Posted in 2 Doosra Khitaab : Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me

Makkah Se Karbala Tak

                   Imam Husayn ‘Alayh-is-Salam Makkah Mu’azzamah Se Teen Dhu-‘l-Hijjah Ko Rawana Huwe Raaste Me Aik Shaa’ir Mila Aap Ne Puchha Ki Koofah Ka Kya Haal Hai? Us Ne Jawaab Dya : Un Ke Dil Aap Kee Saath Magar Talwaarein Yazeed Ke Saath Hain.

Aap Jab Teen Dhu-‘l-Hijjah Ko Rawana Huwe To Aap Kee Khidmat Me Darkhaast Kee Gayi Ki Kuchh Deen Aur Guzaar Le’n Lekin Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Saamne Apne Naana Jaan Ka Yeh Irshaad Mubarak Tha Ki Mein Dekh Raha Hoo’n Ki Makkah Ke Haram Ka Taqaddus Quraysh Ke Aik Shakhs Ke Sabab Paamaal Ho Raha Hai, Yaha’n Aik Shakhs Ke Sabab Khoon Beh Raha Hai. Farmane Lage Mumkin Hai Ki Makkah Me Yazeedi Fauj Giriftaari Ke Liye Ihtimaam Kare Aur Hamaare Haami Hamaare Difa’ Me Talwaarein Utha Le’n Aur Mere Sabab Se Harame Makkah Me Khoon Bahe. Mein Nahin Chaahta Ki Apne Naana Jaan Ke Irshaad Ka Misdaaq Banu’n.

 

Hajj Ke Dino’n Se Qabl Rawangi Ikhtiyaar Farmayi Us Shaa’ir Kee Baat Sun Ne Ke Ba-Wajood Aage Gaye, Raaste Me Hurr Bin Yazeed Tamimi RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Mila Use Ziyaad Ne Lashkar De Kar Bheja Tha Taa Ki Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tumhein Jaha’n Mile Use Koofah Me Daakhil Na Hone Do Aur Koshish Kar Ke Mere Paas Le Aao Hurr Ne Kaha : Husayn Bin Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Aap Ko Pata Chal Chuka Hoga Ki Aap Ke Chacha Zaad Bhaai Muslim Bin Aqil RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Shaheed Ho Gaye Hain, Koofi Ke Log Hasbe Dastoor Be-Wafa Sabit Huwe Woh Aap Kee Itaa’at Se Phir Chuke Hain, Haalaat Saazgaar Nahin Hain, Bataaiye Aap Ka Kya Khayaal Hai? Mujhe Hukm Hai Ki Mein Aap Ko Ibn Ziyad Ke Paas Le Chaloo’n.

 

Imam Aali Maqam Ne Ahle Qaafila Se Mashwarah Kiya Aur Yeh Qaraar Paaya Ki Filhaal Maidan Me Padaao Kiya Jaae. Wahin Amr Bin Sa’d Bhi Aik Bahut Bade Lashkar Ke Saath Ibn Ziyaad Kee Taraf Se Imaam Husayn ‘Alayh-is-Salam Ke Qatl Ke Mansoobe Ke Taht Aa Pahuncha. Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Jis Maidaan Tak Pahunche Us Maidaan Kee Khabar Tak Na Thi Ki Yeh Kounsa Maidaan Hai Darya-E-Furaat Ka Kinaarah Tha, Khayaal Kiya Ki Yaha’n Paani Qareeb Hai Kuchh Aasaani Hogi, Yakum Muharram Ko Aur Baa’z Riwayato’n Ke Mutaabiq Do Muharram Ko Usi Maidaan Me Utre Aur Saathiyo’n Se Puchha Ki Yeh Kounsa Maidaan Hai ? Is Ka Naam Kya Hai ? Unhone Bataya Ki Hazrat Is Ka Naam Karbala Hai, Farmane Lage : Bas Yahi’n Khaime Laga Do, Yahi Hamare Safar Kee Aakhiri Manzil Hai, Us Jagah Pahunchte Hee Aap Ko Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Woh Faraamin Yaad Aa Gaye Jo Aap Ne Karbala Ke Muta’alliq Farmaaye They Aur Bachpan Ke Zamaane Kee Yaadein Aur Huzoor Kee Dee Huwi Bashaaratein Aankho’n Ke Saamne Aa Gayi’n. Woh Bachpan Ka Lamha Yaad Aa Gaya Ki Jab Hazrat Ummi Salamah Aur Hazrat Umm-il-Fadl RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Kee Riwaayat Ki Mutabiq Hazrat Ummi Salamah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Kee Goud Me Imam Aali Maqaam Khel Rahe They Ki Achaanak Aaqa-E-Do-Jaha’n Kee Chashmane Muqaddas Par Aansu Aa Gaye Umm-il-Mu’minin Ne Puchha : Ya RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kya Baat Hai ? Aap Kee Aankho’n Me Aansu Aa Gaaye Hain ? Farmaya :

أتاني جبريل أخبرني أن ابني الحسين يقتل في بعض أرض العراق يقال لها كربلا وهذه تربتها تربة حمراء.


[Suyooti Fi Khasa’is Al-Kubra, 02/125.]

Aye Ummi Salamah! Mere Paas Jibra’il Aaya Hai, Aur Us Ne Is Shahzade Kee Taraf Ishaarah Kar Ke Mujhe Bataaya Hai Ki Aaqa! Aap Ke Baa’d Ummat Ka Aik Zaalim Giroh, Aap Ke Bete Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Gharib-ul-Watani Ke Aalam Me Shaheed Kar Dega Aur Iraq Ke Jis Maidaan Me Un Kee Shahadat Hogi Us Ka Naam Karb Wa Bala Hai Aur Yeh Us Jagah Kee Surkh Mitti Hai, Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Us Mitti Ko Sungh Kar Farmaya : ريح كرب و بلاءHaqiqat Yeh Hai Ki Is Mitti Se Bhi Ranj-o-Alam Aur Dukh Aur Dard Kee Boo Aa Rahi Hai, Yahi Woh Maidaan Hai Jis Kee Nisbat Mere Abba Ne Khabar Dee Thi Ki

هاهنا مناخ ركابهم و موضع رحالهم و مهراق دمائهم، فتية من آل محمد يقتلون بهذه العرصة تبكى عليهم السماء والأرض.

 Yaha’n Mere Husayn ‘Alayh-is-Salam Aur Us Ke Qaafile Ke Khaime Lagenge, Yaha’n Un Musaafiro’n Ke Kajaawe Rakhe Jaaeinge. Yaha’n Un Ka Muqaddas Khoon Bahaya Jaaega Aur Aale Muhammad Ka Aik Mubarak Giroh Be-Dardi Ke Saath Yaha’n Shaheed Kar Diya Jaaega Aisi Shahadat Ki Jis Kee Shahadat Par Zameen Bhi Rooegi Aur Aur Aasmaan Bhi Aansu Bahaaega.

[Suyooti Fi Khasa’is Al-Kubra, 02/126,

Aboo Nu’aym Fi Dala’il-un-Nubuwwah,/509.]

 

 

Isi Maidaan Kee Mitti Huzoor ‘Alayh-is-Salatu Wa’s-Salam Ne Hazrat Ummi Salamah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ko Ata Kee Thi Aur Farmaya Tha :

إذا تحولت هذه التربة دما فاعلمي ان ابني قد قتل

Jab Yeh Mitti Khoon Me Tabdeel Ho Jaae To Jaan Lena Mera Beta Shaheed Kar Diya Gaya Hai.

[Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Tahdhib-ut-Tahdhib, 02/347,

Suyooti Fi Khasa’is Al-Kubra,  -2/125.]

Aye Ummi Salamah! Is Mitti Ko Sambhaal Kar Rakhna Mujhe Ma’loom Hai Ki Jab Mere Bete Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Shahaadat Ka Waqt Aaega To Us Waqt Too Zinda Hogi Jab Yeh Mitti Surkh Ho Jaaye To Samajh Lena Ki Mera Husayn ‘Alayh-is-Salam Shaheed Kar Diya Gaya Hai. Yeh Saari Bashaaratein Pehle Se Dee Jaa Chuki Thi’n. Isi Liye Imaam Aali Maqam Ne Is Maidaan Ko Apne Apne Safar Ka Muntahi Samajh Kar Khaime Lagaaye Aur Yeh Khayaal Farmaya Ki Darya Qareeb Hai Paani Muyassar Aayega Lekin Un Zaalimo’n Ne Aap Ko Paani Se Mehroom Karne Ka Mansooba Bana Liya. Aath-08 Din Amr Bin Sa’d Aur Ibn Ziyad Ke Qaasido’n Ke Darmiyaan Aane Jaane Me Guzar Gaye Kuchh Guft-o-Shunid Chalti Rahi, Ibn Ziyaad Ne Jab Samajha Ki Amr Bin Sa’d Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Qatl Se Gurez Chaahta Hai To Us Ne Shimr Dhi-‘l-Jawshan Ko Lashkar De Kar Rawana Kiya Aur Kaha Ki Amr Bin Sa’d Agar Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Saath Muqaatalah Kare To Fabiha Agar Mutaammil Ho To Use Ma’zool Kar Ke Lashkar Kee Qiyaadat Tum Sambhaal Lena. Shimr Dhi-‘l-Jawshan Pahuncha To Muharram Ka Aaghaaz Ho Chuka Tha Amr Bin Sa’d Ne Yeh Dekha Ki Hukoomat Mujh Se Chhini Jaa Rahi Hai, Imam Husayn ‘Alayh-is-Salam Ke Saath Muqabala Karne Ka Faisalah Kar Liya Aur Ibn Ziyad Ke Kehne Par Paanch Sau-500 Lashkariyo’n Ko Bheja Ki Woh Furaat Par Qabza Kar Le’n Aur Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Paani Ka Aik Ghoont Tak Na Lene De’n.

[Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Safha-38_40.]

Posted in 2 Doosra Khitaab : Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me

Nau Aur Das Muharram Ke Waqe’at

Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Nau-09 Muharram Ko Apne Bhaai Abbas Bin Ali Bin Abi Talib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ko Pachaas-50 Jawano’n Ke Saath Bheja Ki Kuchh Paani Le Kar Aaein Kyun Ki Kal Jang Ka Din Hai. Wuzoo Ke Liye Aur Peene Ke Liye Paani Kee Zaroorat Hogi. Hazrat Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Gaye Furaat Ke Kinaare Jang Huwi Aap Shadeed Zakhmi Ho Gaye Thoda Sa Paani Lene Me Kaamyaab Ho Gaye.

 

Amr Bin Sa’d Aur Shimr Dhi-‘l-Jawshan Ne Mutaalibah Kiya Ki Abhi Raat Kee Jang Shuru’ Kee Jaaye. Imam Husayn ‘Alayh-is-Salam Ne Farmaya Ki Jab Jang Ka Faisalah Ho Hee Chuka Hai To Yeh Aik Raat Allah Se Munaajaat Aur Alahidagi Me Us Se Mulaqat Ke Ke Liye De Doo, Faisalah Ho Gaya Ki Kal Das-10 Muharram Ko Jang Shuru’ Hogi Raat Ko Aap Apne Khaime Me Gaye Izzat Maab Khawaateen Ko Jam’a Kiya Apni Bahan Hazrat Zaynab Salam Allah ‘Alayha Ko Zawja-E-Mutahharah Hazrat Shahr Baanu Salam Allah ‘Alayha, Chhoti Shahzadiyo’n Ko, Shahzado’n Ko Khanwada-E-Rasool Ke Jawaano’n Ko Irshaad Farmaya : Mein Tum Se Be-Had Raazi Hoo’n Aur Khush Hoo’n Tum Ne Haque-E-Sadaaqat, Wafa Shi’aari Ada Kar Diya. Qiyamat Ke Din Tumhare Haque Me Gawaahi Dunga. Tumhein Ijaazat Deta Hoo’n Ki Raat Ke Andhere Me Jaha’n Chaho Chale Jaao Mujhe Jaame Shahadat Isi Maidaan Me Naush Karna Hai Lekin Tumhein Apni Khaatir Jang Me Jhonkna Aur Marwaana Nahin Chaahta, Azizo’n Kee Aankhein Poor Nam Ho Gayi’n Sab Ne Thar-Tharaate Huwe Labo’n Se Jawaab Diya Ki Imam Aali Maqam! Hum Apne Khoon Ka Aakhiri Qatrah Bhi Aap Ke Qadmo’n Par Gira Denge. Agar Aaj Aap Ko Tanha Chhod Diya To Kal Apne Khuda, Aur Nabiyye Karim SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Kya Munh Dikhaaeinge. Hum Aap Kee Khaatir Kat Marenge Jaanein Qurbaan Karenge Aur Yazeedi Lashkar Ko Bata Denge Ki Ahl-E-Bayt Aise Hote Hain. Imam Aali Maqam Ne Raat Bhar Sabr Kee Talqeen Kee Ahl-E-Bayt ‘Alayhim-us-Salatu Wa’s-Salam Ke Muqaddas Khaimo’n Me Raat Bhar Tilaawat Hoti Rahi Sajde Hote Rahe, Istighfaar Hota Raha Aur Zikr Hota Raha Aur Allah Kee Baargaah Me Munaajaat Karte Rahe.

 

Alal-Sub’h Ma’reka-E-Karbala Bapa Ho Gaya Sab Se Pehle Yake Ba’d Deegare Aik Aik Shakhs Aata Raha Aur Qaafila-E-Husayni Ke Jawaan Yazeedi Lashkar Ke Logo’n Ko Waasile Jahannam Karte Rahe Unhone Ijtima’iy Hamle Ka Faisalah Kar Liya Lekin Idhar Se Aik Aik Jawaan Us Poore Qaafile Ko Muqaabalah Karta Raha Saare Saathi, Jaa’n Nishaar Shaheed Ho Gaye Ab Sirf Ahl-E-Bayte Nubuwwat ‘Alayhim-us-Salatu Wa’s-Salam Ke Afraad Rah Gaye, Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Chaaha Ki Is Khandan Se Mein Aaghaaz Karoo’n, Talwaar Uthaayi, Lekin Hazrat Ali Akbar Maidan Me Aa Gaye. Arz Karne Lage : Abba Jaan! Beta Aap Ka Jawaan Hai, Aur Jawaan Beto’n Ke Hote Huwe Baap Ko Aisi Takleef Kee Zaroorat Nahin, Maidaan Me Pahuncha Jihaad Shuru’ Kiya. Aap Kee Talwaar Jis Samt Uthti Yazeed Fauj Ke Tukde Uda Deti. Aap Ne Unhein Gaajar Mooli Kee Tarah Kaat Kar Rakh Diya. Phir Aap Ka Ghoda Zakhmi Ho Gaya, Haydari Khoon Aur Husayni Shujaa’at Ne Yazeedi Lashkar Ko Museebat Wa Mashaqqat Me Daal Diya Aur Un Ke Parakhche Uda Deeye, Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Chaahte They Ki Apne Jawaan Bete Ko, Shabaab Ke Maahe Kaamil Ko, Husn Ke Maahe Tamaam Ko, Apni Aankho’n Se Ladta Huwa Dekhein. Lekin Maidane Karb-o-Bala Kee Gard Ne Un Ko Chhupa Liya Tha, Kuchh Khabar Na Thi Ki Woh Kaha’n Hai, Aur Un Par Kya Beet Rahi Hai? Bas Itna Andaazah Hota Tha Ki Jis Samt Yazeedi Lashkar Kee Bhedein Bhaagti’n, Imam Husayn ‘Alayh-is-Salam Aur Ahl-E-Bayt ‘Alayhim-us-Salam Ke Log Samajh Lete Hain Ki Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ka Laadla Beta, Us Samt Jaa Raha Tha. Yeh Ali Haidare Karrar Ka Pauta Tha Hazrat Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Nawaasa, Derr Tak Yazeediyo’n Ko Waasile Jahannam Karta Raha, Pyaas Kee Shiddat Ne Aa Ghera Jism Par Beeso’n Zakhm Lag Gaye, Paani Ka Aik ghoont Bhar Kar Do Baarah Taazah Dam Hone Ke Liye Aaye To Arz Kee : Abba Jaan! Agar Paani Ka Aik Ghoont Mil Jaae To Phir Taazah Dam Ho Kar Hamla Karu’n Farmaya : Ali Akbar! Paani To Muyassar Nahin Lekin Apni Sookhi Huwi Zubaan Tere Moonh Me Daal Sakta Hoo’n Hazrat Ali Akbar ‘Alayh-is-Salam Ne Imam Aali Maqaam Kee Sookhi Huwi Zubaan Chakhi Aur Us Se Phir Taazah Dam Ho Kar Maidaan Me Pahunche, Derr Tak Ladne Ke Baa’d, Be-Andaazah Zakhm Khaa Kar Zameen Par Gir Pade Aik Nezah Aap Ke Seena-E-Aqdas Me Paiwast Ho Gaya Achaanak Zubaan Se Aawaaz Aayi : Ya Abtah ! Aye Abba Jaan! Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Be-Saakhta Daud Pade Jaa Kar Apne Bete Ko Goud Me Le Kar Utha Liya. Beta, Aik Ajeeb Andaaz Se Apne Baap Ko Tak Raha Hai Arz Kee! Abba Jaan! Agar Aap Neze Ka Yeh Phal Jism Se Nikaal De’n To Mein Aik Baar Phir Maidaan Me Jaane Ke Liye Tayyar Hoo’n. Aap Ka Beta Dushman Kee Kasrat Ke Ba-Wajood Himmat Haarne Waala Nahin. Imam Husayn ‘Alayh-is-Salam Ne Goud Me Jawaan Bete Ko, Us Maahe Tamaam Ko, Us Husn Ke Paikar Ko Apni Goud Me Le Liya, Sar Se Paau’n Tak Jism Zakhmo’n Se Choor Tha Aap Ne  Neze Ka Phal Nikaala Khoon Ka Fawwaarah Ubal Pada.

 

Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Jab Hazrat Ali Akbar ‘Alayh-is-Salam Ko Goud Me Uthaaye Huwe They. Us Waqt Aap Kee Umr Chhappan-56 Saal Paanch-05 Mahine Aur Paanch-05 Din Thi. Ibn Asaakir Likhte Hain Ki Daadhi Aur Sar Ka Aik Baal Bhi Sufed Na Tha Lekin Khoon Ke Fawwaare Ko Dekh Kar Aur Jawaan Bete Kee Rooh Qafase Unsuri Se Parwaaz Karti Dekh Kar, Itna Sadma Pahuncha, Aur Is Qadar Gham Laahiq Huwa Ki Jab Jab Jawaan Bete Kee Laash Utha Kar Waapas Aaye To Sar Aur Daadhi Ke Baal Sufed Ho Chuke They.

 

Azm Wa Himmat Wa Sabr Wa Istiqlaal Ke Is Paikar Ne, Jawaa’n Bete Kee Laash, Khaime Me Rakkhi Huwi Shaheedo’n Kee Laasho’n Ke Saath Laa Kar Rakh Dee, Aur Is Daf’ah Khood Maidan Me Jaane  Kee Tayyari Shuru’ Kar Dee. Aik Nau-09 Saal Ka Chhota Sa Baccha Talwaar Utha Kar Saamne Aaya. Yeh Koun Hai. Yeh Qasim Bin Hasan Bin Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Hai, Hazrat Qasim ‘Alayh-is-Salam Se Farmaya : Bete! Too Mere Bhaai Hasan ‘Alayh-is-Salam Kee Nishaani Hai To Too Aaraam Kar! Jawaab Diya : Chacha Jaan! Mein Qiyamat Ke Din Apne Baap Ko Kya Munh Dikhaaunga? Woh Kaheinge Ki Tere Chacha Shaheed Ho Gaye Too Dekhta Raha, Nahin Mere Nanhe Gale Par Talwaar Chal Le, Phir Aap Kee Baari Aayegi, Aakhir Qasim Bin Hasan ‘Alayhima-‘s-Salam Bhi Shaheed Ho Gaye.

 

Aksar Log Kehte Hain Ki Hazrat Ali Asghar Jin Kee Umr Mubarak Sirf Chhe-06 Maah Thi Aur Woh Pyaas Se Tadap Rahe They Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Unhein Utha Kar Le Gaye, Aur Lashkare Yazeed Se Un Ke Liye Paani Maanga Lekin Paani Ke Bajaae Teer Aaya Aur Baccha Shaheed Ho Gaya, Mein Is Se Muttafique Nahin Mujhe Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Ghairat Aur Hamiyyat Is Baat Par Yaqeen Karne Kee Ijaazat Nahin Deti. Kyun Ki Woh Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Jo Islam Kee Khaatir, Ahl-E-Bayt ‘Alayhim-us-Salam Kee Ghairat Wa Hammiyat Kee Khaatir, Sab Kuchh Luta Raha Hai Woh Is Bacche Ke Liye Yazeedi Badbakhto’n Se Paani Kee Bheek Kis Tarah Maang Sakta Hai? Agar Paani Kee Bheek Hee Maangna Thi To Phir Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Un Se Khayrat Talab Karne Kee Haajat Na Thi Woh Chaahte To Darya-E-Furaat Ko Ishaarah Karte, Darya-E-Furaat Un Ke Qadmo’n Me Bahne Lagta, Aasmaan Kee Taraf Haath Uthaate, Baarish Se Bhare Baadal Umad Aate, Moosla Dhaar Baarish Hoti, Isma’il Bin Ibrahim ‘Alayhima-‘s-Salam Kee Aidi Ke Ragadne Se Agar Zam Zam Ka Aik Chashma Nikal Sakta Hai To Phir Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Laadle Bete Husayn Ibn Ali ‘Alayhima-‘s-Salam Kee Zarb Aur Aidi Maarne Se Karbala Ke Maidaan Me Chashma Kyun Nahin Phoot Sakta, Mera To Yeh Aqidah Hai Ki Agar Woh Zameen Par Paau’n Maarte To Aik Chashma To Kya, Regzaare Karbala Me Hazaro’n Chashme Phoot Padte.

 

Lekin Yeh Maidaane Imtihaan Wa Aazma’ish Tha Husayn ‘Alayh-is-Salam To In Masaa’ib-o-Aalaam Me Sabr Kar Ke Apne Mawla Ko Raazi Kar Rahe They Un Ke Naana Un Ko Tak Rahe They Ki Mera Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Jise Mein Ne Apne Kandhe Par Sawaar Kiya Hai, Hazrat Fatimat-uz-Zahra Salam Allah ‘Alayha Dekh Rahi Thi’n Ki Jis Husayn ‘Alayh-is-Salam Ko Mein Ne Apni Chhati Ka Doodh Pilaaya Hai. Ali Shere Khuda KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Mulaahiza Farma Rahe They Ki Jis Ke Rag-o-Reshe Me Mera Khoon Gardish Kar Raha Hai Aaj Is Maqame Sabr Aur Maqame Istiqaamat Par Is Ke Qadam Kahin Ladkhadaye To Nahin Hain? Husayn Ibn Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Is Haal Me Sabr-o-Raza Ka Paikare Atam Ban Kar Azm-o-Himmat Ke Saath Muskuraate Rahe.

 

Aakhir Jab Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Maidaan Me Aane Ka Iraadah Kiya To Hazrat Aabid Bimar ‘Alayh-is-Salam Nikal Aaye Aur  Arz Kee : Abba Jaan! Mere Oopar To Aisa Zulm Na Keejiye Ki Mere Hote Huwe Aap Maidaan Me Jaa Rahe Hain Mein Bhi Baaqi Bhaa’iyo’n Kee Tarah Apne Nana Jaan Ka Deedaar Karna Chaahta Hoo’n, Mein Bhi Apni Daadi Jaan Kee Bargah Me Jaa Kar Surkhroo Hona Chaahta Hoo’n, Ab Shahadat Ka Jaam Peena Meri Baari Hai, Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Too Rah Jaa Ki Khanwada-E-Rasool Ka Har Chiraaag Gul Ho Chuka Hai Har Phool Murjha Chuka Hai Ab Meri Nasl Me Faqat Too Hee Baaqi Rah Gaya Hai Mujhe To Shaheed Hona Hee Hai Agar Too Bhi Shaheed Ho Gaya To Tere Naana Kee Nasl Kaha’n Se Chalegi Too Apne Naana Kee Nasl Kee Baqa Kee Khaatir Zinda Rah.

 

Hazrat Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Imam Zayn-ul-Aabidin ‘Alayh-is-Salam Ko Chhod Kar Khud Maidane Karbala Me Utre Aap Bhi Derr Tak Hazaaro’n Yazeediyo’n Ko Waasile Jahannam Karte Rahe. Poore Lashkar Me Kohraam Mach Gaya. Ali Shere Khuda KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Yeh Jawaa’n Beta, Yeh Allah Ka Sher Jis Taraf Talwaar Le Kar Nikal Jaata Hazaaro’n Afraad Bhedo’n Kee Tarah Aage Bhaagne Lagte Aap Unhein Waasile Jahannam Karte Rahe Talwaaro’n Aur Nezo’n Ke Waar Khaate Rahe, Saara Din Is Tarah Guzar Gaya Khayaal Aaya Ki Wuzoo Taazah Kar Loo’n, Maidane Furaat Par Gaye Paanch Sau-500 Ka Lashkar Chhod Kar Bhaag Gaya, Aap Ne Wuzoo Karne Ke Liye Furaat Se Chullu Me Paani Liya To Woh Khoon Aaloodah Ho Gaya, Aap Ne Us Ko Uchhaala Aur Waapas Laut Aaye Muskura Kar Aasmaan Kee Taraf Dekha Aur Sar Jhuka Liya Jum’ah Ka Din Tha Ab Waha’n Jum’ah Kaha’n? Namaze Zuhr Ka Waqt Aaya Farmane Lage Yazeediyo’n ! Kuchh Der Rukh Jaao Taa Ki Allah Kee Bargah Me Do Sajde Aur Kar Loo’n, Lekin Woh Zaalim Yeh Muhlat Bhi Dene Par Tayyar Na They. Imam Aali Maqaam Ne Un Ke Azaa’im Dekh Kar Talawaar Rakh Dee Aur Zuhr Kee Namaaz Ke Liye Niyyat Baandh Lee  Zaalimo’n Ne Yeh Na Dekha Ki Namaaz Ada Kar Rahe Hain, Kuchh Derr Tawaqquf Kar Le’n. Balki Unhone Mauqa-E-Ghanimat  Jaana, Chaaro’n Taraf Se Chadhaayi Kar Dee, Teero’n Kee Bauchhaar Aur Pey Dar Pey Hamlo’n Ne Nawasa-E-Rasool Ke Jism Ko Nidhaal Kar Diya, Chunanche Ghode Se Gir Gaye Yaha’n Tak Ki Jisme At’har Me Uthne Kee Sakat Baaqi Na Rahi, Gire Huwe Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Saamne Aa Kar Bhi Koi Waar Na Karta Tha Peechhe Se Waar Karte.  Nezo’n Se Waar Hote Imam Husayn ‘Alayh-is-Salam Sabr-o-Raza Aur Tawakkul Ke Saare Marhale Kaamyaabi Se Tay Kar Ke Shahadat Ke Us Maqaam Par Pahuncha Gaye Jis Kee Rif’at Wa Azmat Ko Koi Nahin Paa Sakta Un Kee Rooh Ko Qudsiyaane Falak Ne Aik Juloos Kee Soorat Me Huzoore Iyzidi Pahunchaane Ke Liye Tamaam Intizaamaat Mukammal Kar Liye They Aur Idhar Rooh Qafase Unsuri Se Parwaaz Karne Lagi. Udhar Haatife Ghaybi Se Nida Aayi Husayn Ab Aaja ! Too Ne Sabr Ko Kamaal Ata Kar Diya Istiqaamat Ko Intiha Tak Pahuncha Diya Hai Ummate Mustafa Salam Allah ‘Alayha Ka Sar Ooncha Kar Diya Aye Husayn! Aaj Se Tere Iqdaam Ko Bina-E-La-Ilah Qaraar De Diya Jaaega Aye Husayn Ab Aaja. Aye Roohe Taahir! ارْجِعِي إِلَىٰ رَبِّكِ رَاضِيَةً مَّرْضِيَّةً   Jannat Ke Darwaaze Khol Diye Gaye Naana Jaan Istiqbaal Ke Liye Khade Hain Aye Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Too Ne Mera Sar Fakhr Se Buland Kar Diya Hai. Hazrat Fatimat-uz-Zahrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Bete Ko Shabashi Deti Hain Ali Shere Khuda KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Bete Ko Aafreen Kehte Hain. Imam Aali Maqaam Kee Roohe Paak Is Tarah Hujoome Mala’ikah Me Allah Kee Bargaah Me Baaryaab Hoti Hai, Aur Izzat Paati Hai, Aap Ka Sar Tan Se Juda Kar Diya Jaata Hai Zaalimo’n Ke Jazba-E-Intiqaam Kee Phir Bhi Taskeen Nahin Hoti  Woh Jisme At’har Par Ghode Daudaate Hain Taapo’n Se Raundate Hain Unhein Khayaal Tak Nahin Aata Ki Yeh Woh Sar Hai Jise Sarkare Do-Aalam SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Chooma Karte They. Yeh Woh Jism Hai Jise Apne Kaandhe Par Sawaar Karte They Aur Apni Peeth Par Bitha Kar Ghutno’n Ke Bal Chalte They.

 

Koofi Har Qism Ke Ihsaasaat Se Aari They, Insaaniyyat Ko Khayr Aabaad Keh Chuke They Aur Aisi Darindagi Par Utar Aaye They Jis Par Darindagi Bhi Sharmaati Hai Imam Husayn ‘Alayh-is-Salam Ke Sare Aqdas Ke Ilaawah Unhone Baaqi Bahattar-72 Afraad Ke Sar Bhi Jismo’n Se Alaahidah Kiye Un Ka Juloos Nikaala Aur Un Ke Saath Khanwada-E-Rasool Kee Baa-Pardah, Hayaadaar Khawaateen Ko Le Kar Ibn Ziyaad Ke Darbaar Kee Taraf Rawaana Huwe, Koofah Me Us Paleed Ibn Ziyaad Ka Darbaar Laga Huwa Tha Ki Yeh Juloos Waha’n Pahunch Gaya.
Phir Kya Huwa Yeh Aaindah Khutbah Me Bayaan Kiya Jaaega…

[Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Safha-41_46.]