Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 05

Hadith Number : 05

“Bara’ Bin ‘Aazib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Hum Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Safar Par They, (Raaste Me) Hum Ne Ghadir Khum Me Qiyaam Kiya. Waha’n Nida Dee Ga’i Ki Namaz Khadi Ho Ga’i Hai Aur Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Li’e Do² Darakhto’n Ke Neeche Safaa’i Kee Ga’i, Pas Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Namaze Zuhr Ada Kee Aur Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Haath Pakad Kar Farmaya : ˝Kya Tumhein Ma’loom Nahin Ki Mein Momino’n Kee Jaano’n Se Bhi Qarib Tar Hoo’n? Unhone Kaha : Kyon Nahin! Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : ˝Kya Tumhein Ma’loom Nahin Ki Mein Har Momin Kee Jaan Se Bhi Qarib Tar Hoo’n? Unhone Kaha : Kyoon Nahin! Raawi Kahta Hai Ki Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Haath Pakad Kar Farmaya : ˝Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka ‘Ali Mawla Hai. Aye Allah! Use Too Dost Rakkh Jo Ise (‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko) Dost Rakkhe Aur Us Se Adaawat Rakkh Jo Is Se Adaawat Rakkhe.” Raawi Kahta Hai Ki Is Ke Baa’d Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Mulaqat Kee Aur Un Se Kaha : ˝Aye Ibn Abi Talib! Mubarak Ho, Aap Sub’h-o-Sham (Ya’ni Hamesha Ke Li’e) Har Momin Wa Mominah Ke Li’e Mawla Ban Ga’e.”

[1-Ahmad Bin Haal Ne “Al-Musnad (04/281)” Me Bara’ Bin Abi RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Yeh Hadith Do² Mukhtalif Isnaad Se Bayan Kee Hai.

2-Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 12/78, Raqam-12167,

3-Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba,/125,

4-Muhibb Tabari Fi Ar-Riyad-un-Nadirah Fi Manaqib-il-‘Ashrah, 03/126, 127,

5-Munawi Ne “Fayd-ul-Qadir (06/217)” Me Likha Hai Ki Jab Hazrat Aboo Bakr Wa ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Qaul “ مَنْ كُنْتُ مَوْﻻَهُ فَعَلِىُّ مَوْﻻَهُ ” Suna To (Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se) Kaha : “Aye Aboo Talib Ke Bete! Aap Sub’h Wa Shaam (Ya’ni Hamesha Ke Li’e) Har Momin Aur Mominah Ke Mawla Qaraar Paaye.”

6-Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 13/133, 134, Raqam-36420,

7-Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 45/167, 168,

8-Imam Ahmad Bin Hanbal Ne Apni Kitab “Fada’il-us-Sahabah (02/610, Raqam-1042)” Me Sayyidina ‘Umar Farooqe RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Waali Haizi Me In Alfaaz Ka Izaafa Kiya Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :و عاد من عاده و أنصر من نصره، و أحب من أحب.
قال شعبة : أو قال : و ابغض من أبغضه
 “(Aye Allah!) Jo (‘Ali) Se Adaawat Rakkhe Us Se Too Adaawat Rakkh Jo (‘Ali) Kee Madad Kare Us Kee Too Madad Farma, Jo Is Se Muhabbat Kare Too Us Se Muhabbat Kar. Shu’bah Ka Kahna Hai Ki Is Kee Jagah Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo (‘Ali) Se Bughz Rakkhe Too (Bhi) Us Se Bughz Rakkh.

9-Ibn Athir Fi Usd-ul-Ghabah Fi Ma’rifat-is-Sahabah, 04/103,

10-Dhahabi Ne Siyar A’lam-in-Nubala’ (02/623, 624)” Me Kaha Hai Ki Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne هنيئا يا على ‘(Aye ‘Ali! Aap Ko Mubarak Ho)’ Ke Alfaaz Kahe.

11-Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 04/169,

12-Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 05/464.]

Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 45

Hadith Number : 45

 “Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Ek Aadami Ne Aap Ke Saath Kisi Mas’ale Me Jhagda Kiya To Aap RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya Ki Mere Aur Tere Darmiyan Yeh Baytha Huwa Aadami Faisla Karega… .Aur Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Taraf Ishaarah Kiya… .To Us Aadami Ne Kaha : Yeh Bade Pet Waala (Hamaare Darmiyan Faisla Karega)! Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Apni Jagah Se Utthey, Use Girebaan Se Pakda Yaha’n Tak Ki Use Zameen Se Oopar Utha Liya, Phir Farmaya : Kya Too Jaanta Hai Ki Too Jise Haqir Gardaanta Hai Woh Mere Aur Har Musalman Ke Mawla Hain.”

[Muhibb Tabari Fi Ar-Riyad-un-Nadirah Fi Manaqib-il-‘Ashrah, 03/128,

Muhibb Tabari Ne Kaha Hai Ki Ibn Samman Ne Is Kee Takhrij Kee Hai.]

Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 46

Hadith Number : 46

“Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Un Ke Paas Do² Baddu Jhagda Karte Hu’e Aa’e. Aap RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Farmaya : Aye Aboo Al-Hasan! In Dono’n Ke Darmiyan Faisla Farma De’n. Pas Aap KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Un Ke Darmiyan Faisla Kar Diya. Un Me Se Ek Ne Kaha Ki (Kya) Yahi Hamaare Darmiyan Faisla Karne Ke Li’e Rah Gaya Hai? (Is Par) Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Us Kee Taraf Badhe Aur Us Ka Girebaan Pakad Kar Farmaya : Too Halaak Ho! Kya Too Jaanta Hai Ki Yeh Koun Hain? Yeh Mere Aur Har Momin Ke Mawla Hain (Aur) Jo In Ko Apna Mawla Na Maane Woh Momin Nahin.”

[1-Muhibb Tabari Ne Yeh Riwayat “Dhakha’ir-ul-Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba (Saf’h,/126)” Me Bayan Kee Hai Aur Kaha Hai Ki Use Ibn Samman Ne Apni Kitab “Al-Mawafaqah” Me Zikar Kiya Hai.

2-Muhibb Tabari Fi Ar-Riyad-un-Nadirah Fi Manaqib-il-‘Ashrah, 03/128.]

Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 47

Hadith Number : 47

“Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Jis Ke Mawla Hain ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Us Ke Mawla Hain.

Hazrat Saalim Se Riwayat Hai Ki Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Puchha Gaya Ki Aap Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Saath Aisa (Imtiyazi) Bartaao Karte Hain Jo Aap Deegar Sahaba-e-Kiram Ridwanullahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Se (Umooman) Nahin Karte! (Is Par) Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne (Jawaaban) Farmaya : Woh (‘Ali) To Mere Mawla (Aaqa) Hain.”

[1-Muhibb Tabari Fi Ar-Riyad-un-Nadirah Fi Manaqib-il-‘Ashrah, 03/128,

2-Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 45/178.]