala Nahin Dekha.”

[1_Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad,/326, 337, Raqam-947, 971,

2_Nasa’i Fi As-Sunan Al-Kubra, 05/391, Raqam-9236,

3_Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/403, Raqam-6953,

4_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/167, 174, Raqam-4732, 4753,

5_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/242, Raqam-40890,

6_Bayhaqi Fi As-Sunan Al-Kubra, 07/101,

7_Ibn Rahwayh Fi Al-Musnad, 01/08, Raqam-06,

8_Ibn Abd-il-Barr Fi Al-Isti’ab Fi Ma’rifat Al-As’hab, 04/1896,

9_Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 02/127,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/53, Raqam-36.]

 

 

37_             “Hazrat Anas Bin Malik رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Marwi Hai Ki Koi Bhi Shakhs Hazrat Hasan Bin Ali Aur Hazrat Fatimat-uz-Zahra’ (رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُم) Se Badh Kar Huzoor  صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Se Mushaabehat Rakhne Waala Nahin Tha.”

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/164,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/53, Raqam-37.]

 

 

38_             “Ummi-‘l-Mu’minin Hazrat Aaishah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Bayan Karti Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Tamam Azwaaj Jam’a Thi’n Aur Koi Bhi Ghair Haazir Nahin Thi. Itne Me Hazrat Fatimah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Aa’in Jin Kee Chaal Hoobahoo RasoolAllah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Chalne Ke Mushaabeh Thi. Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Marhaba (Khush Aamadid) Meri Beti! Phir Unhien Apni Daai’n Ya Baai’n Jaanib Bitha Liya.”

[1_Mulim Fi As-Sahih, 04/1905, 1906, Raqam-2450,

2_Bukhari Fi As-Sahih, 05/2317, Raqam-5928,

3_Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/518, Raqam-1620,

4_Nasa’i Fi As-Sunan Al-Kubra, 04/251, Raqam-7078,

5_Nasa’i Fi As-Sunan Al-Kubra, 05/96, 146, Raqam-8368, 8516, 8517,

6_Nasa’i Fi Fada’il Al-Sahabah/77, Raqam-263,

7_Nasa’i Fi Kitab Al-Wafat,/20, Raqam-02,

8_Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il As-Sahabah, 02/762, 763, Raqam-1343,

9_Shaybani Fi Al-Ahad Wa’l-Mathani, 05/368, Raqam-2968,

10_Ibn Rahwayh Fi Al-Musnad, 01/06, 07, Raqam-05,

11_Tabarani Ne ‘Al-Mu’jam-ul-Kabir (22/416, Raqam-1030)’ Me Hazrat Aboo Tufayl رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwaayat Kee Hai.

12_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/419, Raqam-1303,

13_Ibn Jawzi Fi Sifat-us-Safwah, 02/06, 07,

14_Ibn Jawzi Fi Tadhkirat-ul-Khawass,/278,

15_Ibn Athir Fi Usd-ul-Ghabah Fi Ma’rifat-is-Sahabah, 07/218,

16_Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 02/130,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/53, 54, Raqam-38.]

 

 

39_             “Hazrat Masrooq رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Riwayat Karte Hain Ki Umm-ul-Mu’minin Hazrat Aaishah Siddiqah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Ne Farmaya : Hum Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Azwaaje Mutahharaat Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Paas Jam’a Thi’n Aur Koi Aik Bhi Hum Me Se Ghair Haazir Na Thi, Itne Me Hazrat Fatimat-uz-Zahra’ رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Waha’n Aa Gayi’n, Pas Allah Kee Qasam Un Ka Chalna Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Chalne Se Zarrah Bhar Mukhtalaf Na Tha.”

[1_Bukhari Fi As-Sahih, 05/2317, Raqam-5928,

2_Muslim Fi As-Sahih, 04/1905, Raqam-2450,

3_Nasa’i Fi Fada’il Al-Sahabah/77, Raqam-263,

4_Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il As-Sahabah, 02/762, Raqam-1342,

5_Tayalisi Fi Al-Musnad,/196, Raqam-1373,

6_Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat Al-Kubra, 02/247,

7_Doolabi Fi Adh-Dhurriyah At-Tahirah,/101, 102, Raqam-188,

8_Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 02/39, 40,

9_Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 02/130,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/55, Raqam-39.]

Posted in Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا

Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Kee Riza ……. Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Riza

Fasl : 14

رضاء فاطمة سلام الله عليها رضاء النبى صلى الله تعالى عليه وآله وسلم

Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Kee Riza ……. Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Riza

 

40_             “Hazrat Miswar Bin Makhramah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Be Shak Fatimah Meri Shaakhe Thamare Baar Hai, Jis Cheez Se Use Khushi Hoti Hai Us Cheez Se Mujhe Bhi Khushi Hoti Hai Aur Jis Cheez Se Use Taklif Pahunchti Hai Us Cheez Se Mujhe Taklif Pahunchti Hai.”

[1_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/168, Raqam-4734,

2_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/332,

3_Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il As-Sahabah, 02/765, Raqam-1347,

4_Shaybani Fi Al-Ahad Wa’l-Mathani, 05/362, Raqam-2956,

5_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 20/25, Raqam-30,

6_Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/203,

7_Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 03/206,

8_Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 02/132,

9_Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari, 09/329,

10_Ibn Kathir Fi Tafsir Al-Qr’an Al-Azim, 03/257,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/52, Raqam-40.]

 

 

41_             “Sa’iyd Bin Abban Qurashi Bayaan Karte Hain Ki Hazrat Abdullah Bin Hasan Bin Hasan Bin Ali Bin Abi Talib رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُم, Jo Ki Abhi Nau Umr They, Apne Aik Kaam Ke Silsile Me Hazrat Umar Bin Abd-ul-Aziz رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Milne Aa’e. Pas (Un Ke Aane Par) Hazrat Umar Bin Abd-ul-Aziz رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Ne Apni Majlis Barkhaast Kar Dee Aur Un Ka Istiqbaal Kiya Aur Un Kee Zaroorat Poori Kee. Phir Un Ke Pet Ke Hal Ko Is Qadr Dabaaya Ki Unhein Dard Mahsoos Huwi, Aur Farmaya : Yeh Baat (Qiyaamat Ke Din) Shafaa’at Ke Waqt Yaad Rakhna. Jab Woh Sayyid Chale Gaye To Logo’n Ne Unghein Malaamat Kee Aur Kaha : Aap Ne Aik Nau Umr Ladke Kee Itni Aao Bhagat Kee? Is Par Aap Ne Farmaya : Mein Ne Aik Thiqah Raawi Se Hadith Mubaaraka Is Tarah Suni Hai Ki Goya Mein Khud Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Se Sun Raha Hoo’n (Ki Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farma Rahe Hain: )

 

“Be Shak! Fatimah Meri Jaan Ka Hissa Hai, Jo Ise Khush Karta Hai Woh Mujhe Khush Karta Hai.”

 

“Phir Hazrat Umar Bin Abd-ul-Aziz رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Ne Farmaaya: ) Mein Jaanta Hoo’n Ki Agar Sayyidah Fatimah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Hayaat Hoti’n To Woh Is Amal Se Zaroor Khush Hoti‘n Jo Mein Ne Un Ke Bete Ke Saath Kiya Hai. Logo’n Ne Poochha : Aap Ka Un Ke Pet Me Kachoke Lagaane Ka Kya Matlab Hai Aur Jo Kuchh Aap Ne Farmaya Us Se Kya Muraad Hai? Is Par Hazrat Umar Bin Abd-ul-Aziz رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Ne Farmaya : Bani Haashim Me Aik Shakhs Bhi Aisa Nahin Jise Shafaa’at Kar Ne Ka Ikhtiyaar Na Diya Gaya Ho, Pas Mein Ne Chaaha Ki Mein Us Ladke Kee Shafaa’at Ka Haque Daar Banoo’n.”

[Sakhawi Fi Istijlabu Irtiqa’-il-Ghurafi Bi-Hubbi Aqriba’ Ar-Rasooli SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Wa Dhaw-ish-Sharaf,/96, 97,

Sakhawi Ne Isi Kitaab Ke ‘Saf’h : 150’ Par Isi Tarah Ka Aik Waaqe’a Khud Abdullah Bin Hasan Se Riwaayat Kiya Hai, Woh Farmaate Hain : Mein Aik Kaam Ke Silsile Me Umar Bin Abd-ul-Aziz Ke Paas Gaya To Unhone Mujhe Kaha : Jab Aap Ko Koi Haajat Pesh Aa’e To Koi Aadami Bhej Diya Kare’n Ya Khat Likh Bheje’n, Mujhe Allah Ta’ala Se Haya’ Aati Hai Ki Yoo’n Aap Ko Apne Darwaaze Par Dekhoo’n.”

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/56_58, Raqam-41.]

Posted in Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا

Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Khafa …. To Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Khafa

Fasl : 15

من أغضب فاطمة سلام الله عليها أغضب النبى صلى الله تعالى عليه وآله وسلم

Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Khafa …. To Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Khafa

 

42_             “Hazrat Miswar Bin Makhramah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Fatimah Meri Jaan Ka Hissa Hai, Pas Jis Ne Use Naaraaz Kiya Us Ne Mujhe Naaraaz Kiya.”

[1_Bukhari Fi As-Sahih, 03/1361, Raqam-3510,

2_Bukhari Fi As-Sahih, 03/1374, Raqam-3556,

3_Muslim Fi As-Sahih, 04/1903, Raqam-2449,

4_Ibn Abi Shaybah Ne ‘Al-Musannaf (06/388, Raqam-32269)’ Me Yeh Hadith Hazrat Ali رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwaayat Kee Hai.

5_Aboo Awanah Al-Musnad, 03/70, Raqam-4233,

6_Shaybani Fi Al-Ahad Wa’l-Mathani, 05/361, Raqam-2954,

7_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir,22/404, Raqam-1012,

8_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/172, Raqam-4747,

9_Daylami Fi Al-Firdaws Bi-Mathoor Al-Khitab, 03/145, Raqam-4389,

10_Ibn Jawzi Fi Sifat-us-Safwah, 02/07,

11_Ibn Bashkuwal Fi Ghawamid Al-Asma’ Al-Mub’hamah Al-Waqi’ah Fi Mutoon Al-Ahadith Al-Musnadah, 01/341,

12_Asqalani Fi Al-Isabah Fi Tamyiz-is-Sahabah, 08/56,

13_Husayni Fi Al-Bayan Wa’t-Ta’rif, 01/270,

14_Manawi Fi Fayd-ul-Qadir Sharh Al-Jami’ As-Saghir, 04/421,

15_Ajlooni Fi Kashf-ul-Khafa’ Wa Muzil Al-Ilbas ‘Ammah Istuhira Min Al-Ahadith ‘Ala Alsinat-in-Nas, 02/112, Raqam-1831,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/59, 60, Raqam-42.]

Posted in Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا

Sayyidah Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Khafa To Allah Khafa……. In Kee Riza Allah Kee Riza

Fasl : 16

إن الله يغضب لغضب فاطمة و يرضي لرضاها

Sayyidah Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Khafa To Allah Khafa……. In Kee Riza Allah Kee Riza

 

43_             “Hazrat Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Sayyidah Fatimah Se Farmaya : Be Shak Allah Ta’ala Teri Naaraazgi Par Naaraaz Aur Teri Riza Par Raazi Hota Hai.”

[1_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/167, Raqam-4730,

2_Aboo Ya’la Fi Al-Mu’jam,/190, Raqam-220,

3_Shaybani Fi Al-Ahad Wa’l-Mathani, 05/363, Raqam-2959,

4_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 01/108, Raqam-182,

5_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/401, Raqam-1001,

6_Doolabi Fi Adh-Dhurriyah At-Tahirah,/120, Raqam-235,

7_Qazwini Fi At-Tadwin Fi Akhbar Qazwin, 03/11,

8_Haythami Ne ‘Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id (09/203)’ Me Kaha Hai Ki Ise Tabarani Ne Hasan Isnaad Ke Saath Kiya Hai.

9_Ibn Jawzi Fi Tadhkirat-ul-Khawass,/279,

10_Ibn Athir Fi Usd-ul-Ghabah Fi Ma’rifat-is-Sahabah, 07/219,

11_Asqalani Fi Tahdhib-ut-Tahdhib, 12/468,

12_Asqalani Fi Al-Isabah Fi Tamyiz-is-Sahabah, 08/56, 57,

13_Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba,/82,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/60 61, Raqam-43.]

Posted in Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا

Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Kee Takleef….. Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Takleef

Fasl : 17

من آذى فاطمة سلام الله عليها فقد آذى النبى صلى الله تعالى عليه وآله وسلم

Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Kee Takleef….. Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Takleef

 

44_             “Hazrat Miswar Bin Makhramah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Be Shak Fatimah Meri Jaan Ka Hissa Hai, Use Taklif Dene Waali Cheez Mujhe Taklif Deti Hai.”

[1_Muslim Fi As-Sahih, 04/1903, Raqam-2449,

2_Nasa’i Fi As-Sunan Al-Kubra, 05/97, Raqam-8370,

3_Bayhaqi Fi As-Sunan Al-Kubra, 10/201,

4_Shaybani Fi Al-Ahad Wa’l-Mathani, 05/361, Raqam-2955,

5_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/404, Raqam-1010,

6_Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 02/40,

7_Andalusi Fi Tuhfat-ul-Muhtaj, 02/585, Raqam-1795,

8_Asqalani Fi Al-Isabah Fi Tamyiz-is-Sahabah, 08/56,

9_Ibn Jawzi Fi Tadhkirat-ul-Khawass,/279,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/61, Raqam-44.]

 

 

45_             “Hazrat Abdullah Bin Zubayr رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Bayan Karte Hain Ki Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Be Shak! Fatimah Meri Jaan Ka Hissa Hai, Use Taklif Dene Waali Cheez Mujhe Taklif Deti Hai, Aur Ise Mashaqqat Me Daalne Waala Mujhe Mashaqqat Me Daalta Hai.”

[1_Tirmidhi Ne Yeh Hadith Hasan Sahih ‘Al-Jami’-us-Sahih (05/698, Raqam-3869)’ Me Riwaayat Kee Hai.

2_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/05,

3_Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il As-Sahabah, 02/756, Raqam-1327,

4_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/173, Raqam-4751,

5_Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah, 09/314, 315, Raqam-274,

6_Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari, 09/329,

7_Shawkani Fi Darr-us-Sahabah Fi Manaqib-il-Qarabah Wa’s-Sahabah,/274,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/61, 62, Raqam-45.]

 

 

46_             “Hazrat Aboo Hanzalah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Be Shak! Fatimah Meri Jaan Ka Hissa Hai, Jis Ne Use Sataaya Us Ne Mujhe Sataaya.”

[1_Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il As-Sahabah, 02/755, Raqam-1324,

2_Ahmad Bin Hanbal Ne ‘Fada’il-us-Sahabah (02/756, Raqam-1327)’ Me Hazrat Abdullah Bin Zubayr رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Se Bhi Kee Hai.

3_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/05,

4_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/173, Raqam-4750,

5_Shaybani Fi Al-Ahad Wa’l-Mathani, 05/362, Raqam-2957,

6_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/405, Raqam-1013,

7_Bayhaqi Fi As-Sunan Al-Kubra, 10/201,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/62, 63, Raqam-46.]

Posted in Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا

Sayyidah Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Ka Dushman …… Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ka Dushman

Fasl : 18

عدو لفاطمة سلام الله عليها عدو للنبى صلى الله تعالى عليه وآله وسلم

Sayyidah Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Ka Dushman …… Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ka Dushman

 

47_             “Hazrat Zayd Bin Arqam رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Hazrat Ali, Hazrat Fatimah, Hazrat Hasan Aur Husayn  رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُم Se Farmaya : Mein Ua Se Ladoonga Jis Se Tum Ladoge, Aur Jis Se Tum Sulh Karoge Mein Us Se Sulh Karoonga.”

[1_Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/699, Raqam-3870,

2_Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/52, Raqam-145,

3_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/161, Raqam-4714,

4_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/40, Raqam-2619, 2620,

5_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 05/184, Raqam-5030, 5031,

6_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05/182, Raqam-5015,

7_Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba,/62,

8_Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 02/125,

9_Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 10/432,

10_Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal, 13/112,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/63, Raqam-47.]

 

 

48_             “Hazrat Zyad Bin Arqam رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwaayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Hazrat Fatimah, Hazrat Hasan Aur Hazrat Husayn رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُم Se Farmaya : Jo Tum Se Ladega Mein Us Se Ladoonga Aur Jo Tum Se Sulh Karega Mein Us Se Sulh Karoonga.”

[1_Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/434, Raqam-6977,

2_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/179, Raqam-2854,

3_Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 02/53, Raqam-767,

4_Haythami Ne ‘Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id (09/169)’ Me Kaha Hai Ki Ise Tabarani Ne ‘Al-Awsat” Me Riwaayat Kiya Hai.

5_Haythami Fi Mawarid Al-Zam’an Ila Zawa’id Ibn Habban,/555, Raqam-2244,

6_Mahamili Fi Amali,/447, Raqam-532,

7_Ibn Athir Fi Usd-ul-Ghabah Fi Ma’rifat-is-Sahabah, 07/220,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/63, 64, Raqam-48.]

 

 

49_             “Hazrat Aboo Hurayrah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Hazrat Ali, Hazrat Fatimah, Hazrat Hasan Aur Hazrat Husayn رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُم Kee Taraf Nazrae Iltefaat Kee Aur Irshaad Farmaya : Jo Tum Se Ladega Mein Us Se Ladoonga, Jo Tum Se Sulh Karega Mein Us Se Sulh Karoonga (Ya’ni Jo Tumhara Dushman Hai Woh Mera Dushman Hai Aur Jo Tumhara Dost Hai Woh Mera Bhi Dost Hai).”

[1_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/442,

2_Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il As-Sahabah, 02/767, Raqam-1350,

3_Hakim Ne ‘Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn  (03/161, Raqam-4713)’ Me Is Hadith Ko Hasan Qaraar Diya Hai Jab Ki Dhahabi Ne Is Baare Me Khaamoshi Ikhtiyaar Kee Hai.

4_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/40, Raqam-2621,

5_Khatib Fi Tarikh Baghdadi, 07/137,

6_Dhahabi Fi Siyar A’lam An-Nubula’, 02/122,

7_Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 03/257, 258,

8_Haythami Ne ‘Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id (09/169)’ Me Kaha Hai Ki Ise Ahmad Aur Tabarani Ne Riwaayat Kiya Hai Aur Is Ke Raawi Talid Bin Sulayman Ke Baare Me Ikhtalaaf Hai, Jab Ki Baqiyya Rijaal Hadithe Sahih Ke Rijaal Hain.

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/64, 65, Raqam-49.]