Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 04

Hadith Number : 04

“Bara’ Bin ‘Aazib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Hum Ne Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Hajj Ada Kiya, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Raaste Me Ek Jagah Qiyaam Farmaya Aur Namaz Ba-Jama’at (Qaayim Karne) Ka Hukm Diya, Us Ke Baa’d Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Haath Pakad Kar Farmaya : ˝Kya Mein Momineen Kee Jaano’n Se Qarib Tar Nahin Hoo’n? Unhone Jawaab Diya : Kyun Nahin! Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : ˝Kya Mein Har Momin Kee Jaan Se Qarib Tar Nahin Hoo’n? Unhone Jawab Diya : Kyoon Nahin! Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Pas Yah Us Ka Wali Hai Jis Ka Mein Mawla Hoo’n. Aye Allah! Jo Ise Dost Rakkhe Use Too Dost Rakkh (Aur) Jo Is Se Adaawat Rakkhe Us Se Too Adaawat Rakkh.”

[1-Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/88, Al-Muqaddimah, Raqam-112,

2-Ibn Abi ‘Asim Ne “Kitab-us-Sunnah (Saf’h-603, Raqam-1362)” Me Mukhtasaran Zikr Kee Hai,

3-Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 04/168,

4-Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 11/602, Raqam-32904,

5-Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 45/167, 168,

Yah Hadith Sahih Hai.]

Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 05

Hadith Number : 05

“Bara’ Bin ‘Aazib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Hum Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Safar Par They, (Raaste Me) Hum Ne Ghadir Khum Me Qiyaam Kiya. Waha’n Nida Dee Ga’i Ki Namaz Khadi Ho Ga’i Hai Aur Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Li’e Do² Darakhto’n Ke Neeche Safaa’i Kee Ga’i, Pas Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Namaze Zuhr Ada Kee Aur Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Haath Pakad Kar Farmaya : ˝Kya Tumhein Ma’loom Nahin Ki Mein Momino’n Kee Jaano’n Se Bhi Qarib Tar Hoo’n? Unhone Kaha : Kyon Nahin! Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : ˝Kya Tumhein Ma’loom Nahin Ki Mein Har Momin Kee Jaan Se Bhi Qarib Tar Hoo’n? Unhone Kaha : Kyoon Nahin! Raawi Kahta Hai Ki Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Haath Pakad Kar Farmaya : ˝Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka ‘Ali Mawla Hai. Aye Allah! Use Too Dost Rakkh Jo Ise (‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko) Dost Rakkhe Aur Us Se Adaawat Rakkh Jo Is Se Adaawat Rakkhe.” Raawi Kahta Hai Ki Is Ke Baa’d Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Mulaqat Kee Aur Un Se Kaha : ˝Aye Ibn Abi Talib! Mubarak Ho, Aap Sub’h-o-Sham (Ya’ni Hamesha Ke Li’e) Har Momin Wa Mominah Ke Li’e Mawla Ban Ga’e.”

[1-Ahmad Bin Haal Ne “Al-Musnad (04/281)” Me Bara’ Bin Abi RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Yeh Hadith Do² Mukhtalif Isnaad Se Bayan Kee Hai.

2-Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 12/78, Raqam-12167,

3-Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba,/125,

4-Muhibb Tabari Fi Ar-Riyad-un-Nadirah Fi Manaqib-il-‘Ashrah, 03/126, 127,

5-Munawi Ne “Fayd-ul-Qadir (06/217)” Me Likha Hai Ki Jab Hazrat Aboo Bakr Wa ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Qaul “ مَنْ كُنْتُ مَوْﻻَهُ فَعَلِىُّ مَوْﻻَهُ ” Suna To (Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se) Kaha : “Aye Aboo Talib Ke Bete! Aap Sub’h Wa Shaam (Ya’ni Hamesha Ke Li’e) Har Momin Aur Mominah Ke Mawla Qaraar Paaye.”

6-Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 13/133, 134, Raqam-36420,

7-Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 45/167, 168,

8-Imam Ahmad Bin Hanbal Ne Apni Kitab “Fada’il-us-Sahabah (02/610, Raqam-1042)” Me Sayyidina ‘Umar Farooqe RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Waali Haizi Me In Alfaaz Ka Izaafa Kiya Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :و عاد من عاده و أنصر من نصره، و أحب من أحب.
قال شعبة : أو قال : و ابغض من أبغضه
 “(Aye Allah!) Jo (‘Ali) Se Adaawat Rakkhe Us Se Too Adaawat Rakkh Jo (‘Ali) Kee Madad Kare Us Kee Too Madad Farma, Jo Is Se Muhabbat Kare Too Us Se Muhabbat Kar. Shu’bah Ka Kahna Hai Ki Is Kee Jagah Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo (‘Ali) Se Bughz Rakkhe Too (Bhi) Us Se Bughz Rakkh.

9-Ibn Athir Fi Usd-ul-Ghabah Fi Ma’rifat-is-Sahabah, 04/103,

10-Dhahabi Ne Siyar A’lam-in-Nubala’ (02/623, 624)” Me Kaha Hai Ki Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne هنيئا يا على ‘(Aye ‘Ali! Aap Ko Mubarak Ho)’ Ke Alfaaz Kahe.

11-Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 04/169,

12-Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 05/464.]

Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 07

Hadith Number : 07

“Hazrat Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Jab Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Hijjat-ul-Wada’ Se Waapas Tashrif Laa’e To Ghadir Khum Par Qiyaam Farmaya. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Saa’ebaan Lagaane Ka Hukm Diya Aur Woh Laga Di’e Ga’e Phir Farmaya : “Mujhe Lagta Hai Ki Anqarib Mujhe (Wisaal) Ka Bulaawa Aane Ko Hai, Jise Mein Qubool Kar Lunga. Tehqiq Mein Tumhare Darmiyan Do² Aham Chizein Chhod Kar Ja Raha Hoo’n, Jo Ek Doosre Se Badh Kar Ahmiyyat Kee Haamil Hain : Ek Allah Kee Kitab Aur Doosri Meri Aal. Ab Dekhna Yeh Hai Ki Mere Baa’d Tum In Dono’n Ke Saath Kya Sulooq Karte Ho Aur Woh Ek Doosre Se Juda Na Hongi, Yaha’n Tak Ki Hawze(Kawthar) Par Mere Saamne Aayengi.” Phir Farmaya : “Be Shak Allah Mera Mawla Hai Aur Mein Har Momin Ka Mawla Hoo’n” Phir Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Haath Pakad Kar Farmaya : “Jis Ka Mein Mawla Hoo’n, Us Ka Yeh Wali Hai, Aye Allah! Jo Ise (‘Ali Ko) Dost Rakkhe Use Too Dost Rakkh Aur Jo Is Se Adaawat Rakkhe Us Se Too Adaawat Rakkh.”

[1-Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/109, Raqam-4576,

2-Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/45, 130, Raqam-8148, 8464,

3-Ibn Abi ‘Asim Ne “As-Sunnah (Saath,/644, Raqam-1555)” Me Ise Mukhtasaran Zikr Kiya Hai.

4-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 05/166, Raqam-4969,

5-Nasa’i Ne “Khsa’is Amir-ul-Mu’minin ‘Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim (Shaf’h,/84, 85, Raqam-76)” Me Yeh Hadith Sahih Sanad Ke Saath Riwayat Kee Hai.

6-Aboo Mahasin Ne “Al-Mu’tasar Min Al-Mukhtasar Min Mushkil Al-Athar, (02/301)” Me Naqal Kee Hai.]

Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 13

Hadith Number : 13

“Rafa’ah Bin Iyaas Dabbi Apne Waalid Se Aur Woh Us Ke Daada Se Riwayat Karte Hain Ki Hum Jamal Ke Din Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Saath They. Aap KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Talhah Bin ‘Ubaydullah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Kee Taraf Mulaqat Ka Paigham Bheja. Pas Talhah Un Ke Paas Aa’e. Aap KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Kaha : “Mein Aap Ko Allah Kee Qasam Deta Hoo’n, Kya Aap Ne Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Suna Hai Ki Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka ‘Ali Mawla Hai, Aye Allah! Jo ‘Ali Ko Dost Rakkhe To Use Dost Rakkh, Jo Us Se Adaawat Rakkhe Too Us Se Adaawat Rakkh?” Hazrat Talhah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Kaha : Haa’n! Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Kaha : “To Phir Mere Saath Kyoo’n Jung Karte Ho?” Talhah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Kaha : Mujhe Yeh Baat Yaad Nahin Thi. Raawi Ne Kaha : (Us Ke Baa’d) Talhah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Waapas Laut Ga’e.”

[1-Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/371, Raqam-5594,

2-Bayhaqui Fi Al-I’tiqad,/373,

3-Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 27/76,

4-Haythami Ne “Majma’-uz-Zawa’id (09/107)” Me Likha Hai Ki Yeh Hadith Bazzar Ne Nazir Se Riwayat Kee Hai.

5-Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 11/332, Raqam-31662.]

Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 15

Hadith Number : 15

“Hazrat Maymoon Aboo ‘Abd Allah Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Yeh Kahte Hu’e Suna : Hum Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Ek Waadi…. Jise Waadi-e-Khum Kaha Jaata Tha…. Me Utre. Pas Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Namaz Ka Hukm Diya Aur Sakht Garmi Me Jama’at Karwaayi. Phir Hamein Khutba Diya Dar Hala’n Ki Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Sooraj Kee Garmi Se Bachaane Ke Li’e Darakht Par Kapda Latka Kar Saaya Kiya Gaya. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Kya Tum Nahin Jaante Ya (Is Baat Kee) Gawaahi Nahin Dete Ki Mein Har Momin Kee Jaan Se Qarib Tar Hoo’n?” Logo’n Ne Kaha : Kyoo’n Nahin! Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Pas Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka ‘Ali Mawla Hai, Aye Allah! Too Us Se Adaawat Rakkh Jo Is Se Adaawat Rakkhe Aur Use Dost Rakkh Jo Ise Dost Rakkhe.”

[1-Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/372,

2-Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/131,

3-Tabarani Ne Yeh Hadith “Al-Mu’jam-ul-Kabir (05/195, Raqam-5068)” Me Ek Aur Sanad Se Riwayat Kee Hai.

4-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/104,

5-Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 13/157, Raqam-36485,

6-Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 45/166,

7-Ibn Kathir Ne “Al-Bidayah Wa An-Nihayah (04/172)” Me Is Riwayat Kee Sanad Ko Jayyad Aur Rijaal Ko Thiqah Qaraar Diya Hain.]

Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 19

Hadith Number : 19

“Hazrat Hudhayfah Bin Usayd Ghaffari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Aye Logo’n! Mujhe Latif-o-Khabir Zaat Ne Khabar Dee Hai Ki Allah Ne Har Nabi Ko Apne Se Pehle Nabi Kee Nisf ‘Umar Ata Farmayi Aur Mujhe Gumaan Hai Mujhe (Anqarib) Bulaawa Aayega Aur Mein Use Qubool Kar Lunga, Aur Mujh Se (Meri Zimmedariyo’n Ke Mut’alliq) Puchha Jaayega Aur Tum Se Bhi (Mere Mut’alliq) Puchha Jaayega, (Is Baabat) Tum Kya Kahte Ho? Unhone Kaha : Hum Gawaahi Dete Hain Ki Aap Ne Hamein Intihaayi Jidd-o-Jahad Ke Saath Deen Pahunchaaya Aur Bhalaayi Kee Baatein Irshad Farmayi, Allah Ta’ala Aap Ko Jaza-e-Khair Ata Farmaye. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kya Tum Is Baat Kee Gawaahi Nahin Dete Ki Allah Ki Siwa Ko’i Ma’bood Nahin Aur Muhammad Allah Ke Bande Aur Us Ke Rasool Hai, Jannat Wa Dozakh Haque Hain Aur Mout Aur Mout Ke Baa’d Kee Zindagi Haque Hai, Aur Qiyaamat Ke Aane Me Ko’i Shak Nahin, Aur Allah Ta’ala Ahle Quboor Ko Do-Baara Uthaayega? Sab Ne Jawaab Diya : Kyoo’n Nahin!
Hum Un Sab Kee Gawaahi Dete Hain. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Allah! Too Gawaah Ban Jaa, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Logo’n! Be Shak Allah Mera Mawla Hai Aur Mein Tamaam Mominin Ka Mawla Hoo’n Aur Mein Un Kee Jaano’n Se Qarib Tar Hoo’n. Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Yeh Us Ka Yeh (‘Ali) Mawla Hai. Aye Allah! Jo Ise Dost Rakkhe Too Use Dost Rakkh, Jo Is Se Adaawat Rakkhe Too Us Se Adaawat Rakkh. “Aye Logo’n! “Mein Tum Se Pehle Jaane Waala Hoo’n Aur Tum Mujhe Hawz Par Miloge, Yeh Hawz Basra Aur San’a’ Ke Darmiyani Faasle Se Bhi Ziyadah Chawda Hai. Is Me Sitaaron Kee Baraabar Chaandi Ke Pyaale Hain, Jab Tum Mere Paas Aawoge Mein Tum Se Do² Intihaayi Aham Chizo’n Ke Mut’alliq Puchhunga, Dekhne Kee Baat Yeh Hai Ki Tum Mere Pichhe Un Dono’n Se Kya Sulook Karte Ho! Pehli Aham Chiz Allah Kee Kitab Hai, Jo Ek Haithiyyat Se Allah Se Ta’alluq Rakhti Hai. Tum Use Mazbooti Se Thaam Lo To Na Gumraah Hoge Na (Haque) Se Munharif, Aur (Doosri Aham Chiz) Meri Itrat Ya’ni Ahle Bayt Hain (Un Ka Daamaam Thaam Lena). Mujhe Latif-o-Khabir Zaat Ne Khabar Dee Hai Ki Be Shak Yeh Dono’n Haque Se Nahin Hatenge Yaha’n Tak Ki Mujhe Hawz Par Milengi.”

[1-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/180, 181, Raqam-3052,

2-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/67, Raqam-2683,

3-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 05/166, 167, Raqam-4971,

4-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/164, 165,

5-Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 01/188, 189, Raqam-957, 958,

6-Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 45/166, 167,

7-Ibn ‘Asakir Ne “Tarikh Dimashq Al-Kabir (45/169)” Me Hazrat Sa’d RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Bhi Riwayat Lee Hai.

8-Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 05/463.]

Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 20

Hadith Number : 20

“Hazrat Jarir Se Riwayat Hai Ki Hum Hijjat-ul-Wada’ Ke Mauqa Par Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath They, Hum Ek Aisi Jagah Pahunche Jise Ghadir Khum Kahte Hain. Namaz Ba-Jama’at Hone Kee Nida Aayi To Saare Muhaajirin Wa Ansaar Jam’a Ho Ga’e. Phir Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Hamaare Darmiyan Khade Hu’e Aur Khitaab Farmaya : Aye Logo’n! Tum Kis Chiz Kee Gawaahi Dete Ho? Unhone Kaha : Hum Gawaahi Dete Hain Ki Allah Ke Siwa Ko’i Ma’bood Nahin. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Phir Kis Kee? Unhone Kaha : Be Shak Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Us Ke Bande Aur Rasool Hain. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tumhara Wali Koun Hai? Unhone Kaha : Allah Aur Us Ka Rasool Azza Wa Jalla Wa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam.
Phir Farmaya : Tumhara Wali Aur Koun Hain? Tab Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Baazoo Se Pakad Kar Khada Kiya Aur (Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke) Dono’n Baazoo Thaam Kar Farmaya : “Allah Aur Us Ka Rasool Jis Ke Mawla Hain Us Ka Yeh (‘Ali) Mawla Hai, Aye Allah! Jo ‘Ali Ko Dost Rakkhe Too Use Dost Rakkh (Aur) Jo Is (‘Ali) Se Adaawat Rakkhe Too Us Se Adaawat Rakkh, Aye Allah! Jo Ise Mahboob Rakkhe Too Use Mahboob Rakkh Aur Jo Is Se Bughz Rakkhe Too Us Se Bughz Rakkh.”

[1-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 02/357, Raqam-2505,

2-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/106,

3-Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 13/138, 139, Raqam-36437,

4-Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 45/179.]

Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 21

Hadith Number : 21

“‘Amar Bin Dhi Murr Aur Zayd Bin Arqam Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Ghadir Khum Ke Maqaam Par Khitaab Farmaya. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka ‘Ali Mawla Hai, Aye Allah! Jo Ise Dost Rakkhe Too Use Dost Rakkh Aur Jo Is Se Adaawat Rakkhe Too Us Se Adaawat Rakkh, Aur Jo Is Kee Nusrat Kare Us Kee Too Nusrat Farma, Aur Jo Is Kee I’aanat Kare Too Us Kee I’aanat Farma.”

[1-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 05/192, Raqam-5059,

2-Nasa’i Ne “Khsa’is Amir-ul-Mu’minin ‘Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim (Saf’h,/100, 101, Raqam-96)” Me ‘Amar Dhi Murr Se Riwayat Lee Hai.

3-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/104, 106,

4-Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 04/170,

5-Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 11/609, Raqam-32946.]

Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 23

Hadith Number : 23

“Imam Fakhr-ud-Deen Razi ﴿ “یٰۤاَیُّہَا الرَّسُوۡلُ بَلِّغۡ مَاۤ اُنۡزِلَ اِلَیۡکَ مِنۡ رَّبِّک ﴾ [Al-Ma’idah, 05 : 67]…. (Aye {Barguzida} Rasool! Jo Kuchh Aap Kee Taraf Aap Ke Rabb Kee Jaanib Se Naazil Kiya Gaya Hai {Woh Saara Logo’n Ko} Pahuncha Dijiye)…. Ka Shaane Nuzool Bayan Karte Hu’e Farmate Hain :

Yeh Aayate Mubarak Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Fazilat Me Naazil Hu’i Hai, Jab Yeh Aayate Mubarak Naazil Hu’i To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Haath Pakada Aur Farmaya : Jis Ka Mein Mawla Hoo’n, Us Ka ‘Ali Mawla Hai, Aye Allah! Too Use Dost Rakkh Jo Ise Dost Rakkhe, Aur Us Se Adaawat Rakkh Jo Is Se Adaawat Rakkhe. Us Ke (Fauran) Baa’d Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Mulaqat Kee Aur Farmaya : Aye Ibn Abi Talib! Aap Ko Mubarak Ho, Ab Aap Mere Aur Har Momin Aur Mominah Ke Mawla Qaraar Paaye Hain. Ise ‘Abd Allah Bin ‘Abbas, Bara’ Bin ‘Aazib Aur Muhammad Bin ‘Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Ajma’iyn Ne Riwayat Kiya Hai.”

[1-Razi Fi At-Tafsir-ul-Kabir Aw Mafatih-ul-Ghayb, 12/49, 50,

2-Ibn Abi Hatim Razi Ne “Tafsir Al-Qur’an Al-Azim (04/1172, Raqam-6609)” Mein ‘Atiyyah ‘Awfi Se Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Riwayat Naqal Kee Ki Soorah Al-Ma’idah Kee Aayat No. 67 Hazrat ‘Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Shaan Me Naazil Hu’i.

Ilaawah Azi’n Darje Zayl Ne Bhi Yeh Riwayat Naqal Kee Hai :

3-Wahidi Fi Asbab-un-Nuzool,/115,

4-Siyooti Fi Ad-Durr-ul-Manthoor Fi At-Tafsiri Bi-Al-Ma’thoor, 02/298,

5-Aloosi Fi Rooh-ul-Ma’ani Fi Tafsir Al-Qur’an Al-Azim Wa Al-Sab’ Al-Mathani, 06/193,

6-Shawkani Fi Fat’h-ul-Qadir Al-Jami’ Bayna Fanni Ar-Riwayah Wa’d-Dirayah Min ‘Ilm-it-Tafsir, 02/60.]

Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 24

Hadith Number : 24

“Aayate Kareema ( اِنَّمَا وَلِیُّکُمُ اللّٰہُ وَ رَسُوۡلُہٗ وَ الَّذِیۡنَ اٰمَنُوا الَّذِیۡنَ یُقِیۡمُوۡنَ الصَّلٰوۃَ وَ یُؤۡتُوۡنَ الزَّکٰوۃَ وَ ہُمۡ رٰکِعُوۡنَ ) [Al-Ma’idah, 05 : 55]…. (Be Shak Tumhara {Madadgaar} Dost Allah Aur Us Ka Rasool Hee Hai Aur {Saath} Woh Iman Waale Hain Jo Namaz Qaa’im Karte Hain Aur Zakaat Ada Karte Hain Aur Woh {Allah Ke Huzoor Aajizi Se} Jhukne Waale Hain) Kee Shaane Nuzool Me Peshtar Muhaddithin Ne Yeh Hadithe Mubaraka Bayan Kee Hai :

Hazrat ‘Ammar Bin Yasir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Ek Saa’il Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Paas Aa Kar Khada Huwa. Aap KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Namaz Me Halate Rukoo’ Me They. Us Ne Aap KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ki Anguthi Khinchi. Aap KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Anguthi Saa’il Ko Ata Farma Dee. Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Paas Aa’e Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Us Kee Khabar Dee. Is Mauqa Par Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Yeh Aayate Kareema Naazil Hu’i : ﴾Be Shak Tumhara {Madadgaar} Dost Allah Aur Us Ka Rasool Hee Hai Aur {Saath} Woh Iman Waale Hain Jo Namaz Qaa’im Karte Hain Aur Zakaat Ada Karte Hain Aur Woh {Allah Ke Huzoor Aajizi Se} Jhukne Waale Hain﴿ Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Is Aayat Ko Padha Aur Farmaya : Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka ‘Ali Mawla Hai, Aye Allah! Jo Ise Dost Rakkhe Too Use Dost Rakkh Aur Jo Is Se Adaawat Rakkhe Too Us Se Adaawat Rakkh.”

[1-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 07/129, 130, Raqam-6228,

2-Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/119,

3-Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/372,

4-Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/119, 371, Raqam-4576, 5594,

5-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 04/174, Raqam-4053,

6-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 05/195, 203, 204, Raqam-5068, 5069, 5092, 5097,

7-Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/65,

8-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 07/17,

9-Haythami Fi Mawarid Al-Zam’an Ila Zawa’id Ibn Habban,/445, Raqam-2205,

10-Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 07/377,

11-Khatib Baghdadi Ne Yeh Hadithe Mubarak “Tarikh Baghdad (12/343)” Me مَنْ كُنْتُ مَوْﻻَهُ فَعَلِىُّ مَوْﻻَهُ Ke Alfaaz Ke Saath Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Bhi Naqal Kee Hai.

12-Ibn Athir Fi Usd-ul-Ghabah Fi Ma’rifat-is-Sahabah, 02/362,

13-Ibn Athir Fi Usd-ul-Ghabah Fi Ma’rifat-is-Sahabah, 03/487,

14-Diya’ Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah Aw Al-Mustakhraj Mina Al-Ahadith Al-Mukhtarah, 02/106, 174, Raqam-480, 553,

15-Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 11/332, 333, Raqam-31226,

16-Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 13/104, 169, Raqam-36340, 36511,

17-Hisam-ud-Deen Hindi Ne “Kanz-ul-’Ummal (11/609, Raqam-32950)” Me Likha Hai : Tabarani Ne Is Hadith Ko Sayyidina Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Aur Baarah¹² Sahaba-e-Kiram Ridwanullahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Se Riwayat Kiya Hai. Aur Imam Ahmad Bin Hanbal Ne Ise Hazrat Aboo Ayyub Ansari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Aur Kaseer Sahaba-e-Kiram Ridwanullahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Se Riwayat Kiya Hai.
Hakim Ne “Al-Mustadrak” Me Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Aur Hazrat Talhah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Yeh Riwayat Bayan Kee Hai. Imam Ahmad Ahmad Bin Hanbal Aur Tabarani Ne Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim, Hazrat Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Aur Tees-30 Sahaba-e-Kiram Ridwanullahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Se Yeh Hadith Riwayat Kee Hai. Aboo Nu’aym Ne Kitab “Fada’il-us-Sahabah” Me Hazrat Sa’d RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Aur Khitab Baghdadi Ne Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Naqal Kee Hai.]