Al-Ahaadith-un-Nabawiyyah
01. “Hazrat Aws Bin Aws RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwaayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Be Shak Tumhaare Dinio’n Me Se Jumu’ah Ka Din Sab Se Behtar Hai Is Din Hazrat Aadam ‘Alayh-is-Salam Paida Huwe Aur Isi Din Unhone Wafaat Paa’i Aur Isi Din Soor Phunka Jaaega Aur Isi Din Sakht Aawaaz Zaahir Hogi. Pas Is Din Mujh Par Kathrat Se Durood Bheja Karo Kyun Ki Tumhaara Durood Mujh Par Pesh Kiya Jaata Hai. Sahaba’e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ne Arz Kiya: Ya RasoolAllah! Hamaara Durood Aap Ke Wisaal Ke Baa’d Aap Ko Kaise Pesh Kiya Jaaega? Kyaa Aap Ka Jasade Mubaarak Khaak Me Nahin Mil Chuka Hoga? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: (Nahin Aisa Nahin Hai) Allah Ta’ala Ne Zameen Par Ambiya’e Kiram(‘Alayhim-us-Salam) Ke Jismo’n Ko (Khaana Ya Kisi Bhi Qism Ka Nuqsaan Pahonchaana) Haraam Farma Diya Hai.”
“Ek Riwaayat Me Hai Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya Be Shak Allah Buzurg-o Bartar Ne Zameen Par Haraam Qaraar Diya Hai Ki Woh Hamaare Jismo’n Ko Khaae.”
Is Hadith Ko Imam Aboo Dawud, Nasa’i, Ibn Majah, Darimi, Ahmad Ibn Khuzaymah Aur Ibn Hibban Ne Riwayat Kiya Hai. Imam Hakim Ne Farmaya: Yeh Hadith Imam Bukhari Kee Sharaa’it Par Sahih Hai Aur Imam Wadiyashi Ne Bhi Farmaya: Ise Imam Ibn Hibban Ne Sahih Qaraar Diya Hai. Aur Imam Asqalani Ne Farmaya: Ise Imam Ibn Khuzaymah Ne Sahih Qaraar Diya Hai Aur Imam Ajlooni Ne Farmaya: Ise Imam Bayahqi Ne Jayyad Sanad Ke Saath Riwaayat Kiya Hai. Allama Ibn Kathir Ne Farmaya: Ise Imam Ibn Khuzaymah, Ibn Hibban, Daraqutni Aur Nawawi Ne Al-Adhkar Me Sahih Qaraar Diya Hai.
–
[Aboo Dawud As-Sunan, 01/275, Raqm-1047,
Aboo Dawud As-Sunan, 02/88, Raqm-1531.
Nasa’i Fi As-Sunan, 03/91, Raqm-1374,
Nasa’i Fi As-Sunan Al-Kubra, 01/519, Raqm-1666,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/345, Raqm-1085,
Darimi Fi As-Sunan, 01/445, Raqm-1572,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/08, Raqm-16207,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 02/253, Raqm-8697,
Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 03/118, Raqm-1733, 1734,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 03/190, Raqm-910,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/413, Raqm-1029,
Bazzar Fi Al-Musnad, 08/411, Raqm-3485,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05/97, Raqm-4780,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 01/261, Raqm-589.
Bayhaqi Fi As-Sunan-us-Sughra, 01/371, Raqm-634,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 03/248, Raqm-5789,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/109, Raqm-3029,
Jahdami Fi Fadl Al-Salah ‘Ala Al-Nabi ﷺ, 01/37, Raqm-22,
Wadiyashi Fi Tuhfat-ul-Muhtaj, 01/524, Raqm-661,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,11/370,
Ajlooni Fi Kashf-ul-Khafa’, 01/190, Raqm-501,
Ibn Kathir Fi Tafsir Al-Qr’an Al-Azim, 03/515,
Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/11_14, Raqm-01.]