Hadith Number : 07
“Hazrat Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Jab Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Hijjat-ul-Wada’ Se Waapas Tashrif Laa’e To Ghadir Khum Par Qiyaam Farmaya. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Saa’ebaan Lagaane Ka Hukm Diya Aur Woh Laga Di’e Ga’e Phir Farmaya : “Mujhe Lagta Hai Ki Anqarib Mujhe (Wisaal) Ka Bulaawa Aane Ko Hai, Jise Mein Qubool Kar Lunga. Tehqiq Mein Tumhare Darmiyan Do² Aham Chizein Chhod Kar Ja Raha Hoo’n, Jo Ek Doosre Se Badh Kar Ahmiyyat Kee Haamil Hain : Ek Allah Kee Kitab Aur Doosri Meri Aal. Ab Dekhna Yeh Hai Ki Mere Baa’d Tum In Dono’n Ke Saath Kya Sulooq Karte Ho Aur Woh Ek Doosre Se Juda Na Hongi, Yaha’n Tak Ki Hawze(Kawthar) Par Mere Saamne Aayengi.” Phir Farmaya : “Be Shak Allah Mera Mawla Hai Aur Mein Har Momin Ka Mawla Hoo’n” Phir Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Haath Pakad Kar Farmaya : “Jis Ka Mein Mawla Hoo’n, Us Ka Yeh Wali Hai, Aye Allah! Jo Ise (‘Ali Ko) Dost Rakkhe Use Too Dost Rakkh Aur Jo Is Se Adaawat Rakkhe Us Se Too Adaawat Rakkh.”
–
[1-Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/109, Raqam-4576,
2-Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/45, 130, Raqam-8148, 8464,
3-Ibn Abi ‘Asim Ne “As-Sunnah (Saath,/644, Raqam-1555)” Me Ise Mukhtasaran Zikr Kiya Hai.
4-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 05/166, Raqam-4969,
5-Nasa’i Ne “Khsa’is Amir-ul-Mu’minin ‘Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim (Shaf’h,/84, 85, Raqam-76)” Me Yeh Hadith Sahih Sanad Ke Saath Riwayat Kee Hai.
6-Aboo Mahasin Ne “Al-Mu’tasar Min Al-Mukhtasar Min Mushkil Al-Athar, (02/301)” Me Naqal Kee Hai.]