Posted in Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا

اَلدُّرَّةُ البَيْضَآء فِى مَنَاقِبِ فَاطِمَة الزَّهْرآء سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا

: الأربعين

اَلدُّرَّةُ البَيْضَآء

فِى مَنَاقِبِ

فَاطِمَة الزَّهْرآء

سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا

سیدۂِ کائنات سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا﴿

شیخ السلام ڈاکٹر محمد طاہر القادری

 

 

Al-Arba’iyn :

Ad-Durrat-ul-Bayda’

Fi Manaqibi

Fatimat-uz-Zahra’
سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا

﴾Sayyida-E-Kaa’enaat سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا﴿

 

Shaykh-ul-Islam Doctor

 Muhammad Tahir-ul-Qadri 

 

 

 

مَوْلَایَ  صَلِّ    وَسَلِّمْ   دَآئِمًا    اَبَدًا
عَلٰی  حَبِیْبِکَ   خَیْرِ   الْخَلْقِ   کُلِّھِمٖ

وَ الآلِ وَ الصَّحْبِ ثُمّْ  الْتَّابِعِیْنَ  لَهُمْ
أَهْلِ التُّقٰى  وَالنُّقٰی  وَالْحِلْمِ  وَالْكَرَمٖ

صَلَّی اﷲُ تَعَالٰی عَلَیْهِ وَعَلٰی آلِهٖ وَأَصْحَابِهٖ وَ بَارَکَ وَسَلَّمَ﴿

Posted in Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا

Muqaddamah

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيمِ

Muqaddamah

Sayyida-E-Kaa’enaat سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Kee Baargaah Me Allama Iqbaal Ka Manzoom Nadhrana-E-Aqidat

 

مریم از   یک نسبت   عیسی        عزیز                   از      سہ    نسبت   حضرت زہرا عزیز

نور    چشم     رحمة      للعالمین                          آں  امام          اولین      و      آخریں

آں     کہ   جاں در   پیکر گیتی دمید                    روزگار            تازه     آئیں          آفرید

بانوۓ     آں   تاج دار   ہل   اتی                        مرتضی   مشکل   گشا      شیر       خدا

پادشاه     و   کلبۂ     ایوان     او                       یک حسام     و       یک زره   سامان او

مادر  آں  مرکز      پرگار     عشق                    مادر    آں       کارواں   سالار     عشق

آں   یکی    شمع     شبستان     حرم                        حافظ           جمعیت        خیرالامم

تا نشیند   آتش   پیکار   و    کیں                       پشت   پا زد     بر    سر تاج    و    نگیں

واں       دگر   مولاۓ   ابرار    جہاں                 قوت     بازوۓ           احرار      جہاں

در   نواۓ   زندگی  سوز   از     حسین               اہل   حق   حریت   آموز   از      حسین

سیرت    فرزند     ہا     از   امهات                    جوہر   صدق   و   صفا      از     امہات

مزرع تسلیم       را      حاصل        بتول                  مادراں       را اسوهٔ      کامل  بتول

بہر محتاجے دلش آں   گونہ     سوخت                با یہودے     چادر خود     را    فروخت

نوری   و   ہم     آتشی       فرمانبرش             گم   رضایش      در   رضاۓ     شوہرش

آں ادب   پروردهٔ   صبر   و   رضا                    آسیا      گردان   و     لب       قرآں سرا

گریہ     ہاۓ      او   ز بالیں   بی    نیاز              گوہر       افشاندے     بدامان      نماز

اشک او بر چید   جبریل   از   زمیں                      ہمچو  شبنم ریخت   بر  عرش   بریں

رشتۂ   آئیں   حق     زنجیر     پاست                   پاس   فرمان    جناب مصطفی    است

ورنہ     گرد     تربتش     گردید    مے              سجده     ہا        برخاک   او      پاشیدے(⚝)

 



قَالَ رَسُولُ اللَّهِ
صَلَّى اللَّهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ
:
إِنَّمَا فَاطِمَةُ بَضْعَةٌ مِنِّي بے شک! فاطمہ میری جان کا حصّہ ہے ﴿

Qaala Rasool-ul-Allah

SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam
:
Innama Fatimatu Bad’atun Minni

Be Shak! Fatimah Meri Jaan Ka Hissa Hai﴿


[Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/13_11,

(⚝) Kulliyate Iqbal (Farsi), Moze Be Khudi.]

Posted in Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا

Sayyida-E-Kaa’enaat سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Ka Gharaana Ahl-E-Bayt Hai

Fasl : 01

آل فاطمة سلام الله عليها أهل البيت

Sayyida-E-Kaa’enaat سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Ka Gharaana Ahl-E-Bayt Hai

 

01_             “Hazrat Anas Bin Malik رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwaayat Hai Ki Chhe (Maah) Tak Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ka Ma’mool Raha Ki Jab Namaaze Fajr Ke Liye Nikalte Aur Hazrat Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Ke Darwaaza Ke Paas Se Guzarte To Farmaate : Aye Ahl-E-Bayt! Namaaz Qaa’im Karo. (Aur Phir Yeh Aayate Mubaaraka Padhte: )……Aye Alh-E-Bayt! Allah Chaahta Hai Ki Tum Se (Har Tarah Kee) Aaloodgi Door Kar De Aur Tum Ko Khoob Paak-o-Saaf Kar De.”

[1_Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/352, Raqam-3206,

2_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/259, 285,

3_Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il As-Sahabah, 02/761, Raqam-1340, 1341,

4_Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/388, Raqam-32272,

5_Shybani Fi Al-Ahd Wa’l-Mathani, 05/360, Raqam-2953,

6_Abd Bin Humayd Al-Musnad,/367, Raqam-1223,

7_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/172, Raqam-4748,

8_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/56, Raqam-2671,

9_Bukhari Ne ‘Al-Kuna (Saf’h : 25, Raqam-205)’ Me Aboo Al-Hamra’ Se Hadith Riwaayat Kee Hai, Jis Me Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Is Amal Kee Muddat Nau (09) Maah Bayaan Kee Gayi Hai.

10_Abd Bin Humayd Ne ‘Al-Musnad (Saf’h : 173, Raqam-475)’ Me Imam Bukhari Kee Bayaan Karda Riwaayat Naql Kee Hai.

11_Ibn Hibba Ne ‘Tabaqat Al-Muhaddithin Bi-Asbahan (04/148)’ Me Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Marwi Is Riwaayat Me Aath Maah Ka Zik Kiya Hai.

12_Ibn Athir Fi Usd-ul-Ghabah Fi Ma’rifat-is-Sahabah, 07/218,

13_Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 02/134,

14_Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal, 35/250, 251,

15_Ibn Kathir Fi Tafsir Al-Qr’an Al-Azim, 03/483,

16_Suyooti Ne ‘Ad-Durr-ul-Manthoor Fi At-Tafsiri Bi-Al-Ma’thoor (05/613) Me Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwaayat Kee Hai.

17_Suyooti Ne ‘Ad-Durr-ul-Manthoor Fi At-Tafsiri Bi-Al-Ma’thoor (06/607) Ne Hazrat Aboo Al-Hamra’ Se Riwaayat Kee Hai.

18_Shawkani Fi Fat’h-ul-Qadir,/280,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/15_17, Raqam-01.]

 

 

02_             “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Ne Allah Ta’ala Ke Is Irshaad Mubaaraka….. ﴾Aye Ahl-E-Bayt! Allah To Yehi Chaahta Hai Ki Tum Se (Har Tarah Kee) Aaloodgi Door Kar De ﴿ …. Ke Baare Me Kaha Hai Ki Yeh Aayat Mubaaraka Paanch Hastiyo’n…… Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم, Hazrat Ali, Hazrat Fatimah, Hazrat Hasan Aur Hazrat Husayn رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُم …… Ke Baare Me Naazil Huwi.”

[1_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/380, Raqam-3456,

2_Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/231, Raqam-375,

3_Ibn Hibban Fi Tabqat-ul-Muhaddithin Bi-Asbahan, 03/384,

4_Khatib Fi Tarikh Baghdad, 10/278,

5_Tabari Fi Jami’-ul-Bayan Fi Tafsir Al-Qur’an, 22/06,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/16, 17, Raqam-02.]

Posted in Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا

Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Ka Gharaana Hee Ahl-E-Kisa’ Hai

Fasl : 02

آل فاطمة سلام الله عليها أهل كساء

Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Ka Gharaana Hee Ahl-E-Kisa’ Hai

 

03_             “Safiyyah Bint Shaybah Riwaayat Karti Hain : Hazrat Aaishah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Bayaan Karti Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Sub’h Ke Waqt Baahar Tashreef Laa’e Dar Haala’n Ki Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Aik Chaadar Odhi Huwi Thi Jis Par Siyaah Oon Se Kajaawo’n Ke Naqsh Bane Huwe They. Pas Hazrat Hasan Bin Ali رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Aa’e To Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Unhein Us Chaadar Me Daakhil Kar Liya, Phir Hazrat Husayn رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Aa’e To Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Hamraah Chaadar Me Daakhil Ho Gaye, Phir Sayyidah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Aaein Aur Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Unhein Us Chaadar Me Daakhil Kar Liya, Phir Hazrat Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Aa’e To Aap Ne Unhein Bhi Chaadar Me Le Liye. Phir Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Yeh Aayat Mubaaraka Padhi : ﴾Aye Ahl-E-Bayt! Allah To Yehi Chaahta Hai Ki Tum Se (Har Tarah Kee) Aaloodgi Door Kar De Aur Tum Ko Khoob Paak-o-Saaf Kar De.﴿”

[1_Muslim Fi As-Sahih, 04/1883, Raqam-2424,

2_Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/370, Raqam-36102,

3_Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il As-Sahabah, 02/672, Raqam-1149,

4_Ibn Rahwayh Fi Al-Musnad, 03/678, Raqam-1271,

5_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 3/159, Raqam-4705,

6_Bayhaqi Fi As-Sunan Al-Kubra, 02/149,

7_Tabari Fi Jami’-ul-Bayan Fi Tafsir Al-Qur’an, 22/06, 07,

8_Baghawi Fi Ma’alim-ut-Tanzil, 03/529,

9_Ibn Kathir Fi Tafsir Al-Qr’an Al-Azim, 03/485,

10_Suyooti Fi Ad-Durr-ul-Manthoor Fi At-Tafsiri Bi-Al-Ma’thoor, 06/605,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/18, 19, Raqam-03.]

 

 

04_             “Parwarda-E-Nabi Hazrat Umar Bin Abi Salamah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwaayat Hai Ki Jab Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Par Hazrat Ummi Salamah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Ke Ghar Me Yeh Aayat Mubaaraka …… ﴾Aye Ahl-E-Bayt! Allah To Yehi Chaahta Hai Ki Tum Se (Har Tarah Kee) Aaloodgi Door Kar De Aur Tum Ko Khoob Paak-o-Saaf Kar De﴿…… Naazil Huwi ; To Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Hazrat Fatimah, Hazrat Hasan Aur Hazrat Husayn رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُم Ko Bulaaya Aur Aik Kamli Me Dhaanp Liya. Hazrat Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Peechhe They, Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Unhein Bhi Kamli Me Dhaanp Liya, Phir Farmaya : Ilaahi! Yeh Mere Ahl-E-Bayt Hain, In Se Najaasat Door Kar Aur In Ko Khoob Paak-o-Saaf Kar De.”

[1_Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/351, 663, Raqam-3205, 3787,

2_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/292,

3_Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il As-Sahabah, 02/587, Raqam-994,

4_Bayhaqi Ne ‘As-Sunan-ul-Kubra (02/150)’ Me Yeh Hadith Zara Mukhtalif Alfaaz Ke Saath Riwaayat Kee Hai.

5_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 02/451, Raqam-3558,

6_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/158, Raqam-4705,

7_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/54, Raqam-2662,

8_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 09/25, Raqam-8295,

9_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/134, Raqam-3799,

10_Bayhaqi Fi Al-I’tiqad,/327,

11_Khatib Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 09/126,

12_Khatib Baghdadi Fi Muwaddihu Al-Jam’ Awhami  Wa At-Tafriq, 02/313,

13_Doolabi Fi Adh-Dhurriyah At-Tahirah,/107, 108, Raqam-201,

14_ Ibn Athir Ne ‘Usd-ul-Ghabah Fi Ma’rifat-is-Sahabah (07/218)’ Me Yeh Hadith Hazrat Ummi Salamah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Se Riwaayat Kee Hai.

15_Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari, 07/138,

16_Asqalani Fi Al-Isabah Fi Tamyiz-is-Sahabah, 03/405,

17_Tabari Fi Jami’-ul-Bayan Fi Tafsir Al-Qur’an, 22/07,

18_Suyooti Fi Ad-Durr-ul-Manthoor Fi At-Tafsiri Bi-Al-Ma’thoor, 06/604,

19_Shawkani Fi Fat’h-ul-Qadir, 04/279,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/19, 20, Raqam-04.]

Posted in Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا

Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Sab Jahaano’n Kee Sardaar Hain

Fasl : 03

فاطمة سلام الله عليها سيدة نساء العالمين

Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Sab Jahaano’n Kee Sardaar Hain

 

05_             “Hazrat Aaishah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Se Riwaayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Aye Fatima! Kya Too Nahin Chaahti Ki Too Tamaam Jahaano’n Kee Aurto’n, Meri Is Ummat Kee Tamaam Aurto’n Aur Mu’minin Kee Tamaam Aurto’n Kee Sardaar Ho!.”

[1_Hakim Ne ‘Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn (03/170, Raqam-4740)’ Me Ise Sahih Qaraar Diya Hai Jab Ki Dhahabi Ne Is Kee Taa’id Kee Hai.

2_Nasa’i Fi As-Sunan Al-Kubra, 04/251, Raqam-7078,

3_Nasa’i Fi As-Sunan Al-Kubra, 05/146, Raqam-8517,

4_Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat Al-Kubra, 02/247, 248,

5_Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat Al-Kubra, 08/26, 27,

6_Ibn Athir Fi Usd-ul-Ghabah Fi Ma’rifat-is-Sahabah, 07/218,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/21 Raqam-05.]

 

 

06_             “Hazrat Aaishah Siddiqah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Farmaati Hain Ki Hazrat Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Aa’in Aur Un Ka Chalna Hoobahoo Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Chalne Jaisa Tha. Pas Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Apne Lakhte Jigar Ko Khush Aamadeed Kaha Aur Apne Daa’in Ya Baa’in Jaanib Bitha Liya, Phir Chupke Chupke Un Se Koi Baat Kahi To Woh Rone Lagi’n, Pas Mein Ne Un Se Poochha Ki Kyoo’n Ro Rahi Hain? Phir Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Un Se Koi Baat Chupke Chupke Kahi To Woh Hans Padi’n. Pas Mein Ne Kaha Ki Aaj Kee Tarah Mein Ne Khushi Ko Gham Ke Itne Nazdeek Kabhi Nahin Dekha. Mein Ne (Hazrat Fatimat-uz-Zahra’ رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Se) Poochha : Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Kya Farmaya Tha? Unhone Jawaab Diya : Mein Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Raaz Ko Faash Nahin Kar Sakti. Jab Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ka Wisaal Ho Gaya To Mein Ne Un Se (Us Baare Me) Phir Poochha To Unhone Jawaab Diya : Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Mujh Se Sargoshi Kee Ki Jibra’il Har Saal Mere Saath Qur’an Kareem Ka Aik Baar Daur Kiya Karte They Lekin Is Saal Do Martaba Kiya Hai, Mujhe Yaqeen Hai Ki Mera Aakhiri Waqt Aa Pahuncha Hai Aur Be Shak Mere Ghar Waalo’n Me Se Tum Ho Jo Sab Se Pehle Mujh Se Aa Milogi. Is Baat Ne Mujhe Rulaaya, Phir Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Kya Tum Is Baat Par Raazi Nahin Ki Tum Tamaam Jannati Aurto’n Kee Sardaar Ho Ya Tamaam Musalamaan Aurto’n Kee Sardaar Ho! Pas Is Baat Par Mein Hans Padi.”

[1_Bukhari Fi As-Sahih, 03/1326, 1327, Raqam-3426, 3427,

2_Muslim Fi As-Sahih, 04/1904, Raqam-2450,

3_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/282,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/21_23, Raqam-06.]

 

 

07_             “Hazrat Masrooq Riwaayat Karte Hain Ki Umm-ul-Mu’minin Hazrat Aaishah Siddiqah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Se Riwaayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Sayyidah Fatimah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Se Farmaya : Aye Fatimah! Kya Too Is Baat Par Raazi Nahin Hai Ki Musalmaan Aurto’n Kee Sardaar Ho Ya Meri Is Ummat Kee Sab Aurto’n Kee Sardaar Ho!”

[1_Bukhari Fi As-Sahih, 05/2317, Raqam-5928,

2_Muslim Fi As-Sahih, 04/1905, Raqam-2450,

3_Nasa’i Fi Fada’il Al-Sahabah,/77, Raqam-263,

4_Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il As-Sahabah, 02/762, Raqam-1342,

5_Tayalisi Fi Al-Musnad, /196, Raqam-1373,

6_Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat Al-Kubra, 02/247,

7_Doolabi Fi Adh-Dhurriyah At-Tahirah,/101, 102, Raqam-188,

8_Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 02/39, 40,

9_Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 02/130,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/23, Raqam-07.]

 

 

08_             “Hazrat Aboo Hurayrah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwaayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Aasmaan Ke Aik Firishte Ne Meri Ziyaarat Nahin Kee Thi , Pas Us Ne Allah Ta’ala Se Meri Ziyaarat Kee Ijaazat Lee Aur Us Ne Mujhe Khush Khabari Sunaa’i (Ya) Mujhe Khabar Dee Ki Fatimah Meri Ummat Kee Sab Aurto’n Kee Sardaar Hain.”

[1_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/403, Raqam-1006,

2_Bukhari Fi At-Tarikh-ul-Kabir, 01/232, Raqam-728,

3_Haythami Ne ‘Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id (09/201)’ Me Kaha Hai Ki Ise Tabarani Ne Riwaayat Kiya Hai Aur Is Ke Rijaal Sahih Hain, Siwaa’e Muhammad Bin Marwan Dhuhali Ke, Use Ibn Hayyan Ne Thiqah Qaraar Diya Hai.

4_Dhahabi Fi Siyar A’lam An-Nubula’, 02/127,

5_Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal, 26/391,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/23, 24, Raqam-08.]

Posted in Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا

Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Jannati Aurto’n Kee Aur Aap Ke Shahzaade Jannati Jawaano’n Ke Sardaar Hain

Fasl : 04

فاطمة سلام الله عليها سيدة نساء أهل الجنة و ابناها سيدا شباب أهل الجنة

Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Jannati Aurto’n Kee Aur Aap Ke Shahzaade Jannati Jawaano’n Ke Sardaar Hain

 

09_             “Hazrat Hudhayfah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Bayaan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Aik Firishta Jo Is Raat Se Pehle Kabhi Zameen Par Na Utra Tha, Us Ne Apne Parwardigaar Se Ijaazat Maangi Ki Mujhe Salaam Kar Ne Haazir Ho Aur Mujhe Yeh Khush Khabari De : Fatimah Ahl-E-Jannat Kee Tamaam Aurto’n Kee Sardaar Hai Aur Hasan Wa Husayn Jannat Ke Tamaam Jawaano’n Ke Sardaar Hain.”

[1_Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/660, Raqam-3871,

2_Nasa’i Fi As-Sunan Al-Kubra, 05/80, 95, Raqam-8298, 8365,

3_Nasa’i Fi Fada’il Al-Sahabah,/58, 76, Raqam-193, 260,

4_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/391,

5_Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il As-Sahabah, 02/788, Raqam-1406,

6_Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/388, Raqam-32271,

7_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/164, Raqam-4721, 4722,

8_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/402, Raqam-1005,

9_Bayhaqi Fi Al-I’tiqad,/328,

10_Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 04/190,

11-Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba,/224,

12_Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 03/123, 252,

13_Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari, 06/471,

14_Suyooti Fi Tadrib-ur-Rawi Fi Sharh Taqrib Al-Nawawi, 02/156, 464,

15_Suyooti Fi Al-Khasa’is Al-Kubra, 02/156, 464,

16_Imam Bukhari Ne ‘As-Sahih (03/1360, Kitab Al-Manaqib)’ Me Qaraabate Rasool صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Manaaqib Ka Baab Baandhte Huwe Sayyidah Fatimah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Ke Hawaale Se Kaha : وقال النبي صلى الله تعالى عليه واله وسلم : فاطمة سيدة نساء أهل الجنة (Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Fatimah Ahle Jannat Kee Aurto’n Kee Sardaar Hain).

17_Imam Bukhari Ne Sayyidah Fatimah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Ke Manaaqib Ke Hawaale Se Yehi Unwaan ‘As-Sahih (03/1374)’ Me Do Baara Baandha Hai.

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/25, 26, Raqam-09.]

 

 

10_             “Hazrat Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Se Marwi Hai Ki Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Sayyidah Fatimah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Se Farmaya : Kya Tumhein Is Baat Par Khushi Nahin Ki Ahle Jannat Kee Tamaam Aurto’n Kee Sardaar Ho Aur Tere Dono’n Bete Jannat Ke Tamaam Jawaano’n Ke.”

[1_Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/201,

2_Bazzar Fi Al-Musnad, 03/102, Raqam-885,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/26, Raqam-10.]

 

 

11_             “Hazrat Abdullah Bin Abbas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Farmate Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Zameen Par Chaar (04) Lakeerein Kheenchi’n, Aur Farmaya : Tum Jaante Ho Yeh Kya Hai? Sahaba-E-Kiram رِضْوَانُ اللهِ تَعَالىٰ عَلَيْهِمْ اَجْمَعِيْن Ne Arz Kiya : Allah Aur Us Ke Rasool صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Behtar Jaante Hain. Phir Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Ahle Jannat Kee Tamaam Aurto’n Me Se Afzal Tareen (Chaar) Hain : Khadijah Bint Khuwaylid, Fatimah Bint Muhammad, Fir’awn Kee Biwi Aasiyah Bint Muzahim Aur Maryam Bint Imran رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُنَّ اَجْمَعِيْنَ.”

[1_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/293, 316,

2_Nasa’i Fi As-Sunan Al-Kubra, 05/93, 94, Raqam-8355, 8364,

3_Nasa’i Fi Fada’il Al-Sahabah,/74, 76, Raqam-250, 259,

4_Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/470, Raqam-7010,

5_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 02/539, Raqam-3836,

6_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/174, 205, Raqam-4754, 4852,

7_Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il As-Sahabah, 02/760, 761, Raqam-1339,

8_Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 05/110, Raqam-2722,

9_Shaybani Fi Al-Ahad Wa’l-Mathani, 05/364, Raqam-2962,

10_Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/205, Raqam-597,

11_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 11/336, Raqam-11928,

12_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/407, Raqam-1019,

13_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 23/07, Raqam-01, 02,

14_Bayhaqi Fi Al-I’tiqad,/329,

15_Ibn Abd-il-Barr Fi Al-Isti’ab Fi Ma’rifat Al-As’hab, 04/1821, 1822,

16_Nawawi Fi Tahdhib-ul-Asma’ Wa Al-Lughat, 02/608,

17_Dhahabi Ne ‘Siyar A’lam-in-Nubala’ (02/124)’ Me Ise Hazrat Abdullah Bin Abbas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Se Marfoo’ Hadith Qaraar Diya Hai.

18_Haythami Ne ‘Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id (09/223)’ Me Kaha Hai Ki Ise Ahmad, Aboo Ya’la Aur Tabarani Ne Riwaayat Kiya Hai, Aur Un Kee Bayaan Karda Riwayat Ke Rijaal Sahih Hain.

19_Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari, 06/447,

20_Asqalani Fi Al-Isabah Fi Tamyiz-is-Sahabah, 08/55,

21_Husayni Fi Al-Bayan Wa’t-Ta’rif, 01/123, Raqam-316,

22_Manawi Fi Fayd-ul-Qadir Sharh Al-Jami’ As-Saghir, 02/53,

23_Qurtubi Fi Al-Jami’ Li-Ahkam Al-Qur’an (Tafsir Al-Qurtubi), 04/83,

24_Ibn Kathir Fi Tafsir Al-Qr’an Al-Azim, 04/394,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/27, 28, Raqam-11.]

 

 

12_             “Hazrat Salih رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Riwaayat Karte Hain Ki Umm-il-Mu’minin Hazrat Aaishah Siddiqah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Ne Sayyidah Fatimah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Se Kaha : Kya Mein Tumhein Khush Khabari Na Sunaau’n! (Woh Yeh Ki) Mein Ne Khud RasoolAllah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ko Yeh Farmaate Huwe Suna : Ahle Jannat Kee Aurto’n Kee Sardaar Sirf Chaar Khawaatin Hain : Maryam Bint Imran, Fatimah Bint RasoolAllah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم, Khadijah Bint Khuwaylid Aur Fir’awn Kee Biwi Aasiyah.”

[1_Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il As-Sahabah, 02/760, Raqam-1336,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/28, Raqam-12.]

Posted in Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا

Allah Ta’ala Ne Fatimah Aur Aale Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهِمْ Par Jahannam Kee Aag Haraam Kar Dee

Fasl : 05

حرم الله فاطمة سلام الله عليها و ذريتها على النار

Allah Ta’ala Ne Fatimah Aur Aale Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهِمْ Par Jahannam Kee Aag Haraam Kar Dee

 

13_             “Hazrat Abdullah Bin Abbas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Se Riwayat Hai Ki Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Hazrat Fatimah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Se Farmaya : Allah Ta’ala Tumhein Aur Tumhari Aulaad Ko Aag Ka Azaab Nahin Dega.”

[1_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 11/210, Raqam-11685,

2_Haythami Ne ‘Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id (09/202)’ Me Kaha Hai Ki Ise Tabarani Ne Riwaayat Kiya Hai Aur Is Ke Rijaal Thiqah Hain.

3_Sakhawi Fi ‘Istijlabu Irtiqa’-il-Ghurafi Bi-Hubbi Aqriba’ Ar-Rasooli SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Wa Dhaw-ish-Sharaf, /117,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/29, Raqam-13.]

 

 

14_             “Hazrat Abdullah Bin Mas’ood رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Be Shak Fatimah Ne Apni Ismat Wa Paak Daamani Kee Aisi Hifaazat Kee Hai Ki Allah Ta’ala Ne Use Aur Us Kee Aulaad Ko Aag Se Mahfooz Farma Diya Hai.”

[1_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/407, Raqam-1018,

2_Bazzar Fi Al-Musnad, 05/223, Raqam-1829,

3_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/165, Raqam-4726,

4_Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 04/188,

5_Sakhawi Fi Istijlabu Irtiqa’-il-Ghurafi Bi-Hubbi Aqriba’ Ar-Rasooli SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Wa Dhaw-ish-Sharaf, 01/115, 116,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/29, 30, Raqam-14.]

 

 

15_             “Hazrat Jabir Bin Abdullah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Se Riwayat Hai Ki Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Meri Beti Ka Naam Fatimah Is Liye Rakkha Gaya Hai Ki Allah Ta’ala Ne Use Aur Us Se Mahabbat Rakhne Waalo’n Ko Dozakh Se Alag Thalag Kar Diya Hai.”

[1_Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 01/346, Raqam-1385,

2_Hindi Ne ‘Kanz-ul-‘Ummal Fi Sunan Al-Aqwal Wa-Al-Af’al (12/109, Raqam-34227)’ Me Kaha Hai Ki Ise Daylami Ne Hazrat Aboo Hurayrah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwaayat Kiya Hai.

3_Sakhawi Ne ‘Istijlabu Irtiqa’-il-Ghurafi Bi-Hubbi Aqriba’ Ar-Rasooli SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Wa Dhaw-ish-Sharaf (Saf’h : 96)’ Me Kaha Hai Ki Ise Daylami Ne Hazrat Aboo Hurayrah Se Riwaayat Kiya Hai.

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/30, Raqam-15.]

Posted in Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا

Sayyidah Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Kee Waalida Afzal-un-Nisa’ Hain

Fasl : 06

أم فاطمة سلام الله عليهما أفضل النساء

Sayyidah Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Kee Waalida Afzal-un-Nisa’ Hain

 

16_             “Hazrat Abdullah Bin Ja’far Riwaayat Karte Hain Ki Mein Ne Hazrat Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Se Suna Woh Farma Rahe They Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ko Yeh Farmaate Huwe Suna : (Apne Zamaana Kee Aurto’n Me) Sab Se Afzal Khadijah Bint Khuwaylid Hain, Aur (Apne Zamaana Kee Aurto’n Me) Sab Se Afzal Maryam Bint Imran Hain.”

[1_Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/702, Raqam-3877,

2_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/116, 132,

3_Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 01/455,

4_Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il As-Sahabah, 02/852, Raqam-1580,

5_Ibn Abd-il-Barr Fi Al-Isti’ab Fi Ma’rifat Al-As’hab, 04/1823,

6_Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 02/113,

7_Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari, 06/447,

8_Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari, 07/107,

9_Asqalani Fi Al-Isabah Fi Tamyiz-is-Sahabah, 07/602,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/31, Raqam-16.]

 

 

17_             “Hazrat Abdullah Bin Ja’far رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Riwaayat Karte Hain Ki Mein Ne Hazrat Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Ko Koofah Me Yeh Farmaate Huwe Suna : Maryam Bint Imran Aur Khadijah Bint Khuwaylid Zameen-o-Aasmaan Me Sab Aurto’n Se Behtar Hain.”

 

“(Raawi) Aboo Kurayb Kehte Hain Ki Waki’ Ne (Yeh Hadith Bayaan Karte Huwe) Zameen-o-Aasmaan Kee Taraf Ishaara Kiya.”

[1_Muslim Fi As-Sahih, 04/1886, Raqam-2430,

2_Bukhari Fi As-Sahih, 03/1265, 1388, Raqam-3249, 3604,

3_Nasa’i Fi As-Sunan Al-Kubra, 05/39, Raqam-8354,

4_ Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/84, 143,

5_Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 07/492, Raqam-14006,

6_Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/390, Raqam-32289,

7_Bazzar Fi Al-Musnad, 02/115,  Raqam-468,

8_Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 01/399, Raqam-522,

9_Nasa’i Fi Fada’il As-Sahabah,/74, Raqam-249,

10_Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il As-Sahabah, 02/847, 852, Raqam-1563, 1579, 1583,

11_Shaybani Fi Al-Ahad Wa’l-Mathani, 05/380, Raqam-2985,

12_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 02/539, Raqam-3837,

13_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/203, 657, Raqam-4847, 6419,

14_Bayhaqi Fi As-Sunan Al-Kubra, 06/367,

15_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir,/18, 23, Raqam-04,

16_Mahamili Fi Amali,/188, Raqam-164,

17_Doolabi Fi Adh-Dhurriyah At-Tahirah,/37, Raqam-28,

18_Ibn Abd-il-Barr Fi Al-Isti’ab Fi Ma’rifat Al-As’hab, 04/1824,

19_Ibn Jawzi Fi Sifat-us-Safwah, 02/03,

       Wazaahat : In Ahaadith Ka Mutadhakkara Baala Fasl 03 Aur 04 Ahaadith Se Koi Ta’aaruz Nahin Hai Kyoo’n Ki In Kee Fazeelat Zamaani Hai, Ya’ni Un Ke Apne Apne Zamaano’n Me Khawaatine Aalam Me Se Koi Un Ke Hum Palla Na Thi. Magar Sayyida-E-Kaa’enaat سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Kee Afzaliyyat Umoomi Aur Mutlaq Hai, Jo Sab Se Jahaano’n Aur Zamaano’n Ko Muhit Hai.

 

Baqaul Allama Iqbal :

مریم          از           یک             نسبت          عیسی              عزیز   

از        سہ             نسبت     حض       زہرا                عزیز

نور                چشم               رحمة                      للعالمین

آں                 امام                 اولین          و           آخریں

بانوۓ                    آں           تاج دار              ہل              اتی

مرتضی        مشکل          گشا              شیر             خدا

مادر               آں            مرکز              پرگار                عشق

مادر             آں          کارواں                 سالار             عشق

در         نواۓ          زندگی          سوز        از         حسین

اہل       حق           حریت           آموز        از         حسین

مزرع          تسلیم            را             حاصل           بتول

مادراں         را      اسوهٔ                     کامل              بتول

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/31_33, Raqam-17.]

Posted in Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا

Farmane Rasool صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم …….. Fatimah! Mere Maa’n Baap Tujh Par Qurbaan

Fasl : 07

قول الرسول صلى الله تعالى عليه وآله وسلم….. فداك أبى وأمى يا فاطمة!

Farmane Rasool صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم …….. Fatimah! Mere Maa’n Baap Tujh Par Qurbaan

 

18_             “Hazrat Abdullah Bin Umar رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Jab Safar Ka Iraada Farmate To Apne Ahl-o-Ayaal Me Se Sab Ke Baa’d Jis Se Guftagu Kar Ke Safar Par Rawaana Hote Woh Sayyidah Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Hoti’n, Aur Safar Se Waapasi Par Sab Se Pehle Jis Ke Paas Tashrif Laate Woh Bhi Hazrat Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Hoti’n, Aur Yeh Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Sayyidah Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Se Farmate : (Fatimah!)  Mere Maa’n Baap Tujh Par Qurbaan Ho’n.”

[1_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/170, Raqam-4740,

2_Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/470, 471, Raqam-696,

3_Haythami Fi Mawarid Al-Zam’an Ila Zawa’id Ibn Habban,/631, Raqam-2540,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/34, Raqam-18.]

 

 

19_             “Hazrat Umar Bin Khattab رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se (Bhi) Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Sayyidah Fatimah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Se Farmaate They : (Fatimah!) Mere Maa’n Baap Tujh Par Qurbaan Ho’n.”

[Shawkani Ne ‘Darr-us-Sahabah Fi Manaqib-il-Qarabah Wa’s-Sahabah (Saf’h : 279)’ Me Kaha Hai Ki Ise Hakim Ne ‘Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn’ Me Riwaayat Kiya Hai.

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/34, Raqam-19.]

Posted in Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا

Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا …… Lakhte Jigare Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم

Fasl : 08

فاطمة سلام الله عليها بضعة من رسول الله صلى الله تعالى عليه وآله وسلم

Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا …… Lakhte Jigare Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم

 

20_             “Hazrat Miswar Bin Makhramah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Fatimah Meri Jaan Ka Hissa Hai, Pas Jis Ne Use Naaraaz Kiya Us Ne Mujhe Naaraaz Kiya.”

[1_Bukhari Fi As-Sahih, 03/1361, Raqam-3510,

2_Bukhari Fi As-Sahih, 03/1374, Raqam-3556,

3_Muslim Fi As-Sahih, 04/1903, Raqam-2449,

4_Ibn Abi Shaybah Ne  ‘Al-Musannaf (06/388, Raqam-32269)’ Me Yeh Hadith Hazrat Ali رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwaayat Kee Hai.

5_Aboo Awanah Al-Musnad, 03/70, Raqam-4233,

6_Shaybani Fi Al-Ahad Wa’l-Mathani, 05/361, Raqam-2954,

7_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir,22/404, Raqam-1013,

08_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/172, Raqam-4747,

09_Bayhaqi Fi As-Sunan Al-Kubra, 10/201,

10_Daylami Fi Al-Firdaws Bi-Mathoor Al-Khitab, 03/145, Raqam-4389,

11_Ibn Jawzi Fi Sifat-us-Safwah, 02/07,

12_Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba,/80,

13_Ibn Bashkuwal Fi Ghawamid Al-Asma’ Al-Mub’hamah Al-Waqi’ah Fi Mutoon Al-Ahadith Al-Musnadah, 01/341,

14_ Asqalani Fi Al-Isabah Fi Tamyiz-is-Sahabah, 08/56,

15_Husayni Fi Al-Bayan Wa’t-Ta’rif, 01/270,

16-Manawi Fi Fayd-ul-Qadir Sharh Al-Jami’ As-Saghir, 04/421,

17_Ajlooni Fi Kashf-ul-Khafa’ Wa Muzil Al-Ilbas ‘Ammah Istuhira Min Al-Ahadith ‘Ala Alsinat-in-Nas, 02/112, Raqam-1831,

 

Mundareja-E-Baala Hawaalaa Jaat Ke Ilaawa A’imma-o-Muhaddithin Ne Darj Zail Maamaat Par Bhi Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ka Farmaan Mubaarak Naql Kiya Hai, Jis Me Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Sayyidah Fatimat-uz-Zahra’ رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Ko بَضْعَةٌ مِنِّي Farma Kar Apni Jaan Ka Hissa Qaraar Diya Hai :

 

18_Bukhari Fi As-Sahih, 03/1364, Raqam-3523,

19_Bukhari Fi As-Sahih, 05/2003, Raqam-4932,

20_Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/698, Raqam-3867,

21_Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/226, Raqam-2071,

22_Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/643, 644, Raqam-1998, 1999,

23_Nasa’i Fi As-Sunan Al-Kubra, 05/148, Raqam-5820_5822,

24_Nasa’i Fi Fada’il As-Sahabah, 78, Raqam-265,

25_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/05, 323, 326, 328,

26_Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il As-Sahabah, 02/755, 756, 758, 759, Raqam-1324, 1327, 1334, 1335,

27_Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/405, 406, 408, 535, Raqam-6955, 6957, 7060,

28_Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 07/301, 302, Raqam-13268, 13269,

29_Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 03/71, Raqam-4231, 4234,

30_Bazzar Fi Al-Musnad, 02/160, Raqam-526,

31_Bazzar Fi Al-Musnad, 06/150, Raqam-2193,

32_Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 13/134, Raqam-7181,

33_ Shaybani Fi Al-Ahad Wa’l-Mathani, 05/361, 362, Raqam-2954, 2957,

34_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 20/18, 19, Raqam-18, 21,

35_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/405, Raqam-1010,

36_Hakim At-Tirmidhi Fi Nawadir-ul-Usool Fi Ma’rifati Ahadith-ir-Rasool  SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam ,  03/182, 184,

37_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/173, Raqam-4751,

38_Bayhaqi Fi As-Sunan Al-Kubra, 07/307, 308,

39_Bayhaqi Fi As-Sunan Al-Kubra, 10/288,

40_Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah Aw Al-Mustakhraj Mina Al-Ahadith Al-Mukhtarah, 09/315, Raqam-274,

41_Daylami Fi Al-Firdaws Bi-Mathoor Al-Khitab, 01/232, Raqam-887,

42_Daylami Fi Al-Firdaws Bi-Mathoor Al-Khitab, 03/145, Raqam-4389,

43_Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 04/255,

44_Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/203,

45_Haythami Fi Zawa’id Al-Harith, 02/910, Raqam-55,56,

46_Doolabi Fi Adh-Dhurriyah At-Tahirah,/47, 48, Raqam-55, 56,

47_Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat Al-Kubra, 08/262,

48_Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 02/40, 41, 175,

49_Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 03/206,

50_Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 07/325,

51_Ibn Kathir Fi Tafsir Al-Qr’an Al-Azim, 03/257,

52_Ibn Qani’ Fi Mu’jam Al-Sahabah, 03/110, Raqam-1076,

53_Nawawi Fi Sharh Sahih Muslim, 16/02,

54_Qaysarani Fi Tadhkirat-ul-Huffaz, 02/735,

55_Qaysarani Fi Tadhkirat-ul-Huffaz, 04/1265,

56_Manawi Fi Fayd-ul-Qadir Sharh Al-Jami’ As-Saghir, 03/15,

57_Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 02/119, 132,

58_Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 03/393,

59_Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 05/90,

60_Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 19/488,

61_Dhahabi Fi Mu’jam Al-Muhaddithin,/09,

62_Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal, 22/599,

63_Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal, 35/250,

64_Daraqutni Fi Sa’ulat Hamzah,/80, Raqam-409,

65_Ibn Jawzi Fi Tadhkirat-ul-Khawass,/279,

66_Sakhawi Fi Istijlabu Irtiqa’-il-Ghurafi Bi-Hubbi Aqriba’ Ar-Rasooli SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Wa Dhaw-ish-Sharaf,/97,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/35_38, Raqam-20.]

 

 

21_             “Muhammad Bin Ali Riwaayat Karte Hain Ki Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Be Shak! Fatimah Meri Jaan Ka Hissa Hai, Pas Jis Ne Use Naaraaz Kiya Us Ne Mujhe Naaraaz Kiya.”

[1_Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/388, Raqam-32269,

2_Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il As-Sahabah, 02/755, 756, Raqam-1326,

3_Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba,/80, 81,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/38, Raqam-21.]

 

 

22_             “Sayyidina Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Bayaan Karte Hain Ki Aik Martaba Woh Baargaahe Nabawi Me Haazir They, Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Daryaaft Farmaaya : Aurat Ke Liye Kaunsi Shai Behtar Hai? Is Par Sahaba-E-Kiram رِضْوَانُ اللهِ تَعَالىٰ عَلَيْهِمْ اَجْمَعِيْن Khaamosh Rahe. Jab Mein Ghar Lauta To Mein Ne Sayyidah Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Se Poochha : Bataao Aurat Ke Liye Kaunsi Shai Behtar Hai? Sayyidah Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Ne Jawaab Diya : Aurat Ke Liye Sab Se Behtar Yeh Hai Ki Use Ghair Mard Na Dekhe. Mein Ne Is Cheez Ka Tadhkira Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Se Kiya To Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Be Shak! Fatimah Meri Jaan Ka Hissa Hai.”

[1_Bazzar Fi Al-Musnad, 02/160, Raqam-526,

2_Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 04/255,

3_Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/202,

4_Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 02/40, 41, 175,

05_Daraqutni Fi Su’alat Hamzah,/280, Raqam-409,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/38, 39, Raqam-22.]