Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 02

Hadith Number : 02

“Hazrat ‘Imran Bin Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tum Log ‘Ali Ke Mut’alliq Kya Chaahte Ho? Tum Log ‘Ali Ke Mut’alliq Kya Chaahte Ho? Tum Log ‘Ali Ke Mut’alliq Kya Chaahte Ho? Phir Farmaya : Be Shak ‘Ali Mujh Se Hai Aur Mein ‘Ali Se Hoo’n Aur Woh Mere Baa’d Har Momin Ka Wali Hai.”

[1-Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 06/78, Raqam-3712,

2-Khasa’is Amir Al-Mu’minin ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim,/77, 92, Raqam-65, 86,

3-Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/132, Raqam-8484,

4-Ahmad Bin Hanbal Kee “Al-Musnad (04/437, 438)” Me Bayan Kardah Riwayat Ke Aakhiri Alfaaz Yeh Hain :

“Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Chehra-e-Mubarak Mutaghayyir Ho Gaya, Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : ‘Ali (Kee Mukhaalifat Karna) Chhod Do, ‘Ali (Kee Mukhaalifat Karna) Chhod Do, Be Shak ‘Ali Mujh Se Hai Aur Mein ‘Ali Se Hoo’n Aur Woh Mere Baa’d Har Momin Ka Wali Hai.”

5-Ibn Kathir Ne Imam Ahmad Kee Riwayat “Al-Bidayah Wa An-Nihayah (05/458)” Me Naqal Kee Hai.

6-Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il-us-Sahabah, 02/620, Raqam-1060,

7-Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 12/80, Raqam-12170,

8-Hakim Ne “Al-Mustadrak (03/110, 111, Raqam-4579)” Me Is Riwayat Ko Muslim Kee Shara’it Ke Mutaabiq Sahih Qaraar Diya Hai, Jab Ki Dhahabi Ne Is Par Khaamoshi Ikhtiyaar Kee Hai.

9-Ibn Hibban Ne “As-Sahih (15/373, 374, Raqam-6929)” Me Yeh Hadith Qawi Sanad Se Riwayat Kee Hai.

10-Aboo Ya’la Ne “Al-Musnad (01/293, Raqam-355)” Me Ise Riwayat Karte Hu’e Kaha Hai Ki Is Ke Reejaal Sahih Hain, Jab Ki Ibn Hibban Ne Bhi Ise Sahih Qaraar Diya Hai.

11-Tayalisi Kee “Al-Musnad (Shaf’h/111, Raqam-829), Me Bayaan  Kardah Riwayat Me Yeh Alfaz Bhi Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : ما لهم و لعلى (Unhein ‘Ali Ke Baare Me Itni Tashwish Kyoo’n Hai)?

12-Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 06/294,

13-Muhibb Tabari Fi Ar-Riyad-un-Nadirah Fi Manaqib-il-‘Ashrah, 03/129,

14-Haythami Fi Mawarid Al-Zam’an Ila Zawa’id Ibn Habban,/543, Raqam-2203,

15-Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 13/142, Raqam-36444,

Nasa’i Kee Bayan Karda Dono’n Riwayat Kee Isnaad Sahih Hain.”]

Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 03

Hadith Number : 03

“Hazrat Sa’d Bin Abi Waqqas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Mein Ne Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Yeh Farmate Hu’e Suna : ˝Jis Ka Mein Wali Hoo’n Us Ka ‘Ali Wali Hai.” Aur Mein Ne Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko (Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko) Yeh Farmate Hu’e Suna : ˝Tum Meri Jagah Par Usi Tarah Ho Jaise Haaroon, Moosa Kee Jagah They, Magar Mere Baa’d Ko’i Nabi Nahin.” Aur Mein Ne Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko (Ghazwa-e-Khaybar Ke Mouka’ Par) Yeh Bhi Farmate Hu’e Suna : ˝Mein Aaj Us Shakhs Ko ‘Alam Ata Karunga Jo Allah Aur Us Ke Rasool Se Muhabbat Karta Hai.”

[1-Ibn Majah Ne Yeh Sahih Hadith “As-Sunan (01/90, Al-Muqaddimah, Raqam-121)” Me Riwayat Kee Hai.

2-Nasa’i Ne Yeh Hadith “Khsa’is Amir-ul-Mu’minin ‘Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim (Shaf’h,/32, 33, Raqam-91)” Me Zara Mukhtalif Alfaaz Ke Saath Naqal Kee Hai.

3-Ibn Abi ‘Asim Fi Kitab-us-Sunnah,/608, Raqam-1386,

4-Mizzi Fi Tuhfat-il-Ashraf Bi-Mari’fat-il-Atraf, 03/302, Raqam-3901.]

Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 04

Hadith Number : 04

“Bara’ Bin ‘Aazib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Hum Ne Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Hajj Ada Kiya, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Raaste Me Ek Jagah Qiyaam Farmaya Aur Namaz Ba-Jama’at (Qaayim Karne) Ka Hukm Diya, Us Ke Baa’d Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Haath Pakad Kar Farmaya : ˝Kya Mein Momineen Kee Jaano’n Se Qarib Tar Nahin Hoo’n? Unhone Jawaab Diya : Kyun Nahin! Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : ˝Kya Mein Har Momin Kee Jaan Se Qarib Tar Nahin Hoo’n? Unhone Jawab Diya : Kyoon Nahin! Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Pas Yah Us Ka Wali Hai Jis Ka Mein Mawla Hoo’n. Aye Allah! Jo Ise Dost Rakkhe Use Too Dost Rakkh (Aur) Jo Is Se Adaawat Rakkhe Us Se Too Adaawat Rakkh.”

[1-Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/88, Al-Muqaddimah, Raqam-112,

2-Ibn Abi ‘Asim Ne “Kitab-us-Sunnah (Saf’h-603, Raqam-1362)” Me Mukhtasaran Zikr Kee Hai,

3-Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 04/168,

4-Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 11/602, Raqam-32904,

5-Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 45/167, 168,

Yah Hadith Sahih Hai.]

Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 06

Hadith Number : 06

“Hazrat Ibn Buraydah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Apne Waalid Se Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Jis Ka Mein Wali Hoo’n, Us Ka ‘Ali Wali Hai.”

[1-Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/361,

2-Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il-us-Sahabah, 02/563, Raqam-947,

3-Ibn Abi ‘Asim Fi Kitab-us-Sunnah,/601, 603, Raqam-1351, 1366,

4-Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/131, Raqam-2589,

5-Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 12/57, Raqam-12114,

6-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 05/166, Raqam-4968,

7-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/100, 101, Raqam-2204,

8-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/108,

9-Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 45/143,

10-Ibn ‘Asakir Yeh Hadith “Tarikh Dimashq Al-Kabir (45/142)” Me Sayyidah Fatimah RadiyAllahu Ta’ala Anha Se Bhi Riwayat Kee Hai.

11-Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 11/602, Raqam-32905,

12-Yahi Hadith Zara Mukhtalif Alfaaz Ke Saath Hisam-ud-Deen Hindi Ne “Kanz-ul-’Ummal (15/168, 169, Raqam-36511)” Me Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Naqal Kee Hai Aur Kaha Hai Ki Ise Ibn Rahwayh Aur Ibn Jarir Ne Riwayat Kiya Hai.]

Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 25

Hadith Number : 25

“Hazrat Amaar Bin Yaasir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Jo Mujh Par Imaan Laaya Aur Meri Tasdiq Kee Use Mein Wilayate ’Ali Kee Wasiyyat Karta Hoo’n, Jis Ne Use Wali Jaana Us Ne Mujhe Wali Jaana Aur Jis Ne Mujh Wali Jaana Us Ne Allah Ko Wali Jaana, Aur Jis Ne ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Muhabbat Kee Us Ne Mujh Se Muhabbat Kee, Aur Jis Ne Mujh Se Muhabbat Kee Us Ne Allah Se Muhabbat Kee, Aur Jis Ne ‘Ali Se Bughz Rakkha Us Ne Mujh Se Bughz Rakkha, Aur Jis Ne Mujh Se Bughz Rakkha Us Ne Allah Se Bughz Rakkha.”

[1-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/108, 109,

2-Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 45/181, 182,

3-Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 11/611, Raqam-32958,

4-Haythami Ne Is Hadith Ko Tabarani Se Riwayat Kiya Hai Aur Is Ke Rawaah Ko Thiqah Qaraar Diya Hain.]

Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 27

Hadith Number : 27

“Hazrat ‘Abd Allah Bin Buraydah Aslami Bayan Karte Hain Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Jis Ka Mein Wali Hoo’n Tahqiq Us Ka ‘Ali Wali Hai.” Unhi Se Ek Aur Riwayat Me Hain (Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya:) “Jis Ka Mein Wali Hoo’n Us Ka ‘Ali Wali Hai.”

[1-Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/129, Raqam-2589,

2-Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/350, 358, 361,

3-Khasa’is Amir Al-Mu’minin ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim,/ 85, 86, Raqam-77,

4-’Abd-ur-Razzaque Fi Al-Musannaf, 11/225, Raqam-20388,

5-Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 12/84, Raqam-12181,

6-Aboo Nu’aym Ne “Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’ (04/23)” Me Ise Mukhtasaran مَنْ كُنْتُ مَوْﻻَهُ فَعَلِىُّ مَوْﻻَهُ Ke Alfaaz Ke Saath Bayan Kiya Hai.

7-Ibn ‘Asakir, Tarikh Dimashq Al Kabir, 45/76,

8-Haythami Ne “Majma-uz-Zawa’id (09/108)” Me Ise Naqal Karte Hu’e Kaha Hai Ki Bazzar Kee Bayan Kardah Riwayat Ke Rijaal Sahih Hai.

9-Hisam-ud-Deen Hindi Ne “Kanz-ul-’Ummal (11/602, Raqam-329)” Me Mukhtasaran مَنْ كُنْتُ مَوْﻻَهُ فَعَلِىُّ مَوْﻻَهُ Ke Alfaaz Ke Saath Bayan Kiya Hai.

10-Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 06/218,

Imam Hakim Ne Is Riwayat Ko Sharte Shaykhayn Ke Mutabiq Sahih Qaraar Diya Hai, Aur Is Hadith Ko Aboo Awaanah Se Ek Doosare Tariq Se Sa’d Bin ‘Ubaydah Se Bhi Bayan Kiya Hai.
Unhone “Al-Mustadark” Me Buraydah Aslami Se Ek Aur Jagah (03/110, Raqam-4578) Bhi Isi Hadith Ko Mukhtasaran Bayan Kiya Hai.]

Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 49

Hadith Number : 49

“Zuhri Se Riwayat Hai Ki Aboo Junaydah Junda’ Bin ‘Amr Bin Maazin Ne Kaha : Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Yeh Farmate Hu’e Suna :  Jis Ne Mujh Par Jaan-Bujh Kar Jhooth Bola Woh Apna Thikaana Jahannum Me Banaaye. (Aur Yeh Farman) Mein Ne Khud Suna Hai Warna Mere Dono’n Kaan Bahre Ho Jaaein. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Hijjat-ul-Wada’ Se Waapas Laute Aur Ghadir Khum Ke Maqaam Par Pahunche, Logo’n Ko Khitaab Farmaya : Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Haath Thaam Kar Farmaya: Jis Ka Mein Wali Hoo’n Yeh (‘Ali) Us Ka Wali Hai, Aye Allah! Jo Ise Dost Rakkhe Too Use Dost Rakkh Aur Jo Is Se Adaawat Rakkhe Too Us Se Adaawat Rakkh. ‘Abd Allah Ne Kaha : Mein Ne Zuhri Se Kaha : Aisi Baatein Mulke Shaam Me Bayan Na Karna Warna Too Waha’n Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Mukhalifat Me Itni Baatein Sunega Ki Tere Kaan Bhar Jaaeinge. (Is Ke Jawab Me) Imam Zuhri Ne Farmaya: Khuda Kee Qasam! Hazrat ’Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Itne Faza’il Mere Paas Mehfooz Hain Ki Agar Mein Unhein Bayan Karoo’n To Mujhe Qatl Kar Diya Jaa’e.”

[Ibn Athir Fi Usd-ul-Ghabah Fi Ma’rifat-is-Sahabah, 01/572, 573.]