Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 05

Hadith Number : 05

“Bara’ Bin ‘Aazib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Hum Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Safar Par They, (Raaste Me) Hum Ne Ghadir Khum Me Qiyaam Kiya. Waha’n Nida Dee Ga’i Ki Namaz Khadi Ho Ga’i Hai Aur Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Li’e Do² Darakhto’n Ke Neeche Safaa’i Kee Ga’i, Pas Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Namaze Zuhr Ada Kee Aur Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Haath Pakad Kar Farmaya : ˝Kya Tumhein Ma’loom Nahin Ki Mein Momino’n Kee Jaano’n Se Bhi Qarib Tar Hoo’n? Unhone Kaha : Kyon Nahin! Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : ˝Kya Tumhein Ma’loom Nahin Ki Mein Har Momin Kee Jaan Se Bhi Qarib Tar Hoo’n? Unhone Kaha : Kyoon Nahin! Raawi Kahta Hai Ki Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Haath Pakad Kar Farmaya : ˝Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka ‘Ali Mawla Hai. Aye Allah! Use Too Dost Rakkh Jo Ise (‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko) Dost Rakkhe Aur Us Se Adaawat Rakkh Jo Is Se Adaawat Rakkhe.” Raawi Kahta Hai Ki Is Ke Baa’d Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Mulaqat Kee Aur Un Se Kaha : ˝Aye Ibn Abi Talib! Mubarak Ho, Aap Sub’h-o-Sham (Ya’ni Hamesha Ke Li’e) Har Momin Wa Mominah Ke Li’e Mawla Ban Ga’e.”

[1-Ahmad Bin Haal Ne “Al-Musnad (04/281)” Me Bara’ Bin Abi RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Yeh Hadith Do² Mukhtalif Isnaad Se Bayan Kee Hai.

2-Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 12/78, Raqam-12167,

3-Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba,/125,

4-Muhibb Tabari Fi Ar-Riyad-un-Nadirah Fi Manaqib-il-‘Ashrah, 03/126, 127,

5-Munawi Ne “Fayd-ul-Qadir (06/217)” Me Likha Hai Ki Jab Hazrat Aboo Bakr Wa ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Qaul “ مَنْ كُنْتُ مَوْﻻَهُ فَعَلِىُّ مَوْﻻَهُ ” Suna To (Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se) Kaha : “Aye Aboo Talib Ke Bete! Aap Sub’h Wa Shaam (Ya’ni Hamesha Ke Li’e) Har Momin Aur Mominah Ke Mawla Qaraar Paaye.”

6-Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 13/133, 134, Raqam-36420,

7-Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 45/167, 168,

8-Imam Ahmad Bin Hanbal Ne Apni Kitab “Fada’il-us-Sahabah (02/610, Raqam-1042)” Me Sayyidina ‘Umar Farooqe RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Waali Haizi Me In Alfaaz Ka Izaafa Kiya Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :و عاد من عاده و أنصر من نصره، و أحب من أحب.
قال شعبة : أو قال : و ابغض من أبغضه
 “(Aye Allah!) Jo (‘Ali) Se Adaawat Rakkhe Us Se Too Adaawat Rakkh Jo (‘Ali) Kee Madad Kare Us Kee Too Madad Farma, Jo Is Se Muhabbat Kare Too Us Se Muhabbat Kar. Shu’bah Ka Kahna Hai Ki Is Kee Jagah Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo (‘Ali) Se Bughz Rakkhe Too (Bhi) Us Se Bughz Rakkh.

9-Ibn Athir Fi Usd-ul-Ghabah Fi Ma’rifat-is-Sahabah, 04/103,

10-Dhahabi Ne Siyar A’lam-in-Nubala’ (02/623, 624)” Me Kaha Hai Ki Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne هنيئا يا على ‘(Aye ‘Ali! Aap Ko Mubarak Ho)’ Ke Alfaaz Kahe.

11-Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 04/169,

12-Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 05/464.]

Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 07

Hadith Number : 07

“Hazrat Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Jab Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Hijjat-ul-Wada’ Se Waapas Tashrif Laa’e To Ghadir Khum Par Qiyaam Farmaya. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Saa’ebaan Lagaane Ka Hukm Diya Aur Woh Laga Di’e Ga’e Phir Farmaya : “Mujhe Lagta Hai Ki Anqarib Mujhe (Wisaal) Ka Bulaawa Aane Ko Hai, Jise Mein Qubool Kar Lunga. Tehqiq Mein Tumhare Darmiyan Do² Aham Chizein Chhod Kar Ja Raha Hoo’n, Jo Ek Doosre Se Badh Kar Ahmiyyat Kee Haamil Hain : Ek Allah Kee Kitab Aur Doosri Meri Aal. Ab Dekhna Yeh Hai Ki Mere Baa’d Tum In Dono’n Ke Saath Kya Sulooq Karte Ho Aur Woh Ek Doosre Se Juda Na Hongi, Yaha’n Tak Ki Hawze(Kawthar) Par Mere Saamne Aayengi.” Phir Farmaya : “Be Shak Allah Mera Mawla Hai Aur Mein Har Momin Ka Mawla Hoo’n” Phir Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Haath Pakad Kar Farmaya : “Jis Ka Mein Mawla Hoo’n, Us Ka Yeh Wali Hai, Aye Allah! Jo Ise (‘Ali Ko) Dost Rakkhe Use Too Dost Rakkh Aur Jo Is Se Adaawat Rakkhe Us Se Too Adaawat Rakkh.”

[1-Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/109, Raqam-4576,

2-Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/45, 130, Raqam-8148, 8464,

3-Ibn Abi ‘Asim Ne “As-Sunnah (Saath,/644, Raqam-1555)” Me Ise Mukhtasaran Zikr Kiya Hai.

4-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 05/166, Raqam-4969,

5-Nasa’i Ne “Khsa’is Amir-ul-Mu’minin ‘Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim (Shaf’h,/84, 85, Raqam-76)” Me Yeh Hadith Sahih Sanad Ke Saath Riwayat Kee Hai.

6-Aboo Mahasin Ne “Al-Mu’tasar Min Al-Mukhtasar Min Mushkil Al-Athar, (02/301)” Me Naqal Kee Hai.]

Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 09

Hadith Number : 09

“Hazrat Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Hum RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Nikle Yaha’n Tak Ki Ghadir Khum Pahunch Ga’e. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Saa’ebaan Lagaane Ka Hukm Diya. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Us Din Thakaawat Mahsoos Kar Rahe They Aur Woh Din Bahot Garm Tha. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Allah Kee Hamd Wa Thana Bayaan Kee Aur Farmaya : “Aye Logo’n! Allah Ta’ala Ne Jitne Nabi Bheje Har Nabi Ne Apne Se Pehle Nabi Se Nisf Zindagi Paa’i, Aur Mujhe Lagta Hai Ki Anqarib Mujhe (Wisaal Ka) Bulaawa Aane Ko Hai Jise Mein Qubool Kar Lunga. Mein Tumhare Andar Woh Chiz  Chhode Ja Raha Hoo’n Ki Us Ke Hote Hu’e Tum Hargiz Gumraah Nahin Howoge, Woh Kitabullah Hai.” Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Khade Hu’e Aur Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Haath Thaam Liya Aur Farmaya : “Aye Logo’n! Koun Hai Jo Tumhari Jaano’n Se Ziyadah Qareeb Hai?” Sab Ne Kaha : Allah Aur Us Ka Rasool Azza Wa Jalla Wa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Behtar Jaante Hain. (Phir) Farmaya : “Kya Mein Tumhari Jaano’n Se Qareeb Tar Nahin Hoo’n?” Unhone Kaha : Kyoo’n Nahin! Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka ‘Ali Mawla Hai.”

[1-Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/533, Raqam-6272,

2-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 05/171, 172, Raqam-4986,

3-Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 11/602, Raqam-32904,

Yeh Hadith Shaykhain Kee Shara’it Par Sahih Hai Aur Imam Dhahabi Ne Bhi Ise Sahih Qaraar Diya Hai.]

Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 15

Hadith Number : 15

“Hazrat Maymoon Aboo ‘Abd Allah Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Yeh Kahte Hu’e Suna : Hum Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Ek Waadi…. Jise Waadi-e-Khum Kaha Jaata Tha…. Me Utre. Pas Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Namaz Ka Hukm Diya Aur Sakht Garmi Me Jama’at Karwaayi. Phir Hamein Khutba Diya Dar Hala’n Ki Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Sooraj Kee Garmi Se Bachaane Ke Li’e Darakht Par Kapda Latka Kar Saaya Kiya Gaya. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Kya Tum Nahin Jaante Ya (Is Baat Kee) Gawaahi Nahin Dete Ki Mein Har Momin Kee Jaan Se Qarib Tar Hoo’n?” Logo’n Ne Kaha : Kyoo’n Nahin! Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Pas Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka ‘Ali Mawla Hai, Aye Allah! Too Us Se Adaawat Rakkh Jo Is Se Adaawat Rakkhe Aur Use Dost Rakkh Jo Ise Dost Rakkhe.”

[1-Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/372,

2-Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/131,

3-Tabarani Ne Yeh Hadith “Al-Mu’jam-ul-Kabir (05/195, Raqam-5068)” Me Ek Aur Sanad Se Riwayat Kee Hai.

4-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/104,

5-Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 13/157, Raqam-36485,

6-Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 45/166,

7-Ibn Kathir Ne “Al-Bidayah Wa An-Nihayah (04/172)” Me Is Riwayat Kee Sanad Ko Jayyad Aur Rijaal Ko Thiqah Qaraar Diya Hain.]

Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 16

Hadith Number : 16

“‘Atiyyah ‘Awfi Se Riwayat Hai, Woh Kahte Hain Ki Mein Ne Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Puchha : Mera Ek Daamaad Hai Jo Ghadir Khum Ke Din Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Shaan Me Aap Kee Riwayat Se Hadith Bayan Karta Hai. Mein Chaahta Hoo’n Ki Use Aap Se (Baraahe Raast) Sunu. Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Kaha : Aap Ahle Iraq Hain Tumhari Aadatein Tumhein Salaamat Rahein. Pas Mein Ne Kaha Ki Meri Taraf Se Tumhein Ko’i Aziyyat Nahin Pahunchegi. (Us Par) Unhone Kaha : Hum Juhfah Ke Maqaam Par They Ki Zuhr Ke Waqt Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Baazoo Thaamein Hu’e Baahar Tashrif Laa’e. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Aye Logo’n! Kya Tumhein Ilm Nahin Ki Mein Mominin Kee Jaano’n Se Bhi Qarib Tar Hoo’n?” To Unhone Kaha : Kyoo’n Nahin! To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka ‘Ali Mawla Hai.” ‘Atiyyah Ne Kaha : Mein Ne Mazeed Puchha : Kya Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Yeh Bhi Irshad Farmaya : “Aye Allah! Jo ‘Ali Ko Dost Rakkhe Use Too Dost Rakkh Aur Jo Is (‘Ali) Se Adaawat Rakkhe Us Se Too Adaawat Rakkh?” Zayd Bin Arqam Ne Kaha : Mein Ne Jo Kuchh Suna Tha Woh Tumhein Bayan Kar Diya Hai.”

[1-Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/368,

2-Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il-us-Sahabah, 02/586, Raqam-992

3-Nasa’i Ne Yeh Hadith Hazrat Sa’d RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Khsa’is Amir-ul-Mu’minin ‘Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim (Saf’h,/97, Raqam-92)” Me Alfaaz Ke Ma’mooli Ikhtilaf Ke Saath Riwayat Kee Hai. Us Ke Baare Me Haythami Ne “Majma’-uz-Zwa’id (09/107)” Me Kaha Hai Ki Ise Bazzar Ne Riwayat Kiya Hai Aur Is Ke Rijaal Thiqah Hain.

4-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05/195, Raqam-5070,

5-Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 45/165,

6-Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 13/105, Raqam-36343,

7-Maymoon Aboo ‘Abd Allah Bayan Karte Hain Ki Ek Shakhs Ne Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Baare Me Puchha To Unhone Yeh Hadith Mubarak Bayan Kee. Hisam-ud-Deen Hindi Ne Yeh Hadith “Kanz-ul-’Ummal (13/104, 105, Raqam-36342)” Me Bayan Kee Hai.]

Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 17

Hadith Number : 17

“Hazrat Jabir Bin ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Hum Juhfah Me Ghadir Khum Ke Maqaam Par They, Jab Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Baahar Tashrif Laa’e, Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Haath Pakad Kar Farmaya : “Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka ‘Ali Mawla Hai.”

[1-Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 12/59, Raqam-12121,

2-Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 45/169, 170, 172,

3-Dhahabi Ne “Siyar A’lam-in-Nubala’ (07/570, 571)” Me Ise ‘Abd Allah Bin Muhammad Bin ‘Aaqil Se Riwayat Karte Hu’e Matan Hadith Ko Mutwateer Qaraar Diya Hai. Riwayat Me Hain Ki ‘Ali Bin Husayn, Muhammad Bin Hanafyyah, Aboo Ja’far Aur ‘Abd Allah Bin Muhammad Bin ‘Aaqil RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Ajma’iyn Hazrat Jabir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Ghar Par They.

4-Ibn Kathir Ne “Al-Bidayah Wa An-Nihayah (04/173)” Me Likha Hai Ki Hamare Shaikh Dhahabi Ne Is Riwayat Ko Hasan Qaraar Diya Hai.

5-Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 13/137, Raqam-32433.]

Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 18

Hadith Number : 18

“Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Maqame Khum Par Ek Darakht Ke Neeche Khade Hu’e Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Haath Pakda Huwa Tha. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Irshad Farmaya : “Aye Logo’n! Kya Tum Gawaahi Nahin Dete Ki Allah Tumhara Rabb Hai?” Unhone Kaha : Kyoo’n Nahin! Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Irshad Farmaya : “Kya Tum Gawaahi Nahin Dete Ki Allah Aur Us Ka Rasool Tumhari Jaano’n Se Bhi Qarib Tar Hain?” Unhone Kaha : Kyoo’n Nahin! Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka Yeh (‘Ali) Mawla Hai.”

[1-Ibn Abi ‘Asim Fi Kitab-us-Sunnah,/603, Raqam-1360,

2-Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 45/161, 162,

3-Hisam-ud-Deen Hindi Ne Yeh Hadith “Kanz-ul-’Ummal (13/140, Raqam-36441)” Me Naqal Kee Hai Aur Kaha Hai Ki Ise Ibn Rahwayh, Ibn Jarir, Ibn Abi ‘Asim Aur Mahamili Ne “Amali” Me Riwayat Kiya Hai Aur Ise Sahih Qadaar Diya Hai.]

Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 20

Hadith Number : 20

“Hazrat Jarir Se Riwayat Hai Ki Hum Hijjat-ul-Wada’ Ke Mauqa Par Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath They, Hum Ek Aisi Jagah Pahunche Jise Ghadir Khum Kahte Hain. Namaz Ba-Jama’at Hone Kee Nida Aayi To Saare Muhaajirin Wa Ansaar Jam’a Ho Ga’e. Phir Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Hamaare Darmiyan Khade Hu’e Aur Khitaab Farmaya : Aye Logo’n! Tum Kis Chiz Kee Gawaahi Dete Ho? Unhone Kaha : Hum Gawaahi Dete Hain Ki Allah Ke Siwa Ko’i Ma’bood Nahin. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Phir Kis Kee? Unhone Kaha : Be Shak Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Us Ke Bande Aur Rasool Hain. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tumhara Wali Koun Hai? Unhone Kaha : Allah Aur Us Ka Rasool Azza Wa Jalla Wa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam.
Phir Farmaya : Tumhara Wali Aur Koun Hain? Tab Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Baazoo Se Pakad Kar Khada Kiya Aur (Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke) Dono’n Baazoo Thaam Kar Farmaya : “Allah Aur Us Ka Rasool Jis Ke Mawla Hain Us Ka Yeh (‘Ali) Mawla Hai, Aye Allah! Jo ‘Ali Ko Dost Rakkhe Too Use Dost Rakkh (Aur) Jo Is (‘Ali) Se Adaawat Rakkhe Too Us Se Adaawat Rakkh, Aye Allah! Jo Ise Mahboob Rakkhe Too Use Mahboob Rakkh Aur Jo Is Se Bughz Rakkhe Too Us Se Bughz Rakkh.”

[1-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 02/357, Raqam-2505,

2-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/106,

3-Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 13/138, 139, Raqam-36437,

4-Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 45/179.]

Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 21

Hadith Number : 21

“‘Amar Bin Dhi Murr Aur Zayd Bin Arqam Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Ghadir Khum Ke Maqaam Par Khitaab Farmaya. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka ‘Ali Mawla Hai, Aye Allah! Jo Ise Dost Rakkhe Too Use Dost Rakkh Aur Jo Is Se Adaawat Rakkhe Too Us Se Adaawat Rakkh, Aur Jo Is Kee Nusrat Kare Us Kee Too Nusrat Farma, Aur Jo Is Kee I’aanat Kare Too Us Kee I’aanat Farma.”

[1-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 05/192, Raqam-5059,

2-Nasa’i Ne “Khsa’is Amir-ul-Mu’minin ‘Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim (Saf’h,/100, 101, Raqam-96)” Me ‘Amar Dhi Murr Se Riwayat Lee Hai.

3-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/104, 106,

4-Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 04/170,

5-Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 11/609, Raqam-32946.]

Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 22

Hadith Number : 22

“Aayate Kareema ( اَلۡیَوۡمَ اَکۡمَلۡتُ لَکُمۡ دِیۡنَکُمۡ ) [Al-Ma’idah, 05 : 03] ….Aaj Mein Ne Tumhare Li’e Deen Ko Mukammal Kar Diya…. Ke Shaane Nuzool Me Muhaddithin Wa Mufassirin Ne Yeh Hadithe Mubaraka Bayan Kee Hai :

“Hazrat Aboo Hurairah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Jis Ne Atthaarah-18 Dhu-‘l-Hijjah Ko Rozah Rakkha Us Ke Li’e Saath-60 Mahino’n Ke Rozo’n Ka Thawaab Likkha Jaayega, Aur Yeh Ghadir Khum Ka Din Tha Jab Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Haath Pakad Kar Farmaya : Kya Mein Mominin Ka Waali Nahin Hoo’n? Unhone Ne Kaha : Kyoo’n Nahin, Ya RasoolAllah ﷺ! Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Ka Mein Mawla Hoo’n, Us Ka ‘Ali Mawla Hai. Is Par Hazrat ‘Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Mubarak Ho! Aye Ibn Abi Talib! Aap Mere Aur Har Musalman Ke Mawla Thahre. (Is Mauqa’ Par) Allah Ta’ala Ne Yeh Aayat Naazil Farmayi : “Aaj Mein Ne Tumhare Li’e Tumhara Deen Muqammal Kar Diya.”

[1-Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 08/290,

2-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/324,

3-Wahidi Fi Asbab-un-Nuzool,/108,

4-Razi Fi At-Tafsir-ul-Kabir Aw Mafatih-ul-Ghayb, 11/139,

5-Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 45/176, 177,

6-Ibn ‘Asakir Ne “ Tarikh Dimashq Al-Kabir (45/179)” Me Yeh Riwayat Hazrat Aboo Saeed Khudari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Bhi Lee Hai.

7-Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 05/464,

8-Suyooti Ne “Ad-Durr-ul-Manthoor Fi At-Tafsiri Bi-Al-Ma’thoor (02/259)” Me Aayat Mazkura Kee Shaane Nuzool Ke Hawaale Se Likha Hai Ki Jab Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Ghadir Khum Ke Roz “من كنت مولاه فعلى مولاه” Ke Alfaz Farmaye To Yeh Aayate Kareema Naazil Hu’i.]